Mar 7, 2015

Milan ki Aarzoo karna , safar ki justagoo karna


Milan ki Aarzoo karna , safar ki justagoo karna 
Jo tum mayoos ho jayo 
to mujh se guftagoo karna 
YEh aksar ho bhi jaata hai 
keh koi kho bhi jaata hai 
Muqaddar ko satayo gay 
To phir yeh so bhi jaata hai 
Agar tum hosla rakho
Wafa ka silsala rakho
Jo tum se pyaar kar baithay 
to us se raabta rakho
Main yeh daway se kehta hoon 
Kabhi na'kaam na ho gay 
Mohabbat ko samjh jaao
Kabhi bad'naam na ho gay 

Main yeh nahin kehti keh koi dil main na samaye


Main yeh nahin kehti 
Keh  koi dil main na samaye 
Main yeh nahin kehti
Keh koi Aarzoo na ban paye
Par !
Itna zaroor kehna hai 
Agar samjh sako to 
Yeh samjh lo
Keh dil main kabhi kisi ko itni jaga na do 
Keh dil kay liye dharakna hi
Mushkil ho jaye

Tooti hai meri neend , magar tum ko is se kya


Tooti hai meri neend , magar tum ko is se kya 

Bajtay rahay hawaon se dar tum ko is se kya 

Tum moj moj misal-e-saba ghoomtay raho

Kat jayein meri soch kay par , tum ko is se kya 

Tum ne to thak kay dasht main khaimay laga liye 

Tanha katay kisi ka safar , tum ko is se kya

Main ne phir teray tasawur kay kisi lamhay main


Main ne phir teray tasawur kay kisi lamhay main

Teri tasveer pe lab rakh diye Aahista se

Jo khabar ponchi yahan tak asal surat main na thi


Jo khabar ponchi yahan tak asal surat main na thi
Thi khabar achi magar , ehal-e-khabar achay na thay

Bastiyon ki zindagi main be'zari ka zulam tha
Log achay thay wahan kay , ehal-e-zar achay na thay

Hum ko khubaan main nazar aati theinkitni khoobiyan 
Jis qadar achay lagay thay , is qadar achay na thay 

Is liye aayi nahin ghar main mohabbat ki hawa
Is mohabbat ki hawa kay , muntazir achay na thay 

Ik khayal-e-khaam hi murshad tha in ka aye
Yehni apnay shaher main Ehal-e-nazar achay na thay



Wussat-e-ishq main tang'dili ka Aalam to dekhiye


Wussat-e-ishq main tang'dili ka Aalam to dekhiye 

Ek ko chahna , faqat usi ko chahna aur phir kuch na chahna

Nashay main sambhalnay ka fun youn hi nahin aaya Sahib


Nashay main sambhalnay ka fun youn hi nahin aaya Sahib

Un ki zulfon se seekha hai lehra kay sanwar jana

Loat jaata phir se uss kay paas magar kya faida ?


Loat jaata phir se uss kay paas magar kya faida ?

Na dil raha , na pyaar raha , na dil ko uss par aetabaar raha

Be'rukhi se sun'nana dard-e-dil ki daastan


Be'rukhi se sun'nana dard-e-dil ki daastan 

Woh kalaai main tera kangan ghumaana yaad hai

Kitni tashreeh karon uss zaalim kay husan ki


Kitni tashreeh karon uss zaalim kay husan ki 

Poori ik kitaab to bas honton pe hi khatam hoti hai

Yahan alfaaz biktay hain , tijaarat hai takhiyul ki


Yahan alfaaz biktay hain , tijaarat hai takhiyul ki 

Mohabbat aik paisha hai , tumharay shaher main "Mohsin"

Ishq teri intihaa , ishq meri intihaa ?


Ishq teri intihaa , ishq meri intihaa ?

Tu bhi abhi na'tamaam , main bhi abhi na'tamaam

Main leh'lahaati hui shaakhon ko samjha thi zindagi


Main leh'lahaati hui shaakhon ko samjha thi zindagi 

Patta gira to dars-e-fana day gaya mujhay

Suna hai is mohabbat main bhout nuksaan hota hai


Suna hai is mohabbat main 
Bhout nuksaan hota hai 
Mehakta jhoomta jeevan 

Ghamon kay naam hota hai 
Suna hai chain kho kar woh 
Sehar se shaam rota hai 

Mohabbat jo bhi karta hai 
Bhout badnaam hota hai 
Suna hai is mohabbat main 
Kahin bhi dil nahin lagta 
Bina us kay nigahon main 
Koi mousam nahin jachta

Khafa jis se mohabbat ho 
Woh jeevan bhar nahin sota 
Bhout anmol hai yeh dil 
Ujar kay phir nahin basta 

Mehtaab wohi , gul wohi barsaat wohi hai


Mehtaab wohi , gul wohi barsaat wohi hai 
Ik tu hi nhain warna her ik baat wohi hai 

Badla hi nahin dil main teri yaad ka mousam 
Tanhai wohi , dard wohi raat wohi hai 

Mehfil main teri shor bhout hai magar ab bhi 
Pabandi se izhaar-e-khiyalat wohi hai 

Saanson main basi rehti hai ik yaad ki khushboo
Mehsoos yeh hota hai meray saath wohi hai

Meray likhye huye lafz bheeg gaye baarishon kay bahanay


Meray likhye huye lafz bheeg gaye baarishon kay bahanay 
Phir woh shamma bhi bujh gayi hawaon kay bahanay 

Gham yeh nahin keh sirf woh juda huwa mujh se 
Dukh to yeh hai keh baharain rooth gayein khizaon kay bahanay 

Mujhay to lagti hai saazish in parindon ki bhi dosto 
Mujhay dekhtay hi jo urr gaye fizaon kay bahanay 

Badlay huye dekhtay hain raat ko chand kay bhi tevar 
Mujhay chatt pe dekh kar chup gaya baadlon kay bahanay 

Abhi to ikhtiyar nahin in aankhoin par bhi 
Bheeg jaati hain aksar ussay bhulanay kay bahanay

Main ne haq-e-mohabbat adda kiya


Main ne haq-e-mohabbat adda kiya 
NA kabhi kisi se gila kiya 
Mujhay ajab is ka sila mila 
Mujhay dil se uss ne bhula diya 
Mohabbaton ki kitaab ka 
Her ik warq jala diya 
Woh jo Aarzoo ka chragh tha
Ussay nafraton ne bhujha diya 
Mujhay zakham phir ik naya diya 
Mujhay is mohabbat ne kiya diya 
Woh jo kehtay thay tum chup raho 
Woh jo kehtay thay udaas na ho 
Woh jo kehtay thay tum hansa karo 
Mujhay aaj unho ne rula diya

Jab lay kar mera naam pukara uss ne sar-e-mehfil


Jab lay kar mera naam pukara uss ne sar-e-mehfil 

Ban ban kar kai log meray naam kay uthaye

Iss tarah de gaya ik shakhs hawalay apnay


Iss tarah de gaya ik shakhs hawalay apnay 
Jis tarah chaand lutaata hai ujaalay apnay 

Aik hasrat hai keh jee bhar kay na dekha us ko 
Aik armaan hai keh armaan na nikaalay apnay 

Main woh tinka keh sar-e-moj kahin kho jaaon 
Tu woh dariya jo kinaray bhi baha lay apnay 

Dekh kar shaam-o-sehar faiz risaani teri 
Kitnay chotay nazar aatay hain piyalay apnay 

Mai barasti hai wahan aaj bhi her waqat "Qateel"
Meray saaqi ne jahan jaam uchaalay apnay

Be'faiz rafaqat main samar kis kay liye tha


Be'faiz rafaqat main samar kis kay liye tha 
JAb dhoop thi qismat to shajar kis kay liye tha

Pardes main sona tha to chatt kis kay liye daali 
Baahir hi nikalna tha to ghar kis kay liye tha 

Jis khaak se phoota hai usi khaak ki khushboo
Pehchaan na paya to hunar kis kay liye tha 

Ae madar geeti teri hairat bhi baja hai 
Teray hi kaam na aaya to sar , kis kay liye tha 

Youn shaam ki dehshat main sar-e-dasht iraada 
Rukna tha , to phir sara safar kis kay liye tha 

Hamaray darmiyaan aisa koi rishta nahin tha


Hamaray darmiyaan aisa koi rishta nahin tha 
Teray shaano pe koi chatt nahin thi 
Meray zimay koi aangan nahin tha 
Koi wada teri zanjeer-e-paa bananay nahin paya 
Kisi iqraar ne meri kalaai ko nahin thaama 
Hawa-e-dasht ki manind 
Tu azaad tha 
Raastay teri marzi kay tabeh thay 
Mujhay bhi apni tanhai pe
Dekha jaye to 
Poora tasraf tha 
Magar jab aaj tu ne rasta badla
To kuch aisa laga mujh ko 
Keh jaisay tu ne mujh se be'wafai ki !!
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...