Jan 19, 2017

Kuch bhi to nahin waisa jaisa tujhay socha tha




Na'deeda rafaqat main 


Kuch bhi to nahin waisa

Jaisa tujhay socha tha 
Jitna tujhay chaha tha 

Socha tha teray lab par 
Kuch harf dua'on kay 
Kuch phool wafaon kay 
Meh'kein gay meri khatir
Kuch bhi to nahin waisa
Jaisa tujhay socha tha 

Mehsoos yeh hota hai 
Dukh jhailay thay jo ab tak
Be'naam musafat main 
Likhnay ki mohabbat main 
Parhnay ki zaroorat main 
Be'sood riyazat thi
Be'faiz ibadat thi
Jo khawaab bhi daikhay thay 
In jaagti aankhon ne 
Sab khaam khayali thi 
Phir bhi tujhay paanay ki 
Dil kay kisi goshay main 
Khawaish to bachaa li thi 
Lakin tujhay paa kar bhi 
Aur khud ko ganwa kar bhi 
Is habs kay mousam ki khirki se hawa aayi 
Na phool se khushbu ki koi bhi sada aayi 
Ab neend hai aankhon main 
Na dil main woh pehli si taza sukhan Aa'rai 
Na lafz meray niklay 
Na harf-o-mahni ki daanish meray kaam aayi
Na'deeda rafaqat main 
Jitni bhi aziyat thi 
Sab meray hi naam aayi 
Kuch bhi to nahin waisa
Jaisa tujhay socha tha 
Jitna tujhay chaha tha  

Bas apnay saath rehna chahti hoon




Bas apnay saath rehna chahti hoon 
Main ab tujh se mukarna chahti hoon 

Main apni umar kay saray asaa'say 
Naye dhab se ba'ratna chahti hoon 

Yeh dil bhi teri khawaish kar raha hai 
Magar main dukh se bach'na chahti hoon 

Koi harf-e-wafa , na harf-e-sada 
Main khamoshi ko sun'nana chahti hoon 

Main bach'pan kay kisi lamhay main ruk kar 
Koi jugnoo pakarna chahti hoon  

Betiyan bhi to ma'on jaisi hoti hain


Wirsa

Betiyan bhi to ma'on jaisi hoti hain 
Zabt kay zard aanchal main apnay 
Saray dard chupa leti hain 
Rotay rotay hans parti hain 
Hanstay hanstay dil hi dil main ro leti hain 
Khushi ki khawaish kartay kartay 
Khawab aur khaak main utt jati hain 
100 hisson main batt jati hain 
Ghar kay darwaze par baithi 
Umeedon kay resham buntay ,,,, sari umar ganwaa deti hain 

Main jo gaye dino main 
Maa ki khush fehmi pe hans deti thi 
Ab khud bhi to 
Umar ki girti dewaron se taik lagaye 
Fasal khushi ki boti hoon 
Aur khush fehmi kaat rahi hoon 
Janay kaisi rasam se yeh bhi 
Maa kiyon beti ko wirsay main 
Apna muqaddar de deti hai 

Main bad'dua to nahin de rahi hoon us ko magar




Main bad'dua to nahin de rahi hoon us ko magar 

Dua yahi hai ussay mujh sa ab koi na milay 

Na guftagoo ka kamal-e-aa'hang


Hairat 

Na guftagoo ka kamal-e-aa'hang 
Na baat kay be'misaal ,mahni 
Na khaal-o-khad main woh jaaz'biyat 
Jo jisam-o-jaan ko aseer kar lay 
Na mushtarik koi aks-e-khawaish 
Magar yeh kya hai 
Main kis ki khatar 
Wafa kay raston pe likh rahi hoon 
Musaafrat ki nayi kahani 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...