Feb 4, 2015

Koi gila nahin hai mujhay tumharay na yaad karnay ka


Koi gila nahin hai mujhay tumharay na yaad karnay ka 

Ujrray huwey chaman ko to prinday bhi chor jaatay hain

Teri arzoo main hum ne baharon ko dekha


Teri arzoo main hum ne baharon ko dekha 
Teray khayalon main hum ne sitaron ko dekha 

Hamain pasand tha bas aap ka saath 
Warna in aankhon ne to hazaron ko dekha

Subha hotay hi teray shaher se jaana hai mujhay


Subha hotay hi teray shaher se jaana hai mujhay 
Aaj ki raat zara mujhay mana kar sona 

Koi na sunay ga meray baad dukh tumharay 
Mujhay apna her dukh suna kar sona 

Chalay jayein gay to roya karo gay yaad kar kay 
Sirf aaj ki raat hai mujhay apna bana kar sona 

Hum to toot kay chahtay thay tumhain 
Tum ne hamain kiyon na chaha yeh baat bata kar sona 

Shayed meray aansoo tujhay khareed lain 
Aaj meray aanso'on ki qeemat laga kar sona

Tujhay fursat kahan hai chahat walon se baat karnay ki


Tujhay fursat kahan hai chahat walon se baat karnay ki 

Woh hum hain jo her raat teri kheriyat ki dua maang kar sotay hain

Sahib youn na jhanko Ghareeb kay dil main


Sahib youn na jhanko Ghareeb kay dil main 

Yahan hazaron hasratein be'libaas rehti hain 

Chalo tum ko milaata hoon main us mehman se pehlay


Chalo tum ko milaata hoon main us mehman se pehlay 
Jo meray jism main rehta tha meri jaan se pehlay 

Koi khamosh ho jaye to us ki khamoshi se dar 
Samandar chup hi rehta hai kisi toofan se pehlay 

Mujhay jee bhar kay apni mout ko to dekh lenay do 
Nikal jaaye na meri jaan is armaan se pehlay 

Meri aankhon se behtay motiyon ka sailaab dekho 
YEh maala toot jati hai teri muskaan se pehlay 

Purana dost hoon tera mera yeh farz banta hai 
Tujhay hoshiyar kar doon main teray nuqsaan se pehlay

Koi to meray khayalon main chahnay wala ho


Koi to meray khayalon main chahnay wala ho 
Mohabbat kay khazanay lutaanay wala ho 

Us aik shakhs ko duniya ki her khushi de doon 
Jo meray dard ko apna banaanay wala ho 

Mujhay bhi apni wafaon par naaz hai lakin 
Yahan koi to wafa Aazmanay wala ho 

Khuda gawah hai bari mushkil se milta hai 
Woh ik dil jo mohabbat nibhaanay wala ho

US ne mujhay parinda samjh kar barish main uraa diya


US ne mujhay parinda samjh kar barish main uraa diya 

Ussay yeh nahin pata keh baarish min urnay walay prinday kabhi lota na kartay

Woh keh gaya mera intizaar mat karna


Woh keh gaya mera intizaar mat karna 
Main kahun to bhi Aitabaar mat karna 

YEh bhi kaha keh mujhay pyaar nahin tum se 
Aur yeh bhi keh gaya keh kisi aur se payar mat karna

Qismat doosra moka nahin deti


Qismat doosra moka nahin deti 
Duniya ajnabi ko panah nahin deti 

Zindagi se itna pyaar mat karna Mohsin
Kiyon keh mout kabhi rishwat nahin leti 

Dil kay bazar main sab se ghreeb hoon


Dil kay bazar main sab se ghreeb hoon 
Khawabon ki duniya main sab se bad'naseeb hoon

Teray paas meray liye waqat nahin 
Aur log samjhtay hain keh main teray sab se qareeb hoon

Nahin pasand mohabbat main milaawat mujh ko


Nahin pasand mohabbat main milaawat mujh ko 

Agar woh mera hai to khwaab bhi meray hi dekhy

Zindagi ik chahat ka silsala hai


Zindagi ik chahat ka silsala hai 
Koi mil jaata hai koi bichar jaata hai 

Jissay maangtay hain hum apni duaon main 
Woh kisi ko bina maangay mil jata hai

Halqa-e-ishq main umeed'war-e-mohabbat hoon


Halqa-e-ishq main umeed'war-e-mohabbat hoon 

HAi koi jo is dil pe mohar lagaaye

Dard-e-dil ki aah tum kabhi bhi na samjh sako gay


Dard-e-dil ki aah tum kabhi bhi na samjh sako gay 

Har dard ka maatam sar-e-aam nahin hota

Likho to kuch aisa likho keh qalam bhi ro paray iqbal


Likho to kuch aisa likho keh qalam bhi ro paray iqbal

Her lafz main aisa dard paida kar woh wafa karnay pe majboor ho jaye

Bhout thay meray bhi is duniya main apnay


Bhout thay meray bhi is duniya main apnay 

Phir ishq hua aur hum la'waris ho gaye

Kya kami thi mujh main jo tum ne mujhay chor diya


Kya kami thi mujh main jo tum ne mujhay chor diya

Wafa karna nahin aai ya main ghreeb tha

Dar nahin lagat mujay haar jaanay se


Dar nahin lagat mujay haar jaanay se 
Haaro gay tum meray haar jaanay se 

Aaj paas hoon to qadar nahin kartay 
Yaqeen karo toot jaao gay tum meray chalay janay se

Tanhaiyon kay shaher main ik ghar bana liya


Tanhaiyon kay shaher main ik ghar bana liya 
Ruswaiyon ko apna muqaddar bana liya 

Dekha hai yahan pathar ko poojtay hain log 
Bas is liye apnay dil ko pathar bana liya

Koi juda ho gaya koi khafa ho gaya


Koi juda ho gaya koi khafa ho gaya 
Na janay zindagi main hum se kya ho ga 

Bhout sajday kiye kisi ko panay kay liye 
Shayed jis sajday main ussay paana tha woh hum se qaza ho gaya ?

Dil main kitnay zakham hain kisi ko kya pata


Dil main kitnay zakham hain kisi ko kya pata 

Yeh aur baat hai keh hum muskura kay jeetay hain rulanay walon kay samnay

Tum khud nahin jaantay tum kitnay pyaray ho


Tum khud nahin jaantay tum kitnay pyaray ho 
Jaan ho hamari aur jaan se pyaray ho 

Logon kay kehnay se kya hota hai 
Tum kal bhi hamaray thay tum aaj bhi hamaray ho 

Kiya ajeeb ehtisaab apna tha Jaan apni azaab apna tha


Kiya ajeeb ehtisaab apna tha 

Jaan apni azaab apna tha 

Kuch milay log bhi zamana saaz

Kuch muqadar kharaab apna tha 

YEh keh mukhlis thay hum mohabbat main 

Jurm bas yeh janaab apna tha 

Ab kiya karna us shakhs se gila kar kay 

Woh bhi to intikhaab apna tha

Jee bhar kay dekhon tujhay agar tujh ko gawara ho


Jee bhar kay dekhon tujhay agar tujh ko gawara ho 

Be'taab meri nazrain hon aur pyaar tumhara ho

Na karo takraar , mujhay tumhara hi khayal hai


Na karo takraar , mujhay tumhara hi khayal hai

Phir baat se baat niklay gi aur tum rooth jaao gay

Be'rukhi se hi sahi magar sotay huye kuch to keh diya karo


Be'rukhi se hi sahi magar sotay huye kuch to keh diya karo 

Chupkay se so jaatay ho nafrat ka gumaan hota hai

Kis qadar mujh ko sata'tay ho tum


Kis qadar mujh ko sata'tay ho tum 
Bhool jaanay pe yaad aatay ho tum 

Jab bhi khuda se kuch maanga main ne 
Meray dil ki dua ban jaatay ho tum

Woh aaya tha mehfil main magar shouq se nahin


Woh aaya tha mehfil main magar shouq se nahin 
Woh baithay thay paas meray magar dil se nahin 

Kon kehta hai woh pyaar nahin kartay 
Kartay to hain magar afsos mujh se nahin

Woh mehndi lagay haath dikha kay roi



Woh mehndi lagay haath dikha kay roi 
Main kisi aur ki hoon woh yeh bata kay roi 

Main bola kon hai woh khush'naseeb 
Woh mehndi se likha hua naam dikha kay roi 

Kahin gham se phatt na jaye jiger mera 
Woh hanstay hanstay mujhay hansa kay roi 

Dil na toota us ka gham-e-hijar main 
Main bhi roya woh bhi meri aankh se aankh mila kay roi 

US ne jana jab meray ronay ka sabab 
Apnay aansoo meri hathaili pe saja kay roi 

Jab bhi dekha ussay hanstay huye dekha 
Waqat-e-hina her khushi ko woh bhula kay roi 

Dil ne chaha ussay jee bhar kay dekh loon 
Woh meri aankhon ki pyaas ko bujha kay roi 
 
Kabhi kehti thi keh main nahin jee paaon ki tum bin 
Aur aaj phir woh yeh baat dohraa kay roi 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...