Mar 14, 2015

Tum Aksar yaad aatay ho


Tum Aksar yaad aatay ho

Kaho ab kya kahoon tum se 
Bataao kya likhon tum ko 
Mujhay tamheed do koi 
Mujhay umeed do koi 
Naya ik lafz ho koi 
Jahan se baat chal niklay 
Meri mushkil ka hal niklay 
Bataao lehja kaisa ho 
Keh tum se baat karni hai 
KAho ab kya iraada hai 
Mujhay izhaar karna hai 
Keh tum ko yeh batana hai 
Tum Aksar yaad aatay ho

Zindagi dar kay nahin hoti basar janay do


Zindagi dar kay nahin hoti basar janay do
Jo guzarti hai qayamat woh juzar janay do 

Dekhtay jana badal jaye ga manzar saara 
Yeh dhuwaan sa to zara neechay utar janay do 

Phir chalay aaye ho tum meri masihaai ko 
Pehlay kuch ristay huye zakham to bhar janay do 

Aik khushboo ki tarah zinda raho duniya main 
Aur phir kya hai agar khud ko bikhar janay do 

Aarzoo apni badal daalo khuda ki khatir 
In ki dehleez pe phoro na yeh sar janay do 

Dil-e-nadaan tu samjhta hi nahin duniya ko 
Kon rakhta hai bhala kis ki khabar janay do 

Saad tum Aib nikaalo na hamara aisay 
Hum bhi rakhtay hain gilay shikway magar janay do 

Hall nikaala hai yeh udaasi ka


Hall nikaala hai yeh udaasi ka 

Ab musalsal udaas rehta hoon !!

Iss Qadar Bhooka Hoon Saahib !


Iss Qadar Bhooka Hoon Saahib !

Dhoka Bhi Khaa Leta Hoon

Aankhon ko intizaar kay lamhaat somp kar


Aankhon ko intizaar kay lamhaat somp kar 

Neendain bhi koi lay gaya apnay safar kay saath

Haya aankhon main ho to parda dil ka hi kaafi hai


Haya aankhon main ho to parda dil ka hi kaafi hai 

Be'haya aankhein hon to isharay naqaabon main bhi hotay hain

Soya hai be'wafa yaar narm bistar pe chahdar Orrh kar


Soya hai be'wafa yaar narm bistar pe chahdar Orrh kar 

Ussay kiya khabar us kay diye huye zakham raat main bhout dard detay hain

Kya baat hai jis ka gham bhout hai


Kya baat hai jis ka gham bhout hai
Kuch din se yeh aankh nam bhout hai 

Mil leta hai guftagoo ki had tak 
Itna hi tera karam bhout hai 

Ghar aap hi jag'magaa uthay ga 
Dehleez pe ik qadam bhout hai 

Mil jaye agar teri rafaqat 
Mujh ko to yahi janam bhout hai 

Kiya shab se hamein sawal karna 
Hona tera subh dam bhout hai 

Kiyon bujhnay lagay chragh meray 
Ab kay to hawa bhi kam bhout hai 

Chup kiyon tujhay lag gayi hai "Parveen"
Suntay thay keh tujh main rum bhout hai

Roothnay walay bata kaisay mana'ein tujh ko


Roothnay walay bata kaisay mana'ein tujh ko 

Muskura de keh ab jaan pe ban aai hai

Ussay kehna Qasid ! Qabristaan bharay paray hain aisay logon se


Ussay kehna Qasid ! Qabristaan bharay paray hain aisay logon se

Jo samjhtay thay keh hamaray baghair yeh duniya kuch nahin

Aainay mujh se khouf khaatay hain


Aainay mujh se khouf khaatay hain 

Tu ne pathar bana diy amujh ko

Masoom se armaano ki masoom si duniya


Masoom se armaano ki masoom si duniya

Jo kar gaye barbaad unhain eid mubarak

Liye phirta hai her insaan seenay main chupaye yeh dil


Liye phirta hai her insaan seenay main chupaye yeh dil

Haqeeqat main jissay kehtay hain dil woh dil nahin milta 

Yeh haqeeqat ka siyah naag na das jaye kahin


Yeh haqeeqat ka siyah naag na das jaye kahin 

Zindagi aa tujhay khawabon kay hawalay kar doon

Be'wajah jab woh hum se lartay thay na


Be'wajah jab woh hum se lartay thay na 

Bas wahin se hui thi ibtida mohabbat ki

Ho sakta hai main tumhara hi ho jaaon


Ho sakta hai main tumhara hi ho jaaon 

Mujhay baar baar soch kar to dekho

Kitna ikhtiyaar tha us ko apni chahat pe


Kitna ikhtiyaar tha us ko apni chahat pe 
Iss liye jab chaha yaad kiya jab chaha bhula diya 

Janta tha woh mujh ko behlanay kay her andaz 
IS liye jab chaha hansa diya jab chaha rula diya 

Rakhta to tha woh mera bhout hi khayal 
Is liye jab cahha khafa kiya jab chaha mana liya 

LAgta to tha us ko hai mujh se bhout hi pyaar 
IS liye jab chaha apna liya jab chaha daman chura liya

Meray dard se aakhir tera rishta kiya hai


Meray dard se aakhir tera rishta kiya hai 

Dil jab bhi dukhta hai mujhay tum yaad aatay ho

Main jab us se kehta hoon mujhay tum se mohabbat hai


Main jab us se kehta hoon 
Mujhay tum se mohabbat hai 

Nafi main sar hilaata hai 
Nigahon ko jhukaata hai 
Hatheli samnay rakh kar
Kisi ka naam likhta hai

Muthi band karta hai 
Aankhon se lagaata hai 
Phir us ko choom leta hai 
Achanak bol uth'ta hai 

Mujhay is se mohabbat hai 
Yehi to mera sab kuch hai 
Yeh sab kuch samnay paa kay 
Main be'zaar hota hoon 

Mujhay be'zaar paata hai 
To khud bhi reh nahin paata 
Muthi khol deta hai 
Jo muthi khol deta hai 
Mera hi naam hota hai 
Mujhay woh youn satata hai

Bharosa cheez hai aisi juda honay nahin de ga


Bharosa cheez hai aisi juda honay nahin de ga 
Muqaddas pyaar hai apna khata honay nahin de ga 

Bhatak jayein gay  raahon main bichar jayein gay hum dono 
NA ghabraao kabhi aisa khuda honay nahin de ga 

Zamanay main jo teri soch kay bilkul mukhalif ho 
YEh dil aisa koi bhi faisala honay nahin de ga 

Qasam teri jala doon ga main us ko apni Aahon se 
Agar yeh shaher apna rabta honay nahin de ga 

Youn hi apni mohabbat yeh agar parwaan charhti hai 
To yeh phir waqat bhi hum ko juda honay nahin de ga 

Bura insaan nahin hota , bura kirdaar hota hai 
Bura kirdaar hi kisi ko acha honay nahin de ga 

Tu apnay khuda par yaqeen gar yaar rakhta hai 
Siwa teray basy koi nida honay nahin de ga

Adhooray khwaab kay andar kabhi palkain bichana mat


Adhooray khwaab kay andar kabhi palkain bichana mat 

Adhooray khwaab aankhon ko bhout takleef detay hain 

Adhoori yaad ko dil ki zameen main tum nahin bona 

Adhoori yaad dharkan main bhout chubti , 

Sisakti hai , khalish ban kar khatakti hai 

Lahoo main bijliyan ban kar bhatakti hai 

Adhooray pyaar ko lakin chalo janay do is ko tum 

Mohabbat , pyaar , chahat , ishq hotay hi adhooray hain 


Wahan to her qayamat bhi maan jaati hai


Wahan to her qayamat bhi maan jaati hai 

Jahan talak teray qad ki uthaan jaati hai 

Yeh meharbaan mashiyat bhi aik maan ki tarah 

Main zid karon to meri baat maan jaati hai  

MAin kis tareeqay se kaaton ga umar bhar ka firaaq

Woh do gharri bhi juda ho to jaan jaati hai 

Meri be'basi pe zamanay ki tarah tu to na hans


Meri be'basi pe zamanay ki tarah tu to na hans

Agar hamdard nahin ban saktay to tamashai to an ban

Udaas logo hajoom laao keh husn walon ko maar daalein


Udaas logo hajoom laao keh husn walon ko maar daalein 

Koi to neiki ka kaam kar lain tabah to waisay hi ho gaye hain

Yeh dil bhout udaas hai jab se khabar hui


Yeh dil bhout udaas hai jab se khabar hui

Milti hai woh khaloos se her ajnabi kay saath 

Yeh dil bhout udaas hai jab se khabar hui


Yeh dil bhout udaas hai jab se khabar hui 

Milti hai woh khaloos se her ajnabi kay saath

Laga rahay hian jo ilzaam Ehal-e-dil pe bhout


Laga rahay hian jo ilzaam Ehal-e-dil pe bhout 

Kabhi woh apnay gireeban main jhaank kar to dekhein

Ussay dekha , ussay chaha, ussi se pyaar kar bethay


Ussay dekha , ussay chaha, ussi se pyaar kar bethay 

Suno pathar kay dil walo mohabbat aisi hoti hai

Mujhay bana do ishq ki duniya ka badshah


Mujhay bana do ishq ki duniya ka badshah 

Main wada karta hoon her be'wafa ko saza-e-mout de doon ga

Abhi tum sa tha koi ru'ba'ru tumhain yaad hum ne bhout kiya


Abhi tum sa tha koi ru'ba'ru tumhain yaad hum ne bhout kiya
Bari ras bharri thi woh guftagoo tumhain yaad hum ne bhout kiya 

Wohi mast aankhon ki mastiyaan wohi chand chehray ki chandni
Wohi Arz-e-haal tha hoo bahoo tumhain yaad hum ne bhout kiya

Wohi hont thay wohi phool thay wohi be'misal udaasiyan 
Wohi khwaab tha wohi aarzoo tumhain yaad hum ne bhout kiya 

Wohi Aarzoo-e-wasal thi , jo roz-o-shab ki misaal thi 
Wohi dil'kashi , wohi rang-o-boo tumhain yaad hum ne bhout kiya 
 

 

Daao pe apni sari karamaat mat laga


Daao pe apni sari karamaat mat laga 
Dil dasht hai to dasht main baghaat mat laga 

Banti nahin hai baat to sab rang phenk de
Tasveer mat bigaar, Alamaat mat laga

Aisa na ho keh malba mera tujh pe aa giray 
Dewaar khastagi hon mujhay haath mat laga

Ab toot kar jo abr bhi barsain to faida 
Sookhay huye darakhton pe youn paat mat laga 

Kya itabaar hai teray aagay daleel ko 
Apnay biyaan kay saath haqeeqat mat laga 

Tu mehr-o-mae se seekh zara zindagi kay dhang 
Duniya kay kaam kaaj main din raat mat laga 

Ae rehbar tu jaan lay , niyat pe hai muraad
Maqsad kay saath apnay mafadaat mat laga

Kuch malaal zaroori bhi hai magar 
Her waqat us ki yaad main barsaat mat laga 

Ae "Saad" apnay kaan kisi baat par na dhar
Apnay dil ko koi baat mat laga
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...