May 19, 2016

Aaj woh muddat baad aayi bhi bas yeh kehnay




Supurdagi 

Aaj woh muddat baad aayi bhi 
Bas yeh kehnay 
Jaana !
Meray saray khat lota do 
Sab tasveerein , qalam , kitabein 
Wapis kar do saray tohfay 
Mujh se sab kuch maangnay wali 
Jatay jatay 
Meray kamray ki chokhat par 
Chor gayi hai 
"Apna Aap "

Jab se teray khayal ka mousam hua hai dost


Jab se teray khayal ka mousam hua hai dost 
Duniya ki dhoop chaon se aagay nikal gaye 

Murr murr kay ab bhi khait sadaein diya kiye 
Ab kay bhi teray gaon se aagay nikal gaye 

Hum ko palat kay dekhna mushkil sa ho gaya 
Shayed teri sadaon se aagay nikal gaye

Main woh nanha bacha hoon


Marsiya 

Main woh nanha bacha hoon 
Bol nahin sakta hai jo 
Aur ik ujray station par 
Apni maan se bichar gaya hai 
Maan be'chari
Janay kab se 
Mujh ko chalti gaari main dhoond rahi hai 

Tamam shaher main ab to hai raaj kaanton ka




Tamam shaher main ab to hai raaj kaanton ka 
Mujhay qabool nahin yeh simaaj kaanton ka 

Chalo keh kuch to tasali hui meray dil ko 
Isi main khush hoon keh paya khiraaj kaanton ka 

Hamaray phool se chehron ko nochnay walo 
Kabhi to tum pe bhi utray anaaj kaanton ka 

Sambhal saktay nahin hum yeh gham ki jageerein 
Utaar leejiye sar se yeh taaj kaanton ka

Yeh aur baat keh gul ki tarah mehaktay rahay 
Wagarna rakhtay thay hum bhi mizaj kaanton ka 

Bhout ajeeb se lehjay main baat karta hai 
Hai aaj phool main kuch imtizaaj kaanton ka 


Jab tumhari aankh ho gehray samandar ki tarah


Jab tumhari aankh ho gehray samandar ki tarah 
Kiyon na lagta ho samandar deeda-e-tar ki tarah 

Is liye roshan kiya hai teray chehray ka chragh 
Do'pehar tareek hai meray muqaddar ki tarah 

Na'shanasa  jis ki dewarein hain dar bhi ajnabi 
Woh mila mujh ko hamesha ik naye ghar ki tarah

Andheri raat main rehtay to kitna acha tha




Andheri raat main rehtay to kitna acha tha 
Hum apni zaat main rehtay to kitna acha tha 

Dukhon ne baant liya hai tumharay baad hamein 
Tumharay haath main rehtay to kitna acha tha

Kal ajab saneha sa hua rait par




Kal ajab saneha sa hua rait par 
Naam tera nahin likh saka rait par

Kis ki awaz se tham gaye hain qadam 
Phir se kis ne mujhay di sada rait par 

Us ki aankhon se sholay nikaltay rahya 
Naachti reh gayi kal ghatta rait par 

Tu ne jo bhi hawa se kaha reh gaya 
Mitt gaya main ne jo bhi likha rait par 

Main tumhein choomna chahata hoon abhi 
Us ne mujh se yeh ik din kaha rait par 

Ab yeh sehra hi teray muqaddar main hain 
Tu ne mangi hi kiyon thi dua rait par 

Aik shola utha us jaga se wasi
Mera aansu jahan gir gaya rait par

Mujh ko maloom hai tum badal jao gay jaa kay pardes main






Mujh ko maloom hai tum badal jao gay jaa kay pardes main 
Chahaton ki hadon se niklo jao gay jaa kay pardes main 

Raakh ho jaye gi qurbaton main mehakti hui zindagi 
Hijar ki aag main tum pighal jao gay jaa kay pardes main 

Sab ko bhulo gay par apnay bachon ki jab tum ko yaad aaye gi 
Khud bhi bachon ki surat machal jao gay jaa kay pardes main 

Apni pehchan ko khawaishon kay samandar main gar kho diya
Dastano main phir tum bhi dhal jao gay jaa kay pardes main 

Ain mumkin hai jab tum wahan jao to aur barh jayein dukh 
Kis ne tum se kaha hai behal jao gay jaa kay pardes main 

Yeh bata doon tumhein sardiyan aag barsa'ein gi us jaga 
Soch lo ab bhi tum warna jal jao gay jaa kay pardes main 

Tum pe youn haath dalein gi tanhaiyan aik waqat aaye ga 
Koi aahat bhi hi gi dehal jao gay jaa kay pardes main 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...