Jan 15, 2015

Tu kal ki tarah aaj nahin saath meray to kiya hua


Tu kal ki tarah aaj nahin saath meray to kiya hua

Kaisay tujhay bataon keh mohabbat to hum teri dooriyon se bhi kartay hain

Ae dil bas kar itna bhi kisi ko chaha nahin kartay


Ae dil bas kar itna bhi kisi ko chaha nahin kartay
JAb chahat ki qadar na rahay phir kisi ko socha nahin kartay 

Gawah hain hamaray yeh chaand sitaray sab kay sab 
Hum teray gham main raat bhar soya nahin kartay 

Koi dekhye ga to tujhay hi gunnah'gaar tehraein gay 
Iss dar se hum palkon pe aansoo laya nahin kartay

Jab kisi ko paanay ki umeed baaqi na rahay
Phir kisi ko youn rab se bhi maanga nahin kartay

Kitabon kay warqon ko palat kar sochta hoon


Kitabon kay warqon ko palat kar sochta hoon 
Youn palat jaye zindagi to kiya baat hai

Khwaab main roz milta hai jo 
Haqeeqat main a jaye to kiya baat hai

Kuch log matlab kay liye dhoondtay hain mujhay
Bina matlab koi aaye to kiya baat hai

Qatak kar kay to sab lay jayein gay dil mera
Koi baaton se lay jaye to kiya baat hai

Jab tak zinda hoon tab tak to khushi doon ka sab ko 
Meri mout se bhi agar kisi ko khushi mil jaye to kiya baat hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...