Jun 5, 2016

Khudariyon kay khoon ko arzan na kar sakay


Khudariyon kay khoon ko arzan na kar sakay 
Hum apnay joharon ko nu'mayan na kar sakay 

Ho kar kharab main ne teray gham to bhula diye 
Lakin gham-e-hayat ka dar'maan na kar sakay 

Toota talisam ehad-e-mohabbat kuch is tarah 
Phir aarzu ki sham'ma farozan na kar sakay 

Her shay qareeb aa kay kashish apni kho gayi 
Woh bhi ilaaj shouq-e-gurezan na kar sakay 

Kis darja dil'shikan thay mohabbat kay haadsay 
Hum zindagi main phir koi armaan na kar sakay 

Mayousi'on ne cheen liye dil kay wal'walay 
Woh bhi nishat-e-rooh ka samaan na kar sakay 

Saza ka haal sunaein jaza ki baat karein


Saza ka haal sunaein jaza ki baat karein 
Khuda mila ho jinhein woh khuda ki baat karein 

Unhein pata bhi chalay aur woh khafa bhi na hon 
Is ehtiyaat se kya mud'daa ki baat karein 

Hamaray ehad ki tehzeeb main qaba hi nahin 
Agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karein 

Her aik dour ka mazhab naya khuda laya 
Karein to hum bhi magar kis Khuda ki baat karein 

Wafa sha'aar kai hain , koi haseen bhi to ho 
Chalo phir aaj usi be'wafa ki baat karein 

Main zinda hoon yeh mushtahir keejiye


Main zinda hoon yeh mushtahir keejiye 
Meray qaatlon ko khabar keejiye 

Zameen sakhat hai aasman door hai 
Basar ho sakay to basar keejiye 

Sitam kay bhout se hain rad-e-amal 
Zaroori nahin chasham-e-tar keejiye 

Wohi zulam baar-e-deegar hai 
Wohi jurm baar-e-deegar keejiye 

Qafs torna baad ki baat hai 
Abhi khawaish baal-o-par keejiye 

Bhout ghuttan hai koi surat-e-biyan nikaly


Bhout ghuttan hai koi surat-e-biyan nikaly 
Agar sada na uthay kam se kam fagan niklay 

Faqeer-e-shaher kay tan par libas baqi hai 
Ameer-e-shaher kay arman abhi kahan niklay 


Haqeeqatein hain salamat to khawab bhout saray 

Malaal yeh hai keh kuch khawab raigaan niklay 

Idher bhi khaak urri hai udhar bhi khaak urri 
Jahan jahan se baharon kay karwan niklay 

Sadiyon se insan yeh sunta aaya hai


Sadiyon se insan yeh sunta aaya hai 
Dukh ki dhoop kay aagay sukh ka saya hai 

Hum ko in sasti khushiyon ka lobh na do 
Hum ne soch samjh kar gham apnaya hai 

Jhoot to qatil thehra us k akya rona 
Sach ne bhi insaan ka khoon bahaya hai 

Janam kay din se mout ki zad main hain ! 
Is maqtal main kon hamein lay aaya hai 

Awal awal jis dil ne barbaad kiya 
Aakhir aakhir woh dil hi kaam aaya hai 

Itnay din ehsaan kiya dewano par 
Jitnay din logon ne saath nibhaya hai 


Tang aa chukay hain kash'makash-e-zindagi se hum


Tang aa chukay hain kash'makash-e-zindagi se hum 
Thukra na dain jahan ko kahin be'dili se hum 

Mayoosi maal-e-mohabbat na poochiye !
Apno se paish aaye hain baiga'nagi se se hum 

Lo aaj hum ne tor diya rishta-e-umeed 
Lo ab kabhi gila na karein gay kisi se hum 

Ubhrein gay aik baar abhi dil kay wal'walay 
Go dab gaye hain baar-e-gham zindagi se hum 

Gar zindagi main mil gaye phir itafaaq se 
Poochein gay apna haal teri be'basi se hum 

Allah re faraib-e-mashiyat keh aaj tak 
Duniya kay zulam sehtay rahay khamoshi se hum 


Ehal-e-dil aur bhi hain ehal-e-wafa aur bhi hain


Ehal-e-dil aur bhi hain ehal-e-wafa aur bhi hain 
Aik hum hi nahin duniya se khafa aur bhi hain 

Hum pe hi khatam nahin maslak-e-shoreeda'sari 
Chaak-e-dil aur bhi hain chaak-e-qaba aur bhi hain 

Kya hua gar meray yaron ki zubanein chup hain 
Meray shahid , meray yaron kay siwa aur bhi hain 

Sar salamat hai to kya sang-e-malamat ki kami 
Jaan baqi hai to pai'kan-e-qaza aur bhi hain 

Munsaf-e-shaher ki wahidat pe na harf aa jaye 
Log kehtay hain keh arbaab-e-jafa aur bhi hain 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...