Mar 5, 2014

Main nazar se pee raha hoon yeh sama badal na jaye



Main nazar se pee raha hoon yeh sama badal na jaye
Na jukhayo tum nighaein kahin raat dhal na jaye

Meray ashak bhe hain is main yeh shraab ubal na jaye
Mera jaam chooney walay tera hath jal na jaye

Abhi raat kuch hai baqi na utha naqaab saqi
tera rind girtay girtay kahin phir sambhal na jaye

Meri zindgi ke malik meray dil pe hath rakh de
teray aney ki kushi main mera dam nikal na jaye

Mujhay phookney se pehlay mera dil nikaal  lena 
yeh kisi hai amanat meray sath jal na jaye

Poet : Anwar Mirza Poori

Jab bahar aye to sehra ki taraf chal nikla



Jab bahar aye to sehra ki taraf chal nikla
Sehne-gul chor gaya dil mera pagal nikla

Jab ussay dhoondney niklay to nishaan tak na mila
Dil main moujood raha Aankh se Ojhal nikla

Ik mulaqaat the jo dil ko sada yaad rahi
Hum jissay umar samjhtay thay woh ik pal nikla 

Woh jo Afsana-e-gham sun kar hansa kartay thay
Itna roye hain keh sab Aankh ka kajal nukla

Hum sukoon dhoondney niklay to pershaan rahay
Shaher to shaher hai jungle bhe na jungle nikla

Kon ayub pershaan hai tareeki main 
Chaand aflaaq pe dil seenay main be kal nikla 

Poet : Ayub Romani

Honthon se cho lo tum Mera geet amar kar do


Honthon se cho lo tum Mera geet amar kar do
Ban jayo Meet Meri, Meri Preet Amar kar do

Na umar ki seema ho na janam ka ho bandhan 
Jab piyaar karay koi to dekhay kewal man
Nai reet chla kar tum yeh reet Amar kar do

Aakaash ka soona pan meray tanha man main 
Payal chankati tum Aa jayo jeevan main
Saansain de kar apni sngeet amar kar do

Jag ne cheena mujh se mujhay jo bhe laga piyara 
Sab jeeta kiye mujh se main her dam he haara
Tum haar ke dil apna meri jeet amar kar do

Honthon se cho lo tum mera geet amar kar do

MAin ne roka bhe nahin Aur woh tehra bhe nahin



MAin ne roka bhe nahin Aur woh tehra bhe nahin 
Hadsa kiya tha jissay dil ne bhulaya bhe nahin

Janey walon ko kahan roak saka hai koi 
Tum chalay ho to koi rokney wala bhe nahin

Kon sa mor hai kyn poan pakarti hai zameen
Us ki basti bhe nahin koi pukara bhe nahin

Be niazi se sabhi  guzray-e-jaan se guzray
Dekhta koi nahin hai Keh tamasha bhe nahin

Woh to sadiyon ka safar kar ke yahan pooncha tha
Tu ne Munh phair ke jis shaks ko dekha bhe nahin

Poet : Aslam Ansari

Ae sanam jis ne tujhay chaand se surat de hai



Ae sanam jis ne tujhay chaand se surat de hai
Usi ALLAH ne Mujh ko bhe mohabbat di hai

Taigh Be Aab hai, Ne Bazoo-e-qatal kamzor
Kuch garaan jani hai . kuch moat ne fursat di hai

koi akseer , ghani dil nahin rakhti aisa 
Khaak saari nahin dee hai mujhay doulat di hai

Furqat-e-yaar main ro ro kay basar karta hoon
Zindgani mujhay kiya di hai museebat di hai

Yaad-e-Mehboob faramosh na hoye , ae dil
Husan-e-niyat ne mujhay ishq si naymat di hai

Gosh paida kiye sunanay ko tera zikar-e-jamaal 
Dekhney ko teray .Aankhon main basarat di hai

Lutaf-e-dil bastagi Aashiq shaida ko na pooch
Do jahan se us aseeri ne fraghat di hai 

Poet : Aatish lakhnavi

Sab Maya Hai




Sab Maya Hai

Sab Maya hai , Sab dhalti phirti chiya hai
Is ishq main hum ne jo khoya jo paya hai
Jo tum ne kaha hai, Faiz ne jo farmaya hai

Sab Maya Hai

Jis gori par hum aik ghazal her shaam likhain
Tum jantay ho hum kyn kar us ka naam likhain
dil us ki bhe chokhat choom ke wapis aya hai

Sab Maya Hai

Woh larki bhe chaand nagar ki rani thi
Woh jis ki Alhar ankhon main hairani thi
Aaj us ne bhe payghaam yahi begwaya hai

Sab Maya Hai

Jo log abhi tak naam wafa ka latay hain
Woh jaan ke dhokay khatay , dhokay datay hain
Haan thoak baja kar hum ne jo hukam lagaya hai

Sab Maya Hai

Jab dekh liya her shaks yahan harjai hai
Is shaher se door aik kutiya hum ne banyi hai
Aur us kutiya ke mathay par likhwaya hai

Sab Maya Hai

Poet : Ibn-E-Insha

Ik Baar Kaho Tum Meri Ho



Ik Baar Kaho Tum Meri Ho

Hum ghoom chukay basti ban main 
Ik Aas ka phaans liye man main 
Koi sajan ho Koi piyara ho
Koi deepak ho koi Tara ho
Jab jeevan raat andheri ho
Ik baar kaho tum meri ho

Jab sawan badal chaye hon 
Jab phagan phool khilaye hon
Jab chanda roop lutata ho
Jab suraj dhoop nahata ho
YA shaam ne basti ghairi ho
Ik baar kaho tum meri ho

Haan dil ka daman phaila ho
Kyn gori ka dil meala ho
Hum kab tak peet ke dhokay main
Tum kab tak door jhrokay main
Kab deed se dil ko sairi ho
Ik baar kaho tum meri ho

Kiya jhagra sood khasaray ka
Yeh kaaj nahin banjaray ka
Sab son aroopa le jaye
Sab duniya duniya le jaye
Tum aik mujhay bahtairy ho
Ik baar kaho tum meri ho

Poet : Ibn-e-Insha

diyaar-e-noor main tera shabon ka sathi ho



diyaar-e-noor main tera shabon ka sathi ho
koi to ho jo meri wehshton ka sath ho

Main us se jhoot bhe bolon tu mujh se sach bolay
meray mizaaj ke sab mousamon ka sathi ho

Main us ke hath na ayon woh mera ho ke rahay
Main gir paron tu meri pastiyon ka sathi ho

Karay kalam jo mujh se to meray lehjay main
Main chup rahon tu meray tawaron ka sathi ho 

Main apney ap ko dekhon woh mujh ko dekhay jaye
Woh meray nafas ki gumrahiyon ka sathi ho

Woh khwaab dekhay to dekhay meray hawalay se
Meray khyal ke sab manzaron ka sathi ho

Poet : Iftikhar Arif

Youn na mil mujh se khafa ho jaisay



Youn na mil mujh se khafa ho jaisay 
Sath chal Moj-e-saba ho jaisay

Log youn hans datay hain
Tu mujhay bhool gaya ho jaisay

Mout bhe aye to is naaz ke sath
Mujh pe ehsaan kiya ho jaisay

hichkiyaan raat ko ati he gayein 
tu ne phir yaad kiya ho jaisay

Aisay anjaan banay baithay ho
Tum ko kuch bhe na pata ho jaisay

Zindagi beet rahe hai danish
Aik be-juram saza ho jaisay

Poet : Ahsaan  Danish

Kisi ki Aankh jo purnam nahin hai



Kisi ki Aankh jo purnam nahin hai
Na samjho yeh keh us ko gham nahin hai

sawaad-e-dard main tanha khara hoon
Palat jayon magar mousam nahin hai

Samjh main kuch nahin ata kisi ki 
Agarcha guftagoo mbham nahin hai

Sulagta kyn nahin tareek jungal
talab ki lo agar madham nahin hai

Yeh basti hai sitam parwardigaan ki
Yahan koi kisi se kam nahin hai

Jo koi sun sakay Amjad to duniya
Ba-juz ik baaz gasht gham nahin hai

Poet : Amjad Islam Amjad

Chaand ke sath kai dard puraney niklay



Chaand ke sath kai dard puraney niklay
Kitney gham thay jo teray gham ke bahanay niklay

Fasl-e-gul aye phir aik baar aseeran-e-wafa 
Apney he khoon ke darya main nahaney niklay

Hijar ki choat ajab sang shikan hoti hai
Dil ki be faiz zameeno se khazaney niklay

Dil ne ik eent se tamee kiya taaj mehal
Tu ne ik baat kahi laakh fasaney niklay

dasht-e-tanhai hijraan main khara sochta hoon 
haye kiya loag mera sath nibhaney niklay

Main ne Amjad Ussay be-wasta dekha he nahin
Woh to kushboo main bhe Ahhat ke bahaney niklay

Poet : Amjad islam Amjad

Honthon pe kabhi un ke mera naam he aye



Honthon pe kabhi un ke mera naam he aye
Aye to sahe bar sar-e-ilzaam he aye

Hairaan hain lab basta hain , dil geer hain gunchay
Kushboo ki zubaani tera payghaam he aye

Taroon se saja lain ge raah shaher-e-tamana
Maqdoor nahin subha chalo shaam he aye

kiya raah badalney ka gila humsafron se
jis raah se chalay teray dar-o-baam he aye

Thak haar ke baithay hain sar kooaye tamana
kaam aye to phir jazba-e-nakaam he aye

Baqi na rahay saakh ada dasht-e-junoon ki
dil main agar andesha-e-anjaam he aye

Poet : Ada Jaferi

Woh ishq jo hum se rooth gaya , Ab us ka haal batain kiya



Woh ishq jo hum se rooth gaya , Ab us ka haal batain kiya
Koi mehar nahin koi qahar nahin, Phir sacha shair sunain kiya

Ik hijar jo hum ko lahaq hai, ta dair ussay dohrain kiya
Woh zehar jo dil main utaar liya, Phir us ke naaz uthaain kiya

Phir aankhain lahoo se khali hain yeh shamein bujhney wali hain
Hum khud bhe kisi key sawali hain, is baat pe hum sharmayein kiya

Ik Aag gham-e-tanhai ki, jo saray badan main phail gaye
Jab jism he sara jalta ho, Phir daman-e-dil ko bachaein kiya

Hum naghma sara kuch ghazlon ke, hum surat gar kuch khwaabon ke
Be jazba-e-shauq sunain kiya, koi khwaab na ho to bataein kiya

Poet : Ather Nafees

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahin Imkaan janaa


Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahin Imkaan janaa
Yaad kiya tujh ko dilaein tera paymaan janaa

Youn hi mousam ki adaa dekh ke yaad aya hai
Kis qadar jald badal jatay hain insaan janaa

Dil yeh Kehta hai keh shyed ho afsurda tu bhe
Dil ki kiya baat karain dil to hai nadaan janaa

Hum bhe kiya sadaa thay hum ne bhe samjh rakha hai
Gham-e-douraan se juda hai gham-e-janaan janaa

Ab tera zikar bhe shyed he ghazal main aye
Aur se aur huaye dard ke unwaan janaa

Hum keh roothi hui Rut ko bhe mana latay tahy
Hum ne dekha he na tha mousam-e-hijraan janaa

Poet : Ahmed Faraz

Khathan hai raah guzar thori door sath chalo



Khathan hai raah guzar thori door sath chalo
Bhout kara hai safar thori door sath chalo

Tamam umar kahan koi sath deta hai
Yeh janta hoon Magar thori door sath chalo

Nashay main choor hoon main bhe tumhain bhe hosh nahin
Bara maza ho agar thori door sath chalo

Yeh aik shab ki mulaqat bhe ghaneemat hai
Kissay hai kal ki khabar thori door sath chalo

Abhi to jaag rahay hain Chraagh rahoon ke 
Abhi hai door sehar thori door sath chalo

Tawaaf Manzal janaa hamain bhe karna hai
Faraz tum bhe agar thori door sath chalo 

Poet : Ahmad Faraz

Yeh kiya sab se biyaan dil ki haltain karni

Yeh kiya sab se biyaan dil ki haltain karni
Faraz tujh ko na ayein Mohabbatain karni

Yeh Qarb kiya hai keh tu samney hai aur hamain
Shumaar abhi se judai ki saatain karni

koi khuda ho keh pathar jissay bhe hum chayain
Tamaam umar usi ibadatain karni

Hum apney dil se hain majboor aur logon ko
Zara se baat pe barpa qiyamtain karni

Milain jab in se to Mabham si guftagoo karna
Phir apney Aap se so so Wazahatain karni

Kabhi faraz naye mousmon main ro dena
Kabhi talash purani raqabtain karni

Kabhi hum khoobsurat Thay

Kabhi hum khoobsurat Thay

Kabhi Hum Khoobsurat Thay
Kitabon main basi khushboo ki manand
Saans Saakin thi
Bhout se un-kahay lafzon se tasverain banatay thay
Prindon ke paron par nazam likh kar
Door ki jheelon main basney walay logon ko sunatay thay
Jo hum se door thay lakin
Hamaray paas rehtay thay
Naye dino ki musaafat jab kiran ke sath Aangan main utarti thi 
To hum kehtay thay
Ammi......... titliyon ke par bhout he khoobsurat hain
Humain mathay pe bosa do
Keh hum ko titliyon ke 
Jugnoan ke dais jana hai
Humhain rangon ke jugno 
Roshni ki titliyaan 
Awaaz dati hain
Naye din ki musaafat rang main doobi hawa ke sath
Khirkee se bulati hai
Humain mathay pe bossa do

Poet : Ahmed Shahmeem

Mujhay is Aas pe jeeney ka saleeqa nahin ata



Mujhay is Aas pe jeeney ka saleeqa nahin ata 
koi mera hai to phir mujh main simit kyn nahin jata

Dil-e-nadaan ki tasali ko to hain afsaney bhout
Phir bhe yeh dil chupkay se sambhal kyn nahin jata

Hazaroon logon ne jhanka hai meray dil ke jahan main
janey is ke siwa yeh nagar bas kyn nahin  Pata

Subho shaam Aankhon main basa rakhi hai surat us ki 
Us ke dil main, main bas jayon Mujhay yeh hunar kyn nahin ata


Us ki sansoon ki tapash se jal gaye honth Faraz



Us ki sansoon ki tapash se jal gaye honth Faraz

Kitni Aag the us main mujhay jalaney kay liye

In badlon ka meray yaar se bhout milta julta mizaaj hai



In badlon ka meray yaar se bhout milta julta mizaaj hai

Kabhi toot kar baras jatay hain kabhi be-rukhi se guzar jatay hain

Phir chaand khila Phir raat thami


Phir chaand khila 

Phir raat thami

Phir dil ne kaha 

Ik teri kami

Phir yaad ke jhonkay mehak gaye

Phir pagal armaan behak gaye

Phir jannat se lagti hai zameen

Phir dil ne kaha ik teri kami

Phir guzray lamhon ki batain

Phir jagi jagi se raatain

Phir taher gaye palkon pe nami

Phir dil ne kaha ik teri kami


yak-tarfa mohabbat ka nuksaan bhout hai



yak-tarfa mohabbat ka nuksaan bhout hai 
Dil toot janey ka imkaan bhout hai

Hum toot kat chahaien jissay ussay khabar he nahin
Is amar pe hearaan dil-e-nadaan bhout hai

Fariyaad karti hai yeh meri tanhai
Bas jayon is dil main yeh veeraan bhout hai

Hum kahan kisi ke Aib se parda uthain ge
Chunanay ko to apna he gerebaan bhout hai

Aankhon se meri lali is liye nahin jate




Aankhon se meri lali is liye nahin jate
Yadon se koi raat jo khali nahin jati

Ab umar na woh rastay na woh mousam ke paltay
Is dil ki magar khaam khyali nahin jati

Ham-raah teray jo phool khilati the dil main
Ab shaam whi dard se khali nahin jati

Koi a ke teray yeh dukh dard sambhalay
Hum se to yeh jageer sambhali nahin jati

Mangay tu Agar jaan bhe to hans kar tujhay de dain
Teri to koi baat bhe taali nahin jati

Hum jaan se jayein ge tabhi baat baney ge
Tum se to koi raah nikali nahin jati

Had-e-intihaa se bhout Aagay tumhain chaha hai


Had-e-intihaa se bhout Aagay tumhain chaha hai
Hum ne wafa se bhout Aagay tumhain chaha hai

Jahan se loat ke aaney ka rasta nahin milta
Us raah se bhout Aage tumhain chaha hai

Us se kaho jinki nigha main mohabbat gunah-e-azeem hai
Hum ne gunnah se bhout Aagey tumhain chaha hai

Mohabbton main harf ba harf mujhay mangna nahin ata 
Main ne Aadab-e-dua se bhout Aage tumhain chaha hai

youn judai ko mera naseeb na banao



Youn judai ko 

mera naseeb na banyo


Kahin aisa na ho

 keh jab
Tum loat kar ayo 
To meray paas 

zindage na rahay

Thi is qadar ajeeb musafat keh mat poocho

 

Thi is qadar ajeeb musafat keh mat poocho

Aankhain abhi safar main thein aur khwaab thak gaye

Shafaq ki jheel main jab sang-e-aaftab giray


Shafaq ki jheel main jab sang-e-aaftab giray
Hamaray ghar pe siyah raat ka azaab giray

Kahin to gardash-e-ayaam thak kar saans bhe le
Kahin to khaima-e-aflaak ki tanaab giray

kisi ke raigaan ashkon ka kuch to hisaab kar
Falak se youn to sitaray bhe be-hisaab giray

Kahin to silsal-e-intizaar khatam bhe ho
Kisi tarah to yeh deewar-r-aztaraab giray

Ghazal ke roop main woh roo barr jo hon mohsin
Labon se lafz urain , Hath se kitaab giray

Juda honey ke sadmay ko agarcha hans ke sehna tha


Juda honey ke sadmay ko agarcha hans ke sehna tha
Ussay rasmi he sahi lakin Khuda hafiz to kehna tha

Zubaan Main itni taqat the Magar sehra ki wehshat main
Meri bachpan se Aadat the Mujhay khamosh rehna tha

Woh kacha ghar woh barish main hamari jagti Aankhin
Humain jati hui barkha se kuch to kehna tha

Hum rasm-e-wafa us se nibhatay bhe kahan tak 
Hamaray khwaab ke ghar thay humain to un main he rehna tha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...