Mar 17, 2015

Kiyon jism teri rooh se jal thal nahin hota


Kiyon jism teri rooh se jal thal nahin hota
Rishta yeh adhoora sa mukamal nahin hota

KAisay main kahoon tu hai meray pyaar ka mujrim
Itna haseen to koi bhi qatil nahin hota

Yeh raah-e-mohabbat hai , mohabbat kay safar main
Kinaray nahin hotay koi saahil nahin hota

Baanhon main mujhay lay kay kaha us ne
Kiyon meray pyaar main pagal nahin hota

Main bhi raat ko ghar aata hoon


Main bhi raat ko ghar aata hoon

Apnay darwaze pe dastak detay lamhay

Aksar meri soch mujh se kehti hai

Aaj to darwaza kholo gi

Mujh ko dekh kar muskaaye gi

Mera maatha choomo gi

Sharmaye gi

Ghar main dakhal ho kar main bhi koi shararat karon ga

To khud se simat kar reh jaye gi

Main bhi kitna pagal hoon jana

Kiya kiya socha karta hoon

Main bhi kitna pagal hoon 

Kaho ab kya kahoon tum se


Kaho ab kya kahoon tum se

Bataao kya likhon tum ko

Mujhay tamheed do koi

Mujhay umeed do koi

Naya ik lafz ho koi

Jahan se baat chal niklay

Meri mushkil ka hal niklay

Bataao lehja kaisa ho

Keh tum se baat karni hai

KAho ab kya iraada hai

Mujhay izhaar karna hai

Keh tum ko yeh batana hai

Tum Aksar yaad aatay ho

Dil jalon ki eid kaisi ? dard bhari hayaat kya


Dil jalon ki eid kaisi ? dard bhari hayaat kya

Teray sang eid manaaon meri yeh auqaat kya

Jab loatna hi hai ghreebon ko apni bazm main

Phir chamakta din kya ghup andheri raat kya

Main to teri gali ka adna sa ik faqeer hoon

Apnay rab se maangon main teri khairaat kya

Tujhay meri baatein sun'nana gawara nahin hai

Phir tujhay kaisay bataaon main meray halaat kya

Dard sehtay sehtay pathar ka ho gaya hoon "Darwaish"

Zubaan par pyaar ka qufal kisi se karon baat kya 

Kitabon ki tarah bhout se alfaaz hain mujh main


Kitabon ki tarah bhout se alfaaz hain mujh main 

Aur kitabon ki tarah hi bhout khamosh rehta hoon 

Kiyon rakhtay ho is tarah mera kahyal keh ab


Kiyon rakhtay ho is tarah mera kahyal keh ab 
Her lamha udaas rehnay ko ji karta hai 

Kiyon maantay ho her ik baat ko meri keh ab 
Tum ko tum hi se maangne ko jee karta hai 

Kiyon maantay ho her ik baat ko meri keh ab 
Keh baar baar rooth janay ko ji karta hai 

Tum jo chaho saath to koi shikwa nahin zindagi se 
Keh ab to kanton pe bhi chalnay ko jee karta hai 

Dar hai keh iss safar main tanha na reh jaaon 
KEh ab umar bhar tera saath nibhanay ko jee karta hai 

Zindagi farz hai to guzaar raha hoon


Zindagi farz hai to guzaar raha hoon 

Nafal hoti to chor deta

Us ne jaan keh kar pukara to hil gayi meray dil ki zameen


Us ne jaan keh kar pukara to hil gayi meray dil ki zameen 

Peechay murr kay dekha to woh mukhatib kisi aur se tha

Maazrat chahta hoon tujh se, gunnah'gaar hoon main


Maazrat chahta hoon tujh se, gunnah'gaar hoon main

Afsoos ! Keh tujhay us kay hawalay kiya , jissay teri qadar nahin

Mujh ko hosh nahin tujh ko khabar ho shayed


Mujh ko hosh nahin tujh ko khabar ho shayed 

Log kehtay hain keh tum ne mujhya bar'baad kiya

Woh jo meri aankh main rehta tha kajal ki tarah


Woh jo meri aankh main 
Rehta tha kajal ki tarah 
Aaj kajal jo lagaya to bhout yaad aaya 

Jis kay aanay se sajti thi 
Dar-o-baam kabhi 
Aaj ghar jo sajaya to 
Bhout yaad aaya 

Kabhi sajaata tha phool 
Meri zulfon main 
Aaj apnay haathon se sajaye 
To bhout yaad aaya 

Her Eid per milta tha us 
Ka payar bhara khat 
Aaj ussay khat jo likha to 
Bhout yaad aaya 

Kiyon meray pyaar main pagal nahin hota


Kiyon meray pyaar main pagal nahin hota 

Kiyon jism teri rooh se jal thal nahin hota 
Rishta yeh adhoora sa mukamal nahin hota 

KAisay main kahoon tu hai meray pyaar ka mujrim 
Itna haseen to koi bhi qatil nahin hota 

Yeh raah-e-mohabbat hai , mohabbat kay safar main
Kinaray nahin hotay koi saahil nahin hota 

Baanhon main mujhay lay kay kaha us ne 
Kiyon meray pyaar main pagal nahin hota

Suno main thak gaya hoon


Suno main thak gaya hoon

Suno ! 
Main thak gaya hoon 
Meri palkon pe ab tak kuch adhooray khwaab jaltay hain
Meri neendon main teray wasal ka resham ulajhta hai 
Meray aansoo meray chehray pe teray gham ko likhtay hain 
Meray andar kai sadiyon kay sanaaton ka daira hai 
Meray alfaaz baanhein waa kiye mujh ko bulaatay hain 
Magar main thak gaya hoon 
Aur main ne khamoshi ki goad main sar rakh diya hai 
Aur baalon main tumharay hijar ki narm ungliyaan mehsoos kar raha hoon 
Meri palkon pe jaltay khwaab hain ab raakh ki surat 
Tumharay wasal ka resham bhi ab neendain nahin bantein 
Meri aankhon main jaisay thar kay mousam ka baseera hai 
Mujhay andar kay sanaaton main gehri neend aayi hai 
Suno !
Iss yaad se keh do 
Mujhay kuch dair sonay de

Poet :~ Atif Saeed

Youn to her shay ka anjaam yahi hota hai


Youn to her shay ka anjaam yahi hota hai

Phool khilta hai , mehakta hai , bikhar jata hai 

Tum se waisay to koi shikwa nahin 

Shaakh sar sabz ho to fiza hasaas hoti hai

Her kali zakham ki surat main juda hoti hai 

Tum ne to be'kaar hi sataya hai 

Warna phool jab mukam'mal mehak jata hai 

Khud-ba-khud shaakh se gir jata hai 

Roz taaron ki nu'maish main nikal parta hai


Roz taaron ki nu'maish main nikal parta hai 
Chand pagal hai andheray main nikal parta hai 

Aik dewana musafir hai meri aankhon main 
Waqat-be-waqat tehar jaata hai chal parta hai

Apni tabeer kay chakar main mera jaagta khwaab 
Roz suraj ki tarah ghar se nikal parta hai 

Roz pathar ki himayat main ghazal likhtay hain 
Roz sheeshon se koi kaam nikal parta hai

US ki yaad aayi hai saanso zara aahista chalo
Dharkano se bhi Ibadat main khal'lal parta hai 

Main bhi kitna pagal hoon


Main bhi kitna pagal hoon 

Main bhi raat ko ghar aata hoon 
Apnay darwaze pe dastak detay lamhay
Aksar meri soch mujh se kehti hai 
Aaj to darwaza kholo gi 
Mujh ko dekh kar muskaaye gi 
Mera maatha choomo gi 
Sharmaye gi
Ghar main dakhal ho kar main bhi koi shararat karon ga 
To khud se simat kar reh jaye gi 
Main bhi kitna pagal hoon jana 
Kiya kiya socha karta hoon 
Main bhi kitna pagal hoon 

Aksar meri soch mujh se kehti hai


Aksar meri soch mujh se kehti hai

Main bhi raat ko ghar aata hoon 
Apnay darwaze pe dastak detay lamhay
Aksar meri soch mujh se kehti hai 
Aaj to darwaza kholo gi 
Mujh ko dekh kar muskaaye gi 
Mera maatha choomo gi 
Sharmaye gi
Ghar main dakhal ho kar main bhi koi shararat karon ga 
To khud se simat kar reh jaye gi 
Main bhi kitna pagal hoon jana 
Kiya kiya socha karta hoon 
Main bhi kitna pagal hoon 

Dil ko hisaar-e-ranj-o-alam se nikaal bhi


Dil ko hisaar-e-ranj-o-alam se nikaal bhi 
Kab se bikhar raha hoon mujhay ab sambhal bhi 

Aahat si us haseen ki her soo thi, woh na tha 
Hum ko khusi kay saath hota raha malaal bhi 

Sab apni apni moj-e-fanaa se hain be'khabar 
Mera kamal-e-shairy, tera jamaal bhi

Husn-e-azal ki jaisay nahin doosri misaal
Waisa hi be'nazeer hai us ka khayal bhi 

Mat pooch kaisay marhalay aankhon ko paish thay 
Tha chodween ka chand bhi woh khush jamaal bhi 

Janay woh din thay kon se aur kon sa tha waqat 
Gad mud se ab to honay lagay maah-o-saal bhi

Ek chasham-e-iltafaat ki peh'ham talaash main
Hum bhi ulajhtay jatay hain lamhon ka jaal bhi

Woh ik veeran gali thi shaher-e-dil ki


Dhamki

Woh ik veeran gali thi shaher-e-dil ki 
Shab-e-mahtaab thi 
Lakin wahan ab tak andhera tha 
Tan-e-tanha akela dekh kar , shayed nihata jaan kar mujh ko 
Kisi sun'saan goshay se , achanak samnay aa kar 
Nihayat sard mehri se , bhout safaak lehjay main 
Mohabbat ne mujhay be'haal karnay ki dhamki di !!

Khird ki chaak damaani kay andeshay se sehmaya 
Daraya , zakham-e-dil lag jaye to bharta nahin hai 
Giribaan chaak ho jaye to phir silta nahin hai
Main kya karta
Main zidi tha
Main na mana
Jo hona tha so woh ho kar raha
Veeran gali main shaher-e-dil ki
Mohabbat ab bhi milti hai
Kabhi gaahay ba'gaahay haal-e-dil kay pooch lenay ko
Woh hansti hai
Bhout hi narm go hai ab
Kabhi mujh ko akela dekh le to pooch leti hai
Woh dhamki yaad hai tum ko ?
Main hans deta hoon 
Kya bolon 
Karon bhi kya
Main zidi tha
Main zidi hoon 

Poet :~ Shariq Ali

Hum to kal bhi kehtay thay


Hum to kal bhi kehtay thay 
Apnay aks ki kaalak 
Dhul sakay to dho dalo
Aks ki sabahat ko 
"Bars" chaat leta hai 

Hum to kal bhi kehtay thay 
Apni tehrri aankhon kay 
Tirchay zawiye badlo 
Zawiye jo tirchay hon 
Mustaqeem raahon ka 
Kab suragh milta hai ?
Aainay ki azmat se 
An hiqaartein kaisi ?
Aks se guraizan hain 
Ab bisartein kaisi?
Apnay aap se kab tak ?
Youn nazar churao gay
Aaina jo toro gay 
Khud bhi toot jaao gay 

Poet :~ Mohsin Naqvi

Kahan itni sazein thein bhala is zindagi main


Kahan itni sazein thein bhala is zindagi main 
Hazaron ghar huye roshan jo mera dil jala Mohsin 

Faqat ik lafz-e-mohabbat ki hum ne bheek maangi thi 
Tars gaye khushi ko hum mili hai yeh saza Mohsin 

Sakoon-e-zindagi choora teri ik zaat ki khatar 
Magar phir bhi meri chahat se tum ko hai gila mohsin

Yeh dil toota hua le kar main kis kay paas jaaon ga 
Keh kon hai woh karay ga jo meray dil ki dawa Mohsin 

Teri aankhein teri saansein tera chehra teri dharkan 
Main kaisay bhool paaon ga teri her ik ada Mohsin 

Kisi ko kiya khabar mujh par keh her pal kya guzarti hai 
Meri saari kahani ka hai tu hi Aashna Mohsin

Karam aap kay yaad aanay lagay


Karam aap kay yaad aanay lagay 
Meray zakham phir muskuranay lagay

Shagufta nigahi ka ijaz hai 
Qafas bhi mujhay Aashiyane lagay 

Purana safar khatam honay laga 
Naye raastay jag'maganay lagay 

Yeh kya hai keh hotay huye aap kay 
Zamana mujhay azmaanay lagay 

Firozan hui jin se shaam-e-chaman 
Woh jugnoo bhout hi suhaanay lagay 

Bari dair kay baad doobay hain hum 
Safeenay bil'aakhir thikanay lagay 
 

Kabhi jo tum janaa !


Kabhi jo tum janaa !

Apnay shabnami lehjay main 

Thakawat si mehsoos karo 

Apni sawan aankhon main 

Qayamat si mehsoos karo 

To yeh mashwara hai mera

Apnay bheegay honton se

Chota sa ik kaam lena 

Tum zaroor ik baar mera naam lena 

Hat raha hoon tumharay raastay se


Hat raha hoon tumharay raastay se 

Bojh ban kar main jee nahin sakta 

Ab zaroorat nahin tumhain meri

Be'wajah aa gaya hoon raastay main 

Ugg gaya jaisay rah'guzar main kahin 

Khoobsurat sa koi jungli phool 

Rond kar mitna jis ki qismat hai

Tum mujhay ab kabhi na paai gi

Kuch aur barh gaye jo andheray to kya hua


Kuch aur barh gaye jo andheray to kya hua 

Mayoos to nahin hain talooh-e-sehar se hum 

Mana keh is zameen ko na gulzaar kar sakay 

Kuch khaar kam to kar gaye guzray jidhar se hum 

Lay de kay spnay paas faqat ik nazar to hai 

Kiyon dekhein zindagi ko kisi ki nazar se hum
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...