May 14, 2016

Main ne bola tha sanam kabhi jhoot mat bolna



Main ne bola tha sanam 
Kabhi jhoot mat bolna 
Keh tumhari aankhein 
Tumhari batein 
Tumhara raaz afshan kar deti hain 
Phir kiyon bola tum ne 
Tum meray ho ,,,!!

Bhout mushkil yeh hijar kay lamhaat bhi


Bhout mushkil yeh hijar kay lamhaat bhi 
Siyah raat ki manind 
Keh ab to ashk bhi meray 
Jo teri yaad main behtay hain 
Siyah ho gaye hain

Kya likhon us ka naam Jissay sochon subha shaam




Kya likhon us ka naam 
Jissay sochon subha shaam 
Neeli jheel ka panbi hai woh 
Mohabbat ki ik kahani hai woh 

Pyaar ka meetha bol hai woh 
Her ik se anmol hai woh 
Woh Aasman ka badil hai 
Woh meri aankhon ka kajal hai 
Meray mann ki jeet hai woh 
Meray labon ka geet hai woh 
Chaman main khilta phool hai woh 
Chahat se likhi kitaab hai woh 

Meray liye woh mera sanam hai 
Jo toot na sakay woh qasam hai 
Kya likhon us kay naam 
Jissay sochon main subha shaam

Mansoob us kay qissay auron se bhi thay lakin


Mansoob us kay qissay auron se bhi thay lakin 

Woh baat bhout phaili , jo baat chali hum se

Tum bin udaas hoon



Tum bin udaas hoon 

Dukh hoon 
Dard hoon
Saaz hoon 
Ya beetay dino ki awaz hoon 
MAin jo kuch bhi hoon 
Jo koi bhi hoon
"Tum bin udaas hoon"

Zamana baray shouq se sun raha tha


Zamana baray shouq se sun raha tha 

Hum hi so gaye dastaan kehtay kehtay

Ussay kehna qasam lay lo




Ussay kehna qasam lay lo 
Tumharay baad jo hum ne kisi ka khwaab dekha ho 
Kisi ko chaha ho
Kisi ko pooja ho
Kisi ki Aarzoo ki ho
Kisi ki justagoo ki ho 
Kisi ki raah dekhi ho 
Kisi ka qurb maanga ho
Kisi se aas rakhi ho 
Koi umeed baandhi ho 
Koi dil main utraa ho 
Koi tum se jo pyaara ho 
Koi dil main basaya ho
Koi apna banaya ho 
Koi rootha ho to hum ne ussay ro kar manaya ho
Kisi se baat karnay ko kabhi yeh hont tarsay hon 
Kisi ki be'wafai par kabhi yeh nain barsay hon 
Kabhi raaton ko uth uth kar teray dukh main ne roye hon 
Ussay kehna qasam lay lo 
Tumharay baad 
Jo hum ne kisi ka khwaab dekha ho

Zindagi naam diya hai tujh ko


Zindagi naam diya hai tujh ko 

Ab bata kaisay Aeitabaar karon

Zindagi ulajh jaati hai




Zindagi ulajh jaati hai 

Jab tera naam , koi aur leta hai

Kisi be'wafa ki khatir yeh junoon Faraz kab tak


Kisi be'wafa ki khatir yeh junoon Faraz kab tak 

Jo tumhain bhula chuka hai ussay tum bhi bhool jaayo

Mohabbat ka meri mujh se hisaab mnangta hai


Mohabbat ka meri mujh se hisaab mnangta hai 
Tamaam umar ka mujh se nisaab maangta hai 

Jin logon ko main jaanta nahin 
Un logon kay mujh se Alqaab maangta hai 

Un kay qadmon main khushiyon ko dhair kar diya 
Pagal un cheezon ka jawaaz maangta hai 

Hazaar baar kaha sirf tum se pyaar hai 
Meray pyaar ka mujh se oqraar maangta hai 

Her sawal kay jawaab ko jaantay huye bhi 
Apnay her sawal ka jawaab maangta hai 

Ajeeb shakhs hai khushiyon ko daman main lay kar 
Khushiyon ki bheek sar-e-bazar maangat hai 

Hum mout ki dehleez par hain janta hai , jana hai hamein 
Pagal hai meray ruknay ki dua maangta hai 

Tashkhees baja hai keh mujhay ishq hua hai


Tashkhees baja hai keh mujhay ishq hua hai 

Nuskay main likho un se mulaqaat musalsal

Tark-e-taaluq se kya huwa haasil


Tark-e-taaluq se kya huwa haasil

Tab bhi chahtay thay , ab bhi chahtay hain

Kaash aisi koi subha milay mujhay muqaddar se


Kaash aisi koi subha milay mujhay muqaddar se 

Aankh khulay teri chooriyon ki chhan chhan se

Hum mohabbat ki intiha kar dain


Hum mohabbat ki intiha kar dain

Haan magar ibtidaa karay koi

Rakha hai hum ne dil main baray ehtraam se


Rakha hai hum ne dil main baray ehtraam se

Jo gham diya hai tum ne mohabbat kay naam se

Dushmano se mohabbat honay lagi mujh ko


Dushmano se mohabbat honay lagi mujh ko 

Jaisay jaisay apno ko Aazmaatay chalay gaye

Qismat saath nahin deti




Qismat saath nahin deti 

Yeh bilkul teray jaisi hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...