Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shaher main kuch din tehar ke dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ki khraab haalon se
So apnay aap ko barbaad kar ke dekhtay hain
Suna hai dard ki gaahak hai chasham-e-naz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ko bho shair-o-shairyse shaghaf
So hum bhi mohjazay apnay hunar ke dekhtay hain
Suna hai bolay to baaton se phool jhartay hain
Yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain
Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai
Sitaray baam-e-falak se utar ke dekhtay hain
Suna hai din ko ussay titliyaan statai hain
Suna hai raat ko jugnoo tehar ke dekhtay hain
Suna hai hashar hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran (deer) dasht bhar ke dekhtay hain
Suna hai raat se barh kar hain ka'kalain us ki
Suna hai shaam ko saye guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ke labon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain
Suna hai aaiyna-e-tamsaal hai jabeen us ki
Jo sada dil hain ussay aah bhar ke dekhtay hain
Suna hai us ke badan ki taraash aisi hai
Keh phool apni qubaein kutar ke dekhtay hain
Bas ik nigah se lut'ta hai qaflaa dil ka
So reh'waan-e-tamana bhi dar ke dekhtay hain
rukay to gardashain us ka tawaaf karti hain
Chalay to us ko zamanay tehar ke dekhtay hain
Kahaniyaan hi sahi , sab mubaalgay hi sahi
Agar woh khwaab hai tabeer kar ke dekhtay hain
Ab us ke shaher main tehrain keh kooch kar jayein
"Faraz" aao sitaray safar ke dekhtay hain