Jan 9, 2017

Khizan zada baagh par boonda baandi


Khizan zada baagh par boonda baandi 

Aamad-e-baran ka sanata 
Kabhi kabhi is sanatay main toot kay girtay pattay 
Dev Aasa ashjaar kharray hain 
kahin kahin ashjaar talay veeran puranay raastay 
lay kay chalein awara hawaein 
Aik nishani us ki jo thi us ko wapis ponchanay
Aaj bhout din baad aayi hai shaam yeh chadar taanay 
Ik wada jo main ne kiya tha us ki yaad dilanay 
~!...........!~
Aaj bhout din baad milay thay gehri pyaas aur pani 
Saahilon jaisa husan kisi ka aur meri hairaani 

Shayed woh milay in hi raahon par



Shayed woh milay in hi raahon par 
Jin raahon par chora tha ussay 
Kirno ki kaliyan chuntay huye 
Meri jaanib dortay aatay huye  
phir ruk wapis jaatay huye 
Shayed woh hi mousam ab tak ho 
Jis main , main daikhta tha ussay 

Kaisi hai raah'guzar woh daikhein gay jaa kay ab ussay


Kaisi hai raah'guzar woh daikhein gay jaa kay ab ussay 
Beet gaye baras bhout daikha tha hum ne jab ussay 

 Jaagay ga khawaab-e-hijar se aaye ga loat kar yahin 
Daikhein gay khouf-o-shouq se rozon-o-dar se sab ussay 

Sehraa nahin yeh shaher hai aur bhi log hain yahan 
Charon taraf makaan hain itna hai hosh kab ussay 

Kehnay ko baat kuch nahin jaana hai us ko tujh ko bhi 
Kiyon tu kharra hai raah main rok kay be'sabab ussay 

Baaghon main jaa , Ae khush nawa ayi basant ki hawa 
Zard hawa hai ban ajab  , jadu charha ajab ussay 

Ik ik warq hai baab-e-zar teri ghazal ka Ae "Munir"
Jab yeh kitaab ho chukay jaa kay dikhana tab ussay 

Bas aik maah junoon khaiz ki zia kay siwa


Bas aik maah junoon khaiz ki zia kay siwa
Nagar main kuch nahin baqi raha hawa kay siwa

Hai aik aur bhi surat kahin meri hi tarah 
Ik aur shaher bhi hai qariya-e-sada kay siwa

Ik aur simat bhi hai us se jaa kay milnay ki 
Nishaan aur bhi hai ik nishan-e-paa kay siwa

Zawal-e-asar hai koofay main aur gada'gar hain 
Khulla nahin koi dar baab-e-iltijaa kay siwa

Meri khawaishein baa'is hain meray gham ki "Munir"
Azaab mujh pe nahin harf-e-mad'dua kay siwa


Sun bastiyon ka haal jo had se guzar gayein


Sun bastiyon ka haal jo had se guzar gayein 
Un umaton ka zikar jo raston main mar gayein 

Kar yaad un dino ko keh Aabaad thein yahan 
Galiyan jo khaak-o-khoon ki dehshat se bhar gayein 

Sar sar ki zad main aaye huye baam-o-dar ko daikh 
Kaisi hawaein kaisa nagar sard kar gayein 

Kya baab thay yahan jo sada se nahin khilay 
Kaisi dua'ein thein jo yahan be'asar gayein 

Tanhai ujaar burjon main phirta hai tu "Munir"
Woh zar fishaniyan teray rukh ki kidher gayein 

Chaman main rang-e-bahar utra to main ne daikha


Chaman main rang-e-bahar utra to main ne daikha 
Nazar se dil ka ghubaar utra to main en daikha 

Main neem shab aasman ki wusat ko daikhta tha 
Zameen pe woh husan zaar utra to main ne daikha 

Gali kay baahir tamaam manzir badal gaye thay 
Jo saya-e-ku-e-yaar utra to main en daikha 

Khumaar-e-may main woh chehra kuch aur lag raha tha 
Dam-e-sehar jab khumaar utra to main en daikha 

Ik aur dariya ka samna tha "Munir" mujh ko
Main ik dariya kay paar utra to main ne daikha 

Harri tehniyon kay nagar par gaye


Harri tehniyon kay nagar par gaye 
Hawa kay prinday shajar par gaye 

Ik Aasaib zar in makano main hai 
Makeen us jaga kay safar par gaye 

Bhout dhund hai aur woh naqsh-e-qadam 
Khuda janay kis rah-guzar par gaye 

Keh jaisay abhi tha yahan par koi 
Gumaan kaisay khawab-e-sehar par gaye 

Kai rang paida huye barq se 
Kai aks deewar-o-dar par gaye 

Wohi husan dewana gar taraf 
Sabhi rukh ussi kay asar par gaye 

"Munir" aaj itni udaasi hai kiyon 
Yeh kya saa'ye se behar-o-bar par gaye 

Qaraar-e-hijar main us ki sharaab main na mila


Qaraar-e-hijar main us ki sharaab main na mila 
Woh rang us gul-e-ra'naa ka khawab main na mila 

Ajab kashish thi nazar par saraab-e-sehraa se
Gehar magar woh nazar ka us aab main na mila

Bas ik hijrat daa'im gharon zameeno se
Nishaan-e-markiz dil-e-iztraab main na mila 

Safar main dhoop ka manzar tha aur saa'ye ka aur 
Mila jo mehar main mujh ko sahaab main na mila 

Hua na paida woh shola jo ilam se uth'ta
Yeh shaher murda saheefon kay baab main na mila 

Makaan bana na yahan is diyaar-e-shar main "Munir"
Yeh qasar shouq-e-nagar kay azaab main na mila

Shab-e-wisaal main doori ka khawaab kiyon aaya


Shab-e-wisaal main doori ka khawaab kiyon aaya 
Kamaal-e-fateh main yeh darr ka baab kiyon aaya 

Dilon main ab kay baras itnay weham kiyon jaagay 
Blaad safar main ab iztraab kiyon aaya 

 Hai aab-e-gul pe ajeeb us bahar-e-guzran main 
Chaman main ab kay gul be'hisaab kiyon aaya

Agar wohi tha to rukh pe woh be'rukhi kya thi 
Zara se hijar main yeh inqalaab kiyon aaya 

Bas ik hu ka tamasha tamaam simaton par 
Meri sada kay safar main saraab kiyon aaya 

Main khush nahin hoon bhout door us se honay par 
Jo main nahin tha to us pe shabaab kiyon aaya 

Urra hai shola barq-e-abar ki faseelon par 
Yeh us balaa kay muqabil sahaab kiyon aaya 

Yaqeen kis liye us par se uth gaya "Munir"
Tumharay sar pe yeh shak ka azaab kiyon aaya 

Us shaher kay yahin kahin honay ka rang hai


Us shaher kay yahin kahin honay ka rang hai 
Is khaak main kahin kahin sonay ka rang hai 

Ba'ein chaman hai khud ru darakhton ka jhund sa
Mehraab dar pe us kay na honay ka rang hai 

Toofan abr-o-baad mila saahilon pe hai 
Dariya ki khamoshi main doobnay ka rang hai 

Us ehad se wafa ka sila marg rai'gaan 
Us ki fiza main her gharri khonay ka rang hai 

Surkhi hai jo gulaab si aankhon main Ae "Munir"
Khaar-e-bahar dil main chabhonay ka rang hai 

Tund nasha khumaar sa nikla


Tund nasha khumaar sa nikla 
Aasmaan bhi ghubaar sa nikla 

Kya andheray main roshni si rahi 
Rang lab ka shar'raar sa nikla 

Talkhi-e-gham nikal gayi dil se 
Jisam se ik bukhaar sa nikla 

Daikh kar husan dasht-e-hairaan hoon 
Yeh to manzir diyaar sa nikla

Main hoon be'maar-e-wasal gul se "Munir"
Shouq-e-dil marg zaar sa nikla  

Dil khouf main hai Aalam-e-faani ko daikh kar


Dil khouf main hai Aalam-e-faani ko daikh kar 
Aati hai yaad mout ki pani daikh kar 

Hai baab-e-shaher murda guzar'gah baad-e-shaam 
Main chup hoon us jaga ki gar'rani ko daikh kar 

Hil si rahi hai had-e-safar fart-e-shouq se 
Dhund'laa rahay hain harf mah'ni ko daikh kar 

Aarzada hai makaan main khaak-e-zameen bhi 
Cheezon main shouq naqal makani ko daikh kar 

Hai aankh surkh us lab-e-la'lain kay aks se 
Dil khoon hai us ki shola biyani ko daikh kar 

Parda utha to jaisay yaqeen bhi utha "Munir"
Ghabraa utha hoon samnay sani ko daikh kar 

Us shaher ko jala dena chahiye


Us shaher ko jala dena chahiye 
Phir us ki khaak ko bhi urra dena chahiye 

Milti nahin pannah hamein jis zameen par 
ik hashar us zameen pe uttha dena chahiye 

Had se guzar gayi hai yahan rasam-e-qaahiri 
Is dehar ko ab us ki saza dena chahiye 

Ik tez rad jaisi sada her makaan main 
Logon ko un kay ghar main dar'ra dena chahiye 

Gum ho chalay tum to bhout khud main Ae "Munir"
Duniya ko kuch to apna pata dena chahiye 

Sehan ko chamkaa gayi bailon ko geela kar gayi


Sehan ko chamkaa gayi bailon ko geela kar gayi 
Raat ki baarish falak ko neela kar gayi 

Dhoop hai aur zard phoolon kay shajar her raah par 
Ik zia-e-zehar sab sarkon ko peela kar gayi 

Kuch to us kay apnay dil ka dard bhi shaamil hi tha
Kuch nashay ki lehar bhi us ko sureela kar gayi 

Baith kar main likh gaya hoon dard-e-dil ka maajra 
Khoon ki ik boond kaaghaz ko rangeela kar gayi 

Ik teer tha keh laga aur nikal gaya


Ik teer tha keh laga aur nikal gaya 
Maari jo cheekh rail ne jungle dehal gaya 

Soya hua tha shaher kisi saamp ki tarah 
Main daikhta hi reh gaya aur chaand dhal gaya 

Khawaish ki garmiyan thein ajab un kay jismon main 
Khooban ki sohbaton main mera khoon jal gaya 

Thi shaam zehar rang main doobi hui kharri 
Phir ik zara si si dair main manzar badal gaya 

Muddat kay baad aaj ussay daikh kar "Munir" 
Ik baar dil to dharka magar phir sambhal gaya 

Yeh be'sada sang door akelay


Yeh be'sada sang door akelay 
Ujaar sun'saan ghar akelay 

Chalay chobi kay mastiyon main 
Gaye keh'naan be'khabar akelay 

Moheeb ban tha chaar jaanib 
Kata tha sara safar akelay

Hawa si rangon main chal rahi hai 
Kharray hain woh baam par akelay 

Hai shaam ki zard dhoop sar par 
Hon jaisay din main nagar akelay 

"Munir" ghar se nikal kay hum bhi 
Phirray bhout dar ba dar akelay 


Abar main barq kay gulzaar dikhaatay us ko


Abar main barq kay gulzaar dikhaatay us ko 
Kaash us raat kabhi jaa kay jagaatay us ko 

Sheh-nasheeno pe hawa phirti hai khoi khoi 
Ab kahan hai woh makeen yeh to bata'tay us ko 


Woh jo paas aa kay yon hi chup sa kharra rehta tha 
Us ki to khu thi yeh hi tum hi bulatay us ko 

Gham'gusari ki talab thi yeh mohabbat to na thi 
Dard jab dil main utha tha to chupatay us ko 

Faida kya hai agar ab woh milay bhi to "Munir"
Umar to beet gayi raah pe laatay us ko 

Woh ik khayal jo us shokh ki nigah main tha


Woh ik khayal jo us shokh ki nigah main tha 
Ussi ka aks meray dil ki sard aah main tha 

Ussi tarah woh purani bahar baaqi thi 
Ajeeb husan sa us huzan-e-baar'gaah main tha 

Shafaq ka rang jhalakta tha laal sheeshon main 
Tamaam ujjra makaan shaam ki pannah main tha 

Main us ko daikh kay chup tha ussi ki shadi main 
Maza to sara ussi rasam kay nibah main tha 

Sawad-e-shaher pe ruk gaya tha main to "Munir"
Aur ik dasht-e-balaa meray ghar ki raah main tha 

Deti nahin amaan jo zameen , Aasmaan to hai


Deti nahin amaan jo zameen , Aasmaan to hai 
Kisi jatan se bhi yeh kaam kam nahin hota 

Tamaam ujjray kharabay haseen nahin hotay 
Her ik purana makaan qasar-e-jam nahin hota 

Tamaam umar rah-e-raftagaan ko takti rahay 
Kisi nigah main itna to dam nahin hota 

Yeh hi saza hai meri ab jo main akela hoon 
Keh mera sar teray aagay bhi kham nahin hota 

Woh be'hissi hai musal'sal shakist-e-dil se "Munir" 
Koi bichar kay chala jaye gham nahin hota 

Deti nahin amaan jo zameen , Aasmaan to hai


Deti nahin amaan jo zameen , Aasmaan to hai 
Kehnay ko apnay dil se koi daastaan to hai 

Youn to hai rang zard magar hont laal hain 
Sehraa ki wus'aton main kahin gulistaan to hai 

Ik cheel mumti pe baithi hai dhoop main 
Galiyan ujjar gayi hain magar paasbaan to hai 

Awaz de kay daikh lo shayed woh mil hi jaye 
Warna yeh umar bhar ka safar rai'gaan to hai 

Mujh se bhout qareeb hai To phir bhi Ae "Munir"
Parda sa koi meray teray darmiyaan to hai 

Kis anokhay dasht main ho Ae ghazal ilaan-e-khatan


Kis anokhay dasht main ho Ae ghazal ilaan-e-khatan 
Yaad aata hai tumhein bhi ab kabhi apna watan 

Khoon rulaati hai mujhay ik ajnabi chehray ki yaad 
Raat din rehta hai aankhon main woh hi laal-e-yaman 

Itar main doobi hui hai ku-e-jaana ki hawa 
Aah us ka peh'rahan aur us ka sandal sa badan 

Raat ab dhalnay lagi hai bastiyan khamosh hain 
To mujhay sonay nahin deti meray jee ki jalan 

Yeh bhabu laal mukh hai us pari wash ka "Munir"
Ya shu'aa-e-maah se roshan gulabon ka chaman !
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...