Jun 13, 2014

Meri dua hai mohabbat mujhay woh hasil ho


Meri dua hai mohabbat mujhay woh hasil ho 

Ussay jo khud se nikalon to paas kuch na rahay

Aankh rakhtay ho to is aankh ki tehreer bhi parho


Aankh rakhtay ho to is aankh ki tehreer bhi parho

Munh se iqraar na karna to hai aadat us ki

Kon is ghar ki dekh bhaal karay


Kon is ghar ki dekh bhaal karay 

Roz aik cheez toot jati hai

Mann ka marham kahin nahin bikta


Mann ka marham kahin nahin bikta 

So dukanain hazaar thailay hain

Ae chaand yahan na nikla kar


 
Ae chaand yahan na nikla kar 
Be'naam se sapnay dikhla kar 

Yahan ulti ganga behti hai 
Is dais main andhay hakim hain 

Na dartay hain , na nadam hain 
Na logon ke woh khadim hain 

Hai yahan pe karo'baar bhout 
Is dais main gurday biktay hain 

Kuch log hain aali shaan bhout 
Aur kuch ka maqsad roti hai 

Woh kehtay hain sab acha hai 
Maghrab ka raaj hi sacha hai
Yeh dais hai andhay logon ka 
Ae chaand yahan na nikla kar

Umar bhar likhtay rahay phir bhi warq sada raha


Umar bhar likhtay rahay phir bhi warq sada raha

Janay woh kiya lafaz thay jo hum se tehreer na ho sakay 

Gur bata dain gy badshahi ky


Gur bata dain gy badshahi ky 

Hum faqeeron se guftagoo kar lo

Haath bandhay kharay hain sab , gum khyalon main apney apney


Haath bandhay kharay hain sab , gum khyalon main apney apney 

Imaam-e-masjid se koi poochay , namaz kis ko parha raha hai

Kabhi dekh dhoop main kharay tanha shajar ko


Kabhi dekh dhoop main kharay tanha shajar ko

Aisay jaltay hain wafaon ko nibhanay wale

Dushmano se mohabbat honay lagi mujh ko


Dushmano se mohabbat honay lagi mujh ko 

Jaisay jaisay apno ko azmatay chalay gaye

Woh baray tajas'sus se pooch baitha meray gham ki wajah


Woh baray tajas'sus se pooch baitha meray gham ki wajah

Main halka sa muskuraya aur kaha , Mohabbat ki hai

Ehsaas-o-amal dono hain dushman-o-jaan-o-dil


Ehsaas-o-amal dono hain dushman-o-jaan-o-dil

Dewaane bhi jaltay hain , parwane bhi jaltay hain 

Main qabal-e-nafrat hoon to chor dy mujh ko wasi


Main qabal-e-nafrat hoon to chor dy mujh ko wasi 

Tu mujh se youn dikhaway ki mohabbat na kiya kar

Khafa na ho hum chalay jatay hain

Khafa na ho hum chalay jatay hain 
Sada kush raho hum chalay jatay hain 

Hum dil ko thaam kar chalay jatay hain 
Bhool jayon tymhain  yeh mumkin nahin 

Bolo kissay bataon hum chalay jatay hain 
Kiya khata hui hum se yeh to batao

Juram sabat karo hum chalay jatay hain 
Dil wale ka dik huwa hai tukray tukray 

Tukray utha loon hum chalay jatay hain 
Khafa na ho , hum chalay jatay hain

Tum ne to keh diya mohabbat nahin hai


Tum ne to keh diya mohabbat nahin hai
Mujh ko to yeh kehnay ki mohlat nahin mili

Neendon ky dais jatay joi khwaab dekhay
Lakin dia jalanay se fursat nahin mili

Tujh ko to khair shaher ky logon ka khauf tha
Aur mujh ko  apnay ghar se ijazat nahin mili

Baizaar youn huwey keh teray ehad main hamain
Sab kuch mila, sakoon ki doulat nahin mili

Woh ana parast sahi us ki baaton main iqraar bhi tha


Woh ana parast sahi us ki baaton main iqraar bhi tha 
Us ky chubtay huwey lehjay main chupa piyaar bhi tha 

Woh mujhay likhta tha muntazir na rehna lakin 
Us ki tehreer main sadiyon ka intizaar bhi tha 

Woh kehta hai keh mat rootho keh manana nahin ata 
Meri narazgi pe lakin woh be'qaraar bhi tha 

Woh shayed phir na likhta ussay apni khabar lakin 
Dosti ka bharam rakhna tah , kuch dil be'ikhtiyaar bhi tha 

Shayed yahi us ka andaaz-e-mohabbat ho faysal 
Woh mera humdam bhi tha sitam sha'aar bhi tha

Mumkin ho aap se to bhula dijiye mujhay


Mumkin ho aap se to bhula dijiye mujhay
Pathar pe hoon lakeer , mitta dijiye mujhay

Her roz mujh se taza shikayat hai aap ko
Main kiya hoon , Aik baar bata dijiye mujhya 

Meray siwa bhi hai koi mozo-e-gutagoo 
Apna bhi koi rang dikha dijiye mujhay 

Main kiy ahoon , kis jaga hoon , mujhay kuch kahabar nahin 
Hain aap kitnay door zara sada dijiye mujhay 

Ki main ne apnay zakham ki tasgreeh ja baja 
Main manta hoon jurm, saza dijiye mujhay

Qaim to ho sakay koi rishta ghour ky sath 
Gehray samandron main baha dijiye mujhay 

Shab bhar kiran kiran ko trasnay se faida 
HAi tairagi to Aag laga dijiye mujhay 

Jaltay dino main khud paas-e-dewaar baith kar 
Saaye ki justagoo main laga dijiye mujhay 

Youn to shola-e-jaan sard ho chuka 
Lakin sulag uthon to hawa dijiye mujhay

Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor dia


Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor dia
Apni zindagi ko talaash karna hi chor dia

Sab beeti hui batain bhula di hum ne 
Ab dil main mazi basana chor dia

Kaanton se bhar detay hain log daaman
Hum ne aangan main phool khilana hi chor diya 

Kabhi na mangain gy kisi se bheek mohabbat ki 
Is hi liye hum ne piyaar karna hi chor dia

Ae mohabbat teray anjaam pe rona aya


Ae mohabbat teray anjaam pe rona aya 
Janay kiyon teray naam pe rona aya 

Youn to her shaam umeedon main guzar jati hai
Aaj kuch baat hai jo shaam pe rona aya 

Kabhi taqdeer ka maatam kabhi duniya ka gila 
Marzi yeh ishq main her kaam pe rona aya 

Jab hua zikar zamanay main mohabbat ka mir
Mujh ko apnay dil-e-na'kaam pe rona aya 

Pooch lo tum bhi is zamanay se


Pooch lo tum bhi is zamanay se
Piyaar chupta nahin chupanay se

Paas atay ho chooty ho baat kartay ho 
Kabhi matlab se kabhi bahanay se

Piyaar dil main hai to layo zubaan pe
Aag barhti hai yeh bujhanay se

Tumhain na pana shayed behtar hai 
Paa kar ohir se tumhain ganwanay se

Chalo ek dua to apni poori hui
Mil liya apnay ik deewane se 

roye jatay ho , bas roye jatay ho 
Kiya ho ga yeh dhan lutanay se

Karo koshish keh qurbatein hi rahein 
Doorian barh jati hain barhanay se

Kiya sunaein kisi ko raaz-e-dil 
Dard bhi barhta hai su'nanay se

Juda jab ho jayon to meri yaad main roya mat karna


Juda jab ho jayon to meri yaad main roya mat karna 
Her waqat ka jagna aur dair se soya mat karna

Youn hi sotay main agar zikar ho jaye mera 
Khwaab palkon pe meray piroya mat karna

Ho dil be'taab jab mujh se milnay ko 
Pyaar ki is judai main khud ko be'haal mat karo

Hamain to her haal main jeena hai youn hi tanha 
Tum apni zindagi banana , hargiz mera intizaar mat karna 

Chupaye dil main ghamon ka jahan baithay hain


Chupaye dil main ghamon ka jahan baithay hain 
Teri bazam main hum be'zubaan baithay hain 

Yeh aur baat keh manzal pe hum ponch na paye
Magar yeh kam hai kiya chaan baithay hain 

Fugaan hai dard hai soz-e-firaaq-o-daagh-e-alam 
Abhi to ghar main bhout meharbaan baithay hain 

Ab aur gardash-e-taqdeer kiya staaye gi
Lutaa ky ishq main naam-o-nishaan biathay hain 

Woh ik lafaz-e-mohabbat hai dil ka dushman hai 
Jissay shartay ehsas maan baithay hain 

Hai mehkadon ki baharon se dosti sagar 
Baray had-e-yakeen-o-gumaan baithay hain 

Jab tak main zinda hoon mujhay jee bhar sataa lo


Jab tak main zinda hoon mujhay jee bhar sataa lo
Phir kis se meray baad yeh ashaa karo gay

Dekho na stayo chup rehnay do aye dost
Mar jayein gy jis din to bhout yaad karo gay

Bhar aye ga dil tum se ansoo na rokain gy
Ro ro ky tasawar main hamain yaad karo gy

Aa jao keh nahin lagta ab dil kisi surat 
Kiya is dil ko kabhi na abadaad karo gy

Aye dost tumhain chaha hai tamana'on se barh kar 
Khud aik roz is baat ka iqraar karo gy

Tera aana meri duniya main aur chalay jana


Tera aana meri duniya main aur chalay jana 
Jiasay ik phool ka bahar main murjha jana 

Dil ki duniya main keh bas zindagi mehk'kana
Aur phir door ja kay deep sab bhujha jana

Kushki se chal ky samandar ky beech ly ana 
aur manjh'dhaar main youn chor ky chalay jana 

Doori-e-tashnagi ky ehad ki wafa kay liye
Laab-e-fursat se piyasa mujhay loata dena 

Umar bhar sath nibhanay ka ehad kar ky ae dost 
Do qadam chal ky hi daaman ko churra jana 

Teray firaaq main gar jaan chali jaye to
Meri laash pe ik ashk to baha jana

Aaj rootha hua ik dost bhout yaad aya


Aaj rootha hua ik dost bhout yaad aya 
Acha guzra hua kuch waqat bhout yaad aya

Meri aankhon ky her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab yeh aankh rio to bhout yaad aya 

Jo maeray dard ko seenay main chupa leta tha 
Aaj jab dard hua mujh ko bhout yaad aya 

Jo meri aankh main kajal ki tarah rehta tha 
Aaj kajal jo lagaya to bhout yaad aya 

Jo meray dil ky tha qareeb faqat us ko hi 
aaj jab dil ne bulaya to bhout yaad aya 

Meray jeevan ki her kushi main wohi tha sonu
Aaj jab yaad woh aya to bhout yaad aya

Agar hum kahein aur woh muskura dain


Agar hum kahein aur woh muskura dain 
Hum un ky liye zindgani luta dain 

Her ik morr pe hum ghammon ko saza dain 
Chalo zindagi ko mohabbat bana dain

Agar jhud ko bhoolay to kuch bhi na bhoolay 
Keh chahat main un ki khuda ko bhula dain 

Kabhi gham ki aandhi jinhain choo na paye
Wafaon ko hum woh nashaiman bana dain 

Saza dain keh na dain bana ky mitta dain 
Magar woh koi faisala to suna dain 

Ab kis aas main baitha hai Nayi dehleez-e-hayat py


Ab kis aas main baitha hai Nayi dehleez-e-hayat py

Is tarah se muntazir rehna  bhi kuch munasib nahin

Meri mohabbat ki tapish tujh ko pighla dy gi ik din 

Jhooti umeedon se jee ko behlana bhi kuch munasib nahin 

Hua kar kar masloob ishq  e navi  , koi kiya janay 

Her ik ko raaz'daan banana bhi kuch minasib nahin

Dil main ab youn teray bhoolay huwey gham atay hain


Dil main ab youn teray bhoolay huwey gham atay hain 
Jisay bichray huwey kaabay main sanam atay hain 

Aik aik kar ky huwey jatay hain taaray roshan 
Meri manzal ki taraf teray qadam atay hain 

Raqas-e-meay tez karo saaz ki lay tez karo
Soo-e-maikhana safranay harr'am atay hain

Sirf itna hi kaha hai payar hai tum se


Sirf itna hi kaha hai payar hai tum se
Jazbon ki koi numaish nahin ki 

Piyaar ky badlay sirf piyaar manga hai 
Rishtay ki to koi guzarish nahin ki 

Chaho to bhula dena hamain dil se 
sada yaad rakhnay ki sifarish nahin ki 

Khamoshi se toofan seh leta hai jo 
Un badlon ne izhaar ki barish nahin ki 

Tumhain hi mana hai reh'numa apna 
Aur to kisi cheez ki khwaish nahin ki

Pathar bana dia mujhay ronay nahin diya


Pathar bana dia mujhay ronay nahin diya 
Daaman bhi teray gham ne beghonay nahin dia

Tanhaiyaan tumhara pata poochti rahein 
Shab bhar tumhari yaad ne sonay nahin diya 

Aankhon main aa kar baith gayi ansoon ki lehar 
Palkon pe koi khwaab peronay nahin dia

Dil ko tumharay naam ky ansoo aziz thay 
Duniya ka dard dil main semonay nahin dia

Nasir youn us ki yaad chali hath thaam ky 
Mele main is jahan ky khonay nahin dia

Shaahon ki tarah thay, na ameeron ki tarah thay


Shaahon ki tarah thay, na ameeron ki tarah thay
Ham shehr e muhabat ki faqeeron ki tarah thay

Daryaaon mein hotay thay jazeeron ki tarah ham
Sehraaon mein pani k zakheron ki tarah thay

Afsos keh samjha na hamain ehl e nazar ne
Ham waqt ki zambeel mein heeron ki tarah thay 

Gham tauq e guloo, paaon mein zanjir anaa ki
Azaad bhi thay ham tau aseeron ki tarah thay 

Hairat hai Keh wo loug bhi ab, chhorr chalay hain
Jo hathaili main hamari, laKeeron ki tarha thay

Yeh Mazaq Hy Meri Zaat Say Ya Riwaj Hay Tery Shehr Ka


Yeh mazaq hay meri zaat say ya riwaj hay tery shehr ka
Kabi is taraf kabi us taraf kia mizaaj hay tery shehr ka

Yahan nafratain bari aam hain yahan chahton ki qadr nhi
Wo jo khoon tha mery jism main wo anaaj hay tery shehr ka

Nhi hadd yahan kisi zulm ki na hi pas hay kisi rabt ka
Wo jo haal tha yahan kal talak wohi aaj hay tery shehr ka

Yahan kaatna kisi or ko hy bahaduri ki alaamtain
Wo jo jangalon main b tha kbi wohi raj hay tery shehr ka

Sakoon kay din, Faraghat ki raat say bhi gay


Sakoon kay din, Faraghat ki raat say bhi gay
Tujhy ganwa kay bhari kainaat say bhi gay

Juda hotey thay magar dil kabhi na toota tha
Khafa huey to tere iltafaat sy bhi gay

Chalay to Neel ki gehraiyan theen ankhon mein
Palat kay aaey to mouj-e-Faraat sy bhi gay

Khayal tha k tujhy paa k khud ko dhoonden gy
Tu mil gaya to khud apni zaat se bhi gaey

Bichharr kay khat bhi na likhay udaas yaron ne
Kabhi kabhi ki adhoori si baat say bhi gay

Muhabbat ki tmanna hai to phir woh wasf peda kar


Muhabbat ki tmanna hai to phir woh wasf peda kar
Jahan se ishq chalta he wahan tak naam peda kar

Agar sachaai mere ishq main to ae bani Adam
Nigah-e-ishq peda kr jamal-e zarf peda kar

Main tujh ko ,tujh se ziada aur sab se ziada chahon ga
Magar shart yeh hai keh apny andr meri justaju to peda kar

Agar na badloun teri khatir hr ik cheez to kehna 
Tu apne aap me pehly andaz-e-wafa to peda kar

Ajeeb lagti hai sham kabhi kabhi



 
Ajeeb lagti hai sham kabhi kabhi

Zindagi lagti hai be-jan kabhi kabhi

Samajh aaye to hamein bhi batana

Kiyon karti hai yadain pareshan kabhi kabhi

Mousam-e-karb-e-intizar bhi jhoot


Mousam-e-karb-e-intizar bhi jhoot


Dil na maany to wasl-e-yar bhi jhoot


Ay mout.! Teri talab bhi larzish-e-lab


Ay zindagi.! Tera aaitbaar bhi jhoot


Wus'at-e-daastan-e-shouq ghalat


Koshish-e-harf-e-ikhtisaar bhi jhoot


Sirf us ka jhoot hai sach ''mohsin''


Mera pyar b jhoot, mera aitbar bhi jhoot

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...