Ik sehmi sehmi se aahat hai , ik mehka mehka saya hai
Ehsaas ki is tanhai main yeh raat gaye kon aaya hai
Aye shaam-e-alam kuch tu hi bata , yeh dhang tujhay kiyon bataya hai
Woh meri khoj main nikla tha aur tujh ko dhoond kay aaya hai
MAin phool samjh kay chun loon ga is bheegay se angaaron ko
Aakhon ki ibaadat ka main ne bas aik yahi phal paya hai
Kuch roz se barpa chaar taraf hain shadi-o-gham kay hangamay
Suntay hain chaman ko maali ne phoolon ka kafan pehnaya hai