Apr 9, 2016

Main soch sakta nahin tha kisi haseen kay saath


Main soch sakta nahin tha kisi haseen kay saath 
Woh loat aaye ga aur is qadar yaqeen kay saath 

Ujar kay jayein to saye kai sakoonat kay 
Makan chor diya kartay hain makeen kay saath 

To jao shaher main laakon ganwar phirtay hain 
Agar pasand nahin rehna mujh zaheen kay saath 

Yeh aag pani hawa mujh ko zaya kar dain gay 
Isi liye to main wabasta hoon zameen kay saath 

Bas ab tamaam hadein sabar ki tamaam huein 
Bhout guzara kiya main ne tujh la'ain kay saath 

Main wa'izon ki kisi baat ka asar kya loon 
Fareb kartay hain jo aap apnay deen kay saath 

Yeh kaisay rafaqat main aa gaya hoon main 
Lipat rahay hain kai saamp Aasteen kay saath 

 

Meri dastaras main thi zindagi main ne teri raah pe daal di


Meri dastaras main thi zindagi 
Main ne teri raah pe daal di 

Mujhay her haseen-o-jameel apr 
Teray khaal-o-khad ka tha sha'iba 

Tujhay dhoond laye ga aik din 
Mujhay Aitamaad tha dard par 

Teri justagoo to hai justagoo 
Meray hoslay ka sawal hai 

Yahi aik dua hai keh ae Khuda 
Mujhay apnay gham main shareek kar 


Shab kay teh'ra samandar ne khola hai dar , din nikalta nahin


Shab kay teh'ra samandar ne khola hai dar , din nikalta nahin 
Doobta ja raha hai nagar ka nagar , din nikalta nahin 

Yeh bhi mumkin hai us ko abhi tak kisi ne bataya na ho 
Koi suraj ko de aaye jaa kay khabar din nikalta nahin 

Ro rahi hai sehar aankh us taraf raat ki qaid main 
Aur parishaan gum sum se kharay hain shajar , din nikalta nahin 

Buz'dili kay sabab itni mehangi pari raat se dushmani
Bas gaya hai andheron se ik aik ghar , din nikalta nahin 

Kon wehshat kay maathay pe chandi laganay ki jurrat karaye 
Kon dil se nikalay muqaddar ka dar , din nikalta nahin 

Aik khalqat kharri hai teh sang-e-ehsaas sood-o-ziyan 
Waa ki'aye aik muddat se aankhon kay dar , din nikalta nahin

Koi aisa hol thi aankh khulnay pe zindagi


Koi aisa hol thi aankh khulnay pe zindagi 
Keh cheekh utha abhi khawab hai abhi khawab hai 

Woh to maamta kay mizaaj ki koi raat thi 
Mera dard choom kay us ne goad main bhar liya 

Agar aik taang utha bhi loon main zameen se
To yeh ikhtiyaar key ik fareb ki shakal hai 

Mujhay khud hi di hui khaslaton kay tufail kiyon 
Woh saza kay tor pe pees de ga qaboor main

Sochtay rehnay ki aadat ho gayi


Sochtay rehnay ki aadat ho gayi 
Chonktay rehnay ki aadat ho gayi 

Hijar ki raaton kay sang aankhon ko bhi 
Jaagtay rehnay ki aadat ho gayi 

Janay kya dar hai keh apnay aap se
Bhaagtay rehnay ki aadat ho gayi 

Woh nahin lotay ga phir kiyon rah'guzar 
Dekhtay rehnay ki aadat ho gayi 

Woh meray andar chupa hai aur ussay 
Boltay rehnay ki aadat ho gayi

Dard na janay ni maye


Dard na janay ni maye
Is kay apnay geet ne maye 

Guriya se ab dil ni behlay 
Chand gaya hai jeet ne maye 

Waqat ne beet hi jana tha aur 
Waqat gaya beet ni maye 

Karta phiray hain dil duniya main 
Mann'mani mann meet ni maye 

Bichar gayi koyel baghon se
Bichar gaya sangeet ni maye 

Baqi saray rishtay jhootay 
Sachi teri pareet ni maye 

Khobsurat pholon aur rang ba'rangi titliyon ki qasam


Khobsurat pholon aur rang ba'rangi titliyon ki qasam 
Tum meri rooh aur meray badan kay darmiyan 
Youn ho 
Jaisay zameen aur aasman kay darmiyan 
Tim'timatay huye sitaray 
Jaisay be'ganaar aur waseh-o-areez 
Registano main 
Note kay latki hui chatton ne 
Roshan'daan paro dalay hain 
Intizaar no'keli silakhon ki tarah 
Dil main utarta ja raha hai 
Aur dil na'umeedi ki gehrai aur tareekh khaiyon main 
Kunwen main girtay huye pathar ki tarah 
Selaab 
Talay 
Aur pathar 
Bhout ziyada hain 
Aur in kay muqablay main 
Main aur tum aur woh bhi aik doosray kay baghair 
Bhout kam 
Bhout hi kam 

Meray dil kay shaam saweray ho ik baar kaho tum meray ho


Meray dil kay shaam saweray ho
Ik baar kaho tum meray ho 

Mujhay tum bin kuch na dikhaai de 
Kiyon itnay ghoor andheray ho 

Main punchi pyar kay daison ki
Tum meray rain baseray ho 

Main maal-o-manaal mohabbat ka 
Tum daku chor luteray ho 

Kuch bolo ya azad karo 
Kiyon khamoshi se gheray ho 

Be'sabab hain teri baatein Ae dil


Be'sabab hain teri baatein Ae dil 
Kuch bhi sunti nahin raatein Ae dil 

Kis tarah khud ko bacha paao gay 
Un'ginat dukh ki hain ghaatein Ae dil 

Dard kay zumray main hi aati hain 
Teri jeetein hain ya maatein Ae dil 

Tum ko ashkon ki qatarein bhi lagein 
Chand taron ki baratein Ae dil 

Hum rehtay hain isi sehra main 
Roz hon gi mulaqatein Ae dil

Jazba-o-shouq ki rawani main ghalti ho gayi jawani main


Jazba-o-shouq ki rawani main 
Ghalti ho gayi jawani main 

Zindgani to jaisay doob gayi 
Hijar aur gham ki be'karani main 

Janay kya keh gaya hai ashkon ko 
Aag si lag gayi hai pani main 

Aik din dil hawaas kho baitha 
Aik choti si na'gahani main 

Tajziya hi nahin kiya us ka 
Umar beeti hai khush gumani main 

Us ki aadat se mujh ko lagta hai 
Koi lazzat hai bad'gumani main 

Ik kash'shish si ajeeb hoti hai 
Ishq ki saltanat ki rani main 

Woh mujhay dekh kar bhout khush hua 
Dukh kay suraj ki sayebani main 

Ik mohabbat hai aur judaai hai 
Umar ki mukh'tasir kahani main 

Mujh se naraz na ho




Mujh se naraz na ho 

Mujh se naraz na ho 
Tujh se be'chaini ko takranay ki niyat to nahin 
Tujh se ghabraiye huye din kay taaruf main meri marzi
Nahin hai shamil
Teri veeran khayali main mera haath nahin 
Main to kam'laai hui shaakh ki manind hoon bhout afsurda
Main to zarhon ki tarah chup hoon bhout 
Aik hi talway talay 
Aik hi baaz baar , kai martaba aa jata hai dil 
Aur main chup hoon bhout 
Mujh se naraz na ho 
Teri narazgi se darti hai hawa
Aur mujhay ghussay se aa lagti hai 
Aur meri saanson ki tarteeb badal deti hai 
Teri narazgi se hota hai safar khouf'zada 
Aur meri raahein badal deta hai 
Aur meray paon jama deta hai angaron par 
Main kai roz se kuch baton se jalta hoon bhout 
Haye jo toot kar kartay hain mohabbat woh log  
Haye jo dil main basatay nahin nafrat woh log 
Main kai roz mar jata hoon 
Teri narazgi mujhay maarti hai 
Main kai roz se jeeta hoon bhout 
Tera pachtawa mujhay zinda kaisay rakhta hai 
Mujh se naraz na ho 
Teri narazgi se shamein bhi uraati hain khaak 
Mujh pe hansti hai bhout raatein bhi 
Aur mujhay dair talak takti hain barsatein bhi 
Mujh se naraz na ho 
Main ne milna bhi hai , bhout hai tum se
Aur karni hain bhout baatein bhi 
Mujh se naraz na ho 


Raat ka samandar hai raat bhi mohabbat ki




"Mohabbat ki adhoori Nazam"

Raat ka samandar hai 
Raat bhi mohabbat ki 

Baat ka ujaala hai 
Baat bhi mohabbat ki 

Ghaat ki zaroorat hai 
Ghaat bhi mohabbat ki 

Narm garm khamoshi 
Sehaj sehaj sargoshi 

Chor chor darwaze
Kon chup kay aaya hai 

Aarzu ne jungle main 
Raasta banaya hai 

Cheenaptay huye aangan 
ne darakht se mil kar 

Kuch na kuch chupaya hai 
Aasman ki khirki main 

Sukh bhari shararat se
Chand muskuraya hai 

Chand muskuraya hai 
Chandani nahai hai 

Khushbo'on ne mousam main 
Aag si lagaai hai 

Ishq ne mohabbat ki 
Aankh choomna chahai 

Aur hawa kay halqay main 
Shokh si nazakat se

Shaakh kamsaai hai 
Raat ka samandar hai 

Raat bhi mohabbat ki 
Baat ka ujaala hai 

Raat bhi mohabbat ki 
Baat kay saweray main 

Zindagi kay gheray main 
Rooh tam'tamati hai 

Wasal jhil'milaya hai 
Dil ne band seenay main 

Hashar sa uthaya hai 
Kon chup kay aaya hai 
 

Dil udaas rehta hai barishon kay mousam main




Dil udaas rehta hai 
Barishon kay mousam main 

Zindagi pighalti hai 
Khwaishon kay mousam main 

Waqat tehar jata hai 
Muntazir nigahon main 

Junglon kay khatray hain 
Bastiyon ki raahon main 

Ho sakay to loat kay aana 
Pyar ki panahon main 

Ishq ka ajaara hai 
Dil ki shah'rahon par

Aakhir shab to abhi door thi


Aakhir shab to abhi door thi 
Kiyon toot gira 
Woh sitara keh jissay sar pe chamakna tha abhi 
Kaisay do'pehar pe dhal aayi achanak koi veeran si shaam 
Hum to pehlay hi bhout zard thay dil kay panay 
Kis ne tori khizan seenay main 
Toot kar phel jati jati hai bari sar'at se
Aankh se rooh ki bee'nai talak 
Jo nazar aata hai peela hai bhout
Dil kay sartaan se kul aalam-e-tanhai talak 
Jo samjh aata hai neela hai bhout 
Sog ka apna asar hota hai 
Sog main lagta hai aaye hi nahin 
Rog se lagta niklay hi nahin 
Us sitaray ka chamakna khwaish thi 
Kon is khaam 'khayali ki hawa main aata 
Dard ki deeda daleri hai keh paishani pe aa chamka hai 
Warna be'noor diyaron main 
Chraghon ka koi kaam nahin 

Bichray huye logon ki ik ik baat rula deti hai


Bichray huye logon ki ik ik baat rula deti hai 
Hum ko to her janay wali baat rula deti hai 

Waisay to hum dil kay baray hi pakay hain her gham main 
Woh to kabhi kabhi youn hi barsaat rula deti hai 

Jaisay pathar kar deti hai baaz oqaat khushi bhi 
Jaisay baaz oqaat koi baraat rula deti hai

Jinhon ne haar kabhi nahin dekhi hoti hai jeewan bhar 
Aison ko to choti si ik maat rula deti hai 

Ghamon se to kuch aur bhi barh jata hai zabt hamara 
Haan albata khushiyon ki bohtaat rula deti hai 


Mujh par sitam zareef zamanay kay saath saath


Mujh par sitam zareef zamanay kay saath saath 
Muskaa raha tha hashar uthanay kay saath saath 

Main mitt raha tha un ko mitanay kay saath saath 
Ruktay thay haath teer chalanay kay saath saath 

Dushman agarcha thay woh magar thay to aadmi 
Dil ro raha tha theek nishanay kay saath saath 

Thay ishq main ajeeb se rakhnay paray huye 
Khud rooth'ta tha mujh ko mananay kay saath saath 

Aisa laga keh gham kay siwa kuch nahin yahan 
Aalam sisak raha tha dawanay kay saath saath 

Is shaher main ajeeb tamasha hai zindagi 
Hanstay hain log neer bahanay kay saath saath 

Main sulag sulag kay hawa kay haath main raakh tha


Main sulag sulag kay hawa kay haath main raakh tha 
Teri maang bhool kay meri raah main aa gayi 

Saf-e-rehwan talab main hum bhi thay muztarib 
Yeh alag keh teri nigah hum pe nahin pari 

Main jahan jahan se hoon muntashir kisi zaat ka 
Hain wahin wahin meray inkishaaf kay raastay 

Main teray lihaaz se mut'maein hoon magar zara 
Kabhi ghor kar meri be'qaraari pe ghor kar 

Hamein is qadar to woh yaad aaya na tha kabhi 
Shab-e-hijar itni udaas pehlay kabhi na thi

Labon pe geet to aankhon main khawab rakhtay thay


Labon pe geet to aankhon main khawab rakhtay thay 
Kabhi kitabon main hum bhi gulaab rakhtay thay 

Kabhi kisi ka jo hota tha intizaar hamein 
Bara hi shaam-o-sehar ka hisaab rakhtay thay

Kab talak dil ko chupa rakhein gay


Kab talak dil ko chupa rakhein gay 
Dukh kay deemak ki nazar paar utar jati hai 
Zindagi jaisay ghatta top andheray main basar hoti hai 
Na'gahani kisi biphray huye wehshi ki tarah 
Rooh ki dhool urra jati hai 
Sukh ki be'sood tamana'on ki pa'daash main yak'tarfa saza
Aan girti hai kisi ghaib se na'deedgi adal kay palron pe safar karti hui 
So rahay hotay hain thak haar kay punchi gham kay 
Dara kay daraa jati hai 
Kab talak dil ko chupa rakhein gay 
Khoon main utri hui mout se kya ojhal hai 
Shaakh se liptay huye saamp ki manind bhout dheeray se 
Aashiyanay ki taraf barhti hai 
Jhar jhari bhi nahin lenay deti 
Bain izzat hi sahi miyat ki magar baad ki baaton se kabhi 
Saibaan jurtay nahin tootay huye 
Aasman zinda nahin ho jatay 
Aasman martay hain aur waqat bigar jata hai 
Aasman martay hain aur shaher ujar jata hai 
Kon si subha jagaein gay sar-e-ehad-e-wafa 
Kon si raat sula rakhein gay 
Sabar ko koocha azad-o-biyabaan musafat ki tahi matti par 
Kab talak aur bhala kis kis se khafa rakhein gay 
Koi awaz lotay gi 
Koi mehroom dilasa bhi nahin paltay ga 
Kab talak dil ko chupa rakhein gay 
Sog ka sog mana lenay se kya hota hai  

Ussay mujh se mohabbat nahin thi


Ussay mujh se mohabbat nahin thi 

Ussay mujh se mohabbat nahin thi 
Phir bhi us ne hamesha tasleem kiya 
Keh main us ka aanay wala waqat hoon 
Lakin 
Ussay yeh ilam nahin tha 
Keh aanay wala waqat hamesha door hi dikhaai deta hai 
Aur phir achanak hi guzar jata hai 
Yeh bataye baghair 
Keh woh guzar raha hai 
 

Jab tera intizaar rehta hai Dil bhout be'qaraar rehta hai


Jab tera intizaar rehta hai 
Dil bhout be'qaraar rehta hai 

Rooh ko be'basi si rehti hai 
Dard ba'ikhtiyaar rehta hai 

Dil hai be'chainiyon ki mutthi main 
Zehan par tu sawaar rehta hai 

Ik tera dhiyaan aariyon ki tarah 
Rooh kay aar paar rehta hai 

Weham hai yeh mujhay keh teri taraf 
Ik mera gham'gusaar rehta hai 

Shab bhout be'qaraar rehta hai 
din bhout so'gawaar rehta hai

Na poocho zindagi kitni karri hai


Na poocho zindagi kitni karri hai 
Samjh lo mout seenay main garri hai 

Liye phirtay hain sab apnay janazay 
Sabhi ko apni qabron ki parri hai

Shaam her roz kiyon aa jati hai




Shaam her roz kiyon aa jati hai 

Udaas aur bhout ziyada udaas lamhay 
Itnay bhout ziyada kiyon hain 
Khamoshi aur bhout gehri khamoshi 
Gehri kiyon rehti hai 
Baaton se pehlay bhi aur baad bhi 
Baaton kay darmiyan bhi 
Aur kahin baaton kay peechay bhout andar bhi 
Shaam her roz kiyon aa jati hai 
Udaas aur khamosh 
Aur sogwaar 
Tum her roz kiyon aa jatay ho 
Her roz aur bhout ziyada 

Badal gaye meray mousam to yaar ab aaye


Badal gaye meray mousam to yaar ab aaye 
Ghamon ne chaat liya gham'gusaar ab aaye 

Yeh waqat is tarah ronay ka to nahin lakin 
Main kya karon keh meray so'gawaar ab aaye 

Woh dhoop dhoop hi main ho gaya basar chup chaap 
Shajar shajar pe meray barg-o-baar ab aaye 

Woh jin pe dhoka sa jhela tha hum ne manzil ka 
Woh qaaflay to sar-e-raah'guzar ab aaye 

Na daliyon pe koi phool hai na honton par 
Maza to jab hai keh baad-e-bahar ab aaye

Tum ne kaha bhout saray naamo main likha hua naam Mehboob nahin kehlaa sakta


Shayed is tarah tum samjh jaao 

Tum ne kaha 
Bhout saray naamo main likha hua naam 
Mehboob nahin kehlaa sakta 
Aur bhout sari tasveeron main lagi hui tasveer 
Pasandeeda tareen 
Sabit nahin hoti 
Jab keh mera khayal yeh hai keh 
Bhout saray naam nahin hon gay to aik naam sar-e-fehrast kis tarah aye ga 
Aur sab se ziyada apna kaisay lagay ga 
Aur agar kaafi sari tasveerain nahin hon gi 
To in main se aik ko 
Utha kar aankhon se laga lenay ki lazzat 
Kaisay naseeb ho sakti hai 
Main kuch keh nahin sakta 
Keh main apni baat samjhanay main kahan tak kamyaab hua hoon 
Tum youn karo 
Keh kisi din kisi qad aainay kay samnay 
Dair tak khamosh baithay khud ko jhanktay raho 
Aur aankhon ko mal mal kay baar baar jhanko 
Ya kisi gumbad main 
Dair tak apna naam le kar zor zor se awazein do 
Aur phir kabhi bhout saray logon kay darmiyan khud ko dekho 
Aur bhout sari awazon main 
Apni awaz suno 
Shayed is tarah tum 
Ziyada behtar tor par samjh sako 
Jo main tumhein samjhana chahat hoon 

Aankh se rooh ka gham zaahir hota hai


Aankh se rooh ka gham zaahir hota hai 
Us ka aik aik sitam zaahir hota hai 

Be'khayali main tumhari hi taraf 
Meray uthein gay qadam zaahir hai 

Kuch chupa lenay se kya hai haasil 
Un ka jitna hai karam zaahir hai 

Dil kay bheegay huye mousam ki fiza
Az roye deeda num zaahir hai 

Tum bhula do gay to phir tum ko bhi 
Bhool hi jayein gay hum zaahir hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...