Jun 28, 2014

Her shaam teri yaad main jalta huwa dekhon


Her shaam teri yaad main jalta huwa dekhon 

Kab tak dil-e-be'taab machalta hua dekhon 

Aanchal ki tarah tan se lipat jayon teray

Aur khud ko teri zaat main dhalta hua dekhon

Dil pe ik tarfa qayamat karna


Dil pe ik tarfa qayamat karna 
Muskuratay huwey rukhsat karna 

Achi aankhin jo mili hain us ko 
kuch to lazim hua wehshat karna

Jurm kis ka tha , saza kis ko mili 
Kiya gayi baat pe hujat karna 

Kon chahey ga tumhain meri tarah 
Ab na kisi se mohabbat karna 

Ghar ka darwaza khula rakhna hai 
Waqat mil jaye to zehmat karna

Teri tareef karta hai to is main kiya burai hai


Teri tareef karta hai to is main kiya burai hai 
Khuda ne apne hathon se teri surat banai hai 

Hazaron ki tarah sun le teri ruswai ky dar se 
Teri tasveer hum ne kitabon main chuppai hai 

Teri masoom surat ki yahi tareef hai sun le 
Zubaan pe hai yahi sab ky khudai hai khudai hai 

Marz yeh ishq ka aisa laga keh phir nahin choota 
Dua bhi hum ne ki dawa bhi azmaya hai

Raaz ki baatein likhi aur khat khula rehney diya


Raaz ki baatein likhi aur khat khula rehney diya
Jane kiyon ruswaeiyon ka silsila rehne diya

Umar bhar mere sath reh kar woh na samjha dil ki baat 
Do dilon ky darmiyaan ek fasla rehne diya 

Apni fitrat woh badal paya na is ky ba'wajood 
Khatam ki ranjish magar gila rehnay diya 

MAin samjhta tha khushi de gi mujhay sabir-e-fraib 
Is liye main ne ghamon se raabta rehne diya 

Toota hua sheesha jora nahin jata


Toota hua sheesha jora nahin jata 
Aankh se nikla hua ansoo phir wapis nahin ata 

Tum to keh kar bhool chukay ho sab kuch 
LAkin mujh se woh pal bhulaya nahin jata 

Teri mohabbat ne zanjeerain dali hain aisi 
Keh churrana bhi chahon to churraya nahin jata 

Mehfil main bhi mujh ko tanhain nazaat ati hai
Tere bin yeh dil kahin aur lagaya nahin jata 

Mere dil ki deewaron par sirf tera hi naam likha hai 
Mitana bhi chahon to mitaya nahin jata 

Saans rukney se pehlay ek jhalak dikha jana 
Be'wafa zindagi ka aitabaar kiya nahin jata 

Meri hasti main jo likha hai mitaaon kaisay


Meri hasti main jo likha hai mitaaon kaisay 
Ab tum hi batao keh tumhain bhulaon kaisay 

Log kehtay hain keh main jo hon woh tum hi to ho 
Tere honey ko main sab se chuppaon kaisay 

Jaagti aankhon se bhi dekhon to tera sapna dekhon 
Apni aankhon main kisi aur ky khwaab sajaon kaisay 

MAin jo chahon bhi to keh na paaon kuch bhi tum se 
Meri jo halat hai woh main tum ko samjhaon kaisay 

Hamain kho kar bhot pachtao gy


Hamain kho kar bhot pachtao gy
Jab hum nahin hon ge
Bhari duniya ko veeraan pao gy 
Jab hum nahin hon ge

Hazaron manzalein hon gi
Hazaron karwaan hon gy 
Nighaein hum ko dhoondain gi 
Na jane hum kahan hon gy 

Hamain apna nahin jana 
Tamana-e-gham tumhara hai 
Keh phir kis par sitam farmao gy 
Jab hum nahin hon gy 

Bhout asaan sahi 
Raah-e-wafa ki manzalein lakin 
Akelay kahan tak jao gy 
Jab hum nahin hon ge

Hamain kho kar bhot pachtao gy
Jab hum nahin hon ge
Bhari duniya ko veeraan pao gy 
Jab hum nahin hon ge
 

Raqas karney ka hukam jo mila dariyaon main


Raqas karney ka hukam jo mila dariyaon main 
Hum ne khush  ho kar bhanwar bandh liya paaon main 

Un ko bhi hai kisi bheegaye huwey manzar ki talaash 
Boondh tak bo na sake jo kabhi sehraon main 

Ay mere hamsafro tum bhi thakay haaray ho 
Dhoop ki tum to milawat na karo chaayon main 

Jo bhi ata hai batata hai naya koi ilaaj 
Batt na jaye tera bi'maar maseehaon main 

Hosla kis main hai yousaf ki kharidaari ka 
Ab to mehangai ky charchay  hain zulaikhaon  main

Woh khuda hai kisi toote huwey dil main ho ga 
Masjadon main ussay dhoondo na kalisaaon main

Hum ko aapas main mohabbat nahin karney detay 
Ik yahi aib hai is shaher ky danaaon main 

Mujh se kartay hain imran is liye kuch log hasad 
Kiyon main shaher main maqbool haseenaon main  

Raat bhi baarish toot ky barsi


Raat bhi baarish toot 

kay barsi 

Aik jaisi shiddat 

Thi 

Baahir bhi aur andar bhi

Yeh baarish khoobsurat hai


Yeh baarish khoobsurat hai 

Ik arsay baad 

Meri rooh main 

Sairaab hone ki tamana jaag uthi hai 

Magar badal ky rastay main 

Bhout se pairr atay hain 

Main pal bhar kay liye shadaab hoon 

Aur apni baaqi umar 

Phir sehra main kaaton 

Main apni pyaas pe raazi rahoon gi 

Meray ansoo meray dil ki kfalat ky liye kaafi hain

Ab ky baarish main


Ab ky baarish main 

Kuch aisa karna 

Apni hatheli par 

Qatron ko jamaa karna 

Jo jamaa ho jayein 

Woh sab teri chahat 

Aur jo reh jaye 

Woh sab meri chahat

Yeh na samjho keh hamain tum se mohabbat nahin


Yeh na samjho keh hamain tum se mohabbat nahin 

Hamain to aadat hai bas khamosh rehney ki

Churra kar hath narmi se yahi kehti hai mujh ko


Churra kar hath narmi se yahi kehti hai mujh ko 

Abhi tak ghair mehram hoon tumhari kuch nahin lagti

Kiya kashish thi us ki aankhon main mat poocho


Kiya kashish thi us ki aankhon main mat poocho 

Mujh se mera dil lar para mujhay woh shakhs chayea

Yeh dais hai andhay logon ka


Yeh dais hai andhay logon ka 

Ae chaand yahan na nikla kar

Ae zindagi ik baar tu nazeek aa keh tanha hoon main


Ae zindagi ik baar tu nazeek aa keh tanha hoon main 

Ya door se phir de mujhay koi sada tanha hoon main 

Duniya ki mehfil main kahin main hoon bhi shayed nahin 

Ik umar se isi soch main dooba hua tanha hoon main

Kushiyon ki yeh shaam aur yaadon ka yeh samaa


Kushiyon ki yeh shaam aur yaadon ka yeh samaa

Apni palkon pe hargiz sitaray na layein gay 

Rakhna sambhal ke chan khushiyaan mere liye

Main loat ayon ga to eid manaein gay

Sheeraza hayat parishaan ho gaya


Sheeraza hayat parishaan ho gaya 

Yeh marhala bhi khair se asaan ho gaya 

Meray sakoon-e-dil ko to hona hi tha tabbah 

Un ki bhi ik nigha ka nuqsaan ho gaya

Ban gayi dil ki majboori mulaqatein


Ban gayi dil ki majboori mulaqatein 

Ho gayi hain ab to zaroori mulaqatein 

Aankhon se kuch keh ky bichar jana 

Jaan le lein gi yeh adhoori mulaqatein

Tum to apney ho tumhain dil se nikalein kaisay



Tum to apney ho tumhain dil se nikalein kaisay 

Hum to dushman ko bhi be ghar hone nahin detay

Sabab rone ka woh poochain to itna kehna qasad


Sabab rone ka woh poochain to itna kehna qasad 

Mujhay hansana nahin ata , jahan par tum nahin hotay

Tumhain dil ky aainay main basa kay jaan-e-tamana


Tumhain dil ky aainay main basa kay jaan-e-tamana 

Hum kaisay kahin keh hamain koi aur acha lagay

Mera hamsafar jo ajeeb hai to ajeeb tar hon main aap bhi


Mera hamsafar jo ajeeb hai to ajeeb tar hon main aap bhi 

Ussay manzalon ki khabar nahin mujhay raaston ka pata nahin

Rakhtay hain jo auron kay liye pyaar ka jazba


Rakhtay hain jo auron kay liye pyaar ka jazba 

Woh log kabhi toot kar bikhra nahin kartay

Kis ne kaha unhain niqaab ne husan-e-shabab ko chupaya hai



Kis ne kaha unhain niqaab ne husan-e-shabab ko chupaya hai 

Utaar de us zaalim ko aaj us ne ik aur Aashiq barhaya hai

Kon kehta hai mujhay thais ka ehsaas nahin


Kon kehta hai mujhay thais ka ehsaas nahin 

Zindagi aik udaasi hai jo tum paas nahin 

Maang kar na peeon yeh meri khudari hai 

Is ka matlab yeh nahin keh mujhay pyaas nahin

Ae shang dil apna aqeeda to batata ja


Ae sang'dil apna aqeeda to bata'ta jaa

Tujhay mohabbat pe yaqeen nahin ya mujh pe

Woh kuch sunta to main kehta , mujhay kuch aur kehna tha


Mujhay kuch aur kehna tha 

Woh kuch sunta to main kehta , mujhay kuch aur kehna tha 

Woh pal bhar ko jo ruk jata mujhay kuch aur kehna tha 

Ghalat fehmi ne baton ko barha dala youn hi warna zahid 

KAha kuch tha woh kuch samjha , mujhay kuch aur kehna tha

Kisi se juda hona agar itna asaan hota faraz


Kisi se juda hona agar itna asaan hota faraz 

To jisam se rooh ko lenay kabhi farishtay nahin atay

Main ne poocha kaisay nikalti hai ik pal main jaan


Main ne poocha kaisay nikalti hai ik pal main jaan 

Us ne chalty chalty mera hath chor diya

Is dard ki duniya se guzar kiyon nahin jatay


Is dard ki duniya se guzar kiyon nahin jatay

Yeh log bhi kiya log hain mar kiyon nahin jatay

Hai kon zamaney main mera poochney wala

Nadaan hai jo kehtay hain keh ghar kiyon nahin jatay

Us ne poocha keh kiya pasand hai tumhain


Us ne poocha keh kiya pasand hai tumhain 

Main bhout dair tak ussay dekhta rha

Chup chaap sar-e-shaher wafa soch rahay ho


Chup chaap sar-e-shaher wafa soch rahay ho 

Lagta hai koi apni khata soch rahay ho 

Tum sochtay rehtay ho keh kiya dekh raha hoon main 

Main dekhta rehta hoon keh kiya soch rahay ho

Tu ghubaar-e-safar main khizaan ki sada


Tu ghubaar-e-safar main khizaan ki sada 

Tu samandar hai main sahilon ki hawa

Main ne saari khudai main tum ko chuna 

Tu samandar hai main sahilon ki hawa

Kuch baat hai tumhari baaton main


Kuch baat hai tumhari baaton main 

Jo baat yahan tak aa ponchi 

Hum dil se gaye , dil tum pe gaya 

Aur baat kahan tak ja ponchi

Us ko to bicharney ky dhang bhi nahin atay


Us ko to bicharney ky dhang bhi nahin atay

Mujh se door reh kar bhi qurbaton main rehta hai 

Aik aisay insaan se hum ko nisbatein hain jo 

Dosti nahin karta , doston main rehta hai

Main ne masoom baharon main tumhain dekha hai


Main ne masoom baharon main tumhain dekha hai 

Main ne pu'nam sitaron main tumhain dekha hai 

Mere mehboob teri parda'nasheeni ki qasam 

Main ne ashkon ki qataron main tumhain dekha hai

Meri ghaflaton ki bhi had nahin


Meri ghaflaton ki bhi had nahin 

Teri rehmaton ki bhi had nahin 

Na meri khata ka shumaar hai 

Na teri ata ka shumaar hai

Kabhi lafaz bhool jayon kabhi baat bhool jaon


Kabhi lafaz bhool jayon kabhi baat bhool jaon 

Tujhay is qadar chahon keh apni zaat bhool jaon 

Uth ky tere paas se jo main chal doon 

Jate huwey khud ko teray paas bhool jayon 

Ab ky hum bichray to shayed kabhi khwabon main milein


Ab ky hum bichray to shayed kabhi khwabon main milein 
Jis tarah sookhay huwey phool kitabon main milein

Dhoond ujray huwey logon main wafa ky moti 
Yeh khazaney tujhay mumkin hai khrabon main milein 

gham-e-duniya bhi gham-e-yaar main shamil kar lo 
Nasha barhta hai shrabain jo shrabon main milein 

Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa 
Dono insaan hain to kiyon itney hijaabon main milein 

Aaj hum daar pe kheenchay gaye jin baaton par 
Kiya ajab kal woh zamaney ko nisabon main milein 

Ab na woh main hoon na tu hai na woh mazi hai faraz 
Jaisay do saye tamana ky saraabon main milein 

Poet : Ahmed Faraz

Main her lamha zakhmi hua hoon


Main her lamha zakhmi hua hoon 

Tumharay rawiye se

Lakin 

Tum se tark-e-ta'aluq ki himmat nahin 

Kiyon keh 

Is sab ky ba'wajood mujhay tum se mohabbat hai 

Aur yeh isi mohabbat ka ijaaz hai 

Tumharay rawiye ki sard mehri 

Naizay ki unni ki manind 

Meray dil main khub gayi hai 

Lakin dil ab bhi tujhe chahata hai

Yeh chiraagh-e-be'nazar yeh sitara be'zubaan hai


Yeh chiraagh-e-be'nazar yeh sitara be'zubaan hai 
Abhi tujh se milta julta koi doosra kahan hai 

Kabhi paa ke tujh ko khona kabhi kho kar tujh ko pana 
Yeh janam janam ka rishta tere mere darmiyaan hai 

Mere sath chalne wale , tujhe kiya mila safar main 
Wohi dukh bhari zameen hai wohi gham ka asmaan hai 

Main isi gumaan main bara mutmaein raha hoon 
Tera jisam ba taghiyar , mera pyaar jaadwaan hai 

Inhi raaston ne jin par kabhi tum thay sath mere
Mujhay rok rok kar poocha tera hamsafar kahan hai

Koi umeed bar nahin ati


Koi umeed bar nahin ati 
Koi surat nazar nahin ati 

Mout ka ik din moeiyan hai 
Neend kiyon raat bhar nahin ati 

Agay ati thi haal-e-dil par hansi 
Ab kisi baat par nahin ati 

Hai kuch aisi hi baat keh chup hoon 
Warna kiya baat kar nahin ati 

Hoon wahan jahan se hum ko bhi
Kuch hamari khabar nahin ati 

Martay hain arzoo main marney ki 
Mout ati hai par nahin ati 

Kabhi kis munh se jayo gy faysal 
Shram tum ko magar nahin ati

Yeh na thi hamari qismat keh wisaal-e-yaar hota


Yeh na thi hamari qismat keh wisaal-e-yaar hota 
Agar aur jeetay rehtay yahi intizaar hota 

Tere wadon par jiye hum to yeh jaan jhoot jana 
Keh kushi se mar na jatay agar aitabaar hota 

Koi meray dil se poochay tere teer-e-naam'kash ko 
Yeh khalish kahan se hoti jo jigar ky paar hota 

Yeh kahan ki dosti hai keh banay hain dost maseeh 
Koi chraagh hota , koi ghamgusaar hota 

Rag-e-sang se tapka woh lahoo keh phir na thamta 
Jise gham samjh rahay ho yeh agar shraar hota 

Gham agarcha jaan ghulis hai par kahan be,chain keh dil hai 
Gham-e-ishq gar na hota gham-e-rozgaar hota 

Kahon kis main ke kiya hai shab-e-gham buri bala hai 
Mujhe kiya burra tha marna agar ik baar hota 

Huwey mar ke hum jo ruswa huwey kiyon na ghar-e-dariya 
Na kabhi janaza utha , na kahin mazaar hota 

Ussay kon dekh sakta keh yagaana hai woh yakta 
jo doee ki boo bhi hoti to kahin do chaar hota 

Yeh masail-e-tasawuff yeh tera biyaan "Imran"
Tujhe hum waali samjhtay , jo na baada-e-khwaar hota

Woh gaye to sath hi le gaye sabhi rang utaar ky shaher ka


Woh gaye to sath hi le gaye sabhi rang utaar ky shaher ka 
Koi shakhs tha mere shaher main kisi door paar ke shaher ky 

Chalo koi dil to udaas tha , chalo koi aankh to nam rahi
Chalo koi dar to khulla raha shab-e-intizaar ky shaher ka 

Yeh jo main ne taza ghazal kahi , so hai nazar ehal-e-firaaq ki 
Keh na mil saka koi nama bar mujhay mere yaar ky shaher ka 

So mataa-e-jaan ko liye huwey palat aye tere garifta dil 
Kaisay baichtay keh mila nahin koi aitabaar ke shaher ka 

Mere tarza-e-naghma srai se koi baagbaan bhi to khush nahin 
Yeh mera mizaaj hai kiya karoon keh hoon main bahaar ky shaher ka 

Kisi aur dais ki aur ko suna hai "Imran" chala gaya 
Sabhi dukh samit ky shaher ka sabhi qarz utaar ky shaher ka

Na'rawa kehiay , na'saza kehiay


Na'rawa kehiay , na'saza kehiay
kehiay kehiay mujhay bura kehiay

Dil main rakhney ki baat hai gham-e-ishq
Is ko hargiz na barmala kehiay

Aa gayi aap ko maseehai 
Marne walon ko marhaba kehiay

Hosh jatay rahay raqeebon ky 
Daagh ko aur be'wafa kehiay

Be'hunar rakha gaya , na moh'tabar rakha gaya


Be'hunar rakha gaya , na moh'tabar rakha gaya 
Shaher-e-bee'nai main mujh ko be'basar rakha gaya

Mere baaray main mere saray faisalay us ne kiyea
Aur mujhe un faisalon se be'khabar rakha gaya

Chaar soo apne utha li garchay deewar-e-ana 
Ek dar-e-imkaan magar kuch soch kar rakha gaya 

Phir hua aisa keh mujh ko dar'badar karne ky baad 
Naam usi basti ka mere naam pe rakha gaya 

Nighaon ky tasadam se ajab takraar karti hai


Nighaon ky tasadam se ajab takraar karti hai 
Yaqeen kamal nahin lakin gumaan hai pyaar karti hai 

Larz jata hoon main yeh soch ky kaafar na ho jaon 
Tabiyat us ki pooja pe bara israar karti hai 

Ussay maloom hai shayed mera dil hai nishanay pae 
Labon se kuch nahin kehti nazar se waar karti hai 

Main us se poochta hoon khwaab main , mujh se mohabbat hai 
Phir aankhain khol deta hoon woh jab izhaar karti hai

Woh her maqaam se pehlay , woh her maqaam ky baad


Woh her maqaam se pehlay , woh her maqaam ky baad 
Sehar thi shaam se pehlay sehar hai shaam ky baad 

Her inqalaab-e-mubarak her inqalaab-e-azaab 
Shakista jaan se pehlay , shakista jaan ky baad 

Mujh pe itni tawajo mujh se itn aguraiz
Mere salaam se pehlay mere salaam ky baad 

Chraag-e-bazam-e-sitam hain hamara haal na pooch 
Jale thay shaam se pehlay bhujhay hain shaam ky baad 

Yeh raat kuch bhi nahin thi yeh raat sab kuch hai 
Tallooh-e-jaam se pehlay talooh-e-jaam ky baad 

Wohi zubaan wohi baatein magar hai kina farq
Tumharay naam se pehlay tumharay naam ky baad 

Hayaat-e-giriya-e-shabnam hayat-e-raqas-e- sharar
Tere payaam se pehlay tere payaam ky baad 

Yeh tarz-e-fikar , yeh rang-e-sukhan kahan"Imran"
tere kalaam se pehlay tere kalaam ky baad 

Her shamma bhuji rafta rafta her khwaab luta dheeray dheeray


Her shamma bhuji rafta rafta her khwaab luta dheeray dheeray 
Sheesha na sahi pathar bhi na tha dil toot gaya dheeary dheeray

Baarison main marasam bantay hain lamhon main bhala kiya tootein gy 
Tum mujh se bicharna chahtay ho dewaar utha dheeray dheeray

Ehsaas hua barbaadi ka jab sare ghar  main dhool urri 
Ayi hai hamaray aangan main pat jhar ki hawa dheeray dheeray 

Dil kaisay jala kis waqat jala hum ko bhi pata aakhir main chala 
Phail hai dhuwaan chupky chupky sulagi hai chitta dheeray dheeray 

Woh hath praye ho bhi gaye ab door ka rishta hai "Imran"
Ati hai meri tanhai main kushboo-e-hina dheeray dheeray

Aablay poochtay hain paaon se


Aablay poochtay hain paaon se 
Kiya mile ga tumhain wafaon se 

In mundairon pe kuch chraagh bhi thay 
Kon poochay ga ab hawaon se 

Bastiyaan zair-e-abb ati gayin 
Hont jaltay rahay duaon se

Titliyaan kiyon safar main rehti hain 
Bachiyaan poochti hain maa'on se

Abar pawinday khaak lagat hai 
Rait girney lagi khyalon se

Bhook ki dhoop hum ko kha jati 
Bach gaye mehnaton ki chayoon se 

Dil ne hijrat qabool kar li thi 
Hoslay ho sake na paaon se

Roya karain gy aap bhi pehron isi tarah


Roya karain gy aap bhi pehron isi tarah 
Atka kahin jo aap ka dil bhi meri tarah 

Na taab hijar main hai na araam wasal main 
Kambakhat chain dil ko nahin hai kisi tarah 

Gar chup rahon to gham-e-hijraan choot jayein 
Kehtay to hain bhalay ki woh lakin burri tarah 

Lagti hai galiyaan bhi teri mujhe kiya bhali 
Qurbaan tere , phir mujhe keh le isi tarah 

Hoon jaan-ba-lab Butanay sitam gar ky hath se 
Kiya sab jahan main jeetay hain faysal sab isi tarh

Main ehwaal-e-dil mar gaya kehtay kehtay


Main ehwaal-e-dil mar gaya kehtay kehtay 
Thakay tum na bas, bas, suna kehtay kehtay 

Mujhe chup lagi muddaton kehtay kehtay 
Rukay hain woh jane kiya kehtay kehtay 

Zabaan gang hai ishq main goosh kar nahin 
Bura suntay suntay bhala kehtay kehtay 

Shab-e-hijar  main kiya hajoom-e-balaa hai 
Zubaan thak gayi mehrbaan kehtay kehtay 

Gila harza  gardi ka beja na tha kuch 
Woh kiyon muskuraye baja kehtay kehtay 

Sad afsoos jalti rahi wasal ki shab 
Zara tehar ae be'wafa kehtay kehtay 

Chale tum kahan main ne to dam liya tha 
Fasana dil-e-zaar ka kehtay kehtay 

Sitam haye ! Gardoon Mufasil na ponchay 
Keh sar phir gaya majra kehtay kehtay 

Nahin ya sanam Imran ab kuffar se kuch 
Keh khoo ho gayi hai sada kehtay kehtay

Talab ko ajar na doon , fikr-e-rah'guzar na karon


Talab ko ajar na doon , fikr-e-rah'guzar na karon 
Safar main ab keh hawa ko bhi hamsafar na karon 

Ubhartay doobtay suraj se tor loon rishta 
Main shaam orh kar so jaon aur sehar na karon 

Ab is se barh kar bhala kiya ho ehtiyaat-e-wafa
MAin tere shaher main guzron , tujhe khabaer na kron 

Yeh mere dard ki doulat , Meri mataa-e-firaaq
In aanso'on ki wazahat main umar bhar na karon 

Ujaar shab ki khalish ban kar ban main kho jaon 
Main chandani ki tarah khud ko dar'badar na karon 

Woh aik pal ko dekhai to de kahin"Imran"
Main jaan ganwa ky bhi us pal ko mukhtasir na karon 

Dar-e-nayaab ki tamseel hain us ki aankhain


Dar-e-nayaab ki tamseel hain us ki aankhain 
Aina hai to kabhi jheel hain us ki aankhain 

Khud main us shaks ki tasveer ba'zahir dekhon 
Meri aankhon main to tehveel hain us ki aankhain 

Ghar mumkin hai kisi tarah bhatak jaon main 
Raah-e-ehsaas main qandeel hain us ki aankhain 

Hum ne dekha hai samandar ki teh'on main ja kar 
Dar-e-irfaan ki zambeel hain us ki aankhain 

Jis ki tohjeeh  na kar pai ho kisi ne bhi"Imran"
Is mazmoon ki tafseel hain us ki aankhain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...