Sep 3, 2014

Jo hadsay yeh jahan mere naam karta hai

Jo hadsay yeh jahan mere naam karta hai 
Mera sha'oor unhain unahin nazar-e-jaam karta hai 

Hamaray chaak-e-giribaan se khailnay walo 
Hamain bahaar ka suraj salaam karta hai 

Hum hi se mili hai qos-e-qaza ko rangeeni 
Hamaray dar pe zamana Qayaam karta hai 

Yeh hai meh;kada , yahan ki her sai ka hazoor
Gham-e-hayaat bhout ehtraam karta hai 

Faqia-e-shaher ne tohmat lagai hai sagar par 
Yeh shakhs dard ki doulat aam karta hai

Nazar mila kay mere paas aa kay loot liya

Nazar hati thi keh phir muskuraa kay loot liya

Dohaai hai mere Allah ki dohaai hai 
Kisi ne mujh se hi mujh ko chupa kar loot liya 

Salaam us pe keh jis ne utha kay parda-e-dil 
Mujhi main reh kay mujhi main samaa kay loot liya 

Yahan to khud teri hasti hai ishq ko dar'kaar 
Woh aur hon gay jinhain muskuraa kay loot liya 

Nigah daal di jis par haseen aankhon ne 
Ussay bhi husan-e-mujasam bana kay loot liya

Kaash tum jaan saktay is mohabbat ko

Tum jaan saktay is mohabbat ko 
Kaash 
Kaash tum dekh saktay 
Tootay huye dil ko 
Behtay huye aanso'on ko 
Is adhooray mousam ko 
Kaash tum parh saktay 
Mere haathon ki lakeeron ko 
Khwaabon ki tabeeron ko 
Dil kay afsaano ko 
Kaash tum samjh saktay 
Mere lafzon ki gehrai ko
Honton ki sachai ko 
Mehfil ki tanhai ko
Kaash tum jor saktay 
Is dil ko
Is rishtay ko
Is waday ko
Lakin yeh soch kar khamosh ho jaata hoon

Woh de raha hai dilaasay to umar bhar kay mujhay

Bichar na jaye phir kahin udaas kar kay mujhay 

Jahan na to na teri yaadon kay qadam hon gay 
Dara rahay hain wohi marhalay safar kay mujhay 

Hawa-e-dasht mujhay ab to ajnabi na samjh 
Keh ab to bhool gaye raastay bhi ghar kay mujhay 

Yeh chand ashk bhi tere hain shaam-e-gham lakin 
Ulajhnay hain abhi haal-o-khud shaher kay mujhay 

Dil-e-tabbah tere gham ko taalnay kay liye 
Sunaa raha hai fasanay idhar udhar kay mujhay 

Kuch is liye bhi main us se bichar gaya "Mohsin"
Woh door door se dekhaye tehar tehar kay mujhay

Baithay baithay kisi ki yaad main kho jana ab zaroori to nahin

Woh be'wafa hai yeh  batana ab zaroori to nahin 

Apnay chaman ki taazgi phoolon k dam se hai 
Her phool se khushboo aana ab zaroori to nahin 

Mera dil toota hai yaaro ik sheeshay ki tarah 
Aawaaz ka aana ya na aana ab zaroori to nahin 

Alwida hotay waqat woh rasmi jumlay ki jaga 
Yeh keh gaya wada nibhaana ab zaroori to nahin 

Ae "dukhi" chorr woh tere muqadar main nahin 
Haath jogi ko dikhaana ab zaroori to nahin

Meri raaton ki raahat din ka itmanaan ly jana

Tumharay kaam aa jaye ga , yeh samaan ly jana 

Tumharay baad kiya rakhna anaa se wasta koi ?
Tum apnay saath mera umar bhar ka maan lay jana 

Shakista kay kuch raizay paray hain farash par , chun lo 
Agar tum jor saktay ho to yeh guldaan ly jana 

Udhar almaariyon main chand aowraaq parishaan hain 
Mere yeh baaqi'maanda khwaab meri jaan ly jana 

Tumhain aisay to khaali haath rukhsat kar nahin saktay
Puraani dosti hai is ki kuch pehchaan lay jana 

Iraada kar liya hai tum main gar sach much bicharnay ka 
To phir apnay yeh saaray wada-o-paimaan lay jana 

Agar thori bhout hai shairy se un ko dil'chaspi 
To un kay samnay tum mera yeh diwaan lay jana 

Kabhi socha hai ?

Kabhi socha hai ?
Hamaray rishtay ka naam kiya hai 
Mohabbat , zaroorat , khwaish , junoon , ishq
Ya
Woh rishta jo 
Aasmaan ka zameen se hai 
Baarish ka sehra se hai 
Haqeeqat ka khwaabon se hai 
Din ka raat se hai 
Yeh kabhi aik doosray se mil nahin saktay 
Lakin aik doosray kay baghair adhooray bhi hain 
Shayed kuch aisa hi rishta 
Mera aur tumhara bhi hai 

Koi to ho jo meri soch ko kitaab kare

Koi to ho jo meri soch ko kitaab kare 
Aur apnay lafaz mere naam intisaab kare 

AMin apni chaandni raaton main us kay geet likhon 
Woh mere dard kay sehraa ko phir chinaab kare 

Main us se pyaar karon aur be'kinaar karon 
Woh mujh pe zulam kare aur be'hisaab kare 

Main dhoop ban kay nikharta rahoon bikharta rahoon 
Woh mujh ko khud main smaitay ti aftaab karon 

Ab is tarah ka saathi kab mile ga "FaraZ"

Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se juda hoon main

Lakin ab yeh sochti hoon kay ab teri kiya hoon main 

Bikhra para hai tere hi ghar main tera hi wajood

Be'kaar mehfilon main tujh ko dhoond rahi hoon main 

Kiya janay kis ada se liya tu ne mera naam 

Duniya samjh rahi hai keh sab kuch teri hoon main 

Lakin ab yeh sochti hoon keh ab teri kiya hoon main 

Sadma to hai mujhay bhi keh tujh se door hoon main 

Lay mere tajurbay se sabaq ae mere naseeb 

Do chaar saal uamr main tujh se bari hoon main 

Aap rooth kar na youn saza deejiye

Aap rooth kar na youn saza deejiye 
Baat jo hai dil main bata deejiye 

Darmiyaan main ho gaya hai jo faasla 
Aap khuda kay waastay mita deejiye 

Haan yahan suroor aur chaa jaye ga 
Aa kay aap chatt pe muskuraa deejiye 

Gulshan-e-wafa kay phool khil jayein gay 
Saath mere do gharri kaat deejiye 

Ek shaam yaad'gaar ban jaye gi 
Aa kay pyaar ka diya jala deejiye 

Tor kar ghamon ka naata parwaaz ka 
Pyaar ka safar unhain kara deejiye

Mud'daton baad dekha unhain

Mud'daton baad dekha unhain 

Hosh kaisay thikaanay lagay 

Ashk palkon pe aaye meri 

Aur lab thar'thraanay lagay 

Janay kaisi hawa chali 

Phool phir muskuraanay lagay 

Jin ko mushkil se bhoolay thay hum 

Phir wohi yaad anay lagay

Hosh kaisay thikaanay lagay

Mud'daton baad dekha unhain 

Hosh kaisay thikaanay lagay 

Ashk palkon pe aaye meri 

Aur lab thar'thraanay lagay 

Janay kaisi hawa chali 

Phool phir muskuraanay lagay 

Jin ko mushkil se bhoolay thay hum 

Phir wohi yaad anay lagay

Gham-e-firaaq se pehlay , shab-e-wisaal kay baad

HAi aur kiya jissay dekhay tere jamaal kay baad 

Tamaam umar kati intizaar main apni 
Koi bhi dukh na mila phir tere malaal kay baad 

Jawaab mil gaya mujhay teri khamoshi se 
Tumharay lafaz kiyon khoye mere sawaal kay baad 

Tumharay mere taaluq pe youn khizaan chali 
Kabhi urooj nahin hai jissay zawaal kay baad 

Main teri yaad kay charchay ko dhaamp doon lakin 
Bachaye ga kiya meri jholi main is kamaal kay baad 

Woh ab ki baar mila is qadar takaluf se 
Kiya kuch bhi na pooch paya main us se haal kay baad

Lahoo ronay se darta hoon , juda honay se darta hoon

Meri aankhain bata'ti hain keh main sonay se darta hoon 

Meri ungli pakar lena , mujhay tanha nahin karna 

Yeh duniya aik mela hai tumhain khonay se darta hoon 

Jo hansti ho to kiyon palkon kay goshay bheeg jaatay hain 

Tumhain maloom hai main is tarah ronay se darta hoon 

Yeh jab se khwaab dekha hai tum mujhay chor jaao gay 

MAin ab darta hoon khwaabon se main ab sonay se darta hoon

Udaasiyon ka yeh mousam badal bhi sakta hai

Woh chahta to mere saath bhi chal sakta tha 

Woh shakhs jissay tu ne chornay main jaldi ki 
Tere mizaaj kay saanchay main dhal bhi sakta hai 

Woh jald'baaz khafa ho kar chal dia warna 
Tnazaat ka koi hal nikal bhi sakta tha 

Ana ne haath uthany nahin dia warna 
Meri dua se woh pathar pighal bhi sakta tha 

Tamaam umar tehray muntazir rahay "Mohsin"
Yeh aur baat hai keh woh raasta badal bhi sakta tha 

Main bhula chuka sabhi waastay, jo thay manzalon kay hasool main

Meri manzalon kay hasool main teri raah aye to kiya karoon 

Jo pukaarta tha her aik gharri jo jurra tha dil se lari lari 
Koi shakhs aisa agar kabhi mujhay bhool jaye to kiya karoon 

Kabhi saath tha jo keh du'ba'du tha hamesha mere hi ru'ba'ru
Jo barhaa raha tha qadam meray wohi to dag'maga jaye to kiya karoon 

Woh chragh-e-dar jo jala kabhi main bujhaa chuka hoon magar kabhi 
Keh bujha huwa bhi dia agar mera ghar jalaye to kiya karoon 

Main ne aks tak to mitta diye sabhi aainay bhi chuppa diye
Tujhay dekhta koi door se mere paas aye to kiya kroon 

Dil ko sehra keejiye , aankhon ka dariya keejiye

Is tarah bhi ik din apna tamaasha keejiye 

Mouj-e-sarsar ka koi jhonka uraa lay jaye ga 
Rait ki dewaar par kab tak bhrosa keejiye 

Ik zara si baat se sheeshay main aa jata hai baal 
Baat main talkhi sahi , ooncha na bola keejiye 

Waqat ki rag-e-rawaan se naqsh saray mit gaye 
Apnay qadmon ka nishaan mur kar bhi dekha keejiye 

Kuch tumharay zakham hain , kuch apni mehroomi kay zakham 
Kis ko pinhaan keejiye , kis ko haveeda keejiye 

Zindagi kab tak hareef-e-shorash-e-dariya rahay 
Is safeenay ko kisi din gharq-e-dariya keejiye

Faraz ab koi gham koi junoon bhi nahin

Faraz ab koi gham koi junoon bhi nahin 
Magar qaraar se din kat rahay hon youn bhi nahin 

Lab-o-lehja bhi mila , guftagoo ka fun bhi 
Magar hu dil pe guzarti hai keh sakoon bhi nahin 

Na janay kiyon meri aankhain barasnay lagti hain 
Jo sach kahoon to kuch aisa udaas hoon bhi nahin 

Meri zubaan ki luknat se bad'gumaan mat hona 
Jo tu kahay to umar bhar tujhay milon bhi nahin 

Faraz jaisay dia qurbat-e-hawa chahaye 
Woh paas aye to mumkin hai keh main rahoon bhi nahin

Kiyon hamain mout kay payaam diye jaatay hain

Yeh saza kam to nahin hai keh jiye jaatay hain 

Hum hain ik shamma magar dekh , bujhtay bujhtay
Roshni kitnay andheron ko diye jaatay hain 

Nasha dono main hai saaqi , mujhay gham dy kay shraab 
Mai bhi pee jati hai , aansoo bhi piyea jatay hain 

Tujh ko barson se kiyon hai tark-e-taaluq ka khayl 
Faisalay woh hain jo pal bhar main liye jaatay hain 

Apni tareekh-e-mohabbat kay woh hi hain "Saqraat"
Hans kar her saans par jo zehar piyea jaatay hain 

Abgeeno ki tarah dil hain ghreebon kay "Faraz"
Toot jatay hain kabhi tor diye jaatay hain

Ajeeb log hain kiya khoob munsafi ki hai

Hamaray qatal ko kehtay hain khud'kushi ki hai 

Yeh baank'pan tha hamara keh zulam par hamain 
Bajaaye naal-o-fariyaad shaairy ki hai 

Zara se paaon bhigoye thay dariya main 
Ghroor yeh hai keh hum ne shanawaari ki hai 

Issi lahoo main tumhara safeena doobay ga 
Yeh qatal-e-aam nahin . tum ne khud ' kushi ki hai 

Hamari qadar karo choudwein kay chaand hain hum 
Khud apnay daagh dikhaanay ko roshni ki hai 

Udaasiyon ko "Hafeez" aap apnay gharr rakhain 
Kiya anjuman ko zaroorat shaguftagi ki hai

Kiya sar-o-kaar ab kisi se mujhay

Kiya sar-o-kaar ab kisi se mujhay 
Waasta tha to tha tujhi se mujhay 

Be'hissi ka bhi ab nahin ehsaas
Kiya hua teri be'rukhi se mujhay 

Mout ki aarzoo bhi kar dekhon 
Kiya umeedain thein zindagi se mujhay 

Phir kisi par na aaitabaar aya 
Youn utaaro na apnay jee se mujhay 

Tera gham bhi na ho to kiya jeena 
Kuch tasali hai dard hi se mujhay 

Kar gaye kis qadar tabaah "Zia"
Dushman , Andaaz-e-dosti se mujhay 

Waasta tha to tha tujhi se mujhay

Kiya sar-o-kaar ab kisi se mujhay 
Waasta tha to tha tujhi se mujhay 

Be'hissi ka bhi ab nahin ehsaas
Kiya hua teri be'rukhi se mujhay 

Mout ki aarzoo bhi kar dekhon 
Kiya umeedain thein zindagi se mujhay 

Phir kisi par na aaitabaar aya 
Youn utaaro na apnay jee se mujhay 

Tera gham bhi na ho to kiya jeena 
Kuch tasali hai dard hi se mujhay 

Kar gaye kis qadar tabaah "Zia"
Dushman , Andaaz-e-dosti se mujhay 

Soz-e-dil bhi nahin sakoon bhi nahin

Soz-e-dil bhi nahin sakoon bhi nahin 
Zindgaani wabaal youn bhi hai 

Teri khwaish aur aur is qadar khwaish 
Wajah-e-haasil sahi joun bhi hai 

Khush bhi hai iltaafat-e-dost se dil 
Ghairat-e-ishq sar'nagoon bhi hai 

Jal kay bujh bhi gayi "Zia" aksar 
Aag seemay main joun to toun bhi hai

Zindgaani wabaal youn bhi hai

Soz-e-dil bhi nahin sakoon bhi nahin 
Zindgaani wabaal youn bhi hai 

Teri khwaish aur aur is qadar khwaish 
Wajah-e-haasil sahi joun bhi hai 

Khush bhi hai iltaafat-e-dost se dil 
Ghairat-e-ishq sar'nagoon bhi hai 

Jal kay bujh bhi gayi "Zia" aksar 
Aag seemay main joun to toun bhi hai

Dil ka kiya hai woh chahye ga musalsal milna

Woh sitam'gar bhi magar sochay kis pal milna 

Wahan nahin waqat to hum bhi hain adeem-ul-fursat 

Us se kiya kehiyea jo her roz kahay kal milna 

IShq ki raah kay musafir ka muqadar maloom 

Dasht-e-umeed main andeeshay ka baadal milna 

Daaman-e-ishq ko agar chaak bhi kar lain to kahan 

Noor main dooba hua subha ka aanchal milna 
 
Dasht-e-shab par dikhaaei kiya dain gi

Dasht-e-shab par dikhaaei kiya dain gi 
Silwatein roshni main ubhrain gi 

Ghar ki dewaarain mere jaanay par 
Apni tanhaiyon ko sochain gi 

Ungliyon ko taraash doon phir bhi 
Aadatein us ka naam likhain gi 

Rang-o-bu se kahin pannah nahin 
Khwaishain bhi kahan amaan dain gi 

Ek khushboo se bach bhi jaaon agar 
Doosri nikhatein jakar lain gi 

Khirkiyon par dabeez parday hon 
Baarishain phir bhi dastakein dain gi 

Silwatein roshni main ubhrain gi

Dasht-e-shab par dikhaaei kiya dain gi 
Silwatein roshni main ubhrain gi 

Ghar ki dewaarain mere jaanay par 
Apni tanhaiyon ko sochain gi 

Ungliyon ko taraash doon phir bhi 
Aadatein us ka naam likhain gi 

Rang-o-bu se kahin pannah nahin 
Khwaishain bhi kahan amaan dain gi 

Ek khushboo se bach bhi jaaon agar 
Doosri nikhatein jakar lain gi 

Khirkiyon par dabeez parday hon 
Baarishain phir bhi dastakein dain gi 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...