Mar 8, 2015

Hum bhi kitnay dewane niklay Diye se andhera mitane niklay


Hum bhi kitnay dewane niklay 
Diye se andhera mitane niklay 

Gham-e-dil pe hamaray jo hansa kartay thay 
Hum un ko hi haal-e-dil sunanay niklay 

Kaaghzi phoolon par aati nahin baharain 
Yeh jaan keh bhi gulshan sajanay niklay 

Duniya main bikti hain jhooti kahaniyan
Sachay afsanay sab hum jalanay niklay

Log baithay hain bhar kay mutthi main namak
Janay kya soch kay hum zakham dikhanay niklay

Kabhi raat bhar kay jhagray kabhi chahton ki baatein


Kabhi raat bhar kay jhagray kabhi chahton ki baatein 
Wohi aap hi kay qissay wohi aap hi ki baatein

Woh mila hai mujh ko aksar sar-e-raah chaltay chaltay 
Wohi ajnabi nigahein wohi be'rukhi ki baatein

Na samjh saka jahan main koi mera dard yaro
Meray gham ko log samjhay meri shairy ki baatein 

Koi hum ko yeh bataye yeh junoon nahin to kya hai ?
Milay jab bhi hum kisi se karain aap hi ki baatein 

Meray haal par woh youn hi kuch aisay muskuraye 
Hum suna rahay hon jaisay kisi ajnabi ki baatein

Waqat her cheez ka imkaan badal sakta hai


Waqat her cheez ka imkaan badal sakta hai
Ain-mumkin hai tera dhiyaan badal sakta hai

Zindagi main hai faqat teri mohabbat ki kami 
Tu meri zeest ka unwaan badal sakta hai 

Ab teri yaad to is dil se nikalnay se rahi 
Apni taqdeer kab , insaan badal sakta hai

Hum faqat wasal kay qaail to nahin chahat main 
Kab hamein hijar ka toofan badal sakta hai

Lay kay phirta hai teray gham ka hawala 
Tu jo chahye to yeh pehchaan badal sakta hai

Poori mehandi bhi lagani nahin aati


Poori mehandi bhi lagani nahin aati 
Kaisay aaya tujhay ghairon se lagana dil ka 

In haseeno ka larkpan hi raha Ya'Allah
Hosh aata hai to aata hai sataana dil ka 

Meri Aagosh se kya hi tarap kar bolay 
Un ka jaana tha Ilaahi keh yeh jana dil ka 

Be'dili ka jo kaha haal to farmatay hain
Kar liye tu ne kahin aur thikaana dil ka 

Chor kar uss ko teri bazam se kiyon kar jaaon 
Ek janazay ka uthaana hai uthaana dil ka

Nigah-e-yaar ne ki khana-kharaabi aisi 
Na thkaana hai jigar ka na thikaana dil ka

Tu aaye to teri nazar utaarain hum


Tu aaye to teri nazar utaarain hum 

Khud ko phaink doon teray sar se waar kar

Chaltay hain jab do yaar galay main baazoo daal kar


Chaltay hain jab do yaar galay main baazoo daal kar

Bara dard hota hai hum be'saharon ko

Tujhay ilm hai Aye tabeeb-e-jaan tera pyaar hi meri hayat hai


Tujhay ilm hai Aye tabeeb-e-jaan 
Tera pyaar hi meri hayat hai 
Main mareez hoon teray qurb ka 
Mujhay door jaa kay dawa na dy 

YAhan sab andhair parast hain 
Yahan roshni ki majaal kya 
YEh chragh phir bhi chragh hai 
Koi aatay jaatay bujha na dy 

Tum gaye dino main jo saath thay 
Meray qalb-o-jaan ka saboot thay 
YEh bila wajah tera roothna 
Meri dindagi ko mitta na dy 

Teray samnay meray hamsafar 
Meri dharkano ki bisaat kya 
Tera is tarah mujhay dekhna 
Kahin meri umar ghata na dy

Iss ajnabi shaher main yeh pathar kahan se aa laga "Faraz"


Iss ajnabi shaher main yeh pathar kahan se aa laga "Faraz"

Logon ki is bheer main koi apna zaroor hai

Tujhay jo maloom hotay wafa kay rasm-o-riwaaj saray


Tujhay jo maloom hotay wafa kay rasm-o-riwaaj saray 

Mohabbaton main hamara qissa misaal hota , kamaal hota

Zara sahil pe aa kar , woh jo thora muskura deta


Zara sahil pe aa kar , woh jo thora muskura deta 
Bhanwar ghabraa kay khud mujh ko , kinaray par laga deta 

Woh na aata magar , itna to keh deta main aayon ga 
Sitaray , chand saara asmaan , raah main bicha deta 

Khabar hoti agar yeh jaal hai , qismat ki sazish ka 
LAkeerain apnay haathon ki , ussi lamhay mitta deta 

Shajar hota to likh likh kar , tumhara naam patton par 
Tumharay shaher ki janib , hawaon main urra deta 

Meray bas main agar hota , hata kar chand taaron ko 
Main neelay aasman pe bas , teri aankhein bana deta

Mohabbat ka bharram hota to phir kuch soch kat jatay


Mohabbat ka bharram hota to phir kuch soch kat jatay
Warna zindagi ban kay meray humdam guzar jatay

Thakay haaray parindon ko jo dekha to khayal aaya 
Koi jo muntazir hota to hum bhi apnay ghar jatay

Main kha kar dard ki thokar abhi tak hosla mand hoon 
Yeh thokar jo tumhain lagti to tum khud bhi bikhar jatay

Is tanhai ka hum pe bara ehsaan hai "Mohsin"
Na deti saath yeh apna to janay hum kidhar jatay
 

Dilon main farq par jaye to itna yaad rakhna tum


Dilon main farq par jaye to itna yaad rakhna tum 

Dalee'lain , minatein aur falsafay be'kaar hotay hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...