Aug 13, 2014

Hum ajeeb musafir-e-dasht thay , chalay to chaltay chalay gaye

Hum ajeeb musafir-e-dasht thay , chalay to chaltay chalay gaye 

Kisi aab-e-jo ki sada pe bhi , kahin raastay main rukay nahin 

Kai aur ehale talab milay mujhay raah-e-shouq main hum qadam 

Jinhain kar raha tha talaash main , wohi log mujh ko milay nahin

Us ne kaha mafhoom-e-ghalat'fehmi kiya hai

Us ne kaha mafhoom-e-ghalat'fehmi kiya hai 

Main ne kaha tum se umeed-e-wafa karna

Basti main hai woh snaata jungle maat lagay

Basti main hai woh snaata jungle maat lagay 

Shaam dhalay jab ghar ponchon to aadhi raat lagay 

Khat main dil ki baatein likhna achi baat nahin 

Ghar main kitnay log hain janay kis kay haath lagay

Jahan woh itna bhoola tha wahan kuch yaad bhi rakhta

Jahan woh itna bhoola tha wahan kuch yaad bhi rakhta 

Faqat itna to keh deta keh us ne mujh ko chaha tha 

Hamara ishq kab khulta kisi pe "Saad" aisay hi 

Yaqeen maano keh hum ne khud zamanay ko bataya tha

Meray aangan kay khanak mousam dhanak ho jaatay

Meray aangan kay khanak mousam dhank ho jaatay 

Magar woh suraj keh kisi aur ghar ka noor tha 

Yaadon ki baarish main bheegi kaaghz ki kashti 

Hijar ka sagar gehra aur wasal kinara door tha

Safar main ishq kay ik aisa marhala aya

Safar main ishq kay ik aisa marhala aya 

Woh dhoondta tha mujhay aur kho gaya tha main 

Mujhay gila na kisi sang ka na aahan ka 

Usi ne tor diya jis ka aaina tha main 

Yeh wajbaat-e-ishq kiya hum hi pe qarz thay

Yeh wajbaat-e-ishq kiya hum hi pe qarz thay 

Woh bhi utaarta keh mohabbat ussay bhi thi

Jhil'milaati hain mujhay dekh kay aankhain us ki

Jhil'milaati hain mujhay dekh kay aankhain us ki 

Roshni si koi dewaar kay us paar hui 

Jo bhi uljhan thi woh mil baith kay suljha letay 

Baat aapis ki thi jo tana-e-agiyaar hui

Shor bhi hai snaata bhi hai

Shor bhi hai snaata bhi hai 

Dil jaisi hai , duniya bhi 

Sab kuch aik haqeeqat hai 

Aur sab kuch hai dhoka bhi

Woh chand qarb kay lamhay jo dar'badar guzray

Woh chand qarb kay lamhay jo dar'badar guzray 

Mohabbaton main bhi tabdeeliyaan karain shayed 

Teri gali se guzartay hain aur sochtay hain 

Teri gali se guzarna bhi chor dain shayed

Hawa main urrta hua rizq paa liya lakin

Hawa main urrta hua rizq paa liya lakin 

Prinday jurrat-e-parwaaz chor aye hain

Kiya khaber thi keh chalay gi kabhi aisi bhi hawa wasi

Kiya khaber thi keh chalay gi kabhi aisi bhi hawa wasi 

Khushk patton ki tarah sab dost bikhar jayein gay

Woh jis qadar bhi munafiq tha par yeh kehta tha

Woh jis qadar bhi munafiq tha par yeh kehta tha 

Bichrana hum se magar phir bhi sil'salay rakhna

Behtar hai zeest ko hans kar nibha do

Behtar hai zeest ko hans kar nibha do 

Mehsoos karo gay to musal'sal azaab hai

Aaj phir sawan toot kay barsa hai

Aaj phir sawan toot kay barsa hai 

Aaj phir kisi kay lehjay main nami hai 

Phir se wehshaton kay haalay main 

Aaj phir yaadon ki mehfil jami hai 

Woh mojood hai aur un ki kami hai

Woh mojood hai aur un ki kami hai 

Mohabbat main tanhai da'imi hai 

Chraghon kay badlay makaan jal rahay hain 

Naya hai zamana , nayi roshni hai

Haal-e-dil keh chukay un se soo baar

Haal-e-dil keh chukay un se soo baar 

Ab bhi kehnay ki baat baaqi hai 

Raat baaqi thi jab woh bichray thay 

Kat gayi umar raat baaqi hai 

Kiya hua husan hum'safar hai ya nahin

Kiya hua husan hum'safar hai ya nahin 

Ishq manzil hi manzil hai rasta nahin 

Do prinday urray aankh nam ho gayi 

Aaj samjh keh main tujh ko bhoola nahin 

Palat kay ayein zamanay wohi mohabbat kay

Palat kay ayein zamanay wohi mohabbat kay 

Keh rang chalnay lagaein aur saba tehar jaye 

Kisi ka saath mile aur is tarah "Amjad"

Keh waqat chalta rahay , rasta tehar jaye

Kaash baadil ki tarah pyaar ka saya hota

Kaash baadil ki tarah pyaar ka saya hota 
Phir main din raat teray shehar pe chaya hota 

Mujh se takhleeq ka ilzaam na aata tujh par 
MAin agar naqsh-e-ghalat hoon , na banaya hota 

Khwaab tootay thay agar teray bhi meri hi tarah 
Bojh kuch teri bhi palkon se uthaya hota 

Lams haathon ka bhi kaafi tha pighalnay kay liye 
Mom kay butt ko zameen par na giraya hota 

Raah main aag kay dariya se guzarna tha agar 
Tu ne khwaabon ka jazeera na dikhaya hota 

Poet : Murtaza Barlaas

Hawa talaash karain , roshni talaash karain

Hawa talaash karain , roshni talaash karain
Hum aas paas kahin zindagi talaash karain 

Hum apni apni khushi to ganwa chukay hain sab hi 
So' dosron ki khushi main khushi talaash karain 

Yeh manzar ki kahani bhout puraani hai 
Naya zamana, nayi shayeri talaash karain 

Udaasiyon ka sabab dhoondnay se kiya ho ga 
Jo hum se rooth gayi , woh hansi talaash karain 

Praye shaher main phirnay se  kuch nahin ho ga 
Hum apna raasta , apni gali talaash karain 

YAhan kay log to apni tarah kay hain :Mazhar"
Jo apnay jaisa na ho , woh aadmi talaash karain 

Poet : Mazhar Niazi

Phir jee uthay hain jis se woh imkaan tum nahin

Phir jee uthay hain jis se woh imkaan tum nahin 
Ab jo bhi kar raha hai yeh ehsaan , tum nahin 

Mujh main badal raha hai jo ik aalam-e-khyal 
Us lamha-e-junoon kay nighibaan tum nahin 

Bujhtay huye chragh ki lo jis ne tez ki 
Woh aur hi hawa hai meri jaan , tum nahin 

Phir youn hua keh jaisay girah khul gayi koi 
Mushkil to bas yahi thi keh asaan tum nahin 

Tum ne sunni nahin hai sada-e-shakist-e-dil 
Hum jhailtay rahay hain yeh nuksaan , tum nahin 

Yeh aalam-e-zahoor hai hijrat zada "Saleem"
Hum bhi dukhi hain sirf parishaan tum nahin 

NAhin kartay khaiti main jo jaan fishaani

NAhin kartay khaiti main jo jaan fishaani

Nahin hal jot'tay hain , na detay hain paani 

Nahin letay kuch kaam tadbeer se woh 

Sada lartay rehtay hain taqdeer se woh 

Woh khail khail main hota gaya bhout mohtaat

Woh khail khail main hota gaya bhout mohtaat

Hansi hansi main hum apnay hawaas kho baithay

Asar hua teri zid ka kuch is tarah se keh hum

Judaiyon kay tasal'sul main aas kho baithay

Choo jaye hawa jis ko to teri khushboo aye

Choo jaye hawa jis ko to teri khushboo aye

Jatay huye ik zakham to aisa mujhay dena 

Woh  mujh se kahin barh kay museebat main tha "Mohsin"

Reh reh kay magar is ka dilaasa mujhay dena

See liya hum ne apnay honton ko

See liya hum ne apnay honton ko 

Hoslon ko bhi azmaana tha

Chehray hain keh mar mar se trashi hui lohain

Chehray hain keh mar mar se trashi hui lohain 

Bazaar  main ya shehr-e-khamoshaan main khara hoon 

Sabak sari main andesha-e-hawa rakhna

Sabak sari main andesha-e-hawa rakhna 

Sulag uthay ho to jalnay ka hosala rakhna 

Eid ayi to de gayi kiya kiya

Eid ayi to de gayi kiya kiya 

Din udaasi kay , soch ki raatein

Haan mere gham to utha leta hai gham'khwaar nahin

Haan mere gham to utha leta hai gham'khwaar nahin 

Dil parosi hai magar mera taraf'daar nahin

Woh waqat bhi dekhaye hain , tareekh ki ghariyon ne

Woh waqat bhi dekhaye hain , tareekh ki ghariyon ne 

LAmhon ne khata ki thi , sadiyon ne saza paai

Bakhsha hai thokaron ne sambhalnay ka hosala

Bakhsha hai thokaron ne sambhalnay ka hosala

Her haadsa khyal ko gehrai de gaya

Tum meri bhala kon hoti ho ?

Tum meri bhala kon hoti ho ?

Mere mann kay aangan main kiyon apna roop sajati ho 
Saray mousam beet gay , ab saj dhaj kar kiyon ati ho 
Kiyon mere mann ko jalati ho 
Tum meri bhala kon hoti ho ?

Barson pehlay main ne tum ko chupkay chupkay chaha tha 
Apnay mann main basaya tha 
Dheeray dheeray pyaar main kho kar 
Mann ko apnay jalaya tha 
Pehron khud ko rulaya tha 
Pyaar hi jeena pyaar hi marna 
Pyaar hi khl sarmaya tha 
Pyaar ki raahat kho kar jana 
Jo khuch tha sab maya tha 
Tum jo maya ki devi thein 
Sapno main khoyi rehtiein thein 
Neel gagan se anay wale shehzaday ki 
Baanhon main soyi rehti thein 
Khwaab saja kar aankhon main 
Jab tum ne apni umar ganwai 
Peechay murr kar kabhi na dekha 
Koi sada na tum tak ayi 
Phir ab ...!

Meray mann kay aangan main 
Chup chaap kharri kiyon roti ho 
Pyaar ki saji maala main 
Ashkon kay moti paroti ho 
Tum meri bhala kon hoti ho ?
Bhool gaya main sari baatein 
Beet gayein jeevan ki raatein 
Behtay ansoo , Aahein ,naalay
Le lo sab apni soghatein 
Ab kiyon tum pachtawa ban kar 
Meray khwaab churaati ho 
Bujhtay deep jalaati ho 

Kitaab-e-dil main jo nafrat ka baab rakhta tha

Kitaab-e-dil main jo nafrat ka baab rakhta tha 
Woh chehaton ka mukamal hisaab rakhta tha 

Fraib deta raha dosti kay pardon main 
Woh shakhs chehray pe kitnay niqaab rakhta tha 

Us kay haathon main pathar dekhai deta hai 
Jo apnay haath main her dam gulaab rakhta tha 

Woh shakhs jo keh bhatak'ta dikhai deta hai 
Raah-e-wafa main qadam kamyaab rakhta tha 

Kahan talaash karoon us ko aaj main "Rana"
Jo apni baat main apna jawaab rakhta tha 

Poet : Qadeer Rana

Woh saaray samay jo beet gaye

Woh saaray samay jo beet gaye
Kiya haar gaye kiya jeet gaye
Jitnay  dukh sukh kay railay thay 

Hum sab ne mil kar jhailay thay 
Ab shayed kuch bhi yaad nahin 
Kabhi waqat mila to sochain gaye

Aapis kay pyaar ghrandon ko 
Guriyon kay khail khilono ko 
Geeton se mehakti kiyaari ko 
Aangan ki phal phulwaari ko 
Dharti par aman ki khwaish ko 
Mousam ki pehli baarish ko 

Kin haathon ne be'haal kiya 
Kin qadmon se pa'maal huye 
Woh saray samay jo beet gaye 
Mil jul kar kitnay saal huye 

suno eid kay roz

Suno 

Eid kay roz

Khushiyaan mananay se 

Fursat mile to 

Yeh sochna zaroor ... keh 

Bhout masroof honay kay ba'wajood 

Tumhari yaad ka lamha lamha 

Kisi kay saath raha hai

Kitnay rang bikhar gaye meray chaaron aur

Eid Mubarak

Kitnay rang bikhar gaye 

Meray chaaron aur 

Khizaan main bhi bahaar rut 

Chali ayi mohabbaton kay sang 

Jab us ne kaha "Eid Mubarak"

Chamakta hua yeh kaghaz ka tukra jis pe chappa hai

Eid Card

Chamakta hua yeh 
Kaaghaz ka tukra 
Jis pe chappa hai 
Phoolon ka mukhra 
Jis ko milta hai 
Khushi deta hai 
Pyaar logon ka 
Yeh jata'ta hai 
Yaad hai in ko hum 
Bata'ta hai 
Jis main likhay huye 
Do chaar haroof
Zindagi ki taraf bulaatya hain 
Roshniyaan rooh main bhar jaatay hain 
aur dil 
Be'iktiyaar kehta hai 
Mujhay yaad rakhnay walo 
Pyaar denay walo 
Tum ko bhi ho mubarak 
Eid ki yeh saa'at

Chaand , Eid Aur Tum

Chaand , Eid Aur Tum 

Tero mohabbat main guzra 

Youn to her pal amar 

Ho jaata hai lakin 

Kuch aur bhi barh jaati hai chahat 

Jab dheeray se aatay hain 

Chaand , Eid Aur Tum

Kiya waqat tha woh bhi jab

Kiya waqat tha woh bhi jab 
Eid se zuada chaand raat ki khushi hoti thi 
Galiyaan , Aangan air chah'tein 
Chaand dekhnay walon se bhari hoti thein 
Apni aankhon se chaand dekh kar 
Dua maanga kartay thay 
Phir dua bharay haath chehron par phiar liya kartay thay 
Aankhon main pehli tareekh kay chaand ka saroor
Aur chehron par chaand ki kirno ka nazool liye 
Josh-o-wal'walay se aik doosray ko 
"Eid Mubarak" kaha kartay thay 
Ab to radio ya tv par 
Chaand nikalnay ki itlaah sunatay hain 
Jaisay yeh bhi koi khabar ho 
Aur apnay apnay kaamon main masroof ho jaatay hain 
Ab to woh baat hi na rahi keh 
Is ka chehra dekh kay chaand ko dekha kartay hain 
 
Jab aur ab

Zamen ki gard huye kitnay aaina chehray

Zamen ki gard huye kitnay aaina chehray 
Talaash kartay hain ab apnay gum'shuda chehray 

Zameen bos huye kitnay phool se bachay 
Khizaan ki nazar huye laal kitni maaon kay 

Jo mar gaye hain , inhain bhi kahin pannah nahin hai 
Jo bach gaye hain inhain zindagi ki chah nahin 

Hamaray chaaron taraf hai hamjoom dil-e-zad'gaan
Her aik simat se uth'ta hai shor-e-aah-o-fagaan 

Hain zakham zakham badan aur lahoo lahoo aankhain 
Zubaan ho band to to karti hain guftagoo aankhin 

Her aik shakhs yahan zal'zalay ki zad main hai
Na aitadaal ki surat , na koi had main hai 

Woh kon hai keh jissay ia ka gham nahin "Akhtar"
Yeh zal'zala bhi qayamat se kam nahin "Akhtar"

Poet : Akhtar Saeedi

Talaash kartay hain ab apnay gum'shuda chehray

Zamenn ki gard huye kitnay aaina chehray 
Talaash kartay hain ab apnay gum'shuda chehray 

Zameen bos huye kitnay phool se bachay 
Khizaan ki nazar huye laal kitni maaon kay 

Jo mar gaye hain , inhain bhi kahin pannah nahin hai 
Jo bach gaye hain inhain zindagi ki chah nahin 

Hamaray chaaron taraf hai hamjoom dil-e-zad'gaan
Her aik simat se uth'ta hai shor-e-aah-o-fagaan 

Hain zakham zakham badan aur lahoo lahoo aankhain 
Zubaan ho band to to karti hain guftagoo aankhin 

Her aik shakhs yahan zal'zalay ki zad main hain 
Na aitadaal ki surat , na koi had main hai 

Woh kon hai keh jissay ia ka gham nahin "Akhtar"
Yeh zal'zala bhi qayamat se kam nahin "Akhtar"

Poet : Akhtar Saeedi

Main ne kaha tha

Main ne kaha tha 

Dil kay safar main 

youn bhout si manzalain hain 

Lakin 

Tum se aagay koi nahin 

Aaj magar majboor-e-safar hoon 

Poet : Ahmed faraz

Dua Aur Sifarish

Dua Aur Sifarish

Dua agar mustajaab ho jaye to sifaarish bhi na'kaam ho jaati hai 

Dua pai'daar aur mustaqil zariya-e-kamyaabi hai aur sifarish 
kamzor aur waqti

Dili dua her dukhi shakhs ki mutajaab hoti hai jab keh sifarish 
bar'sar'iqtadaar ki 

Teray qareeb aa kay bari uljhano main hoon

Teray qareeb aa kay bari uljhano main hoon 
Main dushmano main hoon keh teray doston main hoon 

Aye yaar-e-khush diyaar tujhay kiya khabar keh main 
Kab se udasiyon kay ghannay junglon main hoon 

Tu loat kar bhi ehal-e-tamana ko khush nahin 
Main lut kay bhi wafa kay inhi qaflon main hoon 

Badla na meray baad bhi mozu-e-guftagoo 
Main jaa chuka hoon phir bhi teri mehfalon main hoon 

Mujh se bichar kay tu bhi to roye ga umar bhar 
Yeh soch lay keh main bhi teri khwaishon main hoon 

Khud hi misaal laala-e-sehra lahoo lahoo 
Aur khud "Faraz" apnay tamashaiyon main hoon 

Poet : Ahmed Faraz

Tum mere paas raho

Tum mere paas raho 

Tum mere paas raho 
Meray qatil meray dil'daar , meray paas raho 
Jis gharri raat chale 
Asmaan ka lhoo pee kay siyaah raah chalay 
Marham mushak liye , nashtar almaas liye 
Bain karti hui , hansti hui , gaati niklay 
Dard ki kaasni pazaib bajati niklay 
Jis gharri seeno main doobay huye dil 
Asteeno main nihaan haathon ki raat taknay lagain 
Aas liye 
Aur bachon ky bilaknay ki tarah qal'qal se 
Behar na'soodgi machlay to manay na mny 
Jab koi baat banaye na banay 
Jab koi baat chalay 
Jis gharri raat chalay 
Jis gharri maatami sunsaan siyaah raat chalay 
Paas raho 
Meray qatil meray dil'daar , meray paas raho

Poet : Faiz Ahmad Faiz

Poet : Faiz Ahmed Faiz
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...