Kisi ka aasra lena , hamein acha nahin lagta
Gulon ka daal se girna , hamein acha nahin lagta
Hamein acha woh lagta hai keh jis ki malkiyat yeh ahin
Yeh baali , churiyan , kang'gana , hamein acha nahin lagta
Yeh kya keh be'sabab phirtay raho saahil pe shamon ko
Kisi se ulfatein karna , hamein acha nahin lagta
Hamein aksar teri nadaniyon se khouf aata hai
Tera logon se youn milna , hamein acha nahin lagta
Tumharay narm-o-nazuk se badan ko chu kay kiyon guzray
Hawa ka is tarah chalna , hamein acha nahin lagta
Hamaray saath rehna hai to hans kar seekh lo jeena
Meray humdam ! tera rona , , hamein acha nahin lagta
Agarcha hai bari na'yaab shay yeh khush mizaji bhi
Magar her baat par hansna , hamein acha nahin lagta
Faqat hasrat bharri is zindagi ka faida kya hai ?
Kabhi bhi phool ka khilna , hamein acha nahin lagta
Meri is kayfiyat ko jo bhi chaho naam de dalo
Magar tum se juda rehna , hamein acha nahin lagta
Meray ashaar main hotay hain teray husan kay jalway
Sar-e-mehfil ghazal kehna , hamein acha nahin lagta
Tumhari yaad hi aksar hamein majboor karti hai
Wagarna shairy karna , hamein acha nahin lagta