Jul 4, 2014

Qareeb hai yaroo roz-e-mehshar Chuppaye ga kashton ka khoon kiyon kar


Qareeb hai yaroo roz-e-mehshar Chuppaye ga kashton ka khoon kiyon kar 

Jo chup rahaye gi zabaan-e-khanjar lahoo pukaaray ga asteen ka

Qismat to dekh tooti hai jaa keh kahan kamnd


Qismat to dekh tooti hai jaa keh kahan kamnd 

Kuch door apne hath se jab baam reh gaya

Qais sehra main akela hai mujhe jaane do


Qais sehra main akela hai mujhe jaane do 

Khoob guzray gi jo mil baithain gy dewaane do

Ek rangeen jhijhak ek sada payaam


Ek rangeen jhijhak ek sada payaam 

kaisay bhoolon kisi ka woh pehla salaam 

Phool rukhsaar ke rasmasaane kage

Rang sa khaal-o-khad se chalakne laga 

Sar se rangeen aanchal dhalakney laga 

Ajnabiyat nigahain churaney lagi 

Din Dhalakne laga , lehar ane lagi 

Saans main ik gulaabi girah par gayi 

Hont thar'tharaye simte nazar garh gayi 

Reh gaya umar bahr kay liye yeh hijaab 

Kiyon na sambhla hua de saka main jawaab 

Kiyon main be'qasad be'azam be'waasta 

Doosri simat ghabra ke takne laga 

Na umeedain kisi se rakhtay to acha hota


Na umeedain kisi se rakhtay to acha hota 
Aitabaar na kisi pe kartay to acha hota

Sabaq deta hai zamana yeh auron ko giraaney ka 
Sahara na kisi ko samjhtay to acha hota

Yaqeen apni kamyaabi ka kisi ko ka bhota hai
Taqdeer ke muqabal na hotay to acha hota 

Sochtay thay aitabaar andha ho ga dewana tum par 
Na khwaan jaagtay main dekhtay to acha hota 

Na chahty tum kisi ko na koi tumhain poojta 
NA achay kisi ko lagtay to acha hota 

Dariya mohabbat ka kab koi paar karta hai dost
Na mohabbat kisi se kartay to acha hota 

Mujhe acha nahin lagta koi hum'naam tera 
Koi tujh sa ho to naam bhi tujh sa rakhay to acha hota 

Meri tarap se tarap kar yeh Aasman roya


Meri tarap se tarap kar yeh Aasman roya 
Lahoo bahaya sitaron ne aur Aasman roya 

Mujhe her aarzo se waqat ne na'shaad kar dala 
Bahaaron ne mera gulshan youn hi barbaad kar dala 

Khizaan bhi ro pari ujraa hua dekha mera aangan 
Mere dukh main meri halat pe sara yeh jahan roya 

Her ik majboor hai meri tarah Aatish bhi qismat bhi 
Mujhay yazdaa ne sab kuch de diya hasrat bhi himmat bhi 

Giri jab barq mere aashiyaan par main nahin roya 
Jala ke mere ghar ko jaate jaate yeh dhuwaan roya 

Mere ansoo bahaye rukhsaar se  to dard ke maare
Meri taqdeer ka kaatib bhi gham se be'pannah roya

Main zindagi dhoondney chali thi par zindagi bhala kahan mili thi


MAin zindagi dhoondney chali thi 
Par zindagi bhala kahan mili thi 

Sochti thi zindagi hai titliyon main , bahaaron main 
Magar bhanware aur khizaaein bhi to hoti hain 

Samjhti thi zindagi hai khushiyon main , muskaanon main 
Magar gham ke saaye , dukh bhari sadayein bhi to hoti hain 

Khyaal tha zindagi hai takmeel-e-khwaishon main 
Par tabeer khawabon main 
Magar na'tamaam hasratein , udaas nigahain bhi to hoti hain 

Shayed main kabhi thi apni aashaon main , armaanon main 
Nahin samjhti thi kahan in kay liye duaein bhi to hoti hain 

Na tha yeh khwabon main , khayaalon main 
Keh zindagi main mout ki rida'ein bhi to hoti hain 

Aur jab paa liya yeh raaz-e-zindagi to jane kiyon 
Dil main bhari hai udasi her soo

Main zindagi dhoondney chali thi 
Aur shayed yahi meri ghalti thi

Ek be'wafa se aik mulaqaat bhout hai



Ek be'wafa se aik mulaqaat bhout hai
Jitna bhi diya hum ne tera sath bhout hai 

Duniya ko dil ke daagh dikhaon to kis tarah 
Aye zindagi yeh raaz chupaon to kis tarah

Apni tabah'iyon main mera haath bhout hai
Jitna bhi diya hum ne tera saath bhout hai 

Toota jo dil ka aaina tootay sabhi bharam 
Hoti hai umar piyaar ki jeenay kay liye kam 

Marney kay liye dard ki raat bhout hai 
Jitna bhi diya hum ne tera saath bhout hai 

Ek be'wafa se aik mulaqaat bhout hai
Jitna bhi diya hum ne tera sath bhout hai


 

Aankh jab ashk bahaye to mujhe likh dena


Aankh jab ashk bahaye to mujhe likh dena
JAb meri yaad sataye to mujhe likh dena

Koi sawan ki ghata jab tere chhat pe aa ke 
Aag si dil main lagaye to mujhe likh dena

Subha ke sanatay main jab toota hua dil koi 
Dard ka geet sunaye to mujhe likh dena

Haath phir dekhna apna subh-e-tanhai main 
Us ki her rekha bulaye to mujhe likh dena

Ae meri jaan-e-jahan tere wafa ke moti 
Bheegi palkain , jo lutaein , to mujhe likh dena

Koi Munh zor zamaane ki hawa ulfat ke
Dil se jab naksh mitayaa , to mujhe likh dena

 

Zindagi aik bandhan pyar ka , nafrat ka


Zindagi aik bandhan 

Pyaar ka , nafrat ka 

Dosti ka , dushmani ka 

Zindagi aik bandhan 

Shayed arzi , shayed haqiqat 

Shayed khoob'surat , shayed bad'surat 

Zindagi aik bandhan 

Shayed dhoop , shayed chaayon 

Shayed mushkalaat, shayed asa'ishain  

Zindagi aik bandhan 

KAbhi rukna , kabhi chalna 

KAbhi hansana , kabhi rona 

Zindagi aik bandhan 

Wafa ka , be,wafai ka

Aaitabaar ka , dhookay ka 

Zindagi aik bandhan 

Shayed hasaas , shayed mazboot

Zindagi aik bandhan 

Khuda ki taraf se pyaar ka

Magar insaan issay 

Jo chahe bana le




Bheer main ik ajnabi ka samna acha laga


Bheer main ik ajnabi ka samna acha laga 
Sab se chup kar woh kisi ka dekhna acha laga 

Surmai aankhon ke neechay phool se khilney lage
Kehtay kehtay kuch kisi ka sochna acha laga

Baat to kuch bhi nahin thi lakin us k aik dam 
Hath ko honton pe rakh ke rokna acha laga 

Chaiy main cheeni milaana us gharri bhaya bhout 
Zer-e-lab woh muskurata "shukriya" acha laga 

Dil main kitney ehad baandhay thay bhulaney ke ussay 
Woh mila to sab iraday torna acha laga 

Be'irada lams ki woh sansain piyare
Lagi kam tawaja aankh ka woh dekhna acha laga 

Neem shab ki khamshee main bheegti sarkon pe kal 
Teri yaadon ke jalwe main ghoomna acha laga 

Us adu-e-jaan ko amjad main bura kaisay kahoon 
Jab bhi aya samne woh be'wafa acha laga

Tumhari yaadain woh tum se ki hui baatain


Tumhari yaadain woh tum se ki hui baatain 

Woh sara waqat jo main ne tumhare sath guzara

Woh saari baatain jo tum ne mujh se ki 

Tumhare sath rewhtay jo ehsaas mehsoos kiya 

Tumhari yaadon ka tumhari baaton ka

Ik khoobsurat mehal bana raha hoon 

Tum ik din jab bhout door chale jaao gy 

Aur mujhe tumhari yaad sataya kare gi 

MAin us mehal main jaya karoon ga 

Tumhain awaaz dia karoon ga 

Tum se baatein kiya karoon ga 

Tumhain yaad kiya karoon ga 

Tumhari yaadain woh tum se ki hui sari baatain

Youn hi umeed dilaatay hain zamany wale


Youn hi umeed dilaatay hain  zamany wale
KAb palat atay hain bhala chor ke jane wale

Tu kabhi dekh jhulastay huye sehra main darakht
Kaisay jaltay hain wafaon ko nibhaney wale 

Un se ati hai tere lams ki khushboo ab tak
Khat nikale huye baitha hoon puraane wale 

Aa kabhi dekh zara un ki shabon main aa kar 
Kitna rotay hain zamaney ko hansaney wale 

Kuch to aankhon ki zubaani bhi keh hi jate hain 
Raaz hote nahin sab munh se batane wale

Aaj baizaar hai sitara hai na koi jugnoo 
Raabtay khatam huye sab un se milaney wale

Jo khayal thay na kiyaas thay woh hi log hum se bichar gaye


Jo khayal thay na kiyaas thay 
Woh hi log hum se bichar gaye 

Meri zindagi ke jo aas thay 
Woh hi log hum se bichar gaye 

Jinhain maanta hi nahin yeh dil 
Wohi log hain mere hamsafar 

Mujhe her tarah se jo raas thay 
Woh hi log hum se bichar gaye 

Mujhe lamha bhar ki rafaqaton ke
 azaab aur staein gy 

Meri umar bhi ki jo piyaas thay
Woh hi log hum se bichar gaye 

Yeh khyal se hain arzii 
Yeh gulaab sare hain kaghazi 

Gul-e-arzoo ki jo bas thay 
Woh hi log hum se bichar gaye 

Jinhain kar saka na qabool main 
Woh shariq-e-raah hai sehar huye

Jo meri talab meri aas thay 
Wohi log hum se bichar gaye

Yeh jo raat din mere saath hain 
Wohi ajnabi keh hain ajnabi

Woh jo dharkano ke asaas thay 
Woh hi log hum se bichar gaye 

 


Yaadon ko apne dil se mitta kiyon nahin dete


Yaadon ko apne dil se mitta kiyon nahin dete
Jo jaa chuka hai us ko bhula kiyon nahin dete

Mujrim hoon main tera mujhe itna to bata
Khamosh kharay ho kiyon saza kiyon nahin dete

use jis ke zakham hain inayat teri 
Gar hai tumhare paas to dawa kiyon nahin dete

Kai ghar nahin baste hain jin ki waja se
Un adh'jali rasmon ko jala kiyon nahin dete 

Us ne tumhari khatir jane kiya kiya nahin kiya 
Tum us ki wafaon ka sila kiyon nahin dete

Tumhain mujh se mohabbat hai jaanta hoon main 
Yeh baat apne lab se bata kiyon nahin dete 

Anmool khazana hain muskurahatein teri 
Thora sa issay mujh pe luta kiyon nahin dete 

Woh aag jo dil main lagaei thi kabhi tum ne 
Woh aag aaj khud hi bhujha kiyon nahin dete 

Ek arsa hua chain se soye huye hum ko 
Mera chain , meri neend loata kiyon nahin dete

Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin


Safar-e-manzil-e-shab yaad nahin 
Log rukhsat huay kab yaad nahin 

Dil main her waqat chubhan rehti thi 
Thi mujhe kis ki talab yaad nahin 

Woh sitara thi, ke shabnam thi , ke phool
Ik soorat thi ajab yaad nahin 

Bhooltay jate hain maazi ke dayaar 
Yaad ayein bhi to sab yaad nahin 

Aisa uljha hoon gham-e-diniya main 
Ik bhi khwaab-e-turab yaad nahin 

Yeh haqeeqat hai keh ehbaab ko hum 
Yaad hi kab thay keh ab yaad nahin 

Yaad hai shaher-e-chraaghaan nasir
Dil ke bujhney ka sabab yaad nahin 

Mujhe roshi ke jazeeray se is tarah mili ho tum , magar


Khwahishain na tamaam

Mujhe roshi ke jazeeray se 
Is tarah mili ho tum , magar 
Yeh roshni ka safar shayed mera hamsafar na ho 
Shayed keh tera milna kabhi bhi 
Meri zindagi ka muqaddar na ho 

So aaj inhi lamhoon main 
Luta dain jitni chahatein hain 
Mere dil ke nihaan khanon main 
Jitni un'kahi baatein hain 
Phir kal fursat mile na mile 
Jis tarah saji hai aaj apni mehfil 
Phir yeh bazam sajay na sajay 
Kiyon keh main jaanta hoon 
Keh meri na'tamaam khwahishon main ab 
tumhain bhi shamil hona hai 
Aaj paya hai tumhain muqadar se 
Kal isi tarah 
Tumhain bhi khona hai

Youn to guzar raha hai her ik pal khushi ke saath


Youn to guzar raha hai her ik pal khushi ke saath 
Phir bhi koi kami si hai kiyon zindagi ke saath 

Rishtay wafaein , dosti sab kuch to paas hai 
kiya baat hai pata nahin dil kiyon udaas hai 

Her lamha hai haseen nayi dil'kashi ke saath 
Phir bhi koi kami si hai kiyon zindagi ke saath 

Chahat bhi hai sakoon bhi hai dil'bari bhi hai 
Aankhon main khwaab bhi hain labon par hansi bhi hai 

Dil ko nahin hai koi shikayat kisi ke sath 
Phir bhi koi kami si hai Kiyon zindagi ke saath 

Chaha tha jaisa waisa hi jeevan  to hai magar 
Ab aur kis talaash main be'chain hai nazar 

Qudrat to meharbaan hai dariya dili ke sath 
Phir bhi koi kami si hai kiyon zindagi ke saath


Nazar faraib-e-qazaa khaa gayi to kiya ho ga


Nazar faraib-e-qazaa khaa gayi to kiya ho ga 
Hayaat  mout se takraa gayi to kiya ho ga 

Nahin sahaher ke bhout log muntazir hain magar
Nahin shaher bhi khajla gayi to kiya ho ga 

Gham-e-hayaat se be'shak hai khud'kushi aasaan
Magar jo mout bhi shrmaa gayi  to kiay ho ga 

shabaab-e-laala-o-gul  ko pukarne walo
Khizaan saraht-e-bahaar aa gayi to kiya ho ga 

Khushi chinni hai to gham ka hi etamaad na kar 
Jo rooh gham se bhi uktaa gayi to kiya ho ga 


Tu wafa kar , wafa ka sila jane khuda jane


Tu wafa kar , wafa ka sila jane khuda jane

Tum dia jalate rehna , hawa jane , khuda jane

Khizaan ka khouf maali ko buz'dil nahin kar sakta 

Chaman abaad rakh ,Baad-e-saba jane , khuda jane

Mareez-e-ishq , Dawa-e-dil samjha dilbar ko

Marz jane , dawa jane , shifa jane, khuda jane

Khuda ik pal ussay mera bana de


Khuda ik pal ussay mera bana de
Itna chahta hoon ussay koi bata de

Bhout naaz hai mujhe apni mohabbat par 
Ho jaye woh mera aisa koi mojza dekha de

Agar woh mera naseeb ban nahin sakta 
Us ke qadmon ki khaak mujhe bana de

Her pal dekhon sapne usi ke 
Na jaagon mujhe aisi neend sula de

Youn ghut ghut kar nahin jeena chahta
Ya woh mujhe mil jaye ya mujhe mitta de

Mujhe her pal tumhari yaad ati hai


Suno , mujhe her pal tumhari yaad ati hai 
Kabhi sansoon ke chalne pe 
To
Kabhi dil ke machalne pe 

KAbhi baarish ke barasne pe 
to
Kabhi aankhain chalakney pe 
Kabhi chaand ke nikalne pe 
To
Kabhi suraj ke dhalne pe 
Kabhi din ke saweron main
to
Kabhi raat ke andheron main 
Kabhi logon ke mele main 
To
Kabhi tanha akele main 
Tumhari bas tumhari yaad ati hai 
Suno
Mujhe her pal tumhari yaad ati hai 



Ik ass si bandh jaati taskeen to ho jati


Ik ass si bandh jaati taskeen to ho jati 

Wada na wafa kartay , wada to kiya hota

Ghairon se kaha tum ne , ghairon se suna tum ne


Ghairon se kaha tum ne , ghairon se suna tum ne

Kuch hum se kaha hota ,kuch hum se suna hota

Shayed isi ka naam mohabbat hai



Shayed isi ka naam mohabbat hai 

Ik aag si lagi hai , seenay ke andar lagi hui

Shab ko may pi li aur subha ko toba kar li


Shab ko may pi li aur subha ko toba kar li 

Rind ke rind rahe hath se jannat na gayi

Sab kuch khuda se maang liya tujh ko maang kar


Sab kuch khuda se maang liya tujh ko maang kar 

Uth'tay nahin hain hath mere is dua ke baad

Daikh hi lain gy ishara sar-e-mehfil jo kiya


Daikh hi lain gy ishara sar-e-mehfil jo kiya 

Tarney wale qayamat ki nazar rakhtay hain

Dil ke tukron ko baghal beech liye phirta hoon



Dil ke tukron ko baghal beech liye phirta hoon 

Kuch ilaaj is ka bhi ae chara garaan hai keh nahin

TAr damani pe shaikh hamari na jaaiyo


TAr damani pe shaikh hamari na jaaiyo

Daaman nichor dain to farishtay wozuu karain

Baagh'baan ne aag di jab ashiyane ko mere


Baagh'baan ne aag di jab ashiyane ko mere 

Jin pe takiya tha wohi pattay hawa denay lage

Bhout jee khush hua haali se mil kar


Bhout jee khush hua haali se mil kar 

Abhi kuch log baaqi hain jahan main

Us zulf pe phabti shab-e-dejoor ki soojhi


Us zulf pe phabti shab-e-dejoor ki soojhi 

Andhay ko andheray main bari door ki soojhi

Tujh se bichra to kidhar jaaon ga


Tujh se bichra to kidhar jaaon ga 
Main to be'chaini se mar jaoon ga 

Main to aise nahin jane wala
Chaand doobay ga to gahr jaaon ga 

Motiyon se bhara bartan hoon main 
Toot jaaon ga , bikhar jaaon ga 

Main to seh'maa hua snaata hoon 
Apni awaaz se dar jaaon ga 

Main agar koi samandar bhi hoon 
Ik tere dard se bhar jaaon ga

Waqat ki rut se main farhat 
Kahin chup chaap utar jaaon ga

Paas tum hote to koi shrarat kartay


Paas tum hote to koi shrarat kartay 
Tujhey le ke baanhon main mohabbat kartay 

Dekhtay teri aankhon main neend ka khumaar 
Apni khoyi hui neendon ki shikayat kartay 

Teri aankhon main apna aks dhoondty 
Khud se bhi ziada teri chahat kartay 

Jis ki hakoomat thi us ke ghulaam thay 
Qabeelay main ae dost kis se baghawat kartay 

Ek dil hi tha , woh bhi us ke paas tha 
Raat bahr jaag kar kis ki hifaazat kartay

KAbhi khud bhi mere paas aa meri baat sun mera sath de


KAbhi khud bhi mere paas aa meri baat sun mera sath de 

Jo khalish hai dil se nikaal ke mujhe uljhano se nijaat de

Tera sochna mera mashghala tujhe dekhna meri aarzoo

Mujhe din de apne khyal ka mujhe apne qurb ki raat de

Main akela bhatkoon kahan kahan yeh safar bhout taveel hai 

Meri zindagi mere sath chal mere hathon main apna hath de
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...