Feb 3, 2017

Yeh haseen shaam apni


Yeh haseen shaam apni
Abhi jis main ghull rahi hai
Teray peh'rahan ki khushbu
Abhi jis main ghull rahay hain
Meray khawab kay shagoofay
Zara dair ka hai manzir
Zara dair main ufaq pe
Khillay ga koi sitara
Teri simat daikh kar woh
Karay ga koi ishara
Teray dil ko aaye ga phir
Kisi yaad ka bulawa
Koi qissa-e-judai
Koi kaar-e-na'mukamal
Koi khawab-e-na'shagufta
Koi baat kehnay wali
Kisi aur aadmi se
Hamein chahiye tha milna
Kisi ehad-e-meharban main
Kisi khawab kay yaqeen main
Kisi aur aasman main
Kisi aur sar'zameen main

Bujha diye hain khud apnay haathon


Bujha diye hain khud apnay haathon 
Mohabbaton kay diye jala kay 
Meri wafa ne ujaar di hain 
Umeed ki bastiyan basa kay 
Tujhay bhulaa dain gay apnay dil se
Yeh faisala to kiya hai lakin 
Na dil ko maloom hai na hum ko 
Jeeyein gay kaisay tujhay bhulaa kay 
Kabhi milein gay jo raastay main 
To munh phair kar palat parein gay 
Kahin sunein gay jo naam tera to 
Chup rahein gay nazar jhukaa kay 
Na sochnay par bhi sochta hoon 
Keh zindgani main kya rahay ga ?
Teri tamana ko dafan kar kay 
Teray khayalon se door jaa kay 



Neend bharri aankhon se ik sapna daikha


Neend bharri aankhon se ik sapna daikha 
Door , bhout door main ne koi apna daikha 

Ussay qadmon ki chaap sunaai deti hai 
Jissay kabhi ik zamanay se nahin daikha 

Woh loat aaye ga iss baat ka yaqeen to tha 
Par kabhi kisi ko itni dair kartay nahin daikha 

Aaj kiyon uss ki aankhein num lagti hain 
Jissay youn kabhi na main ne ashk'baar daikha 


Nahin hai yeh rutt milnay ki woh mousam aur hi ho ga


Nahin hai yeh rutt milnay ki woh mousam aur hi ho ga 
Teray aanay ki gharriyon ka woh aalam aur hi ho ga 

Koi madham mehak aa kar galay ka haar banti hai 
Udasi hijar ki jaisay wisaal-e-yaar banti hai 
Teray phoolon se honton par tabasum aur hi ho ga 

Jahan jis main rafaqat ki khushi mehsoos hoti hai 
Mohabbat jis main her shay da'imi mehsoos hoti hai 
Hamaray haal kay raazon ka mehram aur hi ho ga 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...