Jul 11, 2014

Jin pathron ko hum ne ata ki thein dharkanain


Jin pathron ko hum ne ata ki thein dharkanain 

Woh bolnay lage to hamhi par baras paray

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jis ehad main lut jaye faqeeron ki kamai


Jis ehad main lut jaye faqeeron ki kamai 

Is ehad ke sultan se koi bhool hui hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Salf likh gaye jo qiyaas-o-gumaan se


Salf likh gaye jo qiyaas-o-gumaan se

Saheefay hain utraye huye asmaan se

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jo aag lagi thi tum ne us ko to bhujaya ashkon ne


Jo aag lagi thi tum ne us ko to bhujaya ashkon ne 

Jo ashkon ne bharkai hai us aag ko thanda kon karay

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jahan tak ho basar kar zindagi aali khayalon main


Jahan tak ho basar kar zindagi aali khayalon main 

Bana deta hai kaamal baithna sahib kamalon main

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jab chali thandi hawa, bacha thathar kar reh gaya


Jab chali thandi hawa, bacha thathar kar reh gaya 

Maa ne apnay laal ki takhti jala di raat ko

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jab keh tujh bin nahin koi mojood


Jab keh tujh bin nahin koi mojood 

Phir yeh hangama ae khuda kiya hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jo main sar-ba-sajood hua kabhi to zameen se anay lagi sada


Jo main sar-ba-sajood hua kabhi to zameen se anay lagi sada 

Tera dil to hai sanam ashna , tujhe kiya mile ga nimaaz main

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Tu hai suraj tujhe maloom kahan raat ka dukh


Tu hai suraj tujhe maloom kahan raat ka dukh 

Tu kisi roz meray ghar main utar shaam ke baad

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Tumhari qabar pe hum sab ko jaa ke rona tha


Tumhari qabar pe hum sab ko jaa ke rona tha 

Yeh hadsa bhi isi zindagi main hona tha

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa


Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa 

Dono insaan hain to kiyon itnay hijaabon main milain

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Teray paimanay main gardish nahin baaqi saqi


Teray paimanay main gardish nahin baaqi saqi

Aur teri bazam se ab koi utha chahta hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Teri aankhon ne khuda janay kiya kiyaa jadoo


Teri aankhon ne khuda janay kiya kiyaa jadoo

Keh tabiyat meri mayal kabhi aisi to na thi

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ


Teray koochay is bahanay mujhay din se raat karna hai


Teray koochay is bahanay mujhay din se raat karna hai

Kabhi is se baat karna , kabhi us se baat karna

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Tum dewaar bano aur hum dar ban jayein


Tum dewaar bano aur hum dar ban jayein 

Ayo dono mil ke ik ghar ban jayein

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Teri mehfil ka bharam rakhtay hain


Teri mehfil ka bharam rakhtay hain 

Warna yeh log to baidaar nazar atay hain

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Uth na jaye aitabaar zamanay ka


Uth na jaye aitabaar zamanay ka

Ae mohabbat kisi ko to muyassar aa

Tang aa chukay hain kash'ma'kash-e-zindagi se hum


Tang aa chukay hain kash'ma'kash-e-zindagi se hum 

Thukra na dain jahan ko kahin be'dili se hum

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Tum main himmat hai ti duniya se baghawat kar lo


Tum main himmat hai ti duniya se baghawat kar lo 

Warna maa baap jahan kehtay hain , shaadi kar lo

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Tujh se milna khushi ki baat sahi


Tujh se milna khushi ki baat sahi 

Tujh se mil kar udaas rehta hoon

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Thi khabar garam keh ghalib ke urain gay parinday


Thi khabar garam keh ghalib ke urain gay parinday

Dekhnay hum bhi gaye thay par tamasha na hua

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Taaray tor ke le aaon ga ambar se


Taaray tor ke le aaon ga ambar se 

Lakin anay janay main kuch dair lagay gi

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Tum ko ata hai piyaar pe ghussa


Tum ko ata hai piyaar pe ghussa 

Mujh ko ghussay pe piyaar ata hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Tamana'on main uljhaya gaya hoon


Tamana'on main uljhaya gaya hoon 

Khilonay de ke behlaya gaya hoon

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Teri baatain hi sunanay aye


Teri baatain hi sunanay aye

Log bhi dil hi dukhanay aye

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

pila do ghoont keh saaqi ki rahay baat hafeez


pila do ghoont keh saaqi ki rahay baat hafeez

Saaf inkaar main khatar shikni hoti hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Paaon phailaye magar haath nahin phailaya


Paaon phailaye magar haath nahin phailaya 

Zindagi bhar ka tawakal hai mera sarmaya

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Pathar ke pujaari to hazaron hain zameen par



Pathar ke pujaari to hazaron hain zameen par 

Kuch azmat-e-adam ke paristaar bhi laao

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Parhta tha main nimaaz samjh kar ussay kurasheed


Parhta tha main nimaaz samjh kar ussay kurasheed 

Phir youn hua keh mujh se qaza ho gaya woh shkhs

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Paani paani kar gayi mujh ko qalandar ki yeh baat


Paani paani kar gayi mujh ko qalandar ki yeh baat 

Tu jhuka jab ghair ke agay na tan tera na mann

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Pee jaa ayaam ki talkhi ko bhi hans ke nasir


Pee jaa ayaam ki talkhi ko bhi hans ke nasir

Gham ko sehnay main bhi qudrat ne maza rakha hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Be'khudi be'sabab nahin ghalib


Be'khudi be'sabab nahin ghalib

Kuch to hai jis ki parda daari hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Bhari bazam main raaz ki baat keh di


Bhari bazam main raaz ki baat keh di 

Bara be'adab hoon saza chahta hoon

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Bhout shor suntay thay pehloo main dil ka


Bhout shor suntay thay pehloo main dil ka 

Jo cheera to ik qatra-e-khoon na nikla

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ


Bazeech-e-atfaal hai duniya meray aagay


Bazeech-e-atfaal hai duniya meray aagay

Hota hai shab-o-roz tamasha meray aagay

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Bana kar faqeeron ka hum bhais ghalib


Bana kar faqeeron ka hum bhais ghalib 

Tmasha-e-ehle-e-karam dekhtay hain


Bhari duniya main jee nahin lagta


Bhari duniya main jee nahin lagta 

Jaane kis cheez ki kami hai abhi

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Bichti thein jin ki raah main phoolon ki chaadrain


Bichti thein jin ki raah main phoolon ki chaadrain 

Ab us ki khaak ghaas ke pairon talay bhi dekh

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Bhulaata laakh hoon lakin braabar yaad atay ho



Bhulaata laakh hoon lakin braabar yaad atay ho 

Ilaahi tark-e-ulfat par woh kiyon kar yaad atay hain

ஜ۩۞۩ஜ♥ ♥ஜ۩۞۩ஜ

Baat kirdaar ki hoti hai , wagarna arif


Baat kirdaar ki hoti hai , wagarna arif

Qad main insaan se saya bhi bara hota hai

ஜ۩۞۩ஜ♥ ♥ஜ۩۞۩ஜ

Baith kar saya-e-gul main nasir


Baith kar saya-e-gul main nasir 

Hum bhout roye woh jab yaad aya

ஜ۩۞۩ஜ♥ ♥ஜ۩۞۩ஜ

Baith jaata hoon jahan chayon ghani hoti hai


Baith jaata hoon jahan chayon ghani hoti hai

HAye kiya cheez ghreeb-ul-watni  hoti hai
ஜ۩۞۩ஜ♥ voiceofheart99.blogspot♥ஜ۩۞۩ஜ

Apnay mann main doob kar pa ja suraagh-e-zindagi


Apnay mann main doob kar pa ja suraagh-e-zindagi 

Tu agar mera nahin banta na ban ,apna to ban

Aik woh hain jinhain chaah ke armaan hon gay


Aik woh hain jinhain chaah ke armaan hon gay 

Aik hum hain keh huye aisay pashemaan keh bas

Is baar jo endhan kay liye kat ke gira hai


Is baar jo endhan kay liye kat ke gira hai

Chiriyon ko bhout piyaar tha us boorhay shajar se

Ab to ronay se bhi dil dukhta hai


Ab to ronay se bhi dil dukhta hai 

Shayed ab hosh thikanay  aye

Aaj hum daar pe kheenchay gaye jin baaton par


Aaj hum daar pe kheenchay gaye jin baaton par 

Kiya ajab kal woh zamanay ko nisaabon main milain



Do din ki zindagi hai , kiya kro ge ulajh kar


Do din ki zindagi hai , kiya kro ge ulajh kar 

Raho to phoolon ki maanind , bikhro to khushboo ban kar

Teray ishq ki intiha chahta hoon


Teray ishq ki intiha chahta hoon 
Meri saadgi dekh kiya chahta hoon

Sitam ho ke ho wada-e-be'hijaabi 
Koi baat sabar azmaa chahta hoon 

Yeh jannat mubarak rahay zahidon ko 
Keh main aap ka samna chahta hoon 

Zara sa to dil hoon magar zoq itna 
Wohi lun traani suna chahta hoon 

Koi dam ka mehmaan hoon ae ehal-e-mehfil 
Chraagh-e-sehar hoon bujha chahta hoon 

Bhari bazam main raaz ki baat keh di 
Bara be'adab hoon saza chahta hoon

Kuch din to baso meri aankhon main


Kuch din to baso meri aankhon main 
Phir khwaab agar ho jaaon to kiya 

Koi rang to do meray chaheray ko 
Phir zakham agar mehkaao ti kiya 

Ik aaiyana tha so toot gaya 
Ab khud se agar sharmao to kiya 

MAin tanha tha main tanha hoon 
Tum aao to kiya na aao to kiay 

Jab hum hi na mehkay phir saahib 
Tum baad-e-saba kehlayo to kiya 

Jab dekhnay wala koi nahin 
Bujh jaao to kiya jal jaao to kiya 

Woh batain teri woh fasanay teray


Woh batain teri woh fasanay teray 
Shagufta shagufta bahanay teray 

Bas ik daagh sajda meri kainaat 
Jabeen teri astaanay teray 

Bas ik zakham nizara hissa mera 
Baharain teri , ashiyanay teray 

Faqeeron ka jam'ghat ghari do ghari 
Shrabain teri bada'khanay teray 

Zameer sadaf main kiran ka maqaam
Anokhay anokhay thikanay teray 

Bahaar-o-kizaan kam nigahon ke weham 
buray ya bhalay sab zamanay teray 

"Adm" bhi hai tera hikayat kada 
kahan tak gaye hain fasanay teray
 

Kabhi dekh dhoop main kharray tanha shajar ko


Kabhi dekh dhoop main kharray tanha shajar ko 

Aisay jaltay hain wafaon ko nibhanay wale

Ab so bhi agar jaayon to dastak nahin detay


Ab so bhi agar jaayon to dastak nahin detay 

Tabeer ke asaib se kuch aisay daray khwaab

Tum rooth jao mujh se aisa kabhi na karna



Aisa kabhi na karna 

Tum rooth jao mujh se aisa kabhi na karna 
Main ik nazar ko tarson aisa kabhi na karna 

Main pooch pooch haron so so sawal kar kay 
Tum kuch jawab na do aisa kabhi na karna 

Mujh se hi mil kay hansna mujh se hi mil kay rona 
Mujh se bichar kay jee lo aisa kabhi na karna 

Tum chand ban kay rehna main dekhta rahon ga 
Kisi roz tum na niklo aisa kabhi na karna 

Tum chalay jao jab bhi dekhon tumhara rasta 
Tum loat kay na ayo aisa kabhi na karna

Wich daarhi islaam na koi


Wich daarhi islaam na koi 

Bin amlaan quraan na koi 

Jai mukraan tu baaz na aaway

Mulaan jaiya be'imaan na koi 

Jai gar pa deway pathi raahay 

Murshad jaiya shaitaan na koi 

Saani bas ik ohdi mann lay 

Rab tu agaan sultaan na koi 

Teray ikhlaas se mohabbat ki hai


Teray ikhlaas se mohabbat ki hai 
Teray ehsaas se mohabbat ki hai 
Tu meray paas nahin phir bhi 
Teri yaad se mohabbat ki hai 
Main tum ko kis tarah bhool sakta hoon 
Main ne teray osaaf se mohabbat ki hai 
Kabhi tu ne bhi mujhe yaad kiya ho ga
Main ne un lamhaat se mohabbat ki hai 
Jin main ho sirf teri aur meri baatain 
MAin ne un oqaat se mohabbat ki hai

Tumhari khamoshi ka sabab janta hoon main


Tumhari khamoshi ka sabab 
janta hoon main 
Roothay huye ho tum 
Manta hoon main 
Par hisar-e-ana main qaid 
Ab ki baar bhi 
Meri yeh khawaish hai 
Keh her baar ki tarah 
Tum hi mujhay manao
Par youn din ka shumar kartay kartay 
Tumhara intizar kartay kartay 
Calender ki taraf dekha 
To khayal aaya 
Ab ki baar main 
Apni ana ko tor don 
Mohabbat ki kahani ko 
Naya ik mor doon 
Shayed isi tor ho jaye 
Meri sari kotaiyon ka tadarak 
Lo aaj main tumhein kehta hoon 
Jaan-e-jaan 
Eid Mubarak

Meray rag-o-pay main sama gaya woh shakhs



Meray rag-o-pay main sama gaya woh shakhs
Meri zindagi main chaa gaya woh shakhs

Meray dil se dil mila gaya woh shakhs
Mujhe khush naseeb bana gaya woh shakhs

Mujhe de gaya apni her khushi 
Meri aankhon se neend chura gaya woh shakhs

Jaane kiya baat thi us main aisi 
Mujhe mohabbat karna sikha gaya woh shakhs

Mujhe maloom hai tum khush ho bhout judai se


Mujhe maloom hai tum khush ho bhout judai se

Ab khyal rakhna apna, tumhain tum jaisa na mil jaye

Goonjtay rehtay hain alfaaz meray kaano main



Goonjtay rehtay hain alfaaz meray kaano main 

Tu to araam se keh deta hai ...... Allah Hafiz

Mana keh teri deed ke qaabil nahin hoon main


Mana keh teri deed ke qaabil nahin  hoon main 

Tu mera shouq dekh , mera intizaar dekh

Lafaz ki shakal main ehsaas likhaa jaata hoon


Lafaz ki shakal main ehsaas likhaa jaata hoon

Yehni garmi ko payaas likhaa jaata hoon

Mere jazbaat se waqif hai qalam mera 

Main wafa likhon to tera naam likhaa jaata hai

 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...