Hum jaisay awara dil
Udaas ho gaya safar
Khuli hui kali bhi ro pari ab khisaar-e-gham
Fishaar-e-gham bata gaya
Khayal khaam zindagi
Yeh subha subha mout si
Yeh shaam zindagi
Nafs nafs keh zer baar aa gaya firaaq main
Zara chalay to ghubar aa gaya firaq main
Keh jaisay man'chala shikaar aa gaya
Machal kay phir farain ishtiaq main
Yeh jaal jaal zindagi
Kahin sakoot-e-zindagi , kahin malaal-e-zindagi
Wisaal bhi karra azaab de gaya zawal main
Her ik chaal raigaan gayi meray kamaal ki
Kisi kay saye se lipat Kisi satoon se chimat
Kisi mohafiz se palat
Yeh baam baam zindagi
Khud aagahi ka shouq bhi hai
Dhiyaan main racha hua
To be'hissi ka ranj bhi
Naseeb main basa hua
Agar kabhi zara si be;khudi kisi faraar se
Udhaar le kay aa gaye
To dar gaye
Laga keh jaisay mar gaye
Sabu kahin to peenay walay lab kahin pe dhar gaye
Yeh khouf khouf rooh main
Yeh be'basi yeh be'basi
Yeh ashk ashk may'kashi
Yeh jaam jaam zindagi
That'thak gaya saman
Khamoshiyan khamoshiyan
Kisi kay rukh par aik pal bhi tak'taki na jam saki
Baras gayi jo chasham-e-dil
To dil se bhi na tham saki
Shab-e-pannah aah main na janay kab badal gayi
Dhuwan dhuwan
Kuwan kuwan
Her aik seena-e-fagaar ki pukaar sokhta
Shakista cheekh bismal-e-zaeef ki jaga jaga
Sahaab-e-jaan
Hijaab-e-mann
Kitab-e-dil
Shabaab se saraab tak
Yeh khawab khawab zindagi
Nazar nazar safar safar
Gali gali safar safar
Nagar nagar safar safar
Thakay to aap ro paray
Jo gir paray to aasman ki taraf nigah uthi
Woh door door tak khalaa
Khamosh aasman keh jaisay is pe rehnay walay log shaher hi badal gaye
Agarcha kuch hi dair baad muz'mahil sambhal gaya
Magar woh kiya keh pehlu-e-hisaab Aitamaad main
Koi nishaan pighal gaya
Yaqeen ki kainaat se koi jahan nikal gaya
Kabhi yaqeen zindagi kabhi gumaan zindagi
Subak subak hawa-e-subha
Madhur madhur sada-e-shab
Cha'nan cha'nan rawa-e-dil
Hawa hawa khayal sab
Juda juda malaal sab
Khuda Khuda sawal sab
Kabhi to shah zindagi , kabhi ghulam zindagi
Yeh subha subha mout si yeh shaam shaam zindagi
Yeh shaam shaam zindagi
Yeh shaam shaam zindagi