Aug 20, 2014

Koi tohfa la'jawaab dain

Koi tohfa la'jawaab dain 
Naye saal par woh gulaab dain 

Yeh jo sooni sooni si aankh hai 
Koi sur'mageen sada khwaab dain 

Bari rang ba'rangi hon baarishain
Kabhi pyaar ka jo sahaab dain 

Hamain thaam kar baray pyaar se 
Sabhi chahaton ka jawaab dain 

Kabhi ayein phir bicharnay ko 
Hamain rat'jagon ka azaab dain 

Nahin door woh yaheen paas hain 
Khud hi khud ko hum saraab dain

Ik zamana hai keh hua jis kay husan pe mayel

Ik zamana hai keh hua jis kay husan pe mayel

Hum na kar sake us ko par kisi tarah qayel

Tujh ko jab na dekha tha kuch pata na tha hum ko 

Raanjha heer kay haathon kis tarah hua ghayel 

Kal bhi tera dar na khula , aaj bhi nahin umeed

Kal bhi hum hi sayel thay , aaj bhi hum hi sayel 

Zid hai hamari bhi tujh se dil lagaein gay 

Ik zamana hota rahay , garcha raah main hayel

Mousam-e-bahaar

Mousam-e-bahaar 

Mousam-e-bahaar shuroo hai 
Darakhton par paton ka 
singhaar shuroo hai 
Phoolon aur kaliyon kay darmiyaan 
Takraar shuroo hai 
Her aahat par dil ko 
Tera intizaar hai 
Is dil main teray siwa 
Ab na koi aye ga 
Apnay rab kay samnay 
YEh iqraar hai

Bara khathan hai raasta jo aa sako to saath do

Bara khathan hai raasta jo aa sako to saath do 
Yeh zindagi ka faasla mitta sako to saath do 

Baray faraib khao gi baray sitam uthao gi 
Yeh umar bhar ka saath hai nibha sako to saath do 

Jo tum kaho yeh dil kiya yeh jaan bhi fida kar doon 
Jo main kahon ik nazar luta sako to saath do

Main aik ghreeb be'nawa main aik faqeer be'sada 
Meri nazar ki iltaja jo paa sako to saath do 

Hazaar imtihaan yahan , hazaar azmaishein 
Hazaar dukh hazaar gham utha sako to saath do 

Yeh zindagi yahan khushi , ghamon kay saath saath hai 
Rulaa sako to saath do , hansa sako to saath do

Umar ki raah main rastay badal jaatay hain

Umar ki raah main rastay badal jaatay hain 

Waqat ki aandhi main insaan badal jaatay hain

Sochtay hain tumhain itna yaad na karain 

Lakin aankh band kartay hi iraday badal jaatay hain

Tere honay ka jo reh reh kay gumaan hota hai

Tere honay ka jo reh reh kay gumaan hota hai 
MAin samjhta hoon mera pyaar jawaan hota hai 

Raat bhar to banatay hain mohabbat kay mehal 
Aankh khulti hai to sada sa makaan hota hai 

Paaon phislay ga to choat ka aana lazim hai
Dard lamhon ka hansi dushman-e-jaan hota hai 

Apnay ristay huye zakhmon ko chupaaon kaisay 
Raat jharti hai to her zakham ayaan hota hai 

Dekhon jo peechay ta'dam had-e-nazar "Imran"
Bhout kiye huye khwaabon ka jahan hota hai

Hain sabhi ko ham sy shikaytan

Hain sabhi ko ham sy shikaytan

 par hamy kisi sy gila nhi

Ye asool ab ham ny bna liya hai

na mila karyn gaye, na gila karyn gaye

Phir us kay jate hi ye dil sunsaan ho kay reh gaya

Phir us kay jate hi ye dil sunsaan ho kay reh gaya 

Acha bhala ik sheher tha veeraan ho kay reh gaya  

Her naqsh baatil ho gaya ab k dayaar-e-hijar may 

Ik zakham guzrey waqt ka mehmaan ho kay reh gaya  

Kuch din mujhe aawaaz di logon ne us kay naam se 

Phir sheher bhar may woh meri pehchaan ho kay reh gaya  

Ik khuwab ho kar reh gai gulshan se apni nisbatein 

Dil raiza raiza kaanch ka guldaan ho kay reh gaya

Acha BhaLa Ik Sheher Tha Veeraan Ho k Reh Gaya

Phir us kay jate hi ye dil sunsaan ho kay reh gaya 

Acha bhala ik sheher tha veeraan ho kay reh gaya  

Her naqsh baatil ho gaya ab k dayaar-e-hijar may 

Ik zakham guzrey waqt ka mehmaan ho kay reh gaya  

Kuch din mujhe aawaaz di logon ne us kay naam se 

Phir sheher bhar may woh meri pehchaan ho kay reh gaya  

Ik khuwab ho kar reh gai gulshan se apni nisbatein 

Dil raiza raiza kaanch ka guldaan ho kay reh gaya

Zinda hain jis ki aas pe wo b rula gaya

Zinda hain jis ki aas pe wo b rula gaya

Bandhan wafa k toor k sare chala gaya

Khud hi to ki thi usne Mobabat ki ibtida

Hathoo me hath de k khud hi churra gaya

Kar di jis k liye hamne Tabah zindagi

Ulta wo Bewafai ki Tuhmat laga gaya

Kaha main ne kahan tum ho

Kaha main ne kahan tum ho 

Jawab aya jahan tum ho 

Mere jeewan se zahir ho 

Mere gham main nihaan ho tum 

Meri to sari duniya ho 

Mera sara jahan ho tum 

Meri sochon ka mehwar ho 

Mera zor-e-biyaan ho tum 

Main lafaz-e-mohabbat hoon 

Magar meri zubaan ho tum 

Is ghreebi main guzara nahin hota moula

Is ghreebi main guzara nahin hota moula
Ghaib se koi ishara nahin hota 

Mujh ko hijrat ki koi raah sujha himmat de 
Mujh se yeh shaher gawara nahin hota moula 

Jab main ghar jaata hoon amboh-e-masaib main kabhi 
Tujh bina koi sahara nahin hota moula 

Sochta hoon to her ik simat samandar hi mile
Dekhta hoon to kinara nahin hota moula 

Kuch na kuch phir bhi kami rehti hai 
Chaand hota hai sitara nahin hota moula

Gham'naak samandar main kinaray na bichartay

Gham'naak samandar main kinaray na bichartay 
Tum bichray thay yaadon kay saharay na bichartay 

Main teri judai ka sitam jhail hi leta 
Us raat agar chaand sitaray na bichrtay 

Ik doojay se kuch dard ki taqseem to rehti
Jeewan main agar dard kay maaray na bichartay

Her rang main hai illat-o-malool zaroori 
Aankhain na bichartein to nazaray na bichartay 

Issi tor se yaadon ki bhi surat nikal aati 
Hum bhool gaye hotay jo piyaaray na bichartay

Rait se butt na bana ae mere achay funkaar

Rait se butt na bana ae mere achay funkaar 
Ek lamhay ko tehar main tujhay pathar laa doon 
Main tere samnay ambaar laga doon lakin 
Kon se rang ka pathar tere kaam aye ga 
Surkh pathar jissay dil kehti hai be'dil duniya 
Ya woh pathraai hui aankh ka neela pathar 
Jis main sadiyon kay tahiyur kay pare hon dooray 

Kiya tujhay rooh kay pathar ki zaroorat ho gi 
Jis pe haq baat bhi pathar ki tarah giraati hai 
Ik woh pathar hai jissay kehtay hain tehzeeb-e-safed
Us kay mar'mar main siyah kiyon jhalak jaata hai 
Ik insaaf ka pathar bhi to hota hai magar 
Haath main tesha-e-zar ho to woh haath aata hai 

Jitnay mayaar hain is dour kay sab pathar hain 
Shair bhi raqs bhi tasveer-o-gina bhi pathar 
Mere ilhaam tera zehan-e-rasaa bhi pathar 
Is zamanay main her funkaar nishaan pathar hai 
Haath pathar hain teray , meri zubaan pathar hai 
Rait se butt na bana ae mere achay funkaar 

Piyaray lamhay ayein gay aur majboori mit jaye gi

Piyaray lamhay ayein gay aur majboori mit jaye gi 
Hum dono mil jayein gay aur sab doori mit jaye gi 

Her dam bahanay wali aankhon ki maala bhi tootay gi 
Teri meri hasti is bairy bandhan se chootay gi 

Lakin yeh sab baatein hain apne jee ko behlanay ki 
Dukh ki raat main dheeray dheeray dil ka dard mitanay ki 

Rotay rotay hanstay hanstay ruktay ruktay gaanay ki 
Sukh ka sapna sookha hai aur sookha hi reh jaye ga 

Sooni saij pe paraim kahani paraimi youn keh jaye ga 
Hotay hotay sara jeewan aankhon se beh jaye ga  

Aik ghazal tere liye zaroor likhon ga

Aik ghazal tere liye zaroor likhon ga 
Be'hisaab us main tera qasoor likhon ga 

Tu guftaar ka maa'hir , Tu kirdaar ka maa'hir
Par husan ko teray tera ghroor likhon ga 

Toot gaye bachpan kay tere saray khilonay 
Ab dilon se khailna tera dastoor likhon ga 

Raha ishq ka dawa tujhay tamaam umar 
Wafa ki dehleez se tujhay mafroor likhon ga 

Khud shakista jo hai tera judai ka faisala
Aisay her iqdaam ko na'manzoor likhon ga 

Hamaray kehnay ki aadat nahin likhnay ka shouq hai 
Jazbon ko panay qalam ki taseer likhon ga 

Tera wajood mera wajood mujhay ik sa lagay 
Par tujhay main khud se bhout door likhon ga 

Ek ghazal tere liye zaroor likhon ga 
Be'hisaab us main tera qasoor likhon ga 

Ghazal to bahana hai

Ghazal to bahana hai 
Jab mousam sohana hai 

Baithay hain dareechay par 
Mehboob ko aana hai 

Khamoshi lab-e-baam 
Aankhon se farmaana hai 

Pathar hain phir majnu par 
Yeh kon sa zamana hai 

Ab tor do saagar ko 
Aankhon se pilaana hai 

Barson main to aye ho 
Pal bhar main hi jaana hai 

Chil'man na hatay rukh se 
Dushman yeh zamana hai 

Dushman ko youn na dekho 
Woh dost ban jaan ahai 

Roothay hain sanam mujh se 
Ab jan bhi jana hai 

"Imran" hum aashiq hain 
Ek woh hai be'gaana hai 

Aya hai kisi taur, qaza ko na taras aur

Aya hai kisi taur, qaza ko na taras aur 
Tere baghair beet gaya , aik baras aur 

Kuch shah kay kaano main , qaseedon ka ir'ta'aash 
Kuch muflis-e-barbaad ka paigham-e-jaras aur 

Kuch fitra'tan hai , zaviya-e-soch mukh'talif
Kuch mere aab-o-jad ne , sikhaya hai daras aur 

Muddat kay baad shair kahay , to pata chala 
Dil ko koi jo'zaam hai, sochon ko baras aur 

Khush feh'mi-e-saadiq ka ilaaj-o-dawa yahi 
Parnay do abhi aankh main , ibhaam ka rass aur  

Phir usi khwaab ne be'chain kar diya ho ga

Phir usi khwaab ne be'chain kar diya ho ga 
Neend main hi sahi mera naam jab liya ho ga 

Kon aata hai kisi se is tarah milne 
Mera khyaal tere dil main aa gaya ho ga 

Kuch to hai tere mere darmiyaan kahin 
Ek baar sahi dil zor se dharka ho ga 

Kabhi yaad jo ayi ho gi tanhai main 
Laakh roka magar ek aanso to tapka ho ga 

Ishq zaahir na ho zubaan se magar 
Sab aankhon ne keh diya ho ga 

Rishtay bantay hain aasmano main 
Tera mera bhi teh hua ho ga 

Dil main tasveer kisi ki "Zahid"
Haan yaqeenan tumhain pata ho ga

Chalo ik nazam likhtay hain

Chalo ik nazam likhtay hain 
Woh aisi nazam ho jis main 
Kisi ka zikar hi na ho 
Kisi ki fikar hi na ho 
Kisi ki be'wafai ka 
Kisi ki kaj'adai ka 
Kisi kay loat anay ka 
Kisi kay chor janay ka 
Na us main phool hi mehkain 
Parinday tak na cheh'kain

Woh aisi nazam ho jis main 
Kisi ki yaad hi na ho 
Koi fariyaad hi na ho 
Woh aisi nazam ho 
Jis main na baarish ho 
Na baadil ho 
na bheega bheega kajal ho 
Woh aisi nazam ho jis main 
Na shikwa na shikayat ho 
Koi aisi hikayat ho keh 
Jis se dil behal jaye 
MAgar woh nazam main 
kaisay likhon 
Koi bata de na 
Woh aisi nazam haan 
Jis main kisi ka 
Zikar hi na ho 
Kisi ki fikar hi na ho

Ishq main doob kay , ik sun li qawali main ne

Ishq main doob kay , ik sun li qawali main ne 
Dil kay haathon se baja daali hai taali main ne 

Daikh kar dushman-e-jaan , haasil-e-jaan yaad aya 
Mujh se mat pooch keh kiyon aankh jhuka li main ne 

Teri yaadon ki hawaein na kisi tour ayein 
Asmaan tak hi faseel aik utha li main ne 

Main ne her baar teri chah se samjhota kiya 
Apne ikhlaas ki kiya khoob saza li main ne 

Main ne to aaina dikhlaya tha sachai ka 
Aur woh tarpay , unhain di jis tarah gaali main ne 

Jis ko kehtay hain bharam zabat-o-tahamal ka faqeer
Toot'nay di na woh bareek si jaali main ne 

Dil chura tha mujhay aik haseena ka "Samad"
Apni aankhon ki hi khud neend chura li main ne

Thori si kami reh jaati hai

Thori si kami reh jaati hai 

Her kaveeta mukamal hoti hai 
Lakin woh kaghaz se qalam par 
Jab aati hai 
Thori si kami reh jaati hai 
Her pareet mukamal hoti hai 
Lakin woh gagan se dharti par 
Jab aati hai 
Thori si kami reh jaati hai 
Her jeet mukamal hoti hai 
Sarhad se woh lakin aangan main 
Jab aati hai 
Thori si kami reh jaati hai 
Phir kaveeta nayi 
Phir pareet nayi 
Phir jeet nayi - behlaati hai 
Her baar 
Magar lagta hai youn hi 
Thori si kami reh jaati hai 

Nida Faazli

Gardish-e-waqat azmaati hai

Gardish-e-waqat azmaati hai
Zindagi raastay dikhati hai 

Naam lay kay kisi bahanay se
Ab teri yaad bhi sta'ti hai 

Khaana-e-dil main yeh hansi teri 
Ik ajab aag si lagati hai 

Hum bura kiya kahain bahaar tujhay 
Phool her rang kay khilaati hai 

Bhool jaati hai apnay wadon ko 
Aur phir pyaar bhi jata'ti hai 

Naam leti nahin kabhi mera 
Bas mere shair gun'gunaati hai 

Sochta hoon "Zia" keh woh larki 
Itnay ansoo kahan se laati hai 

Poet : Ahmed Zia 

Zindagi raastay dikhati hai

Gardish-e-waqat azmaati hai
Zindagi raastay dikhati hai 

Naam lay kay kisi bahanay se
Ab teri yaad bhi sta'ti hai 

Khaana-e-dil main yeh hansi teri 
Ik ajab aag si lagati hai 

Hum bura kiya kahain bahaar tujhay 
Phool her rang kay khilaati hai 

Bhool jaati hai apnay wadon ko 
Aur phir pyaar bhi jata'ti hai 

Naam leti nahin kabhi mera 
Bas mere shair gun'gunaati hai 

Sochta hoon "Zia" keh woh larki 
Itnay ansoo kahan se laati hai 

Poet : Ahmed Zia 

Shakista to thi aik dewaar ghar ki

Shakista to thi aik dewaar ghar ki 

Magar mere dushman ko kis ne khaber ki 

Zaroorat ne aangan main kamray ugaye 

Bhala kon sunta do'hai shajar ki

Naqsh thay haath ki lakeeron par

Naqsh thay haath ki lakeeron par 

Dastaras se magar paray tum thay 

Hum ne jis raah ka intikhaab kiya 

Us kay her mor pe kharray tum thay

Dil main koi umeed na aankhon main roshni

Dil main koi umeed na aankhon main roshni 

Niklay gi is tarah koi jeenay ki raah kiya 

"Amjad" nazool shair kay kaisay banain asool 

Sailaab kay liye koi hota hai raah kiya 

Usi din ghar nahin aata keh jab ussay aanay ko kehta hai

Usi din ghar nahin aata keh jab ussay aanay ko kehta hai 

Magar kiya roothna us se woh apni dhun main rehta hai 

Mujhay tujh se juda rakhta hai aur dukh nahin hota 

Mere andar tere jaisa yeh aakhir kon rehta hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...