Kaaghaz ki kashtiyaan thein bahaao bhi khoob tha
Mousam ka paaniyon se lagaao bhi khoob tha
Manzar teray khayal kay sab toot'tay rahay
Sochon ka waswason se bachaao bhi khoob tha
Zarrey chamak rahay thay falak se zameen tak
Sehra main chandani ka paraao bhi khoob tha
Bilkul badal gaye thay taqazay bhi adal kay
Munsaf ka aik simt jhukaao bhi khoob tha
Chahat kay lafz saaray baghawat main dhal gaye
Jalti hui Anna ka Allaao bhi khoob tha
Aansoo bhi kar sakay na haqeeqat ko be'niqaab
Teri taraf se aakhri ghaao bhi khoob tha