Phaila diye khud haath talab gaar kay aagay
Dekha nahin kuch hum ne kharidaar kay agay
Phir shaam hui aur barha nakhun-e-umeed
Phir subha hai aur hum usi dewaar kay agay
Shehzaday ! Meri neend ko to kaat chuka hai
Tehra na yeh jungle teri talwaar kay agay
Kiya jaan kay khasaray ki tamana ho keh ab ishq
Barhta hi nahin dirham-o-denaar kay agay
Woh air lagi rakhsh-e-zamana ko keh ab to
Aswaar sra seema hai reh'waar kay agay
Phir roza-e-mariym jo faqeehon main hai maqbool
Aajiz thay bhout woh meri guftaar kay agay
Inkaar ki lazat main jo sar shaar rahay hain
Kab toot sakay hain rasn-o-daar kay agay
Ya'qoos rakhay ya woh hamain daira kar de
Nuqtay ki tarah hain kisi pur'kaar kay agay
Jaan apni hai aur abroo naslon ki kamai
Sar kon bachata phiray dastaar kay agay
Ghmsaan ka run Jeet kay lab-e-basta khari hoon
Main pushat se aye huye ik waar kay agay
Parveen Shakir