Oct 27, 2014

Baraey naam hi sahi koi meharbaan to hai

Baraey naam hi sahi koi meharbaan to hai 
Hamaray sar pe bhi honay ko aasmaan to hai 

Teri faraakh dili ko duaein deta hoon 
Meray labon pe teray lams ka nishaan to hai 

Yeh aur baat kh woh ab yahaan nahin rehta 
Magar yeh us ka basaya hua makaan to hai 

ilaawa is kay na kuch aur parda rakh mujh se 
Faseel-e-jisam meray teray darmiyaan to hai 

Bichar kar zinda nahin reh sakain gay hum dono
Mujhay yeh weham to hai us ko yeh gumaan to hai 

Saron pe saya figan abar-e-arzoo na sahi 
Hamaray paas saraabon ka sayabaan to hai 

Kaisay bhool gaya woh guzray huye din

Kaisay bhool gaya woh guzray huye din 
Lagta nahin tha us ka dil meray bin 

Dooston se kaha karta tha woh bhi 
Kiya yeh bhi jee sakta hai meray bin 

Mazaaq ban jaya karta tha jo dooston main 
Khud ko tanha samjhta tha  woh meray bin 

Issay had-e-dewaangi kahoon ya pagal pan 
Tasawaur main woh baatain kiya karta tha meray bin 

Woh mousamon kay badalnay se darta nahin tha lakin 
Bahaar main murjhaya karta tha meray bin 

Ab aas toot gayi us kay aanay ki 
Lagta hai jeena seekh chuka hai meray bin 

Aik aas lagana chahta hoon

Aik aas lagana chahta hoon 
Teray dar pe aana chahta hoon 

Kuch nazar-e-karam ho hum par agar 
Hum sar ko jhukaana chahatay hain 

Kiya do gay hamain saari khushiyaan 
Hum daaman ko phailaana chahaty hain 

Teray kanday pe sar rakh kay hum 
Gham apnay sunaana chahtay hain 

Tum kiya chaho gay hum se kaho ?
Hum khud ko mitaana chahtay hain 

Aik dewaana yeh kehtay huye hansta jaata

Aik dewaana yeh kehtay huye hansta jaata 
Kaash manzil se bhi aagay koi rasta jaata 

Aye meray abr-e-guraizaan meri aankho ki tarah 
Gar barasna hi tujhay tha to barasta jaata 

Aaj tak yaad hai izhaar-e-mohabbat ka woh pal
Keh meri baat ki luknat pe woh hansta jaata

Itnay mehdood karam to taghaful behtar 
Gar tarsaana hi mujhay tha to tarasta jaata

Aaj phir tum pe pyaar aya hai

Aaj phir tum pe pyaar aya hai 
Aaj phir tum pe pyaar aya hai 
Be'had aur be'shumaar aya hai 

Tootay to tootay teri baanhon main aisay 
Jaisay shaakhon se pattay be'haya 
Bikhray tujhi se aur simtay tujhi main 
Tu hi mera sab lay gay a
Na fikar , na sharam , na lihaaj , ek baar aya 

Phir zarray zarray main dedaar aya hai 
Phir zarray zarray main dedaar aya hai 

Aaj phir tum pe pyaar aya hai 
Aaj phir tum pe pyaar aya hai 
Be'had aur be'shumaar aya hai 

Tu hi meri awargi 
Tu hi dua her shaam ki 
Tu khamukha , tu lazmi 
Tu hi razaa , tu hi kami 
Aur tu hi woh , firaaq hai jis ko 
Hai silsalon ne meray paas laya 

Haathon pe teray izhaar aya 
Haathon pe teray izhaar aya 
Be'had aur be'shumaar aya hai

Aaj phir tum pe pyaar aya hai 
Aaj phir tum pe pyaar aya hai 
Be'had aur be'shumaar aya hai 

Mohabbat barsa dena tu , sawan aya hai

Mohabbat barsa dena tu , sawan aya hai 
Teray aur milnay ka , mousam aya hai 
Mohabbat barsa dena tu , sawan aya hai 
Teray aur milnay ka mousam aya hai 

Sab se chupa kay tujhay seenay se lagana hai 
Pyar main teray had se guzar jaana hai 
Itna pyaar kisi pe , pehli baar aya hai 

Mohabbat barsa dena tu , sawan aya hai 
Teray aur milnay ka , mousam aya hai 

Kiyon ik pal ki bhi judai sahi jaye na 
Kiyon her subha tu meri saanson main samaye na 
Aja na tu meray paas , doon ga itna pyaar main 
Kitni raat guzaari hai , teray intizaar main 

Kaisay bataaon jazbaat yeh meray 
Main ne khud se bhi ziada tujhay chaha hai 
Sab kuch chor kay aana tu , sawan aya hai 
teray aur meray milnay ka mousam aya hai 

Sab se chupa kay tujhay seenay se lagana hai 
Pyar main teray had se guzar jaana hai 
Itna pyaar kisi pe , pehli baar aya hai 

Bheegay bheegay teray lab 
Mujh ko kuch kehtay hain 
Dil hai khush mera keh khyaal aik jaisay hain 
Roko na ab khud ko youn sun lo dil ki baat ko 
Dhal janay do shaam aur aa janay do raat ko 
Kitna haseen yeh lamha hai 
Qismat se main ne churaya hai 

Aaj ki raat na jana tu , sawan aya hai 
Teray aur meray milnay ka , mousam aya hai 

Sab se chupa kay tujhay seenay se lagana hai 
Pyar main teray had se guzar jaana hai 
Itna pyaar kisi pe , pehli baar aya hai 

Zaroori tha by Rahat Fateh Ali Khan

Lafz kitnay hi teray pairon se liptay hon gay 
Tu ne jo aakhri khat mera jalaya ho ga 
Tu ne jab phool kitaabon main se nikaalay hon gay 
Denay wala bhi jab tujhay yaad to aya ho ga 

Teri aankhon kay dariya ka 
Utarna bhi zaroori tha 
Mohabbat bhi zaroori thi 
Bicharna bhi zaroori tha 
Zaroori tha keh 
Hum dono tawaaf-e-aarzoo kartay 
Magar phir aarzo'on ka 
Bikharna bhi zaroori tha 
Teri aankhon kay dariya ka 
Utarna bhi zaroori tha 

Bataayo yaad hai tum ko 
Woh jab dil ko churaya tha 
Churaai cheez ko tum ne 
Khuda ka ghar banaya tha 
Woh jab kehti thi 
Mera naam tum tasbeeh main parhti ho 
Mohabbat ki nazmon ko 
Qara karnay se darti ho 
Magar ab yaad aata hai 
Woh baatain thi mehaz baatain 
Kahin baaton hi baaton main 
Mukarna bhi zaroori tha 
Teri aankhon kay dariya ka 
Utarna bhi zaroori tha 

Wohi hain soortain apni 
Wohi main hoon , wohi tum ho 
Magar khoya hoon main 
Magar tum bhi kahin gum ho 
Mohabbat main dagaha ki thi 
So kaafir thi so kaafir hain 
Mili hain manzalain phir bhi 
Musaafir thay nusaafir hain 
 Teray dil kay nikaalay hum 
Kahaan bhatkay kahaan ponchay 
Magar bhatkay to yaad aya 
Bhatkana bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi 
Bicharna bhi zaroori tha
Zaroori tha keh 
Hum dono tawaaf-e-aarzoo kartay 
Magar phir aarzo'on ka 
Bikharna bhi zaroori tha 
Teri aankhon kay dariya ka 
Utarna bhi zaroori tha 

Teri aankhon kay dariya ka utarna bhi zaroori tha

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...