Mar 13, 2015

Kaash yeh mohabbat khawab si hoti ?


Kaash yeh mohabbat khawab si hoti ?

Bas aankh khulti aur Qissa khatam

Aaj to dil kuch youn udaas hai wasi


Aaj to dil kuch youn udaas hai wasi 

JAisay tanha kashti ko samandar main shaam ho jaye

Koi to baat hai aakhir , meri mehmaan nawaazi main


Koi to baat hai aakhir , meri mehmaan nawaazi main 

KEh gham ik baar aatay hain , to phir wapis nahin jatay

Iss dard ki tehweel main rehtay huye hum ko


Iss dard ki tehweel main rehtay huye hum ko 

Chup chaap se bikharna hai , tamasha nahin ban'na

Luta kar her cheez teri chahat ki raah main


Luta kar her cheez teri chahat ki raah main 

Hum hans paray aaj khud ko barbaad dekh kar

Tumhain bhoolain gay aur woh bhi hum


Tumhain bhoolain gay aur woh bhi hum 

Ajeeb bhool hai waisay tumhari

Woh mera Aakhri jazeera tha


Woh mera Aakhri jazeera tha 

Raat jo Aanso'on main doob gaya

Itni to na kar be'rukhi, kuch to khayal kar


Itni to na kar be'rukhi, kuch to khayal kar 

Hum pehlay se hi hain dukhi, kuch to khayal kar 

Tera hansana to meri hayaat hai , tera bolna hai meri khushi

Mat cheen mujh se her khushi, kuch to khayal kar 

Beshak tu mujh se baat na kar , itna to bata magar 

Bin teray kya hai zindagi , kuch to khayal kar

Udaasi , shaam , tanhai, kasak , yaadon ki be'chaini


Udaasi , shaam , tanhai, kasak , yaadon ki be'chaini

Mujhay sab somp kar suraj utar jaata hai pani main

Raha zabt main jab na dam , ro diye hum


Raha zabt main jab na dam , ro diye hum 
Teri yaad kar kay sitam , ro diye hum 

Safar kis qadar tha kathan be'basi ka 
Chalay thay abhi do qadam , ro diye hum 

Mila zakham to ho gaye hum pashemaan 
Jo toota wafa ka bharam , ro diye hum 

Huwa hijar main kabhi zikar tera
Teri chahaton ki qasam , ro diye hum 

Saraaha kisi ne na fun be'kason ka 
Uthay jhoot par jab qalam , ro diye hum 

Hamaari lagan "Hashimi" jee na poocho
Jo dekha tujhay aankh nam , ro diye hum 


Kar kay aik doosray se Aarzo-e-wafa


Kar kay aik doosray se Aarzo-e-wafa 

Aao kuch dair jhoot bolain hum

Main apni sari ghazlon sari nazmon se hon sharminda


Main apni sari ghazlon sari nazmon se hon sharminda

Teri aankhon main aisi shairy mehsoos hoti hai

Na dua ne kiya asar , youn hi Aanso'on ne kiya safar


Na dua ne kiya asar , youn hi Aanso'on ne kiya safar 

Tumhain maanh maang kay thak gaye , meray hont bhi , meray haath bhi

Jo kisi soch kay sanchay main nahin aa sakta


Jo kisi soch kay sanchay main nahin aa sakta 

Tu ne kya soch kay uss shakhs ko chaha meray dil

Meray qaatil tujhay mubarak ho


Meray qaatil tujhay mubarak ho 

Dil ne samjha hai be'qasoor tujhay

Ek woh shakhs keh hum ko nazar hi nahin aata


Ek woh shakhs keh hum ko nazar hi nahin aata

Hamaray liye Eid ka chand bana baitha hai

Eid ka din hai bari dhoom ki tayaari hai


Eid ka din hai bari dhoom ki tayaari hai 
Aao hum un se milain jin ki jaib khaali hai 

LAfzon se khail kay bantay hain mufakar yeh log
In barray logon ki to shaan hi niraali hai 

HAin to hum'dard ghareebon kay par miltay huye ghabraatay hain 
Pata chalay na kisi ko ghareebon se rishtay daari hai 

Dekh kar Eid ki tayaari ek bachay ne kaha 
Ek mera ghar hai jahan bhook hai be'maari hai 

YEh oonch neech ki tafreeq kab khatam ho gi 
Iss ek jawaab ki duniya sabhi sawaali hai 

Eid mili hai to roothay huye logon se milain
Unhain bata dain yeh duniya faqat tumhari hai

Teray sang eid manaaon meri yeh auqaat kya


Dil jalon ki eid kaisi ? dard bhari hayaat kya 
Teray sang eid manaaon meri yeh auqaat kya 

Jab loatna hi hai ghreebon ko apni bazm main 
Phir chamakta din kya ghup andheri raat kya 

Main to teri gali ka adna sa ik faqeer hoon 
Apnay rab se maangon main teri khairaat kya

Tujhay meri baatein sun'nana gawara nahin hai 
Phir tujhay kaisay bataaon main meray halaat kya 

Dard sehtay sehtay pathar ka ho gaya hoon "Darwaish"
Zubaan par pyaar ka qufal kisi se karon baat kya 

Thehri thehri si tabiyt main rawaani aayi


Thehri thehri si tabiyt main rawaani aayi
Aaj phir yaad mohabbat ki kahani aayi

Aaj phir neend ko aankhon se bichartay dekha 
Aaj phir yaad koi choat puraani aay

Muddaton baad un pe chala hamara jadu 
Muddaton baad hamein baat banaani aayi 

Muddaton baad pasheman hua dariya hum par 
Muddaton baad hamein pyaas chupaani aayi 

Muddaton baad khuli wus'at-e-sehraa hum par 
Muddaton baad hamein khaak uraani aayi

Itni asaani se nahin milti fun ki doulat
Dhal gayi umar to ghazlon pe jawani aayi

Jis kay naseeb main hon zamanay ki thokrain


Jis kay naseeb main hon zamanay ki thokrain 

Us bad'naseeb se na sahaaron ki baat kar

Ab jo rootho gay , haar jaao gay


Ab jo rootho gay , haar jaao gay 

Hum mananay kay gur , bhula baithay

Ab wahan yaadon ka bikhra hua malba hi to hai


Ab wahan yaadon ka bikhra hua malba hi to hai 

Jis jaga Ishq ne buniyad-e-makaan rakhi thi

Ab to raqeeb se bhi adawat nahin rahi


Ab to raqeeb se bhi adawat nahin rahi 

Mujhay woh aziz , jissay tu aziz hai

Hai shiddat-e-khaloos ek jurm-e-Aashiqi


Hai shiddat-e-khaloos ek jurm-e-Aashiqi

Parwana jal kay shamma ko bad'naam kar gaya 

Sunno sahib ! maohabbat dard-e-dil ki aisi dawa hai


Sunno sahib ! maohabbat dard-e-dil ki aisi dawa hai 

Agar mil jaye to marz khatam aur na milay to mareez khatam

Tumhara saath mil jaye to sab dukh bhool jaaon gi


Tumhara saath mil jaye to sab dukh bhool jaaon gi 
Woh kehti thi keh her surat tumhain apna banaon gi 

Nichawar khwaab kar doon gi , tumharay her ishaaray par 
KAbhi peepal ki chaaon main kabhi nadiya kinaaray par 

Tumhain thandak ataa kar doon gi ik barsaat ki maanind 
Bikhartay chand jharno main ujalti raat ki maanind 

Mujhay tum se mohabbat hai main logon ko bataon gi 
Woh kehti thi keh her surat tumhain apna banaon gi

Main chahon gi tumhain jana umangon se ujaalon tak 
Khudi kay dasht se le kar naye janmon kay saalon tak 

Meri thandi si tanhai , sulagti raat jaisi ho 
Mujhay bas saath lay jaao , bhalay barsa

Woh meri ghazal saraai woh kisi ka muskuraana


Woh meri ghazal saraai woh kisi ka muskuraana 
Woh zara tehar kay khud hi koi shair gun'gunaana 

Shab-e-maah-o-mousam-e-gul , woh kinaar-e-ju woh khilwat 
Woh hajoom-e-kaif-o-masti woh fasana dar fasana 

Tujhay yaad agar na ho to , tujhay yaad main dila doon 
Mujhay yaad hai woh sab kuch , woh maqaam woh zamana 

Woh naye naye se jazbay , woh nayi nayi si her shay 
Woh nayi nayi umang'ein , woh naya naya zamana 

Woh ghataein umadti umadti , woh hawaein mehki mehki 
Woh nigahein behki behki , woh adaein walehaana 

Woh shakist-e-Azm-o-himmat , woh ghroor-e-fatah-o-nusrat 
Woh saroor-e-dard mandi , woh nishaat-e-dilbaraana 

Teray sang-e-gham ne tora meray sheesha-e-khudi ko 
Mera dil tha toba toba , keh khuda-e-be'zamana

Tor diye hain main ne ghar kay sabhi Aainay


Tor diye hain main ne ghar kay sabhi Aainay 

Pyar main haaray huye log mujh se dekhye nahin jaatay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...