Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Feb 10, 2016
Kabhi toota nahin meray dil se teri yaad ka talism faraz
Dharkano kay naseb-o-faraz ko sanwara tha aur bas
Dharkano kay naseb-o-faraz ko sanwara tha aur bas
Kagaz pe dil ka boujh utara tha aur bas
Bas itna jante hoon keh awaz us ke the
itna pata hai keh us ne pukara tha aur bas
Duniya ki fikar kissay the zamaney ka khauf kiya
Hum ko faqat khyal tumhara tha aur bas
Chahaton ke jahan main kuch fiada ho na ho magar
Chahaton ke jehan main sirf khasara tha aur bas
Logon ne ussay meri mohabbat samjh liya sagar
Woh mujh ko jaan se piyara tha aur bas
Rah-e-wafa main sazaon ko kon dekhay ga
Rah-e-wafa main sazaon ko kon dekhay ga
safar hai dhoop ka chayon ko kon dekhay ga
Hum apni zid pe aye to cheen lain ge tujhay
teray shehar ke aonchi dewaron ko kon dekhay ga
teri bazam ke hum woh chragh hain
Keh jab jalay to hawaon ko kon dekhay ga
Bichar to jayen magar phir khyal ata hai
Teri in dilkash adaon ko kon dekhay ga
Kuch is tarah se nazar andaaz ho gaye
Kuch is tarah se nazar andaaz ho gaye
Jaisay izafi harf thay teri zindagi ki kitab main
Teri wafa pe hai yaqeen mujh ko
Teri wafa pe hai yaqeen mujh ko
Magar phir bhe teri zubaan pe
sada apna naam dekhoon
Kar sakon agar to kuch aisa karoon
Tery dil main utar kar apna maqaam dekhon
Tum se bichar kar pehron sochta rehta hoon
Tum se bichar kar pehron sochta rehta hoon
Ab main kiyon aur kisi ki khatir zinda rahoon
Ae khamosh khalla ka6y maalik teri qasam
Bazam-e-jahan main tujh se ziyada tanha hoon
Jeeti jaagti duniya kay hangamon main
Youn lagta hai jaisay main ik saya hoon
Khoya hai woh jaisay haath ki lakeeron main
Aisay apnay haath ko takta rehta hoon
Reza reza toot chuka hoon andar se
Ghar se baahir gardan taan kar chalta hoon
Janay jis ka naam hai Amjad kon hai woh
Sach poocho to main ik jhoota chehra hoon
Aks-e-khushboo hoon , bikharnay se na rokay koi
Aks-e-khushboo hoon , bikharnay se na rokay koi
Aur bikhar jaaon to mujh ko na samaitay koi
Kaamp uth'ti hoon main yeh soch kay tanhai main
Meray chahray pe tera naam na parh lay koi
Jis tarah khwaab meray ho gaye reza reza
IS tarah se na kabhi toot kay bikhray koi
MAin to uss din se haraasan hoon keh jab hukam milay
Khushk phoolon ko kitabon main na rakhye koi
Ab to is raah se woh shakhs guzarta bhi nahin
Ab kis umeed pe darwaze se jhankay koi
Koi aahat , koi awaz, koi chaap nahin
Dil ki galiyaan bari sunsaan hain aaye koi
Harf-e-taza nayi khushboo main likha chahta hai
Harf-e-taza nayi khushboo main likha chahta hai
Baab ik aur mohabbat ka khulla chahta hai
Ik lamhay ki tawajo nahin hasil us ki
Aur yeh dil keh ussay had se siwa chahta hai
Ik hijaab teh-e-iqraar hai maaneh warna
Gul ko maloom hai kiya dast-e-saba chahta hai
Rait hi rait hai is dil main musafir meray
Aur yeh sehraa tera naqsh-e-kaf-e-paa chahta hai
Yahi khamoshi kai rang main zahir ho gi
Aur kuch roz keh woh shokh khila chahta hai
Raat ko maan liya dil ne muqaddar lakin
Raat kay haath pe ab koi diya chahta hai
Parveen shakir
Ab kay rutt badli to khushboo ka safar dekhay ga kon
Ab kay rutt badli to khushboo ka safar dekhay ga kon
Zakham phoolon ki tarah mehkain gay par dekhye ga kon
Dekhna sab raqs-e-bismal main magan ho jayein gay
Jis taraf se teer aaye ga udhar dekhye ga kon
Zakham jitnay bhi thay sab mansoob qatil se huye
Teray haathon kay nishaan Ae chara gar dekhye ga kon
Woh hawas ho ya wafa ho baat mehroomi ki hai
Log to phal phool dekhein gay shajar dekhye ga kon
Hum chragh-e-subha hi tehray to phir kya sochna
Raat thi kis ka muqaddar aur sehar dekhye ga kon
Aa faseel-e-shaher se dekhein ghaneem-e-shaher ko
Shaher jalta ho to tujh ko baam par dekhye ga kon
Her koi apni hawa main mast phirta hai "Faraz"
Shaher-e-na'parsaan main teri chashme-e-tar dekhye ga kon
Hum aaj bhi hain , soch main doobay huye Mohsin
Hum aaj bhi hain , soch main doobay huye Mohsin
Khud se kabhi duniya se hain roothay huye Moshin
Denay kay liye us ko jo hum ne sambhalay thay
Woh phool kitabon main hain , sookhay huye Mohsin
Woh apni jafaon main kuch kami to karain aaj
Ik umar hui shaher woh choray huye Mohsin
Hum ne yeh kaha tha keh inhain pyaar hai hum se
hum aaj bharri bazam main jhootay huye Mohsin
Aagosh main in ki hamein rahat jo mili hai
Hum aaj kuch andar se hain tootay huye Mohsin
Baad muddat ussay dekha logo
Baad muddat ussay dekha logo
Woh zara bhi nahin badla logo
Khush na tha mujh se bichar kar woh bhi
Us kay chehray pe likha tha logo
US ki aankhein bhi kahay deti thein
Raat bhar woh bhi na soya logo
Ajnabi ban kar jo guzra hai abhi
Tha kisi waqat main apna logo
Dost to khair koi kis ka hai
US ne dushman bhi na samjha logo
Raat woh dard meray dil main utha
Subha tak chain na aaya logo
Khoi khoi aankhein Bikhray baal Shikan alood qaba
Ajnabi
Khoi khoi aankhein
Bikhray baal
Shikan alood qaba
Luta luta insaan
Saaye ki tarah se meray saath raha karta lakin
Kisi jaga mil jaye to
Ghabra kay murr jata hai
Aur phir door se jaa kar mujh ko taknay lagta hai
Kon hai yeh ?
Parveen shakir
Dasnay lagay hain khwaab magar kis se boliye
Dasnay lagay hain khwaab magar kis se boliye
Main janti thi , paal rahi hon sampoliye
Bas yeh huwa keh us ne takaluf se baat ki
Aur hum ne rotay rotay dopatay bigho liye
Shakist-e-zindagi waisay bhi mout hi hai na
Shakist-e-zindagi waisay bhi mout hi hai na
Tu sach bata ! yeh mulaqaat aakhri hai na
MAin khud bhi yaar tujhay bhoolnay kay haq main hoon
Magar jo beech main kam'bakhat shairy hai na
Yeh kor chasham ujalon se ishq kartay hain
Jo ghar jala kay bhi kehtay hain roshni hai na
Tu meray haal se anjaan kab hai Ae duniya
Jo baat keh nahin paya samjh rahi hai na
Tu meray haal se anjaan kab hai Ae duniya
Jo baat keh nahin paya samjh rahi hai na
Main jaan bujh kay aaya tha teegh aur teray beech
Miyan ! nibhani to parti hai dosti hai na
Jashan-e-baharan , raqs-e-butt'an aur thori dair
Jashan-e-baharan , raqs-e-butt'an aur thori dair
Aish-o-tarb ki keh'kishaan aur thori dair
Arbaab-e-ikhtiyaar kay sana khawan-e-khush kalaam
Kaif-o-suroor ka yeh samaa'n aur thori dair
Yeh tam'kanat , yeh zoham magar is kay ba'wajood
Aab-e-rawaan pe sibat nishaan aur thori dair
Hum chal rahay hain janb-e-manzil rawan da'wan
Gum'naam raaston main dhuwan aur thori dair
Seena supar hain baad-e-mukhalif kay ba'wajood
Qaim abhi hai rishta-e-jaan aur thori dair
Phaili hui hai chaar su ik be'hissi magar
Honay ko phir hai azam-e-jawan aur thori dair
Us ko juda huye bhi zamana bhout hua
Us ko juda huye bhi zamana bhout hua
Ab kya kahein yeh qissa purana bhout hua
Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq
Ae marg-e-na'gahaan ! tera aana bhout hua
Hum khald se nikal to gaye hain par ae khuda !
Itnay se waqiaye ka fasana bhout hua
Ab hum hain aur saray zamanay ki dushmani
Us se zara sa rabt barhana bhout hua
Ab kiyon na zindagi pe mohabbat ko waar dain
Is Aashique main jaan se jana bhout hua
Ab tak to dil ka dil se ta'aruf na ho saka
Mana keh us se milna milaana bhout hua
Lo phir teray labon pe usi bewafa ka zikar
Ahmed Faraz ! tujh se kaha na bhout hua
Woh Faisla na karti to kya karti
Woh Faisla na karti to kya karti
Main hawaon sa pagal , woh chragh si larki
Woh acha hai to behtar , bura hai to bhi qabool
Woh acha hai to behtar , bura hai to bhi qabool
Mizaaj-e-ishq main Aaib-e-yaar nahin dekhey jatay
Kahin chatt thi , dar-o-dewar thay , kahin mila mujh ko ghar ka pata dair se
Kahin chatt thi , dar-o-dewar thay , kahin mila mujh ko ghar ka pata dair se
Diya to bhout zindagi ne mujhay , magar jo diya , diya dair se
Hua na koi kaam mamool se , guzray shab-o-roz kuch is tarah
Kabhi chand chamka ghalt waqat par , kabhi ghar main suraj ugga dair se
Yeh sab itafa'qaat ka khail hai yahi hai judai yahi meel hai
Main murr murr kay dekha kya door tak , bani woh khamoshi sada dair se
Kahin ruk gaye raah main be'sabab kabhi waqat se pehlay ghar aayi shab
Huye band darwaze khul khul kay sab jahan bhi gaya main bhi gaya dair se
Sajja din bhi , roshan hui raat bhi , bharray jaam , lehraai barsaat bhi
Rahay saath kuch aisay halaat bhi , jo hona tha jaldi hua dair se
Bhat'takti rahi youn hi her bandagi , mili na kahin se koi roshni
Chuppa tha kahin bheer main Aadmi, hua mujh main roshan khuda dair se
Youn bhi nahin keh meray bulanay se aa gaya
Youn bhi nahin keh meray bulanay se aa gaya
Jab reh na saka to bahanay se aa gaya
Hum kar kay baat phans gaye apnay hi jaal main
Kya palat kay teer nishanay se aa gaya
Aata na tha kabhi hamein apna khayal kuch
Itna bhi us ko paas bithanay se aa gaya
Kya la'taluqi se hua faida hamein
Kya us kay haath baat barhanay se aa gaya
Kuch aur bhi sampoliye haq'daar thay zafar
Main apnay aap uth kay khazanay se aa gaya
Na jee bhar kay dekha na kuch baat ki
Na jee bhar kay dekha na kuch baat ki
Bari Aarzoo thi mulaqaat ki
Shab-e-hijar tak ko yeh tash'weesh hai
Musafir ne janay kahan raat ki
Muqadar meri chasham par Aab ka
Barasti hui raat barsaat ki
Ujaalon ki pariyaan naha'nay lagein
Nadi gun'gunaati khayalaat ki
Main chup tha to chalti hawa ruk gayi
Zabaan sab samjhtay hain jazbaat ki
Kai saal se kuch khabar hi nahin
Kahan din guzara kahan raat ki
Meri halat hai keh ehsaas-e-tarb hai koi
Meri halat hai keh ehsaas-e-tarb hai koi
Teray be'saakhta hans'nay ka sabab hai koi
Fitna gardish-e-doraan zara aahista guzar
Saya-e-zulf main Aaraam talab hai koi
Apnay ronay ka sabab to nahin maloom magar
Log kehtay hain keh taqreeb-e-tarb hai koi
Aaj tak un se raah-o-rasam chali jaati hai
Jin se pehlay kuch tawaqo thi na ab hai koi
Ya tujhay dekh kay bhar aaye khushi se aanoo
Ya meri aankhon main guzri hui shab hai koi
Janay kin logon ki basti main chalay aaye Faraz
Abdeeda hai koi khanda-e-bulb hai koi
Teray hotay huye mehfil main jalatay hain chragh
Teray hotay huye mehfil main jalatay hain chragh
Log kya sada hain suraj ko dikhatay hain chragh
Apni mehroomi kay ehsaas se sharminda hain
Khud nahin rakhtay to Auron kay bujhatay hain chragh
Bastiyan door hui jaati hain rafta rafta
Dam-ba-dam aankhon se chuptay chalay jatay hain chragh
Kya khabar un ko keh daman bhi bharrak uth'tay hain
Jo zamanay ki hawaon se bachatay hain chragh
Go siyah bakhat hain hum log par roshan hai zameer
Khud andheray main hain duniya ko dikhatay hain chragh
Bastiyan chand sitaron ki basanay walo
Kurah-e-arz pe bujhtay chalay jatay hain chragh
Aisay be'dard huye hum bhi keh ab gulshan par
Barq girti hai to zindaan main jalatay hain chragh
Aisi tareekiyan aankhon main basi hain keh Faraz
Raat to raat hai hum din ko jalatay hain chragh
Ghair se tera Aash'na hona
Ghair se tera Aash'na hona
Goya acha hua bura hona
Khud nagoon saar , humsafar baizaar
Ik sitam hai shakista paa hona
Kitni jaan'kah hai zameer ki mout
Kitna Aasaan hai be'wafa hona
Nasha-e-lazzat-e-gunnah kay baad
Sakhat mushkil hai parasaa hona
Aadmi ko khuda na dikhlaye
Aadmi ka kabhi khuda hona
Dil ki baaton pe kon jaye Faraz
Aisay dushman ka dost kya hona
Thak jayein gay raah'geer chaltay chaltay
Thak jayein gay raah'geer chaltay chaltay
Dhal jayein gay mahol main dhaltay dhaltay
Tareeki-e-shab main na kami aaye gi
Bujh jayein gay yeh chragh jaltay jaltay
Kuch na kisi se bolain gay
Kuch na kisi se bolain gay
Tanhai main ro lain gay
Hum be'raah'rawon ka kya
Saath kisi kay ho lain gay
Khud to huye ruswa lakin
Teray bhaid na kholain gay
Jeewan zehar bhara sagar
Kab tak amrat gholain gay
Hijar ki shab sonay walay
Hashar ki aankhein kholain gay
Phir koi Aandhi uthay gi
Punchi jab par tolain gay
Neend to kya aaye gi Faraz
Mout aayi to so lain gay
Udaas aur ziyada kahin na ho jayein
Udaas aur ziyada kahin na ho jayein
Faraz` Anjuman-e-dost se chalo jayein
Na ajnabi na musafir na shaher walay hain
Koi pukaro keh hum bhi kisi kay ho jayein
Jo sadmay hum pe guzarnay hain woh to guzrain gay
Magar yeh aap ko gham kiyon hai , aap to jayein
Ulajtay hain teray sodaiyon se ehal-e-khird
Yeh sada loh bhi pagal kahin na ho jayein
Zamana apni parshaniyon main khoya hai
Chalo keh manzil-e-jaana'n ko dosto jayein
Shab-e-firaaq to kat'ti nazar nahin aati
Khayal-e-yaar main aao Faraz so jayein
Her zakham ko seenay pe saja letay hain
Her zakham ko seenay pe saja letay hain
Her dard ko hum dil main basa letay hain
Tum phoolon pe sotay ho to dukhta hai badan
Hum kaanton ko aankhon se laga letay hain
Jab bhi dil khol kay roye hon gay
Jab bhi dil khol kay roye hon gay
Log Aaraam se soye hon gay
Baaz-ouqaat ba'majboori-e-dil
Hum to kya aap bhi roye hon gay
Subha tak dast-e-saba ne kya kiya
Phool kaanton main paroye hon gay
Woh safeenay jinhein toofan na milay
Na'khuda'on ne daboye hon gay
Raat bhar hanstay huye taaron ne
In kay aariz bhi bhigoye hon gay
Kya ajab hai woh milay bhi hon Faraz
Hum kisi dhiyaan main khoye hon gay
Tu keh ik wadi-e-gul'rang ki shahzadi hai
Tu keh ik wadi-e-gul'rang ki shahzadi hai
Dekh be'kaar se insaan kay liye waqf na ho
Teray khawabon kay jazeeron main bari ronaq hai
Aik anjaan se toofan kay liye waqf na ho
Main to awara sa shaair hoon meri kiya wuqat
Main to awara sa shaair hoon meri kiya wuqat
Aik do geet parishaan se gaa leta hoon
Gahay gahay kisi na'kaam sharabi ki tarah
Aik do zehar kay sagar bhi charhaa leta hoon
Jo saja'ai gayi firdos numaish kay liye
Jo saja'ai gayi firdos numaish kay liye
Woh kisi aur ki tameer hai meri to nahin
Yeh maka'naat , yeh jandir , yeh dukanein , yeh zameen
Meray ajdaad ki jageer hai meri to nahin
Tu ne dekha hi nahin mujh ko tujhay kya maloom
Tu ne dekha hi nahin mujh ko tujhay kya maloom
Waqat ne aaj kissay somp diya hai tujh ko
Kis kay daaman se baandha gaya palu tera
Kis se taqdeer ne wabasta kiya hai tujh ko
Dil jo kehta hai chalo kar dekho
Dil jo kehta hai chalo kar dekho
Kisi be'dard kay ho kar dekho
Lazat-e-gham bhi ajab nasha hai
Dost ki yaad main ro kar dekho
Zindagi silsala-e-khawab-e-tarb
Saya-e-zulf main so kar dekho
Kitni taskeen hai ehsaas ki mout
Kabhi dewana to ho kar dekho
Kitna dil'kash hai jahan-e-guzran
Dil kay Aainay ko dho kar dekho
Maah-o-Anjam bhi thay Aabaad kabhi
In kharabon se bhi ho kar dekho
Resha-e-gul main bhi hai moj-e-khoon
Khaar ki nok chubho kar dekho
Oas ki boond bhi hai sheesh nagar
Aankh ashkon se bigho kar dekho
Zarhay zarhay main hai Aabaad jahan
Khud ko her shai main samoo kar dekho
Shab kay sanaaton main woh baat kahan
Din kay hangamon main kho kar dekho
Tum bagulon kay khuda'wand sahi
Aatish-e-gul to faroo kar dekho
Jo diye le kar nikaltay hain Faraz
Woh bhi khaa jatay hain thokar dekho
Is adaa se kabhi aa kar guzro
Is adaa se kabhi aa kar guzro
Dil kay sehraa ko basa kar guzro
Sang-e-khaara hai zamanay ki nazar
Dil kay Aainay bacha kar guzro
Roshni rehbar-e-rehzan bhi to hai
Raahiyo ! sham'ein bujha kar guzro
Kon janay keh yeh pathar hain keh log
Dasht-e-ghurbar main sadaa kar guzro
Koi kaanta ho keh shabnam ho keh phool
Sab ko Aankhon se laga kar guzro
Safar-e-shouq ho ya manzil-e-gham
Koi hungama utha kar guzro
Chartay suraj kay pujari na bano
Apnay Saaiye main samaa kar guzro
Waqat ne saath diya hai kis ka
Jee main jo aaye sadaa kar guzro
Pehlay dewano ki rasmein thein yahi
Khoon kaanton ko pilaa kar guzro
Aik pal tehro bagulon ki tarah
Aur phir khaak uraa kar guzro
YA to mojon kay shana'sa na bano
Ya kinaron ko baha kar guzro
Dil ajab shaher hai hungamon ka
Kabhi is simt bhi aa kar guzro
Tu san-e-waqat ki raftaar kay saath
Barq kay pankh laga kar guzro
Fikar-o-adraak kay dar'on main Faraz
Mishal-e-tibah jala kar guzro
Rota hoon to ehbaab bura maantay hain
Rota hoon to ehbaab bura maantay hain
Hansta hoon to mujrim mujhay gar'daantay hain
Her haal main Aitraaz karnay walay
Nadaan meray halaat kahan jaantay hain
Dil garmi-e-ehsaas se phukh jayein gay
Dil garmi-e-ehsaas se phukh jayein gay
Qadmon main teray zamanay jhuk jayein gay
Ae hussan faqat jumbish-e-Aabru ki hai dair
Duniya kay karobaar ruk jayein gay
Subscribe to:
Posts (Atom)