Dec 31, 2016

Woh jo apnay makaan chor gaye


Woh jo apnay makaan chor gaye 
Kaisay duniya jahan chor gaye 

Ae zameen-e-wisaal log teray 
Hijar ka aasmaan chor gaye 

Teray koochay kay rukhsati jaana 
Sari duniya ka dhiyaan chor gaye 

Roz-e-maidaan woh teray teer andaaz
Teer lay kar kamaan chor gaye 

"Jon" laalich main aan baan ki yaar 
Apni sab aan baan chor gaye 


Jab teri khawaish kay badal chatt gaye


Jab teri khawaish kay badal chatt gaye 
Hum bhi apnay saamnay se hatt gaye 

Rang-e-sar'shari ki thi jin se rasad 
Dil ki in faslon kay jungle katt gaye

Ik charaghan hai hawas main dair main 
Jashan us ka hai dil-o-jaan batt gaye 

Shaher-e-dil aur shaher-e-duniya alwida
Hum to dono taraf se hi katt gaye 

Ho gaya sakta khird mandon ko jab 
Maat khaatay hi dewanay datt gaye 

Chand suraj kay alam aur wapsi 
Woh hua maatam kay seenay phatt gaye 


Main dil ki sharaab pee raha hoon


Main dil ki sharaab pee raha hoon 
Pehlu ka azaab pee raha hoon 

Main apnay kharaba-e-ibas main 
Be'tarah khawaab pee raha hoon 

Hai mera hisaab-e-be'hisaabi 
Dariya main saraab pee raha hoon 

Hain sokhta meray chasham-o-maz'da'gaan
Main shola-e-khawaab pee raha hoon 

Daanton main hai meray sheh'rag-o-jaan
Main khoon-e-shabaab pee raha hoon 

Main apnay jiger ka khoon kar kay 
Aye yaar shataab pee raha hoon 

Main shola-e-lab se kar kay siyaal 
Ta'oos-o-rubaab pee raha hoon 

Woh lab hain bala kay zehar Agahein 
Main jin ka la'aab pee raha hoon   

Woh ehal-e-haal jo khud raftagi main aaye thay


Woh ehal-e-haal jo khud raftagi main aaye thay 
Bala ki haalat-e-shoredagi main aaye thay 

Kahan gaye kabhi in ki khabar to lay zaalim 
Woh be'khabar jo tairagi main aaye thay 

Gali main apni gila kar hamaray aanay ka 
Keh hum khushi main nahin sar khushi main aaye thay 

Kahan chalay gaye Ae fasal-e-rang-o-bu woh log 
Jo zard zard thay aur sabzagi main aaye thay 

Nahin hai jin kay sabab apni jaan'bari mumkin 
Woh zakham hum ko guzishta sadi main aaye thay 

Tumhein hamari kami ka khayal kiyon aata 
Hazaar heef hum apni kami main aaye thay 

Koi bhi kiyon mujh se sharminda hua


Koi bhi kiyon mujh se sharminda hua 
Main hoon apnay tor ka haara hua 

Dil main hai meray kai chehron ki yaad 
Jaan'iye main kis se hoon rootha hua 

Shaher main aaya hoon apnay , aaj shaam 
Ik sara'aye main hoon main thehra hua 

Be'taluq hoon ab apnay dil se bhi 
Main ajeeb aalam main be'duniya hua 

Hai ajab ik tairagi dar tairagi 
Keh'kisha'on main hoon main lipta hua 

Maal bazar-e-zameen ka tha main "Jon"
Aasmano main mera soda hua 

Ab hai mera karb-e-zaat Aasaan bhout 
Ab to main us ko bhi hoon bhula hua  

Kar liya khud ko ja tanha main ne


Kar liya khud ko ja tanha main ne 
Yeh hunar kis ko dikhaya main ne 

Woh jo tha us ko mila kya mujh se
Us ko to khawab hi samjha main ne 

Dil jalana koi haasil to na tha 
Aakhir kaar kya kiya main ne 

Daikh kar us ko hua mast aisa 
Phir kabhi us ko na daikha main ne 

Shouq-e-manzil tha bulata mujh ko 
Raasta tak nahin dhoonda main ne 

Ik palak tujh se guzar kar , ta umar 
Khud tera waqat guzara main ne 

Ab kharra soch raha hoon logo !
Kiyon kiya tum ko ikhat'tha main ne 

Khawab kay rang dil-o-jaan main saja'ye bhi gaye


Khawab kay rang dil-o-jaan main saja'ye bhi gaye 
Phir wohi rang ba sad tor jala'ye bhi gaye 

In hi shehron ko shatabi se lapeta bhi gaya 
Jo ajab shouq-e-farakhi se bichaye bhi gaye 

Bazam-e-shokhi ka kisi ki , kahein kya haal-e-jahan 
Dil jalaye bhi gaye aur bichaye bhi gaye 

Pushat matti se lagi jis main hamari logo !
Ussi dangal main hamein da'o sikhaye bhi gaye 

Yaad-e-ayaam keh ik mehfil-e-jaan thi keh jahan 
Haath kheenchay bhi gaye aur milaye bhi gaye 

Hum keh jis shaher main thay sog nasheen-e-ehwaal 
Roz us shaher main hum dhoom machaye bhi gaye 

Yaad mat rakhiyo ru-daad hamari har'giz
Hum thay woh taaj mehal "Jon" jo dhaaye bhi gaye 


Dil jo ik jaye thi duniya hui abaad us main


Dil jo ik jaye thi duniya hui abaad us main 
Pehlay suntay thay keh rehti thi koi yaad is main 

Woh jo tha apna gumaan aaj bhout yaad aaya 
Thi ajab rahat-e-azadi ijaad is main 

Aik hi to woh mo'him thi jissay sar karna tha 
Mujhay haasil na kisi ki hui imdaad is main 

Aik khushbu main rahi mujh ko talash-e-khad-o-khaal 
Rang faslein meri yaaro hui'ein bar'baad is main 

Baagh-e-jaan se tu kabhi raat gaye guzra hai 
Kehtay hain raat main khel'ein hain pari zaad is main 

Dil mohallay main ajab aik qafas tha yaaro 
Said ko chor kay rehnay laga siyaad is main 

Ghar se hum ghar tak gaye hon gay


Ghar se hum ghar tak gaye hon gay 
Apnay hi aap tak gaye hon gay 

Hum jo ab aadmi hain , pehlay kabhi 
Jaam hon gay chalak gaye hon gay 

Woh bhi ab hum se thak gaya ho ga 
Hum bhi ab us se thak gaye hon gay

Shab jo hum se hua muaaf karo 
Nahin pee thi behak gaye hon gay 

Kitnay hi log hirs-e-shohrat main 
Daar par khud latak gaye hon gay

Hum to apni talaash main aksar 
Az samaa tak simak gaye hon gay 

"Jon" Allah aur yeh aalam 
Beech main hum atak gaye hon gay 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...