Apr 8, 2015

Woh log bhout kush qismat thay


Woh log bhout kush qismat thay 

Jo ishq ko kaam samjhtay thay 

Ya kaam se aashiqui kartay thay 

Hum jeetay jee masroof rahay 

Kuch ishq kiya kuch kaam kiya 

Kaam ishq ky aaray ata raha

Aur ishq se kaam uljhta raha 

Phir aakhir tang aa kar hum ne 

Dono ko adhoora chor dia

Tanhaiyon ka dard liye meray dil kay sath


Tanhaiyon ka dard liye meray dil kay sath

Shab bhar teray khayal main jalti hai zindagi

Is raat ki udasiyon se poocho hamaray dil ki halat


Is raat ki udasiyon se poocho hamaray dil ki halat 

Jab tumhari yaad aati hai andheray aur bhi gehray ho jaatay hain

Kahin umeed si hai dil kay nihaan khanay main


Kahin umeed si hai dil kay nihaan khanay main
Abhi kuch waqat lagay ga ussay samjhanay main

Mousam-e-gul ho keh patt jhar ho bala se apni
Hum keh shamil hain na khilnay main na murjhanay main

Hum se makhfi nahin kuch rah guzar shouq ka haal
Hum ne ik umar guzaari hai hawa kahnay main

Hai youn hi ghoomtay rehnay ka maza hi kuch aur
Aisi lazzat na poochnay main na reh janay main 

Naye dewano ko dekhein to khushi hoti hai 
Hum bhi aisay hi thay jab aaye thay veerani main 

Mousam ka koi mehram ho to uss se poocho 
Kitnay patt jhar abhi baaqi hain bahaar aanay main 

Kis khawab ki yeh hum ko tabeer nazar aayi


Kis khawab ki yeh hum ko tabeer nazar aayi 
Zindaan nazar aaya , zanjeer nazar aayi 

Sab apnay azabon main sab apnay hisabon main 
Duniya yeh qayamat ki tasveer nazar aayi 

Kuch dekhtay rehnay se , kuch sochtay rehnay se
Ek shakhs main duniya ki taqdeer nazar aayi 

Jalta tha main Aagon main rota tha main khawabon main 
Tab harf main yeh apni tasveer nazar aayi 

Darbaar main haazir hain phir ehal-o-qalam apnay 
Kya harf-e-biyaan main hai taseer , nazar aayi 

Ek khawab kay aalam main dekha keh hum dono 
Lo shamma ki shab hum ko shamsheer nazr aayi 

Un zameeno main woh kaam kiye hum ne 
Phir un ki zameen apni jageer nazar aayi

Mohabbaton pe bhout itamaad kiya karna


Mohabbaton pe bhout itamaad kiya karna 
Bhula chukay hain ussay phir se yaad kya karna 

Woh be'wafa hi sahi uss pe tohmatein kaisi 
Zara si baat pe itna fasaad kya karna 

Mukhalifon se to mumkin hai dosti apni 
Munafiqon se magar itihaad kya karna 

Nigah main jo utarta hai dil se kiyon utray 
Dil-o-nigah main paida tazaad kya karna 

Main is liye ussay ab tak na choo saka Mohsin 
Woh aaina hai ussay sang-zaad kya karna

Ik bheegi shaam kay saaye main chupkay se agar tum aayo


Ik bheegi shaam kay saaye main 
Chupkay se agar tum aayo 
Yeh shaam sohaani ho jaye 
Rangeen kahani ho jaye
Woh baat jo hum na keh paye 
Aankhon ki zubani ho jaye 
Koi pyaar ki baatein tum chero 
Koi pyaar ki baat sunaein hum 
Phir pyaar karain youn hum dono 
Yeh raat sohaani ho jaye 
Main baithon teray pehlu main 
Kuch dil ki baatein ho jayein 
Tum ungliyan phairo baalon main 
Hum meethi neend so jayein 
Aik bheegi shaam kay saaye main 
Chupkay se agar tum aa jaao

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...