Mohabbat
- Mohabbat woh be-ikhtiyaar amal hai jo apney anjaam se na waqif hoti hai
- Hum kehtay hain keh humain khalis-o-pakeeza mohabbat chahiya
kiya kabhi hum ne yeh socha hai keh hum se bhe kisi ko khalis
mohabbat ki chaah-o-talaash ho sakti hai
- Mohabbat karo, magar muqadar se shikwa na karo kyn keh mohabbat
main kamyabi her aik ko nahin milti
- Taqat ke nashay main choor kabhi mohabbat nahin kar sakta aur na woh
karta hai .kyn keh ussay zaahm hota hai apni barai ka kek woh jo chahay
kar sakta hai.asal mohabbat us waqat samney aati hai jab doulat-o-ghamand
ka label utarta hai