Mar 11, 2017

Hum ne soch rakha hai tum se kuch nahin kehna


Tum se kuch nahin kehna 

Hum ne soch rakha hai 
Chahye dil ki her khawaish 
Zindagi ki aankhon se ashk ban kay 
Beh jaye 
Chahye ab makeeno par 
Ghar ki sari dewarein chatt samait gir jayein 
Aur be'muqaddar hum 
Iss badan kay malbay main 
Khud hi kiyon na dab jayein 
Tum se kuch nahin kehna 
Kaisi neend thi apni , kaisay khawaab thay apnay 
Aur ab gulabon par 
Neend wali aankhon par 
Narm khu se khawabon par 
Kiyon azaab tootay hain 
Tum se kuch nahin kehna 

Ghar gaye hain raaton main 
Be'libaas baaton main 
Iss tarah ki raaton main 
Kab chragh jaltay hain 
Kab azaab tal'tay hain 
Ab to in azabon se bach kay bhi nikalnay ka raasta nahin jaana !
Jis tarah tumhein sacch kay la'zawal lamhon se waasta nahin jaana !
Hum ne soch rakha hai tum se kuch nahin kehna 


Umar rai'gaan kar di tab yeh baat maani hai


Umar rai'gaan kar di tab yeh baat maani hai 
Mout aur mohabbat ki aik hi kahani hai 

Khel jo bhi tha jaana ab hisaab kya karna 
Jeet jis kisi ki ho hum ne haar maani hai 

Wasal par bhi na'dam thay hijar par bhi sharminda 
Woh bhi rai'gaani thi , yeh bhi raigaani hai 

Yeh mera hunar teri khushbu'on se wabasta 
Meray saray lafzon par teri hukam'raani hai 

Janay kon shehzada kab chura kay lay jaye 
Woh jo apnay aangan main khushbu'on ki raani hai 

Woh harf harf meri rooh main utar'ta gaya



Woh harf harf meri rooh main utar'ta gaya 

Jo baat karta gaya aur udaas karta gaya 


Mohabbat kam nahin ho gi


Mohabbat kam nahin ho gi 

Meri aankhein salamat hain 
Mera dil meray seenay main dharakta hai 
Mujhay mehsoos hota hai 
Mohabbat kam nahin ho gi 

Mohabbat aik wada hai 
Jo sacchai ki un'daikhi kisi saa'at main hota hai 
Kisi rahat main hota hai 
Yeh wada shairy ban kar meray jazbon main dhalta hai 
Mujhay mehsoos hota hai 
Mohabbat kam nahin ho gi 

Mohabbat aik mousam hai 
Keh jis main khawab uggtay hain 
To khawabon ki harri shakhein 
Gulabon ko bulaati hain 
Unhein khushbu banati hain 

Yeh khushbu jab hamari khirkiyon par dastak'ein de kar 
Guzarti hai 
Mujhay mehsoos hota hai 
Mohabbat kam nahin ho gi 



Palat kar phir kabhi uss ne pukara hi nahin hai

Palat kar phir kabhi uss ne pukara hi nahin hai 
Woh jis ki yaad se dil ko kinara hi nahin hai 

Mohabbat khel aisa to nahin hum loat jayein 
Keh iss main jeet bhi ho gi khasara hi nahin hai 

Kabhi woh jugnu'on ko muthiyon main qaid karna 
Magar ab to hamein yeh sab gawara hi nahin hai 

Ab uss kay khaal-o-khad ka zikar kya kartay kisi se 
Keh hum par aaj tak woh aashkaara hi nahin hai 

Yeh khawaish thi keh hum kuch door tak saath chaltay 
Sitaron ka magar koi ishara hi nahin hai 

Bhout se zakham khaye dil ne aakhir teh kiya hai 
Tumharay shaher main apna guzara hi nahin hai 


Lutf sogwari main , Gham ki aabiyaari main


Lutf sogwari main 
Gham ki aabiyaari main 

Hum milay mohabbat ki 
Pehli barf baari main 

Ghar se kon niklay ga 
Itni sang baari main 

Ik sakoon shaamil hai 
Dil ki be'qaraari main 

Umar sari guzri hai 
Kitni sog'wari main 

Ik faraib lagta hai 
Uss ki ink'saari main 


Kul Asaasa tha ik diya logo


Kul Asaasa tha ik diya logo 
Aur ab woh bhi bujh gaya logo 

Hum ne chup chaap haar maani thi 
Tum ne to shor kar diya logo 

Saath reh kar bhi kitna na'dim tha 
Kab talak jhoot bolta logo 

Woh bhi khamosh tha judai par 
Hum ne bhi zabt kar liya logo 

Zindagi ka safar tumharay baghair 
Aakhir kaar kat gaya logo 

Hum ne ik roz loat aana tha 
Koi to raah dikhaata logo 

Toh'matein to lagti hain Roshni ki khawaish main


Toh'matein to lagti hain 

Toh'matein to lagti hain 
Roshni ki khawaish main 
Ghar se baahir aanay ki kuch saza to milti hai 

Log log hotay hain 
Un ko kya khabar jaana !
Aap kay iraadon ki khoobsurat aankhon main 
Basnay walay khawabon kay rang kaisay hotay hain 
Dil ki goad aangan main palnay wali baaton kay 
Zakham kaisay hotay hain 
Kitnay gehray hotay hain 

Kab yeh soch saktay hain 
Aisi be'gunnah aankhein 
Ghar kay konay khudron main chupp kay kitna roti hain 

Phir bhi yeh kahani se 
Apni kaj biyani se 

Is qadar rawani se daastaan sunatay hain 
Aur yaqeen ki aankhein 
Sacch kay gham'zada dil se lag kay ronay lagti hain 

Toh'matein to lagti hain 
Roshni ki khawaish main 
Toh'maton kay lagnay se
Dil se dost ko jaana 
Ab nid'haal kya karna 
Toh'maton se kya darna 


Hamaray bas main agar apnay faisalay hotay


Hamaray bas main agar apnay faisalay hotay 
To hum kabhi kay gharon ko palat gaye hotay 

Qareeb reh kay sulagnay se kitna behtar tha 
Kisi maqaam pe hum tum bichar gaye hotay 

Kabhi to rait ko hum muthiyon main bhar letay 
Kabhi hawaon se apnay muqaalmay hotay 

Hamaray naam pe koi chragh to jalta 
Kisi zubaan pe hamaray bhi tazkaray hotay 

Hum apna koi alag raasta bana letay 
Hamaray dil ne agar hoslay na haaray hotay 


Yeh umar bhar ka safar aur yeh rai'gaani teri


Yeh umar bhar ka safar aur yeh rai'gaani teri 
Kahan gayi Ae meray dil woh khush gumaani teri 

Yahan pe kon andheron main saath chalta hai 
Tu ab bhi saath meray hai yeh meharbani teri 

Tujhay khabar nahin hum daikh kar bhout roye 
Nayi kitaab main tasveer ik purani teri 

Abhi se aablay parnay lagay hain paaon main 
Abhi to door hai manzil-e-safar kahani teri 

Bhulaaye baithay hain aur apnay haal main khush hain 
Tu aa kay daikh kabhi hum ne baat maani teri 

Mujh ko ruswa sar-e-mehfil tu na karwaya karay


Mujh ko ruswa sar-e-mehfil tu na karwaya karay 
Kaash aansu meri aankhon main hi reh jaya karay 

Ae hawa main ne to bas uss ka pata poocha tha 
Ab kahani tu na her baat ki ban jaya karay 

Bas bhout daikh liye khawaab sohanay din kay 
Ab woh baaton ki rafaqat se na behlaya karay 

Ik museebat to nahin tooti so ab iss dil se
Jis qayamat ne guzarna hai guzar jaya karay 

Dil ne ab soch liya hai keh zaalim duniya 
Jo bhi karna hai karay mujh ko na uljhaya karay 

Jis kay khawabon ko main aankhon main saja kar rakhon 
Uss ki khushbu kabhi mujh ko bhi mehkaya karay 

Safar aasaan lagta tha


Khawaab 

Safar aasaan lagta tha 
Dil-e-bar'baad tujh ko yeh safar Aasaan lagta tha 
Idher tu sochta tha udher 
Aankhon se koi khawab chehra aan lagta tha 
Magar khawabon main rehna 
Khawab jaisi be'haqeeqat khushbu-e-sehra main rehna hai 
Kinaron se jo ho mehroom 
Uss dariya main rehna hai 
Dil-e-bar'baad hum ne to kaha tha 
Yeh safar aasaan lagta hai 
Magar aankhein badan se cheen leta hai 

Mohabbat main kahin kam ho gaya hai


Mohabbat main kahin kam ho gaya hai 

Mera tujh par yaqeen kam ho gaya hai 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...