Jan 29, 2015

Teri yadon ki rawani aur yeh january


Teri yadon ki rawani
aur yeh january
Meri batain , teri kahani 
aur yeh january
Mera hath , tera sath , lambi sarak
aur yeh january
Gum sum shamein , sunehri ratein
aur yeh january
Behti nadi gatay panchi , urti dhund
aur yeh january
Coffe ' bistar , teri mohabbat
aur yeh january
Tanha mann , tanha chaand , mera kamra
aur yeh january
Meri aankhain , meri neend , meray khwaab 
aur yeh january

Raiza-e-kaanch ki surat main bikhar jaati hoon


Raiza-e-kaanch ki surat main bikhar jaati hoon 
Main teri yaad main jab had se guzar jaati hoon 

Ab guraizan hai woh milnay se jo kehta tha kabhi 
Tum se miltay hi main aur nikhar jaati hoon 

Roz khati hoon tujhay yaad na karnay ki qasam 
Roz wadon se main apnay hi mukar jaati hoon 

Mujh ko tamasha bana diya hai mohabbat ne teri 
Log kastay hain awazein main jidher jaati hoon 

Her gham pe chaya hai mohabbat ka dhoka 
Ab koi pyaar se bolta hai to dar jaati hoon

Yaadon main teri her baat rahay gi


Yaadon main teri her baat rahay gi 

Zindagi teri mohabbat se abaad rahay gi 

Chahaye bhula dein zamanay ko hum 

Teri yeh piyari si dosti hamesha yaad rahay gi

Duniya main phir milein gay agar aankhein khulein to


Duniya main phir milein gay agar aankhein khulein to 

Yeh raat agar aakhri hai to alwida hamesha kay liye

Yaadein ,Zindagi main bhout se log aatay hain


Yaadein 

Zindagi main bhout se log aatay hain 
Kuch apnay kuch beganay 
Kuch jaan se pyaaray lagtay hain 
Jin kay bin jeena bhi dushwaar hota hai 
Jin kay bin her kushi adhoori hoti hai 
Lakin aik din sab chor jaatay ahin 
Kuch jaan boojh kar bhool jaatay hain 
Kuch kisi baat pe naraz ho jatay hain 

Aur 

Kuch khamoshi se hi naatay tor jaatay hain 
Yeh sab wapis loat kar ro nahin aatay 
Lakin reh jaati hain to un ki sirf "yaadain"

Apni to zindagi ki ajeeb kahani hai


Apni to zindagi ki ajeeb kahani hai 

Jis cheez ko chaha woh hi be'gaani hai

Hanstay hain duniya ko hansanay kay liye warna 

Duniya doob jaye in aankhon main itna paani hai 

Suno tum bhout yaad aatay ho


Suno tum bhout yaad aatay ho 

Dil main bas kay dharkan ban jaatay ho 

Suno zara yeh baarish to dekho 

Tum paani ban kar aksar in aankhon main 

Kiyon utar aatay ho 

Yeh dekho yeh faaslay kaisay 

Jo kabhi mitt nahin paatay 

Tum door ho lakin aksar paas rehtay ho 

Suno tum bhout yaad aatay ho 

Haan bhout yaad aatay ho

Khwaishein be'lagaam mat karna


Khwaishein be'lagaam mat karna 

Rizq apna haram mat karna 

Be'wafa kay qareeb mat jaana 

Bad'zubaan se kalaam mat karna 

Doston ko khaloos se milna 

Gharz rakh kay salaam mat karna 

Dekhna kabhi ishq main apni 

Zindagi ghulaam mat karna 

Toot jayein taluqaat agar 

Raaz ki baat aam mat karna 

Kisi kay dil main rehna to umar bhar rehna 

Aik do din qayaam mat karna

In faaslon ki fikar main kiyon karon bhala


In faaslon ki fikar main kiyon karon bhala 

Bhout door reh kar bhi meray paas hai koi 

Is soch main dooba hai bhout dair se mera dil 

Kiya us kay dil main bhi aisa ehsaas hai koi 

Us ki nazron se hai bana meri saanson ka ta'salsul

Is tarah meri zindagi ki aas hai koi 

Us ka jo poochna hai to bas itna hi jaan lo 

Bhout khaas, Bhout khaas, Bhout khaas hai koi 

Abhi jo jaa rahay ho to yeh bhi ussay kehna 

Us kay bina is shaher main bhout udaas hai koi 

Chalo choro janay do in tootay dil ki aahon ko


Chalo choro janay do in tootay dil ki aahon ko 

Agar kisi ko ehsaas hota to hum bikhartay hi kiyon

Na thukraa meri mohabbat mujhay ghareeb samjh kar


Na thukraa meri mohabbat mujhay ghareeb samjh kar 

Yeh doulat walay kharidaar to hotay hain magar wafa'dar nahin

Rahay ga yeh gila taqdeer se hamesha



Rahay ga yeh gila taqdeer se hamesha 

Keh jis ko umar bhar chah ussi ko umar bhar tarsay

Zindagi tu hi bata kaisay tujhay pyaar karoon


Zindagi tu hi bata kaisay tujhay pyaar karoon 

Teri her saans meri umat ghata deti hai

Us ko jana tha woh chala gaya


Us ko jana tha woh chala gaya 
Hum ko khona tha hum ne kho diya 

Farq to sirf itna tha 

Us ne zindagi ka ik pal khoya 
Hum ne ek pal main poori zindagi kho di

Neend se kiya shikwa karon main saaqi


Neend se kiya shikwa karon main saaqi 

Qasoor to us chehray ka hai jo mujhay sonay nahin deta

Na janay kiyon aaj bhout udaas hai hamara dil faraz


Na janay kiyon aaj bhout udaas hai hamara dil faraz 

Lagta hai hamein bhool janay ka iraada hai kisi ka

Wafa ki talaash to aksar be'wafaon ko hoti hai


Wafa ki talaash to aksar be'wafaon ko hoti hai 

Hum ne to duniya hi chor di kisi ki wafa kay liye

Mujhay bhi sikha do bhool janay ka hunar


Mujhay bhi sikha do bhool janay ka hunar 

Mujh se raaton ko uth uth kar roya nahin jata

Qatra-e-shabnam ki tarah urrh jayein gay gul se


Qatra-e-shabnam ki tarah urrh jayein gay gul se 

Ek yaad si reh jaye gi gulshan main hamari

So jaao ab aur kitna ussay yaad kar kay jaago gay ay dil


So jaao ab aur kitna ussay yaad kar kay jaago gay ay dil 

Ussay kiya pata keh us kay liye bhi koi raat bhar jaagta hai

Zindagi ki raahon main hum ne shaam kar di


Zindagi ki raahon main hum ne shaam kar di 

Dil ki her gali teray naam kar di 

Itna bhi na socha kaisay katay gi zindagi 

Bas bina sochay her shaam teray naam kar di

Toot jayein to mukamal nahin honay deti


Toot jayein to mukamal nahin honay deti 

Janay is neend ko khawabon se adawat kiyon hai

Hum ko kuch yaadein satati hain shab-o-roz warna


Hum ko kuch yaadein satati hain shab-o-roz warna

Hum bhi tumhari tarah pur'sakoon so jaatay

Best combination of Faraz , Iqbal and Ghalib


Best combination of Faraz , Iqbal and Ghalib

Ghalib
Zahid sharab peenay dy masjid main baith kar 
Ya woh jaga bata jahan khuda nahin 

Iqbal
Masjid khuda ka ghar hai peenay ki jaga nahin 
Kaafar kay dil main jaa wahan khuda nahin 

Faraz
Kaafir kay dil se aaya hoon main yeh dekh kar 
Khuda mojood hai wahan , ussay pata nahin

Mujh main be'lous mohabbat kay siwa kuch bhi nahin


Mujh main be'lous mohabbat kay siwa kuch bhi nahin 

Tum agar chaho to meri saanson ki talaashi lay lo

Zindagi youn bhi bhout kam hai mohabbat kay liye


Zindagi youn bhi bhout kam hai mohabbat kay liye 

Phir rooth kar waqat ganwanay ki kiya zaroorat hai

Kaash keh tujhay waqat kay sehraa main lagay piyaas


Kaash keh tujhay waqat kay sehraa main lagay piyaas 

Aur tu tarap kay maangay mujhay paani ki tarah

Jalway to be'pannah thay is kainaat main




Jalway to be'pannah thay is kainaat main 

Yeh aur baat hai keh nazar tum pe ruk gayi

Toot jaye gi teri zid ki aadat us waqat ay dost


Toot jaye gi teri zid ki aadat us waqat ay dost 

Jab milay gi khabar tujh ko keh yaad karnay walay yeh jahan chor gaye

Laa teray pairon main marham laga doon


Laa teray pairon main marham laga doon 

Thokar maar kay meray dil ko tujhay chot to lagi ho gi

Hamaray saath beetay lamhon ki yaadein sambhaal kay rakhna


Hamaray saath beetay lamhon ki yaadein sambhaal kay rakhna 

Phir hum yaad to aayein gay par loat kay kabhi nahin aayein gay

You are so much important in my life


You are so much important in my life 
Not because i enjoy your company
But
I feel so much lonely  in your absence

Ek taraf duniya main wafa nahin


Ek taraf duniya main wafa nahin 

Dosri taraf zindagi main maza nahin 

Sab hamain chor kay chalay gaye 

Ae Khuda ! hum to phir bhi kisi se khafa nahin

Saans tootnay se insaan aik hi baar marta hai


Saans tootnay se insaan aik hi baar marta hai 
Magar 
Aas tootnay se insaan pal pal marta hai 

So don't hurt any one in your life

Hum to be'jaan cheezon se bhi wafa kartay hain


Hum to be'jaan cheezon se bhi wafa kartay hain 

Tujh main to phir bhi meri jaan basi hai

Yeh tum se keh diya kis ne keh baazi haar baithay hum


Yeh tum se keh diya kis ne keh baazi haar baithay hum 

Abhi tum pe lutaanay ko hamari jaan baaqi hai

Dil lag janay se behtar tha


Dil lag janay se behtar tha 

Aag lag jaati is dil ko

Tumharay saath chaltay hain hazaron chahnay walay


Tumharay saath chaltay hain hazaron chahnay walay 

Meray honay na honay se tumhain kiya farq parta hai

Yeh zaalim hawaein , yeh awargi ka mousam aur yeh baarish


Yeh zaalim hawaein , yeh awargi ka mousam aur yeh baarish 

Kaash aaj koi mojza ho keh deedar-e-yaar ho jaye

Inhi se larta hoon aur phir inhi pe fakhar karta hoon


Inhi se larta hoon aur phir inhi pe fakhar karta hoon 

Yeh meray dost hain , ya rab tu in ko sada kush rakhna

Dosti nibhatay nibhatay kuch mohabbat si ho gayi hai


Dosti nibhatay nibhatay kuch mohabbat si ho gayi hai 

Us kay saath rehtay rehtay chahat si ho gayi hai 

Us se baat kartay kartay hamain aadat si ho gayi hai 

Ek pal bhi na milay to na'janay be'chaini si rehti hai 

Dosti nibhatay nibhatay kuch mohabbat si ho gayi hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...