Mar 15, 2015

Zindagi yahin kahin tehar jaa


Zindagi yahin kahin tehar jaa

Main muqaddar badal kay aata hoon 

Main jhoot bolnay ka hunar seekh raha hoon


Main jhoot bolnay ka hunar seekh raha hoon 

Sach to kisi bhi shakhs ko acha nahin lagta

Sar-e-bazaar baitha ro raha hai apni qismat ko


Sar-e-bazaar baitha ro raha hai apni qismat ko 

Jis ko din kay ujaalon main bhi meri yaad nahin aati

Main raat bhar jaagta hoon aik aisay shakhs ki khatir


Main raat bhar jaagta hoon aik aisay shakhs ki khatir

Jis ko din kay ujaalon main bhi meri yaad nahin aati

Koi pathar sa dil laa do yaaro


Koi pathar sa dil laa do yaaro 

KEh main en insaano main jeena hai 

Neendein bhi nelaam ho jaati hain bazar-e-ishq main


Neendein bhi nelaam ho jaati hain bazar-e-ishq main 

Itna asaan nahin hota kisi ko bhool jana

Mujh se bichri to door hat kay roi


Mujh se bichri to door hat kay roi
Na janay kiyon woh apno main palat kay roi

Yaad aayi us ko jab meri baatein 
Pagli meray khat se lipat kay roi 

Suna hai mehndi laga kar apnay haseen haathon par 
Saheliyon kay bharay jhurmat main roi

Na'janay kitni shikayten thein


Na'janay kitni shikayten thein 
Na'janay kitnay gilay thay un se 

Jo un ki awaaz sunni to bhool baithay 
Sawaal saray jawaab saray

Yaad kartay hain us ko ti Eid mana letay hain


Yaad kartay hain us ko ti Eid mana letay hain 

Hum ne apnay liye Tehwaar alag rakha hai

Main bas itna jaanta hoon teray baghair


Main bas itna jaanta hoon teray baghair 

Zindagi hayaat nahin , mout nijaat nahin

Muqaddar se mangain teri zulf ka saaya


Muqaddar se mangain teri zulf ka saaya 

Phir us kay saaye basar raat karain gay

Bichra tha jis gharoor se woh bhi to yaad kar


Bichra tha jis gharoor se woh bhi to yaad kar

Aankhon main aaj teri yeh Aansoo fazool hain

Jungle thay tareek kahin Kahin matti rait kay teelay thay


Jungle thay tareek kahin 
Kahin matti rait kay teelay thay 
IShq ki raah main aanay walay 
Pathar bhi Nokeelay thay 

Chand si surat wala chehra 
Dekha ek din wadi main 
Zulf siyaah yaqooti lab aur 
Uss kay nain nasheelay thay 

Uss kay hijar kay naag ka dasna 
Kuch itna zehreela tha 
Meri aankh se behnay walay 
Aansoo neelay neelay thay 

Saanson ki shatranj bhi haari 
Phir bhi mil na paya woh 
US kay pyaar main haayel shayed 
Reet , riwaaj , qabeelay thay

Khamosh reh tanha baith aur yaad kar us ko


Khamosh reh tanha baith aur yaad kar us ko 

Tu ne ishq kiya hai gunnah chota nahin tera

Kitna nadaan hoon main keh iss aas par zinda hoon


Kitna nadaan hoon main keh iss aas par zinda hoon 

Loat aayein gay ik din mujh ko chor kar jaanay walay

Hum ne her dukh ko mohabbat ki Enayat samjha


Hum ne her dukh ko mohabbat ki Enayat samjha 

Hum koi tum thay ? ? ? keh tum se shikayat kartay

Kam'sini ka khouf tha par saath to deta mera


Kam'sini ka khouf tha par saath to deta mera

Doobnay walay ko tinkay ka sahaara chahiye

Na chand nikla na tum ne dastak di


Na chand nikla na tum ne dastak di

Aaj ki shaam kitni bojhal hai

Jamaal-e-yaar main rangon ka Emtizaaj to dekh


Jamaal-e-yaar main rangon ka Emtizaaj to dekh 

Sufaid jhoot hain zaalim kay surk honton par

Raat youn saans ruk gayi meri


Raat youn saans ruk gayi meri 

Tu bhool gaya ho jaisay

Kamaal ka peer hai ishq


Kamaal ka peer hai ishq

Chor diya mureed kar kay

Yeh kaisay mumkin hai keh zindagi main gham na milay


Yeh kaisay mumkin hai keh zindagi main gham na milay
Koi hamein na mila kisi ko hum na milay 

Kya chaal chali hai meray muqaddar ne mujh se 
Pyaar tera mila magar tum na milay

Woh saath tha hamaray


Woh saath tha hamaray 
Ya hum paas thay us kay 

Woh zindagi ka aik din ?
Ya zindagi thi aik din

Baarishon kay mousam main


Baarishon kay mousam main 
Waqat kay andheron main 
Main ne uss se poocha tha 
Chor to na jaao gay

Haath thaam kar uss ne 
Kaan main yeh bola tha 
Kaisay chor saktay ho 
Tum to jaan ho meri 

Aur aaj aisa hai 
Waqat ki tamazat main 
Wehshaton kay mousam main 
Main ne uss se poocha hai 

Chor kar hi jana tha 
Muskuraati galiyon main 
Aas kiyon dilaai thi 
Pyaas kiyon jagaai thi 

Meray in sawalon par 
Chaltay chaltay woh bola 
Mousam ki aadat hai 
Waqat par badal jana 


Na'janay kiyon hum se her baat ka gila kartay hain log



Na'janay kiyon hum se her baat ka gila kartay hain log 

Jab keh hum to apnay naseeb ki khushiyan bhi baant detay hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...