Mar 14, 2014

koi khwahish meri tum bin pori na hogi



koi khwahish meri tum bin pori na hogi
tum sath ho tu khushi koi adhori na hogi 


mana k zindagi ka safer buhat taveel hai
tum sang ho to mahsoos ye doori na hogi

bun  jao agar tum kabi zindagi jo meri 
koi aur dua phir itni zaroori na hogi

Sawan ne bhi kisi se pyar kiya tha

 
Sawan ne bhi kisi se pyar kiya tha
 us ne usy badal ka naam dia tha


 rote thy dono 1 dusre ki judai mein  

Aur logo ne usy barish ka naam dia tha  
 

              
                       

                        

main kisi our ki hun itna bta kar roi


main kisi our ki hun itna bta kar roi
 mujay mehndi lagay hath dikha kr roi 
 main be-qasoor hoon qudrat ka faisla hai yeh
 lipat k muj se wo bus itna bta k roi
 muj pe aik karb ka toofan ho gya hayel  
jab mery samny khat mery jala kar roi
 meri nafrat aur adawat pighal gai pal mein
 woh bewafa hai to q muj ko rula kr roi
 sb shikwy mery 1 pal mein beh gaye wasi
jheel si aankhon mein jb aansu sja kar roi

Poet : Wasi shah

Kuch tum se mohabat aisi thi


Kuch tum se mohabat aisi thi
hum batein karna bhool gaye 


kuch or hi hum ne keh dala jo kehna tha
wo bhool gaye hum ne to kaha tha
lout a na par hum to ana bhool gaye 


huwi rat falak par tary thy
hum diya jalana bhool gaye 


mein sahil par betha hi raha
 tum kashti lana bhool gaye
 ab kaisa gila main tum se karon
 jab naseeb hi mujh ko bhool gaye
 hum tum se khafa bethy hi rehay
 tum hum ko mana'na bhool gaye

Chahat main kiya duniya dari ishq main kaisi majboori



Chahat main kiya duniya dari ishq main kaisi majboori
Logon ka samjhaney do , un ki apni majboori

Main ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya walon ki 
Meri arz bhi majboori thi, Un ka hukam bhi majbori

Rok sako to pehli barish ki bon'don ko tum roko
Kachi mati to mehkay ge hai mati ki majboori

JAb tak hansta gata mousam apna hai sab apney hain
Waqat paray to yaad a jati hai masno'ei majboori majboori

Mudat guzri ik waday par aj bhi qayam hain Mohsin
Hum ne sari umar nibha'e Apni pehli majboori

Poet : Mohsin Bhopali

Main dil pe jabar karaon ga tujhay bhula doon ga



Main dil pe jabar karaon ga tujhay bhula doon ga
Maron ga khud bhi tujhay bhi kari saza doon ga
Yeh tairagi meray ghar ka hi muqadar kyn ho
Main teray shaher ke saray diye bujha doon ga
Hawa ka hath bata'yon ga her tabahi main
Haray shajar se prinday main khud ura'on ga
Wafa karon ga kisi sogwaar chaheray se 
Purani qabar pe katba naya saja doon ga
Isi khyal main guzri hai Shaam-e-dard aksar
Keh dard had se barhay ga to muskura doon ga
Tu asmaan ki surat hai gir paray ga bhi 
Zameen hon main bhi magar tujh ko asra doon ga
Barha rahi hai meray dukh .nishani'yan tari
Main teray khat, teri tasveer tak jala doon ga
Bhout dino se mera dil udaas hai mohsin
Is ainay ko koi aks ab naya doon ga

Poet : Mohsin Naqvi

Yeh hum ne dekha tha Khwaab piyaray , nadi kinaray



Yeh hum ne dekha tha Khwaab piyaray , nadi kinaray
Zameen pe utray thay do sitaray , nadi kinaray

Na-janey guzray hain kitney sawan is arzoo main
Kabhi to koi hamain pukaray , nadi kinaray

Kabhi idher se guzar ke dekho to yaad ayein
Woh qaul apney wachan tumharay, nadi kinaray

Tumhain na dekha to raigaan raigaan lagay hain
Shraab, shabnam, shafaq, shraray , nadi kinaray

Tumhain na paya to moj dar moj bat gaye hain
Yeh shart hum is tarah haray , nadi kinaray

Yeh ghar ki tanhai'yan to mohsin sada rahain ge
Chalo sehar ki hawa pukaray , nadi kinaray

Poet : Mohsin Naqvi

Yeh dil yeh pagal dil mera ,kyn bujh gaya awargi



Yeh dil yeh pagal dil mera ,kyn bujh gaya awargi
Is dasht main ik shaher tha , woh kiya hua awargi

Kal shab mujhay be-shakal ki awaz ne chonka diya
Main ne poocha tu kon hai, us ne kaha awargi

Logo ! bhala is shaher main kaisay jee'ein ge hum jahan
Ho juram tanha sochna , Lakin saza Awargi

Yeh dard ki tanhayi'yan , yeh dasht ka veeran safar
Hum log ukta gaye , Apni suna awargi

Is simat waeh'shi khwaishon ki zad main paymaan-e-wafa
Is simat lehron ki dhamak , kacha ghara awargi

Kal raat tanha chaand ko dekha tha main ne khwaab main
Mohsin mujhay raas aye ge shyed sada awargi

Poet : Mohsin Naqvi

Chaand taray jab is angan se guzartay hon ge



Chaand taray jab is angan se guzartay hon ge 
Shaam woh log humain yaad to kartay hon ge

Aik yeh subha ke veeran hai guzar'gah-e-khyal 
Aik woh subha jahan baal sanwartay hon ge

JAb kabhi choriyan takra ke khanak'ti hon ge
Ghar ki tanhai main kiya rang bikhartay hon ge

Aik yeh shaam keh bheegi hui palkaien hain wohi
Aik woh shaam jahan chaand utar'tay hon ge

Poet : Mehmood Shaam

Ashak-e-rawan ki nehar hai aur hum hain dosto



Ashak-e-rawan ki nehar hai aur hum hain dosto
Is be-wafa ka shaher hai aur hum hain dosto

Yeh ajnabi se manzalain aur rafta'gaan ki yaad
Tanha'yon ka zehar hai aur humhain dosto

Lai hai ab ura ke gaye mousamon ki baas
Barkha ki rut ka qahar hai aur hum hain dosto

Dil ko hajoom nikhat mae se lahoo kiye
Raton ka pechla pehar hai aur hum hain dosto

Phirtay hain misal moj-e-hawa shaher shaher main
Awargi ki lehar hai aur hum hain dosto

Ankhon main ura rahi hai luti mehfalon ki dhool
Ibrat saray-e-dehar hai aur hum hain dosto

Poet : Munir Niazi

Dekh tu dil keh jaan se uth'ta hai


Dekh tu dil keh jaan se uth'ta hai 
Yeh duwaan sa kahan se uth'ta hai

Gor kis dil jalay ki hai yeh falak
Shola ik subha yaan se uth'ta hai

Larti hai is ki chash'me shokh jahan
Aik ashoob waan se uth'ta hai

Baith'ny kon de hai phir is ko
Jo teray ashiyaan se uth'ta hai

Youn uthay aah is gali se hum 
Jaisay koi jahan se uth'ta hai

Ishq ik mir bhari pathar hai
Kab yeh tujh na-tawan se uth'ta hai

Poet : Mir taqi Mir

Dil-e-nadaan tujhay hua kiya hai


Dil-e-nadaan tujhay hua kiya hai
Aakhir is dard ki dawa kiya hai

Hum hain mushtaaq aur woh bezaar
Ya-ilahi yeh majra kiya hai

MAin bhi munh main zubaan rakhta hoon
Kaash poocho keh muda kiya hai 

Jab keh tujh bin nahin koi moujood
Phir yeh hangama Ae khuda kiya hai

Yeh pari chahera log kaisay hain 
Ghamza-o-ashwa-o-ada kiya hai

Poet : Mirza Ghalib

Yeh na thi hamari qismat keh wasal-e-yaar hota



Yeh na thi hamari qismat keh wasal-e-yaar hota 
Agar aur jeetay rehtay yahi intizaar hota

Teray waday par jiye hum, to yeh jaan chout jana
Keh kushi se mar na jatay agar aitabar hota

Koi meray dil se poochay teray teer neem kash ko
Yeh khalish kahan se hoti, Jo jiger ke paar hota

Yeh kahan ki dosti hai keh banay hain dost naseh
Koi chara saaz hota koi gham gusaar hota

Kahon kis se main keh kiya shab-e-gham barie mila hai
Mujhay kiya bura tha marna agar aik baar hota

Huye mar ke hum jo ruswa , huye kyn na gharaq dariya
Na kabhi janaza uth'ta na kahin mizaar hota

Yeh masail-e-tasav'af , yeh tera biyaan ghalib
Tujhay hum wali samjhtay jo na bada khwaar hota

Poet : Mirza Ghalab

Teri kushboo main basay khat main jalata kaisay


Teri kushboo main basay khat main jalata kaisay 
Piyaar maon doobay huye khat main jalata kaisay
Teray hathon ke likhay khat main jalata kaisay

Jin ko duniya ki nigha'on se chupaye rakha
Jin ko ik umar klajay se lagaye rakha
Deen jin ko jinhain emaan banaye rakha
Teri kushbo main basay Khat main jalata kaisay

Jin ka her lafaz mujhay yaad tha pani ki tarah
Yaad thay mujh ko jo paygham zabani ki tarah
Mujh ko jo piyaray thay jo anmol nishani ki tarah
Teri kushboo main basay khat main jalata kaisay

Tu ne duniya ki nighaon se jo bach kar likhay
Saala saal meray naam barabar likahy
Kbhi din main tu kabhi raat ko uth kar likhay
Teri kushbo main basay Khat main jalata kaisay


Teri kushboo main basay khat main jalata kaisay 
Piyaar maon doobay huye khat main jalata kaisay
Teray hathon ke likhay khat main jalata kaisay

Teray khat aj main ganga main baha aya hon
Aag behtay huye pani main laga aya hoon

Poet : Kaifi Azmi


Apni tanhai ki palkon ko bigho lon pehlay



Apni tanhai ki palkon ko bigho lon pehlay
Phir ghazal tujh pe likhon baith ke ro lon pehlay

Khwaab ke sath kahin kho na gaye'in hon ankhain 
Jab uthon so ke to chaheray ko tat'to'lon pehlay

Meray khwabon ko hai mousam pe bhrosa kitna
Ba'ad main phool khil'ein haar pro  lon pehlay

Dekhn ahai woh khafa rehta hai mujh se kab tak
Main ne socha hai keh is baar na bol'lon pehlay

Dastakon ne mujahy woh daagh diye hain qaisar 
Woh bhi a jaye to darwaza na kho'lon pehlay

Kab talak sham'ah jali yaad nahin



Kab talak sham'ah jali yaad nahin
Sham-e-gham kaisay tal'li yaad nahin

Is qadar yaad hai apney thay sabhi 
Kis ne kiya chaal chali yaad nahin

Hum zamaney main kuch aisay bhatkay
Ab to un ki bhi gali yaad nahin

Abar tha jaam tha ap na thay
Woh ghari kaisay tali yaad nahin

Kat gaye umar kisi tarah qateel
Woh buri thi keh bhali yaad nahin

Poet : Qateel shafai

Woh dil he kiya jo teray milney ki dua na karay



Woh dil he kiya jo teray milney ki dua na karay
Main tujh ko bhool ke zinda rahon khuda na karay

Rahay ga sath tera sath zindagi ban kar
Yeh aur baat meri zindagi wafa na karay

Yeh thek hai nahin marta koi judai main
Khuda kisi ko kisi se magar juda na karay

Agar wafa pe bhrosa rahay na duniya ko
To koi shaks mohabbat ka hosla na karay

Suna hai us ko mohabbat dua'ein dati hai
Jo dil pe chot to kaye magar gila na karay

Bujha diya hai naseebon ne meray piyar ka chand
Koi diya meri palkon pe ab jala na karay

Zamana dekh chuka hai parakh chuka hai ussay
Qateel jaan se jaye yeh iltija na karay

Apney hathon ki lakeeron main saja le mujh ko


Apney hathon ki lakeeron main saja le mujh ko 
Main hoon tera to naseeb apna bana le mujh ko

Main jo kanta hoon to chal mujh se bacha ke daman
Main hon gar phool to joray main saja le mujh ko

Tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
Tu kabhi yaad to kar bhoolney walay mujh ko

Mujh se tu poochnay aya hai wafa ke mahni
Yeh teri sada dili maar na dalay mujh ko

Main samandar bhi hoon .moti bhi hoon , gohta zan bhi
Koi bhi naam mera le ke bula le mujh ko

Tu ne dekha nahin ainey se agay kuch bhi
Khud parasti main kahin tu na ganwa le mujh ko

Bada phir bada hai main zehar bhi pee jayon qateel
Shart yeh hai koi banhon main sambhalay mujh ko

  Poet : Qateel shafai

Kabhi kaha na kisi se teray fasaney ko



Kabhi kaha na kisi se teray fasaney ko
Na janey kaisay khabar ho gi zamaney ko

Chaman main barq nahin chorti kisi surat
Tarah tarah se banata hon ashiyane ko

Dua bahar ki mangi to itney phool khilay
Kahin jaga na rahi meray ashiyane ko

Chaman main jana to siyaad dekh bhaal ana
Akela chor ke aya hoon ashiyane ko

Meri lahad pe patangon ka khoon hota hai
Hazoor shama na laya karain jalaney ko

Suna hai keh ghair ki mehfil main tum na jayo ge
Kaho to aj saja lon ghreeb khaney ko

Daba ke qabar main sab chal diye dua na salam
zara se dair main kiya ho ga zamaney ko

Ab agay is main tumhara bhi naam aye ga
Jo hukam ho to yahin chor don fasaney ko

Qamar zara bhi nahin tum ko khauf-e-ruswai 
Chalay ho chandni shab main unhain bulaney ko

Poet : Qamar jalalvi

Hum tum hon ge badal ho ga



Hum tum hon ge badal ho ga
Raqas main sara jungle ho ga

Wasal ki shab aur itni kali
In ankhon main kajal ho ga

Kis ne kiya me-maiz hawa ko 
Shayed un ka anchal ho ga

Piyaar ki raah pe chalney walo
Rasta sara dal'dal ho ga

Poet : Farooq Rokari

Iqraar gaye inkaar gaye hum haar gaye


Iqraar gaye inkaar gaye hum haar gaye
Ankhon se sab Asaar gaye hum haar gaye

Kuch yadaein is ke beech samandar doob gaye
Kuch sapney rah is paar gaye hum haar gaye

Jab tanha apni zaat se jung pe niklay to
Bhagwan gaye otaar gaye hum haar gaye

Ik umar rahay hain jeet se be-parwa lakin
Jab jeetna chaha haar gaye hum haar gaye

Youn uljhay duniya ke dukh main be-sudh ho kar
Sab jhootay sachay piyaar gaye hum haar gaye

Pehlay to preet main apney ap se door huye
Phir yaar gaye dildaar gaye hum haar gaye

Poet : Farhat Abaas Shah

Gulon main rang bharay bad-e-no bahar chalay


Gulon main rang bharay bad-e-no bahar chalay
Chalay bhi ayo keh gulshan ka karobaar chalay

Qafas udaas hai yaroo saba se kuch to kaho
Kahin to behare khuda aj zikr-e-yaar chalay

Kabhi to subha teray kanj lab se ho aghaz
Kabhi to shab sar-e-kakal se mushkbaar chalay

Bara hai dard ka rishta yeh dil ghreeb sahi
Tumharay naam pe ayein ge ghamgusaar chalay

Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijran
Hamaray ashak teri aqbat sanwaar chalay

Hazoor-e-yaar hui daftar-e-junoon ki talab
Girah main le kay girabaan ka tar tar chalay

Maqam, faiz koi raah main jacha hi nahin
Jo koy-eyaar se niklay to sooy-edaar chalay

Poet Faiz Ahmed Faiz
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...