Jul 1, 2014

Pyaar ki arzoo thi jo mujhe mil na saka


Pyaar ki arzoo thi jo mujhe mil na saka
Dil main woh phool sajaya jo kabhi khil na saka

BAsi hai ik hi moorat mere dil main 
Khoya jo ussay phir waisa koi kabhi mil na saka

Chupaya hai tujhe palkon main khwaab ki tarah 
Meri aankhon ke samandar ko kinara mil na saka

Dil ke raastay main koi is tarah se na bhatkay 
Keh dil doobta hi chala gaya koi sahara mil na saka

Teri chahat main jane kitni door nikal gaya hoon main 
Par meri kismat ik pal ko bhi to mere sath chal na saka

HAi yeh meri dua keh sada abaad raho tum 
Mile her woh sukh tumhain jo mujhe kabhi mil na saka

Daagh duniya ne diya zakham zamane se mile


Daagh duniya ne diya zakham zamane se mile

Hum ko yeh tohfay tumhain dost bananay se mile

Hum tarastay hi tarastay hi tarastay hi rahe

Woh falaane se falaane se falaane se mile

Khud se mil jatay to chahhat ka bharam reh jata 

Kiya mile aap jo logon ke milaaney se mile 

Kaisay maan'ain  keh unhain bhool gaya tu ae dil 

Un ky khat aaj hum'main  tere sirhaaney se mile

Yeh jo dewaane se do chaar nazar atay hain


Yeh jo dewaane se do chaar nazar atay hain 
In main kuch sahib-e-israar nazar atay hain 

Tere mehfil ka bharam rakhtay hain so jate hain 
Warna yeh log to baidaar nazar atay hain 

Door tak koi sitara hai na koi jugnoo
Marg-e-umeed ke asaar nazar atay hain 

Mere daaman main shraron ke siwa kuch bhi nahin 
Aap phoolon ky khridaar nazar atya hain 

Kal jise choo nahin sakti thi farishton ki nazar 
Aaj woh ronaq-e-bazaar nazar atay hain 

Hashar main kon gawahi meri de ga sagar
Sab tumharay hi taraf'daar nazar atya hain 

Zindagi par kitaab likhon ga


Zindagi par kitaab likhon ga
Us main sare hisaab likhon ga

Pyaar ko waqat guzaari likh kar 
Chahaton k azaab likhon ga 

Hui barbaad mohabbat kaisay 
Kaisay bikhray hain khwaab likhon ga 

Apni khwaish ka tazkara kar ky 
Us ka chahra gulaab likhon ga 

Main us se judai ka sabab 
Apni qismat khraab likhon ga 

Main bhi kabhi zindagi par kitaab likhon ga 
Apni qismat khraab likhon ga 
 

Mere hamsafar mere ham'nasheen


Mere hamsafar mere ham'nasheen 
MAin ne rab se manga to kuch nahin 
Main ne jab bhi maangi koi dua 
Nahin maanga kuch bhi tere siwa
Yeh talab kiya keh mere khuda 
Sabhi rahatein 
Sabhi chahatein
Woh ata kare tujhe manzilein 
Yeh talab kiya keh mere khuda 
Tujhe bakhat de
tujhe taaj de
Tujhe takht de 
Mere ham safar 
Mere chara'gar 
Yeh hai dosti ka kahin safar 
Mere sath chalna zara soch kar 
Zara dekh to mera hosla 
Mere paas jo bhi woh hai tera
Nahin aur kuch bhi tere siwa
Mero dosti 
Meri zindagi 
Mer khamoshi 
Meri be'basi
Mera ilm bhi 
Mera naam bhi
Keh meri subha 
Meri shaam bhi 
Keh jo mil sakein mere daam bhi 
Woh sabhi kuch tujhe ata kare 
Mere chara gar tu yaqeen to kar 
Mujhe mangana to na aa saka 
Main ne phir bhi maangi yahi dua
Keh gawahi de ga mera khuda
Main ne jab bhi us se talab kiya 
Nahin mangana kuch bhi tere siwa
 

Khaak mutthi main liye qabar ki yeh sochta hoon


Khaak mutthi main liye qabar ki yeh sochta hoon 

Insaan jo martay hain to ghroor kahan jata hai

Agar raasta badalna ho to kuch mushkil nahin


Agar raasta badalna ho to kuch mushkil nahin 

Bara sada sa jumla hai sitaray mil nahin saktay 

Dastaan khatam hone wali hai


Dastaan khatam hone wali hai 

Tum meri aakhri mohabbat ho

I love you more than you can imagine


I love you more than you can imagine
When i see your eyes It brighten up my day 
I love you more then words can ever tell 
Even more then what i am about to say 

I don't remember the last time i felt like this 
You make me feel the real me 
Tou don't know how happy it makes me 
When i can share things with you , comfortably 

I love the way you smile 
I love the way you make me laugh
And you give me hope 
When things get a little sad

All of yours hugs makes me feel free 
From all the drama and trouble that life brings my way
If i would have one wish and one wish only 
I wish for this love to be here to stay

Un se nahin mila kar dekho


Un se nahin mila kar dekho 
Yeh dhoka kha kar dekho 

Doori main kiya bhaid chupa hai 
Is ki khoj laga kar dekho 

Kisi akeli shaam ki chup main
Geet puraane gaa kar dekho 

Aaj ki raat bhout kaali hai 
Soch ky deep jala kar dekho 

Jaag jaag kar umar kaati hai 
Neend ki dewaar hila kar dekho

Mujhe kaamil yaqeen hai tum meri ho jao gi ik din


Mujhe kaamil yaqeen hai tum meri ho jao gi ik din 

Tumhare dil main utron ga , mohabbat ki sada ban kar 

Mere josh-e-junoon par saari khalqat mujh ko takti hai 

Zara tum bhi nazar dalo , na baitho youn khuda ban kar 

Tumhain yeh raaz batlaa doon ' keh aksar chaand raaton main 

Tere aangan main ata hoon sitaron ki zia ban kar 

Jigar ka khoon laya hoon teray singhaar ki khatar 

Hatheli par racha lena yeh mehkay ga hina ban kar 
 

Hijar ki shab nala-e-dil woh sadaa denay lagay


Hijar ki shab nala-e-dil woh sadaa denay lagay
Sun'nanay wale raat katney ki dua denay lagay 

Kis nazar se aap ne dekha dil-e-majrooh ko 
Zakham jo kuch bhar chalay thay phir hawa denay lagay 

juz zameen koo-e-janaa kuch nahin paish-e-nigah
Jis ka darwaza nazar aya sadaa denay lagay

Baagh'ban ne jab aag di gulshan ko mere 
Jis pe takiya tha wohi pattay hawa denay lagay

Muthiyon main khaak le kar dost Aye waqat-e-dafan 
Zindagi bhar ki mohabbat ka sila denay lagay 

Aaina ho jaye mera ishq un kay hussan ka 
Kiya maza hi dard agar khud hi dawa denay lagay

Woh jo hum main tum main qaraar tha tumhain yaad ho keh na yad ho


Woh jo hum main tum main qaraar tha tumhain yaad ho keh na yad ho 
Wohi wada yehni nibah ka tumhain yaad ho keh na yaad ho

Woh jo lutf mujh pe thay Paish'tar woh karam keh tha mere haal par 
Mujhe sab hai yaad zara zara tumhain yaad ho keh na yaad ho

Kabhi baithay sab main  jo ru'baru to ishaaron hi se guftagoo
Woh biyaan shouq ka bar'mala tumhain yaad ho keh na yaad ho

Woh naye gilay woh shikayatein woh mazay mazay ki hikayatein 
Woh her ik baat pe roothna tumhain yaad ho keh na yaad ho

Kabhi hum main tum main bhi chah thi kabhi hum se tum ko bhi raah thi 
KAbhi hum bhi tum bhi thay Aashna tumhain yaad ho keh na yaad ho

Woh bigarna wasal ki raat ka woh na man'nana kisi bhi baat ka 
Woh nahin nahin ki her aan ada tumhain yaad ho keh na yaad ho

So zikar hai kai saal ka Kiya ik aap ne wada tha 
So nibhaney ka to zikar kiya tumhain yaad ho keh na yaad ho

Jisay aap gintay thay aashna jissay aap kehtay thay be'wafa 
Main wohi hoon momin mubtala tumhain yaad ho keh na yaad ho 

Paani paani kar gayi mujh ko qalandar ki yeh baat


Paani paani kar gayi mujh ko qalandar ki yeh baat 

Tu agar mera nahin banta na ban apna to ban

Hawa se baat karney do


Hawa se baat karney do 
Hamain us se gila hai jo 

Ussay bhi to batana hai 
Kabhi aa kar kaiwaron ko bajati hai 
Hamain sote huwey aksar jagati hai 
KAbhi pardes se sandesa laati hai, keh koi aney wala hai 
MAgar ata nahin koi 
Yeh palkon pe laraztay sab chiraagon ko bhujati hai
Kabhi yeh bansuri ke sur jagati hai 
KAbhi yeh dharkan ki taal main rach bas si jaati hai
Purane kushk paton ko girati hai
Parindon ko urrati hai , unhain be'ghar banati hai
Hawa se baat karney do
Samandar ke yeh seenay par 
Utar ke kashtiyaan dekho chalati hai
Yeh chaaron aur kaisay ati jati hai 
Yeh kaisay saahilon ki rait ko dheeray se choo kar 
Nit naye chaheray banati hai 
Phir un ko khud mita'ti hai
Yeh kaisay badalon ko par bina urna sikhati hai
Phir un se le ke boondain 
Aa ke dharti ko sajati hai
Nafas ke taar main kaisay utar k muskuraati hai
Yeh kaisay gun'gunaati hai
Yeh kaisay chalti hai aur kis tarah se tham si jati hai
Hawa se baat karney do

Barishon ka mousam hai

Barishon ka mousam hai 

Rooh ki fizaon main 
Gham'zada hawaein hain 
Be'bas udasi hai 
Is ajeeb mousam main 
Be'qaraar raaton ki 
Be'shumaar baatein hain 
An'ginat afsaney 
Hein jo bhout khamoshi se 
Dil pe sehtay phirtay hain 
Aur ba amr-e-majboori 
Sab se kehtay phirtay hain 
Aaj mousam acha hai

Jo roothe use mana lena

Jo roothe use mana lena 
Jo bigre use bana lena 
Sab kuch de ky sab kuch paa lena 
Yeh jo hasti ka afsana hai 
JAb ishq kiya to jana hai 

Tum door raho ya paas raho 
Hum chahte hain kush baas raho 
Youn hi ban ky hamari aas raho 
Kiyon kho kar hi kuch pana hai 
JAb ishq kiya to jana hai 

Yeh ishq hamari marzi yeh 
Ishq hamari majboori 
YAhi ishq hamari manzoori 
Kiyon sooli pe charh jana hai 
Jab ishq kiya to jana hai

Yeh thaka thaka sa jo chand hai


Yeh thaka thaka sa jo chand hai 
Yeh to khwaab hai , kisi aankh ka 
Jissay jaagney ki saza mili 
Yeh jo chaand hai , yeh azaab hai 
Woh azaab 

Jis ne mila dia hai gulaab lamhon ko khaak main 
Yeh jo chand hai , yeh jawaab hai 
Kisi is tarah ke sawaal ka 
Keh jo aaj tak na utha kabhi kisi zehan main 
Yeh jo chaand hai 
Yeh to baab hai kisi dard ka 
Kisi hijar ka , kisi wasal ka 
Kisi zard zard si fasal ka 

Yeh thaka thaka sa jo chand hai 
Kabhi ban paray to yeh is se pooch ke dekhna 
Issay gahri gahri si neend se
Bhala kis ne aa ky jaga dia 
Issay rog kis ne laga diya


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...