Rang pehrahan ka Kushboo Zulf lehraney ka naam
Mousam-e-gul hai tumharay baam par aney ka naam
Dosto is chasham-o-lab ki kuch kaho jis ke bagair
Gulistaan ki baat rangeen hai na mehkhaney ka naam
Phir nazar main phool mehkay Dil main phir shamaein jala'ein
Phir tasawar ne liya is bazam main janey ka naam
Dilbari tehra zubaan khalaq khulwaney ka naam
Ab nahin letay pari ro zulf bikraney ka naam
Mohtasib ki khair, Oncha hai usi ke faiz se
Rind ka, saqi ka ,mae ka, kham ka , paymaney ka naam
Hum se kehtay hain chaman walay Ghreeban-e-chaman
Tum koi acha sa rakh lo apney veeranay ka naam
Faiz un ko hai taqazay-e-wafa hum se jinhain
Aashna ke naam se piyara hai beiganay ka naam
Poet : Faiz Ahmed Faiz