Apr 28, 2016

Pehlay is dehleez se to sar lagay


Pehlay is dehleez se to sar lagay 
Phir agar lagti hai to thokar lagay 

Kya mujhay aata hai rasta aik hi 
Yeh to phir mujh ko usi ka ghar lagay 

Yeh kahin rasta isi ka to nahin 
Her qadam pe kiyon mujhay thokar lagay 

Aik pathar yaad hai us ko bhout 
Youn to pagal ko kai pathar lagay 

Phir bichar jaye hamesha kay liye 
Woh galay aik baar to aa kar lagay 

Sab main tha ehsaas lakin itna kam 
Mujh ko saray log hi pathar lagay 

Wasal us ka meri qismat main Adeem 
Dar lagay mujh ko bhout hi dar lagay 

Yeh to seedhi baat hai bikul Adeem 
Husan woh jo aankh ko behtar lagay 

Be'wafa ko galiyan de kar Adeem 
Yeh laga shaitan ko kankar lagay 

Koi itna to saa'rahay aakhir


Koi itna to saa'rahay aakhir 
Us ne waday to nibhaye aakhir 

Phir na milnay ki qasam toot gayi 
Mil gaye phir sar-e-rahay aakhir 

Youn tarapna tha jo machli ki tarah 
Tu ne chora ussay kaahay aakhir 

Kitnay chehray hain haseen duniya main 
Koi kis kis ko sarahay aakhir 

Chahnay ki bhi to had hoti hai 
Dil kahan tak ussay chahay aakhir 

Thak kay beemar bhi dam tor gaya 
Kab talak koi kaa'rahay aakhir

Koi pathar koi gehar kiyon hai


Koi pathar koi gehar kiyon hai 
Farq logon main is qadar kiyon hai 

Tu mila hai to yeh khayal aaya 
Zindagi itni mukhtasir kiyon hai 

Jab tujhay loat kar nahin aana 
Muntazir meri chasham-e-tar kiyon hai 

Us ki aankhein kahin sadaf to nahin 
Us ka her ashk hi gehar kiyon hai 

Raat pehlay hi kiyon nahin dhalti 
Tairagi  shab ki ta'sehar kiyon hai 

Yeh bhi kaisa azab de dala 
Hai mohabbat to is qadar kiyon hai 

Tu nahin hai to roz-o-shab kaisay 
Shaam kiyon aa gayi sehar kiyon hai 

Kiyon rawana hai her gharri duniya 
Zindagi mustaqil safar kiyon hai 

Main to ik mustaqil musafir hoon 
Tu bhala mera humsafar kiyon hai

Tujhay milna nahin kisi se Adeem 
Phir bicharnay ka tujh ko dar kiyon hai
 

Khaak pe jab bikhar gaye aansu


Khaak pe jab bikhar gaye aansu 
Yeh laga jaisay mar gaye aansu 

Aaj palkon ki baar phaand gaye 
Aaj had se guzar gaye aansu 

Aasman bhar gaya sitaron se 
Gham ki jholi main bhar gaye aansu 

Dil ki ghathri main baandh rakhay thay 
Janay kaisay bikhar gaye aansu 

Apnay gham ki kasaftein thein bhout 
Us kay gham se nikhar gaye aansu 

Aaj to gham bhout ziyada hai 
Aaj janay kidher gaye aansu 

Zabt se ehad baandh rakha tha 
Aur phir bhi bikhar gaye aansu 

Sil-e-dariya to kuch nahin tha Adeem 
Apnay toofan se dar gaye aansu 

Dil karra to bhout kiya tha Adeem
Waqat-e-rukhsat bikhar gaye aansu 


Issay pana tha us ko khona tha


Issay pana tha us ko khona tha 
Yeh bhi hona tha woh bhi hona tha 

Kitni dair aur us ko rona tha 
Woh jo hona tha , woh to hona tha 

Shayed is wastay mili aankhein 
Bojh kuch aansu'on ka dhona tha 

Shab-e-mehtaab Aaftab-e-sham 
Aik chandi thi aik sona tha 

Kya ghazab kar liya hai aankhon ne 
Mujhay to tujh se chupp kay rona tha  

Hum ne moti samjh liye Adeem 
Warna daman kissay bighona tha

Raaz-e-dil aam kar gaye aansu


Raaz-e-dil aam kar gaye aansu 
Gham ko bad'naam kar gaye aansu 

Aaj us ne bhi haal pooch liya 
Aaj to kaam kar gaye aansu 

Log phoolon kay saath ponchay thay 
Aur hum thaam kar gaye aansu 

Hum kisi kay na thay magar hum ko 
Aap kay naam kar gaye aansu 

Her kisi aankh ne lagaye daam
Gham ko neelam kar gaye aansu 

Dhund si chaa gayi hai aankhon main 
Her taraf shaam kar gaye aansu 

Baat main bhi bhout asar tha Adeem 
Aur kuch kaam kar gaye aansu 

Shairy sirf shairy thi Adeem 
Us ko ilhaam kar gaye aansu
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...