Apr 22, 2015

Main kiyon ussay pukaaron keh loat aao eid aayi hai


Main kiyon ussay pukaaron keh loat aao eid aayi hai

Kya ussay khabar nahin keh kuch bhi nahin meri eid us kay baghair

Eid ka din hai khushi bhout bari hai


Eid ka din hai khushi bhout bari hai 
Is par bhi woh dareechay main udaas kharri hai 

Hain khushiyan mananay main magan ghar kay sabhi log
Aur us ki aankhon main to sawan ki jharri hai 

Sab khushiyan hain us ki teray naam se mansoob 
Yeh ehad nibhanay main woh her ik se larri hai 

Aa jaao keh us ki khushiyan bhi hon dobala 
Muddat se jo aas ki sooli pe charri hai 

Suno ! Eid pe apno ko parishaan nahin kartay
Pyaar karo pyaar main taqat barri hai

Youn teri chahtein sambhali hain


Youn teri chahtein sambhali hain 

Jaisay eidi ho meray bachpan ki

Bin sajan kay meri eid udaas hai


Bin sajan kay meri eid udaas hai 
Manaon kaisay main khushi deed udaas hai 

Raqsan hai hon ton pe udaasi 
Jo milay khushi ki woh naveed udaas hai 

Chalay bhi aayo ab kay eid par tum 
Kehtay hain dost keh meri guft-o-shuneed udaas hai 

Khiltay nahin dil kay aangan main phool 
Dil kay gulistaan ka khursheed udaas hai 

Aao eid pe mil kar muskuraain hum 
Teray janay se meri eid udaas hai

Eid kay din sab milain gay apnay apnay yaar se


Eid kay din sab milain gay apnay apnay yaar se
Hum galay mil mil kay roein gay dar-o-dewaar se

Khawab dekhye thay mil kar hum ne gulshan kay 
Aankh khuli to niklay na paaon regzaar se

Wahin pe giraye khizan ne murjhaye pattay 
Aas thi phool khilanay ki jahan ki 

Tu jo chor gaya mujhay to roothay rang mujh se 
Uth gaya Aetabaar bhi mera Aetabaar se

BE'wafai se bujh gaya mera dil ka chiragh 
Roshan huwa tha jo kabhi teray pyaar se

Teray bina kya eid kya eid ka chand 
Teray bina kya taaluq mera singhaar se

Khizaan chaai hai gulshan main gulon ki eid kya ho gi


Khizaan chaai hai gulshan main gulon ki eid kya ho gi 
Kisi nadaar kay bhookay bachon ki eid kya ho gi 

Kabhi jalta hai aangan main kabhi choolha nahin jalta 
Bataao to bhala un be'bason ki eid kya ho gi 

Woh khush hain jin kay apnay eid par mojood hain lakin 
Juda jin se huye apnay to un ki eid kya ho gi 

Nazar ab aa gaya hai chand phir bhi khush nahin hain woh 
Siwa mehboob kay un Aashiqon ki eid ki eid kya ho gi 

Abhi tak muntazir hain chooriyan mehndi bhi kajal bhi 
Nahin pehni gayi un payalon ki eid kya ho gi 

Chali aayo tumhari deed se to mir ki her eid hoti hai 
Siwa teray bhala hum gham'zadon ki eid kya ho gi

Koi us shakhs ko bas itna bata de


Koi us shakhs ko bas itna bata de 

Keh mera chaand meri eid usi se hai

Aankh nam kar gaya bichray huye logon ka khayal


Aankh nam kar gaya bichray huye logon ka khayal 

Woh dekho dard-e-dil de kar chali ja rahi hai eid

Suno jana baad tumharay eid aayi to


Suno jana 
Baad tumharay eid aayi to 
Aa kay dareechon se takraai 
Darwazay pe dastak bhi di 
Bill'aakhir mayoos gayi hai 
Woh kya janay 
Baad tumharay dil aur aankhein jeetay jee
Taboot main hum ne rakh chorri hain 
Honton pe likha sanaata 
Haathon ayr pairon se un ki 
saari shakist cheen li hum ne 
Eid agar aangan main hamaray 
Jhaank bhi leti to 
yeh sab dekh kar dar jana tha 
Us ne pal main mar jana tha

Yeh eid bhi aayi hai mujhay tanha paa kar yaaro


Yeh eid bhi aayi hai mujhay tanha paa kar yaaro 
Eid mubarak kehna ho ga sab ko aansoo chupa kar yaaro 

Aayi eid chala woh dil jala kar yaaro 
Kaisay ab yeh eid manaaon main muskuraa kar yaaro 

Din khushi kay bhi hoon tanha kitna main 
Ro para tanhai ko galay laga kar yaaro 

Kya guzri hai tanha yeh zindagi 
Ab kay eid pe hum zindagi se chalay rishta tor kar yaaro 

 

Eid ki sachi khushi to apno ki deed hai


Eid ki sachi khushi to apno ki deed hai
Tum mujh se door ho to apni kya eid hai 

Yeh kya kam tha keh tum juda huye mujh se 
Haan naya zakham eid pe mela mazeed hai 

Ab tak teray aanay ki umeed hai mujhay 
Dil-e-nadaan kay liye yeh payam-e-khursheed hai 

Ae hawa tu koocha-e-jana se guzri ho gi 
Sach bata un kay aanay ki kuch umeed hai

Pehlay to kabhi gham itna na tha 
Bichar janay ka gham kiyon itna shadeed hai

Eid ka din hai galay aaj to mil le zaalim



Eid ka din hai galay aaj to mil le zaalim 
Rasam-e-duniya bhi hai , moka bhi hai , dastoor bhi hai 

Ishq is tarah kay gustaakh taqazay na karay
Husn mastoor bhi , majboor bhi , maghroor bhi hai 

Ghroor-e-husn kay sadqay , mohabbat youn nahin kartay 
Bhari mehfil main zaahir dil ki wehshat youn nahin kartay 

Yeh mana keh tum haseen ho aur tumhein haq hai shararat ka 
kisi ki jaan pe ban jaye shahrarat youn nahin kartay 

Jissay tum husan kehtay ho woh kaba hai nigahon ka 
Addab laazim hai kabay ki ziyarat youn nahin kartay 

Kuch apnay husn ki khairaat hi de do hamein 
Kisi saahil ko apnay dar se rukhsat youn nahin kartay 

Haya aur sharam ko hum zaiwar-e-husn samjhtay hain 
Yeh zaiwar lut kay reh jaye  sakhawat youn nahin kartay 

Tumhari ik nazar par faisala hai zindgaani ka 
Maseeha ho kay beemaaron se ghaflat youn nahin kartay

Eid ka din hai galay aaj to mil lay zaalim 


Suna hai is eid pe us ki sagaai hai


Suna hai is eid pe us ki sagaai hai 
Yeh eid to eid-ul-judai hai 

Hansaya tha jis ne in aankhon ko 
Is eid pe us kay hi gham se aankh bhar aayi hai 

Thi jo kal tak teray dil ki raaj'kumari her eid pe 
Bicharnay ki gharri hai yeh sandesa us ki sahaili layi hai 

Haathon pe mehandi rachay gi pehan kay laal jora woh 
Kaano main jhumkay naak main nath maathay pe bindiya sajaai hai 

Bethi hai ban sanwar kay is eid pe woh dulhan 
Khushiyon ki baraat wahan pe yahan gham ki baraat aayi hai 

Is eid ki khushi ho kaisay kiyon kar mujhay 
Is eid ne meray dil ki duniya main naqbb lagaai hai 

Bichra hai raat ko mujh se woh khawaab main


Bichra hai raat ko mujh se woh khawaab main 

Main ne sara din bhi so liya woh loat kay na aaya

Hazaron maslay hain jo mujhay masroof rakhtay hain


Hazaron maslay hain jo mujhay masroof rakhtay hain 

Magar tum anmol itnay ho keh phir bhi yaad aatay ho

Meri qismat pe zawaal aaya hai aaj kal


Meri qismat pe zawaal aaya hai aaj kal 

Tum se kehna tha , meray hi rehna

Mana keh qeemti hai bhout aaj tumhara waqat


Mana keh qeemti hai bhout aaj tumhara waqat 

Hum bhi baray nayaab thay guzray dino ki baat hai

Tum nigahon se kaho gay to samjh lain gay hum


Tum nigahon se kaho gay to samjh lain gay hum 

Lafzon main tumharay woh tafseel kahan hai

Koi poochay keh kya ha tum se taaluq mera


Koi poochay keh kya ha tum se taaluq mera 

Us ko batlaa do , jo aankhon ka hai beenai se

Yaaro kuch to zikar karo tum us ki qayamat baanhon ka


Yaaro kuch to zikar karo tum us ki qayamat baanhon ka 

Woh jo simatay hon gay un main , woh to mar jatay hon gay

Agar ho jaati meri dosti baadalon kay saath


Agar ho jaati meri dosti baadalon kay saath 

To shayed hum tujh par kabhi dhoop bhi na aanay detay

Lehjaa aisa keh mut'maein kar de


Lehjaa aisa keh mut'maein kar de

Kitna saccha hai meray yaar ka jhoot

Kabhi hota nahin jo raabta us se mera


Kabhi hota nahin jo raabta us se mera 

Main khud main doob jaata hoon woh mujh ko mujh main milta hai

Kiyon samjh nahin aati teray dewano ki


Kiyon samjh nahin aati teray dewano ki 
Daamano ki khabar hai na giribaano ki 

Ae jafa kaar teray ehad se pehlay to na thi 
Kasrat is darja mohabbat kay pashmano ki 

Faiz saqi ki ajab dhoom hai mehkhano main 
Her taraf may ki talab maang hai paimano ki 

Raaz-e-gham se hamein aagah kiya khoob kiya 
kuch nihayat hi nahin ap kay ehsaano ki 

Yaad phir taaza hui haal se teray hasrat 
Qais-o-farhad kay guzray afsaano ki 


Mujhay be'khudi ki hai aarzoo


Mujhay be'khudi ki hai aarzoo
Mujhay qurbaton ka khumaar de

Meray ang ang main youn utar 
Keh mujhay main khud ko utaar de 

Tu jo rag rag main bas gaya 
To hai dariyaon ka jawaaz kya 

Meri zindagi meray paas aa
Meri be'khudi ko qaraar de

Hai nazar nazar teri justagoo
Tu meri wafa ki hai Aabru

KAbhi tu bhi ho meray rubaru
Mujhay jaan se hi guzaar de

Mujhay is tarah se tu yaad aa
Teri yaad ko bhi gumaan na ho

Tu meray khayal main youn samaa 
Mera harf harf nikhaar de

Mujh ko maloom nahin chahat kay taqazay lakin




Mujh ko maloom nahin chahat kay taqazay lakin 
Hum ne teri baaton kay siwa her baat bhula rakhi hai 

Safar mushkil hai maloom hai lakin 
Tu hamara hai to her fikar mitta rakhi hai 

Tu bhula de to bhula de lakin hum ne 
Teri khushboo bhi taveez bana rakhi hai 

Tu alag ho to her baar youn lagta hai 
zindagi mout kay pehlu main bitha rakhi hai 

Teri baatein , teri moorat , teri surat , tera chehra 
Tujh main khaliq ne her cheez juda rakhi hai

Bhool gaye afsanay kitnay


Bhool gaye afsanay kitnay 
Bikhray khawaab suhanay kitnay 

Dil to hai ik khawaab jazeera 
US main hain veeray kitnay 

Do aankhein hain dost teri 
Un main hain meh'khanay kitnay 

Saqi ne jab aankh milaai 
Toot gaye paimanay kitnay 

Shama to ik raat jali thi 
Jal gaye thay parwanay kitnay 

Apno ki tum baat na chero 
Apnay hain be'ganay kitnay 

Jungle jungle ronaq dekhi 
Shehron main veeray kitnay 

Mujh ko mujh se cheen kay tora 
Ab bantay ho anjanay kitnay 
 

Aankh ne raat jab ik chaand mukamal dekha




Aankh ne raat jab ik chaand mukamal dekha 
Phir samandar ko bhi hotay huye pagal dekha 

Raat bhar dair talak ki us ki baatein khud se 
Raat bhar samnay chehra us ka pal pal dekha 

Aaj yaadon ki ghatta toot kay barsi dil pe 
Aaj hum ne bhi barasta hua baadal dekha 

Dost cheen liya hum se gham-e-duniya ne 
Aaj hum bhool gaye us ko jissay kal dekha 

Ek chehra jo bhout hansta tha 
Aaj us ki aankhon se bhi behta kajal dekha

Gulaab aankhein sharaab aankhein




Gulaab aankhein sharaab aankhein 
Yehi to hain la'jawab aankhein 

In hi main ulfat in hi main nafrat 
Sawaab aankhein , azaab aankhein 

Kabhi nazar main bala ki shokhi 
Kabhi saraapa-e-hijaab aankhein 

Kabhi chupaati hain raaz dil kay 
KAbhi hain dil ki kitaab aankhein 

Kisi ne dekhi to jheel jaisi 
Kisi ne payein saraab aankhein 

Woh aaye to log mujh se bolay 
Huzoor aankhein , janab aankhein

Ajeeb tha guftagoo ka aalam 
Sawal koi , jawab aankhein 

Yeh mast mast be'misaal aankhein 
Musawari ka kamal aankhein 

Sharaab rab ne haraam kar di 
Magar kiyon rakhi halaal aankhein 

Hazaron in pe qatal hon gay 
Khuda ki bandi sambhaal aankhein

Kiyon hawali kay ujarnay ka mujhay afsos ho


Kon aaya raastay Aaina khanay ho gaye 
Raat roshan ho gayi , din bhi sohaanay ho gaye 

Kiyon hawali kay ujarnay ka mujhay afsos ho 
Sainkaron be'ghar prindo kay thikanay ho gaye 

Jaao un kamron kay aainay utha kay phaink do 
Be'adab yeh keh rahay hain hum puranay ho gaye 

Yeh bhi mumkin hai keh main ne us ko pehchaana na ho 
Ab ussay dekhye huye kitnay zamanay ho gaye 

Meri palkon par yeh aansoo pyaar ki tohaan hai
Us ki aankhon se giray moti kay danay ho gaye 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...