Apr 1, 2014

Meri chashm-e-tasawar se kabhi ojhal nahin hot'ein


Meri chashm-e-tasawar se
Kabhi ojhal nahin hot'ein
Barasti tez barish main
Paron ki naram garam aghosh main dabki hui
Nanhay kabootar ki damakti surmaei ankhain
Keh jin main kaif-o-masti lutf-o-itminaan ki qos-e-qaza
Kuch khaas lamhay gungunati hai
main is nanhay kabootar ki nighahon se
Barasti barishon ka lutaf Chunana chahti hoon
Wafoor-e-shauq
ke farmaan sunana chahti hoon

Be-rabat si sochain meri


Be-rabat si sochain meri
Aaj kal udasi ke bhanwar main
Phansi hui hain
Meri sochain apni zindagi ke
Is la-hasil safar ke baray main soch rahi hain
La-hasil Khidmatain , la-hasil mohabbtain
Na janey kyn zindagi ka rog ban jati hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...