Showing posts with label Nasir Kazmi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Nasir Kazmi Poetry. Show all posts

Apr 26, 2016

Dukh ki lehar ne chaira ho ga Yaad ne kan'kar phainka ho ga


Dukh ki lehar ne chaira ho ga 
Yaad ne kan'kar phainka ho ga 

Aaj to mera dil kehta hai 
Tu is waqat akela ho ga 

Meray choomay huye haathon se
Auron ko khat likhta ho ga 

Bheeg chalein ab raat ki palkein 
Tu ab thak kar soya ho ga 

Rail ki gehri seeti sun kar 
Raat ka jungle goonja ho ga 

Shaher kay khaali station par 
Koi musafir utra ho ga 

Aangan main phir chiriyan bolein 
Tu ab so kar utha ho ga 

Yaadon ki jalti shabnam se 
Phool sa mukhra dhoya ho ga 

Moti jaisi shakal bana kar 
Aainay ko takta ho ga 

Shaam hui ab tu bhi shayed 
Apnay ghar ko lota ho ga 

Neeli dhundli khamoshi main 
Taron ki dhun sunta ho ga 

Mera saathi shaam ka tara 
Tujh se aankh milata ho ga 

Shaam kay chaltay haath ne tujh ko 
Mera salam to bheja ho ga 

Pyasi kurlati koonjon ne 
Mera dukh to sunaya ho ga 

Main to aaj bhout roya hoon 
Tu bhi shayed roya ho ga 

"Nasir" tera meet purana 
Tujh ko yaad to aata ho ga 

Feb 25, 2016

Ronaqein thein jahan main kya kya kuch


Ronaqein thein jahan main kya kya kuch 
Log thay raftagaan main kya kya kuch 

Ab kay fasal-e-bahar se pehlay 
Rang thay gulistaan main kya kya kuch 

Kya kahon ab tumhein khizan walo 
Jal gaya Aashiyaan main kya kya kich 

Dil teray baad so gaya warna 
Shor tha is makaan main kya kya kuch 

Jul 31, 2015

Be'kraan tanhaiyon ka silsala reh jaye ga



Be'kraan tanhaiyon ka silsala reh jaye ga
Teray meray darmiyaan , bas ik khalaa reh jaye ga 

Aks beh jayen gaysaray dhoop kay sailaab main 
Aur koi paaniyon main jhaankta reh jaye ga 

Mujh ko meray hamsafar aisa safar dar'paish hai 
Raasta kat bhi gaya to faasla reh jaye ga 

Log so jayein gay khamoshi ki chahdar oorh kar 
Chaand soonay aangano main jaagta reh jaye ga 

Jo kabhi us ne parhein thein mujh se nasir maang kar 
Naam mera un kitaabon main likha reh jaye ga

May 2, 2015

O meray masroof khuda apni duniya dekh zara


O meray masroof khuda
Apni duniya dekh zara 
Itni khalqat kay hotay 
Shehron main hai snaata 
Jhompri walon ki taqdeer 
Bujha bujha sa ik diya 
Khaak uraatay hain din raat 
Meelon phail gaye sehraa
Zaagh-o-zaghan ki cheekhon se
Soona jungle goonj utha 
Suraj sar par aa poncha 
Garmi hai ya roz-e-jaza
Pyasi dharti jalti hai 
Sookh gaye behtay dariya 
Faslein jal kar raakh huein
NAgri nagri kaal para 
O meray masroof khuda 
Apni duniya dekh zara

Apr 27, 2015

Phir sawan rutt ki pawan chali tum yaad aaye


Phir sawan rutt ki pawan chali tum yaad aaye 
Phir patton ki pazaib baji tum yaad aaye 

Phir koonjein bolein ghus kay haray samnadar main 
Rutt ayi peelay phoolon ki tum yaad aaye 

Phir kaga bolay ghar kay soonay aangan main 
Phir amrat ras ki boond pari tum yaad aaye 

Pehlay to main cheekh kay roya aur phir hansnay laga 
Badal garja , bijli chamki , tum yaad aaye 

Din bhar to main duniya kay dhandon main khoya raha 
Jab dewaaron se dhoop dhali tum yaad aaye

Nasir youn us ki yaad chali haath thaam kay


Nasir youn us ki yaad chali haath thaam kay 

Melay main is jahan kay khonay nahin diya

Teri zulfon kay bikharnay ka sabab hai koi


Teri zulfon kay bikharnay ka sabab hai koi 
Aankh kehti hai teray dil main talab hai koi 

Aanch aati hai teray jism ki uriyaati se 
Pehrahin hai keh sulagti hui shab hai koi 

Hosh urranay lagein phir chand ki thandi kirnein 
Teri basti main hoon ya khwaab-e-tarb hai koi 

Geet banti hai teray shaher ki bhar'poor hawa 
Ajnabi main hi nahin tu bhi ajab hai koi 

Liye jaati hai kisi dhiyaan ki lehrain Nasir 
Door tak silsala-e-taak-e-taraf hai koi 

Juda huye hain bhout log aik tum bhi sahi


Juda huye hain bhout log aik tum bhi sahi 

Ab itni baat pe kya zindagi haraam karein

Aankhon main hain dukh bharay fasanay


Aankhon main hain dukh bharay fasanay 
Ronay kay phir aa gaye zamanay 

Phir dard ne aag raag chaira 
Loat aaye wohi samay puranay 

Phir chand ko lay gayein hawaein 
Phir bansuri chair di saba ne 

Raston main udaas khushbon kay 
Phoolon ne luta diya khazanay 


Ae dil na tarap keh qehar ho ga


Ae dil na tarap keh qehar ho ga 

Ruswa koi shaher shaher ho ga

Ishq jab zam'zama-e-paira ho ga


Ishq jab zam'zama-e-paira ho ga 
Husn khud mehav-e-tamasha ho ga 

Daeim abaad rahay gi duniya 
Hum na hon gay , koi hum sa ho ga 

Hum tujhay bhool kay khush baithay hain 
Hum sa be'dard koi kya ho ga 

Phir sulagnay laga sehra-e-khayal 
Abr ghir kay kahin barsa ho ga 

Phir kisi dhiyaan kay sad rahay par 
Dil-e-hairat zada tanha ho ga 

Shaam se soch raha hoon Nasir
Chaand kis shaher main utra ho ga 

Daa'em abaad rahay gi duniya


Daa'em abaad rahay gi duniya 

Hum na hon gay , koi hum sa ho ga

Ishq main jeet hui ya maat


Ishq main jeet hui ya maat
Aaj ki raat na chairr yeh baat

Youn aaya woh jaan-e-bahar
Jaisay jag main phailay baat

Rang khilay sehra ki dhoop
Zulf ghannay jungle ki raat

Kuch na suna aur kuch na kaha 
Dil main reh gayi dil ki baat 

Yaar ki nagri koson door
Kaisay kattay gi bhaari raat 

Basti walon se chup kar 
Ro letay hain pichli raat 

Snaaton main suntay hain 
Suni sunaai koi baat 

Phir jaaray ki rutt aayi 
Chotay din aur lambi raat 


Teray milnay ko be'kal ho gaye hain


Teray milnay ko be'kal ho gaye hain 
Magar yeh log pagal ho gaye hain 

Baharein lay kay aaye thay jahan tum 
Woh ghar sunsaan jung ho gaye hain 

Yahan tak barh gaye alaam-e-hasti 
Keh dil kay hoslay shall ho gaye hain 

Kahan tak taab laye na'tawaan dil 
Keh sadmay ab musal'sal ho gaye hain 

Nigah-e-yaad ko neend aa rahi hai 
Mazda par ashk bojhal ho gaye hain 

Unhain sadiyon na bhoolay ga zamana 
Yeh jo hadsay kull ho gaye hain 

Jinhein hum dekh kay jeetay thay Nasir 
Woh log aankhon se ojhal ho gaye hain

Yaad aata hai roz-o-shab koi



Yaad aata hai roz-o-shab koi 
Hum se rootha hai be'sabab koi 

Lab jo chaaon main darakhton ki 
Woh mulaqaat thi ajab koi 

Jab tujhay pehli baar dekha tha 
Woh bhi tha mousam-e-tarb koi

Kuch khabar le kay teri mehfil se 
Door baitha hai jaan-e-lab koi 

Na gham-e-zindagi na dard-e-firaaq
Dil main youn hi si hai talab koi

Yaad aati hain door ki baatein 
Pyar se dekhta hai jab koi 

Chot khai hai bar haa lakin 
Aaj to dard hai ajab koi 

Jin ko mittna tha mitt chukay nasir
In ko ruswa karay na ab koi 


Aaj to be'sabab udaas hai jee


Aaj to be'sabab udaas hai jee

Ishq hota to koi baat bhi thi

Dil dharaknay ka sabab yaad aaya


Dil dharaknay ka sabab yaad aaya 
Woh teri yaad thi ab yaad aaya 

Aaj mushkil tha sambhalna ae dost
Tu museebat main ajab yaad aaya 

Din guzara tha bari mushkil se 
Phir tera wada-e-shab yaad aaya 

Tera bhoola hua paimaan-e-wafa 
Mar rahay hain agar ab yaad aaya 

Haal-e-dil hum bhu sunaatay lakin 
Jab woh rukhsat hua tab yaad aaya 

Baith kay saya-e-gul main Nasir
Hum bhout roye woh jab yaad aaya 

Naye kapray badal kar jaaon kahan aur baal banaon kis kay liye


Naye kapray badal kar jaaon kahan aur baal banaon kis kay liye 
Woh shakhs to shaher hi chor gaya main baahir jaaon kis kay liye 

Jis dhoop ki dil main thandak thi woh dhoop usi kay saath gayi 
In jalti balti galiyon main ab khaak uraaon kis kay liye 

Woh shaher main tha to us kay liye auron se bhi milna parta tha 
Ab main aisay waisay logon kay naaz uthaon kis kay liye 

Ab shaher mainus ka badal hi nahin , koi waisa jaan-e-ghal hi nahin 
Ewaan-e-ghazal main lafzon kay guldaan sajaon kis kay liye 

Muddat se koi aaya na gaya sunsaan pari hai ghar ki fiza
In khaali kamron main "Nasir" ab shamma jalaon kis kay liye

Niyat shouq bhar na jaye kahin


Niyat shouq bhar na jaye kahin 
Tu bhi dil se utar na jaye kahin 

Aaj dekha hai tujh ko dair kay baad 
Aaj ka din guzar na jaye kahin 

Na mila kar udaas logon se 
Husn tera bikhar na jaye kahin 

Aarzoo hai keh tu yahan aaye 
Aur phir umar bhar na jaye kahin 

Jee jalaata hoon aur yeh sochta hoon 
Raigaan yeh hunar na jaye kahin 

Aao kuch dair ro hi lain "Nasir"
Phir yeh dariya utar na jaye kahin
 

Apni dhunn main rehta hoon


Apni dhunn main rehta hoon 
Main bhi teray jaisa hoon 

Aur pichli rutt kay saathi 
Ab kay baras main tanha hoon 

Teri gali main sara din 
Dukh kay kan'kar chunta hoon 

Mujh se aankh milaye kon 
Main tera aaina hoon 

Tu jeewan ki bharri gali 
Main jungle ka rasta hoon 

Aayi rutt mujhay roye gi 
Jaati rutt ka jhnoka hoon 

Apni lehar hai apna rog 
Dariya hoon aur pyasa hoon 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...