Jun 22, 2014

In udasiyon ki khabar dar-e-yaar tak to jaye


In udasiyon ki khabar dar-e-yaar tak to jaye

Meri aah ka asar us paar tak to jaye

Main kal bhi tha akela main aaj bhi tanha 

Meri khilwaton ki khabar meray yaar tak to jaye

Palkon pe sitaron ki manind jhil'milatay rehty hain


Palkon pe sitaron ki manind jhil'milatay rehty hain 

Meray yeh ansoo aksar hi gun'gunatay rehtay hain 

Ik inhi se to rah-o-rasam bani hai apni

Kaisay rokon yeh to aksar atay jatay rehtay hain 

Baray zor-o-shor se chal raha hai kaar-o-baar-e-mohabbat


Baray zor-o-shor se chal raha hai kaar-o-baar-e-mohabbat

Kahin chahatein bik rahi hain , kahin log badal rahay hain 

Adatan tum ne kar diye wade


Adatan tum ne kar diye wade

Adatan hum ne aitabaar kiya 

Teri raahon main bar ha ruk kar 

Hum ne apna hi intizaar kiya 

Ab na mangain gy zindagi ya'rab

Yeh gunnah hum ne ik baar kiya

Zindagi tujh se umeed-e-wafa kiya rakhon


Zindagi tujh se umeed-e-wafa kiya rakhon 

Jab mujhay chor gaye dost puraanay meray

Bhout sataya hai kisi ki be'bas yaadon ne



Bhout sataya hai kisi ki be'bas yaadon ne 

Ae raat tu guzr jaa ab roya nahin jaata

Warna dil main to moharram ky siwa kuch bhi nahin


Janey kiya dhoondtay rehtay hain chara gar mujh main 

Meray pehlu main teray gham ky siwa kuch bhi nahin 

Eid ka bharam rakha pehan ky naye kapray 

Warna dil main to moharram ky siwa kuch bhi nahin

Janey kiya dhoondtay rehtay hain chara gar mujh main


Janey kiya dhoondtay rehtay hain chara gar mujh main 

Meray pehlu main teray gham ky siwa kuch bhi nahin 

Eid ka bharam rakha pehan ky naye kapray 

Warna dil main to moharram ky siwa kuch bhi nahin

Bhout hifazat se rakha hai in chraghon ko


Bhout hifazat se rakha hai in chraghon ko 

Bujhtay bujhtay bhi hawaon se ulajh partay hain 

Dekh firaon kay lehjay main baat na kar 

Hum to pagal hain Khudaon se ulajh partay hain

Reaza reza bikhra hoon main ji ki choton se


Reaza reza bikhra hoon main ji ki choton se

Mujh ko pathar dil kehtay hain pathar jaisay log

Teray waday pe kahan tak Mera dil faraib khaye


Teray waday par kahan tak mera dil fraib khaye 

Koi aisa kar bahaana keh meri aas hi toot jaye

Husan kharido gy to bikhar jao gy


Husan kharido gay to bikhar jaao gay 

Paao gay mohabbat to sanwar jaao gay 

Zindagi chan'chal hai , khoobsurat safar hai 

Baant kar hansi guzaaro gay to nikhar jaao gay

Bas aik aakhri khwaish hai tum se


Bas aik aakhri khwaish hai tum se 

Ik shaam meray naam ki sajao to sahi 

Apni veeraan zindagi main hamain bulao to sahi 

Is baar meri mohabbat ko azmao to sahi

Ab dil ki tamana hai keh kaash aisa ho jaye


Ab dil ki tamana hai keh kaash aisa ho jaye 

Ansoo ki jaga aankh se hasrat nikal jaye

Yeh soch kar gham ky kharidaar aa gaye


Yeh soch kar gham ky kharidaar aa gaye

Hum khwaab bechney sar-e-bazaar aa gaye 

Ab dil main hosla na sak'kat baazon main hai 

Ab keh muqabalay pe meray yaar aa gaye 

Awaaz de ky chup gayi her baar zindagi 

Hum aisay sada dil thay keh her baar aa gaye 

Hum kaj ada chraagh keh jab bhi hawa chali 

Takon ko chor kar sar-e-dewaar aa gaye

Phoolon ki aarzoo main baray zakham khaye hain


Phoolon ki aarzoo main baray zakham khaye hain 

Lakin chaman kay khaar bhi ab tak paraiye hain 

Is par haraam hain gham-e-doraan ki talkhiyaan 

Jis kay naseeb main teri zulfon kay saye hain 

Gham-e-zeest ka aa gaya tha khyal


Gham-e-zeest ka aa gaya tha khyal 

Bari door tak muskurata gaya

Meri awaragi main kuch dakhal hai tumhara bhi Mohsin


Meri awaragi main kuch dakhal hai tumhara bhi Mohsin

Tumhari yaad aati hai to ghar acha nahin lagta

Be kali , be khudi kuch aaj nahin


Be'kali , be'khudi kuch aaj nahin 
Aik muddat se woh mizaaj nahin 

Dard agar yeh hai to mujhay bas hai 
Ab dawa ki kuch ehtiaaj bahin 

Hum ne apni si ki bhout lakin 
Marz-e-ishq ka ilaaj nahin 

Shaher-e-khoobi ko khoob dekha "Mir"
Jins-e-dil ka kahin riwaaj nahin

Hai tamana keh saal-e-noo tujh ko


Dua-e-saal-e-no

HAi tamana keh saal-e-no tujh ko 
Her mussarat se ham'kinaar karay
Khil uthain phool teray aangan main 
Tu agar khwaish-e-bahaar karay
Muskurahat ho labon pe raqsaan 
Sara aalam tujh hi se pyaar karay 
Tujh se her ranj door ho jaye 
Her khushi tujh pe jaan nisar karay
Teray aangan main qaaflay utrain 
Jhilmilaatay huye sitaaron kay 
Ho kay be'ikhtiyaauth jayein 
Teri jaanib qadam baharon kay 
Her nayi subha teray daman main 
Chahaton kay gulaab bhar jaye 
Her haseen shaam apni raa'naai
Teray khawabon kay naam kar jaye 
Dekh kay teray rukh ki sha'daabi 
Rang-e-qos-e-qaza nikhar jaye 
Muskuraati sada hayaat rahay 
Teray qadmon main kainaat rahay
Gham na dil main kabhi ugaagar ho 
Shaadmaani tera muqadar ho 
Aanay walay dino ki ta'baani
Jaanay walay dino se barh kar ho

Aanay walay dino ki ta'baani Jaanay walay dino se barh kar ho


Dua-e-saal-e-no

HAi tamana keh saal-e-no tujh ko 
Her mussarat se ham'kinaar karay
Khil uthain phool teray aangan main 
Tu agar khwaish-e-bahaar karay
Muskurahat ho labon pe raqsaan 
Sara aalam tujh hi se pyaar karay 
Tujh se her ranj door ho jaye 
Her khushi tujh pe jaan nisar karay
Teray aangan main qaaflay utrain 
Jhilmilaatay huye sitaaron kay 
Ho kay be'ikhtiyaauth jayein 
Teri jaanib qadam baharon kay 
Her nayi subha teray daman main 
Chahaton kay gulaab bhar jaye 
Her haseen shaam apni raa'naai
Teray khawabon kay naam kar jaye 
Dekh kay teray rukh ki sha'daabi 
Rang-e-qos-e-qaza nikhar jaye 
Muskuraati sada hayaat rahay 
Teray qadmon main kainaat rahay
Gham na dil main kabhi ugaagar ho 
Shaadmaani tera muqadar ho 
Aanay walay dino ki ta'baani
Jaanay walay dino se barh kar ho

Ussay ganwa ky is tarah zinda hoon mohsin


Ussay ganwa ky is tarah zinda hoon mohsin 

Jis tarah tez hawa main chraagh jalta hai

Dasht-e-tanhi main Ae jaan-e-jahan larzaan hain


Dasht-e-tanhi main Ae jaan-e-jahan larzaan hain 
Teri awaaz ky saaye teray honton ky saraab 
Dasht-e-tanhai main doori ky khas-o-kaal tlay
Khil rahain hain teray pehloo ky saman aur gulaab 

Uth rahi hai kahin qurbat se teri saans ki aanch 
Apni kushboo main sulagti hui madham madham 
Door ufaq paar chamakti hui qatra qatra 
Gir rahi hai teri dil'daar nazar ki shabnam 

Is qadar pyaar se ae jaan-e-jahan rakha hai
Dil ky rukhsaar pe is waqat teri yaad ne hath 
Youn gumaan hota hai garcha hai abhi subh-e-firaaq 
Dhal gaya hijar ka din aa hi gayi wasal ki raat 

Udaasi, shaam , tanhai , kasak yaadon ki be'chaini


Udaasi, shaam , tanhai , kasak yaadon ki be'chaini 

Mujhay sab somp kar suraj utar jaata hai paani main

Kiya aisay kam'sukhan se koi guftagoo karay


Kiya aisay kam'sukhan se koi guftagoo karay 
Jo mustaqil sakoot se dil ko lahoo karay

Ab to hamain bhi tark-e-mrasam ka dukh nahin 
Par dil yeh chahata hai kej aghaz tu karay

Teray baghair bhi to ghaneemat hai zindagi
Khud ko ganwa ky kon teri justagoo karay

Ab to yeh arzoo hai keh woh zakham khaye
Ta zindagi yeh dil na koi arzoo karay

Tujh ko bhula ky dil hai woh sharminda-e-nazar 
Ab koi hadsa hi teray ru'baru karay

Hum na hon gy , koi hum sa ho ga


Ishq jab zamzama paira ho ga 
Husan khud mehav-e-tamasha ho ga 

Daaim abaad rahy gi duniya 
Hum na hon gy , koi hum sa ho ga 

Hum tujhay bhool ky khush baithay hain 
Hum sa be'dard koi kiya ho ga 

Phir sulagney laga sehra-e-khyal
Abar ghir ky kahin barsa ho ga 

Phir kisi dehaan ky sad raahay par 
Dil hairat zada tanha ho ga 

Shaam se soch raha hoon nasir 
Chaand kis shaher main utra ho ga 

Ae dost hum ne tark-e-mohabbat ky bawajood


Ae dost hum ne tark-e-mohabbat ky bawajood

Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi

Dil main kisi ki yaad ky nashtar utar gaye


Dil main kisi ki yaad ky nashtar utar gaye

Kitnay sitaray aankh se tooty bikhar gaye

Aa jaye keh aap ko tarsay hai ab nigha 

Dekha nahin hai hum ne bhout din guzar gaye

Kisi ki yaad main ab aisa bhi haal kiya karna


Kisi ki yaad main ab aisa bhi haal kiya karna 

Keh jo mila nahin us ka malaal kiya karna 

Ab aisa kiya hua tum jaan haar baithi ho 

Zara se hijar pe khud ko nidhaal kiya karna 

Ussay bhulana bari baat to nahin phir bhi 

Ussay bhulanay ka koi kamaal kiya karna 

Yeh zindagi to faqat rog ban gayi hai 

Dil-e-tabbah ka her pal khyal kiya karna

Husan-e-kirdaar se tu is qadar noor-e-mujasam ho ja keh


Husan-e-kirdaar se tu is qadar noor-e-mujasam ho ja keh 

Iblees bhi tujhay dekhay to musalmaan ho jaye

Woh ayein ghar main hamaray khuda ki qudrat hai


Yeh jo hum hijar main dewwar-o-dar ko dekhtay hain 

Kabhi saba ko kabhi naama-e-bar ko dekhtay hain 

Woh ayein ghar main hamaray khuda ki qudrat hai 

Kabhi hum un ko kabhi apnay ghar ko dekhtay hain

Mujh se kehta hai kabhi dil main malaal atay hain


Mujh se kehta hai kabhi dil main malaal atay hain 

Kaisay kaisay meray dushman ko sawaal atay hain 

Yeh jo hum rotay hain chuph kar kabhi tanhai main 

Rafta rafta tujhay aankhon se nikaal atay hain 

Hum mohabbat pe bhi ehsaan koi rakhtay nahin 

Naikiyaan kartay hain dariyaon main daal atay hain

Woh samnay aaya to ajab saaniha hua


Woh samnay aaya to ajab saaniha hua 

Her lafz-e-shikayat ne khud kushi kar li

Hum se kiya poochtay ho hijar main kiya kartay hain


Hum se kiya poochtay ho hijar main kiya kartay hain 
Teray loat anay ki din raat dua kartay hain 

Ab ko hont nahin in ko churaney atay 
Meri aankhon main agar ashak hua kartay hain 

Teri tu janey , par ae jan-e-tamana hum to 
Saans ky sath tujhay yaad kartay hain 

Teri tasveer laga letay hain hum seenay se
Phir teray khat se teri baat kiya kartay hain 

Gar tujhay chorney ki soch bhi aye dil main 
Hum to khud ko bhi wahin chor dia kartay hain

Tujhay kaisay bhulata main


Tujhay main bhool to jata 

Magar teray taa'aluq se 

Jo chaheray samney aye 

Jo rastay samney aye

Jo lamhay samney aye

Jo rishtay samney aye

Inhain kaisay bhulata main 

Tujhay kaisay bhulata main

Mohabbat ki haseen raahon par


 Main mohabbat ki haseen raahon pe 

Bikhar jata hoon 

Sar-e-shaam 

Is tarah jaisay 

Khizaan ky mousam main 

Sookhay patay bikharney lagtay hain

Ussay kaho keh ab main saans lena chahta hoon


Ussay kaho keh ab main saans lena chahta hoon 

Meray wajood se yaadon ki rasiyaan khol dy

Ya rab us ki aankh ki ronaq


Ya rab us ki aankh ki ronaq 
Hont ki shokhi 
Tan ka joban 
Ya rab us ki aankh ka kajal 
Gaal ki surkhi 
Dil ki dharkan 
Ya rab us ky mann ki khushiyan 
Dil ki chahata , rooh ki raahat 
Us ky saray rishtay natay 
Sangi sathi dost woh saray 
Us ky ghar ky pairr ky patay
Qadmon se mas hotay zray
Us se jurri her shay her rishta 
Her lamha her geet her naghma 
Us ky sukh ka her ik mousam 
Ya rab sada sla

Woh is andaaz ki mujh se mohabbat chahata hai


Woh is andaaz ki mujh se mohabbat chahata hai 

Meray her khwaab par apni hakoomat chahata hai 

Woh kehta hai main us ki zaroorat ban chuka hoon 

To goya woh mujhay hasb-e-zaroorat chahta hai

Ehsaas-e-tanhai bhout hi barh jata hai


Ehsaas-e-tanhai bhout hi barh jata hai 

Sard mousam aur teri yaad jab bhi yak'ja hon

Barishon ky udaas mousam main


Barishon ky udaas mousam main 

Khud ko dekhon to yaad aye koi 

Kaash ik baar youn bhi ho jaye 

Main pukaroon to loat aye koi

Na neend hai aankhon main na hi koi hasrat


Na neend hai aankhon main na hi koi hasrat 

Kitna sada sa reh gaya hoon main teray baghair

Mujhay bhi yaad kar lena


Chalo mana 

Kisi saa'at , kisi lamhay 

Kisi din ya kisi shab main 

Ya haftay main , maheenay main 

Tumhain fursat nahin , socho mujhay 

Lakin koi tehwaar aye to 

Kisi ko tum galay se jab lagao to

Mujhay bhi yaad kar lena

Tujhay her baat pe meri zaroorat parti


Tujhay her baat pe meri zaroorat parti 

Kaash main bhi aik jhoot hota

Aaj main khud se ho gaya mayoos


Aaj main khud se ho gaya mayoos 

Aaj ik yaar mar gaya mera

Main bhi bhout ajeeb hoon


Main bhi bhout ajeeb hoon , itna ajeeb hoon keh bas

Khud ko tabbah kar liya aur malaal bhi nahin

Woh mujhay zindagi samjhta hai


Woh mujhay zindagi samjhta hai 

Kiya ussy mera aaitabaar nahin

Ab Kis khwaab ki tabeer mangatay ho tum duaon main


Ab Kis khwaab ki tabeer mangatay ho tum duaon main 

Woh judai ka khwaab to poora ho chuka

Tum bin jiya jaye kaisay


Tum bin jiya jaye kaisay 
Kaisay jiya jaye tum bin 
Sadiyon se lambi hain raatein 
Sadiyon se lambay huwey din
Aa jao loat kar tum 
Yeh dil keh raha hai 
Phir shaam-e-tanhai jagi 
Phir tum yaad aa rahay ho 
Phir jaan nikalnay lagi
Phir mujh ko tarpa rahay ho 
Is dil main yaadon ky mele hain 
Tum bin bhout hum akelay hain 
Aa jao loat kar tum 
Yeh dil keh raha hai 
Kiya kiya na socha tha main ne 
Kiya kiya na sapnay sajaye 
Kiya kiya na chaha tha dil ne 
Kiya kiya na armaan jagaye
IS dil se toofan guzartay hain 
Tum bin jeetay na martay hain 
Aa jao loat kar tum 
Yeh dil keh raha hai

Hum aksar nikal jatay hain biyabano main abaas


Hum aksar nikal jatay hain biyabano main abaas 

Suna hai wafa wale tanhai main rehtay hain

Tum se be'wafai ka koi gila nahin hai


Tum se be'wafai ka koi gila nahin hai

Hum to faqat apna raqeeb dhoondty hain

Aya tha ik shakhs meray gham bantany


Aya tha ik shakhs meray gham bantany 

Rukhsat hua to apny bhi gham dy gaya mujhay

Tum yaad nahin kartay to hum gila kiyon karain


Tum yaad nahin kartay to hum gila kiyon karain 

Suna hai khamoshi bhi ik ada hai mohabbat nibhany ki
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...