Sep 14, 2014

Be'dehaani

Be'dehaani

Kal us ki aik choori tooti to

Woh kuch afsurda si ho gayi

Aur mujhay kehnay lagi

Dekho meri choori toot kar

Haath par lag gayi hai

Aur ab dard hota hai

Mujhay masoomiyat pe us ki hansi si aa gayi

Aur main sochnay laga

Keh meri to hasti tooti hai

Aur mujhay pata bhi nahin chala 

Baat hi ajab si thi

Baat hi ajab si thi

Rooh agar na deta to

Saans deni parti thi

Dil agar na deta to

Jaan deni parti thi

Phir batao kiya karta ?

Rooh ko bachanay main

Saans waar di main ne

Aur kiya kahoon dil ki

Jaan haar di main ne

Ishq mohabbat wali raahain talkh bhout hain

Ishq mohabbat wali raahain talkh bhout hain

Khail nahin hai in par chalna

Saath nibhaana bhout khathan hai

Do pal ki hai khushi ki saa'at

Sadiyon phir be'chaini hai

Chand hi hain qurbat kay lamhay

Phir sunsaan si raatain hain

Sooraj kay neechay mom ka ghar

KAha nahin tha pagal'pan hai

Kaha nahin tha

Aag se mat khailo tum janaa

Jal jaao gi

Sab kuch tum se kaha tha main ne

Her ek baat batai thi

Achi buri her prem kahaani

Main ne tumhain sunaai thi

Lakin zidi larki tum ne

Meri koi baat nahin maani

Wohi kiya na tum ne aakhir

Jis ki apni dil main thaani

Pagal larki

Tez hawa main diya jalaya tha jo tum ne

Aakhir kab tak jalta rehta ?

Hawa se lartay lartay ek din

Bujh hi gaya woh diya tumhara

Lakin tum ko khabar nahin hai

Jis din se woh diya bujha hai

Us din se "Main" sulag raha hoon

Kaha us ne shaakhon se

Kaha us ne shaakhon se

Juda phoolon ko karnay ki

Hawaon ki jo saazish hai

Ussay achi nahin lagti

Faqat ik pal ko jee chaha

Ussay itna to keh do aaj

Mohabbat !

Phool ki patiyon se

Barh kar bhi nazuk hai

Jissay qadmon talay us ne

Kabhi ka rondh daala hai

Aaj ki raat saaz-e-dard na chairr

Aaj ki raat saaz-e-dard na chairr

Dukh se bhar'poor din tamaam huye

Aur kal ki khabar kissay maloom

Dosh-o-farda ki mit chuki hain hadood

Ho na ho ab sehar , kissay maloom ?

Zindagi heech ! lakin aaj ki raat

Azdiyat hai mumkin , Aaj ki raat

Aaj ki raat saz-e-dil na chairr

Ab na dohraa afsaana haye alam

Apni qismat pe so'gawaar na ho

Fikar-e-farda utaar dy dil se

Umar-e-rafta pe ashk'baar na ho

Ehad-e-gham ki hikayatein mat pooch

Ho chukein sab shikayatein mat pooch

Aaj ki raat saz-e-dil na chairr

Raastay dhuwaan dhuwaan

Raastay dhuwaan dhuwaan

Manzelain hain be'nishaan

Khwaab hain lahoo lahoo

Zindgi hai imtihaan

Chup hain kiyon meri tarah

YEh zameen-o-aasmaan

Rat'jagay hain chandani hai aur yaad-e-raftagaan

Khwaab lagti hain bahaarain

Chaa gayi hai youn khizaan

Aarzoo'on kay kafan ki hai yahan koi dukaan ?

Sail-e-gham ka poochiyea na beh gaya mera makaan

Hijar ki hain khandaqein

Teray meray darmiyaan

Naaz utray gi dilon main

Khoon se likhi dastaan 

Kabhi udaas kar denay wali chup si raat main milo

Kabhi udaas kar denay wali chup si raat main milo

Aisi kisi raat main milo

JAb baarish ki tpa tp

Aankhon ka saaz lagay

Baraf giray to

Kisi hasrat ki khamosh awaaz lagay

Baahir ka her mousam

Dil kay apnay mousamon ki zad main aanay lagay

Ya kabhi

Falak pe bikhray taaron ka sakoot

Shor andar ka aur barhaanay lagay

Aisi kisi raat main milo

Jo zaahiran lamha dar lamha  wisaal ki pehli raat lagay

Her bicharnay wale ko

Magar

Aakhri mulaqaat ki saa'at lagay

Kabhi gham shuda rafaqaton kay

Zamanay ki aakhri shab

To kabhi

Naye paimaanay wafa bandhnaay ki raat lagay

Aisi kisi raat main milo

Jab taaluq-e-ulfat ka torna mushkil na lagay

Nezay ki ani ki tarah chubhti mohabbat

Dil se nikaalna mushkil na lagay

Khamosh gaam'zan safar raat ko

Hijar "Raat" kehna mushkil na lagay

Kabhi udaas kar denay wali chup si raat main milo

Kabhi udaas kar denay wali chup si raat main milo

Poocha keh ik bichray taaray ne

Poocha keh ik bichray taaray ne

Ae insaan tu hi bata

Keh insaan kab rota hai ?

Main aik lamhay ko kho si gayi

Aur wajuhaat ko sochti rahi

Koi apna bichar jaye tab ?

Koi apna dukh dy jaye tab ?

Koi apna na apnay tab ?

Koi apna bhout yaad aye tab

Koi apna chor jaye tab ?

Koi apna bhout staye tab

Koi apna kahin kho jaye tab ?

Koi apna jaan churaye tab ?

Koi apna kisi ka ho jaye tab

Koi apna dukh uthaye tab

Koi apna shiddat se chahaye tab ?

Koi apna dil main bas jaye tab?

Koi apna neend churaye tab ?

Koi apna dil dukhaye tab ?

Koi apna kahin mil jaye tab ?

Koi apna aankh churaye tab ?

Koi pana nain milaye tab

Ya koi apna kahin mar jaye tab ?

Shayed yahi to woh baatain hain

Jo beetay dino ki yaad main

Aankhin nam kar jaati hain

Palkain bheegi rehti hain

Dil khoon kay aansoo rota hai

Na jeeta hai na marta hai

NA raaton ko woh sota hai

Phir bhi tum yeh poochtay ho

Keh insaan kab rota hai

Haan insaan tabhi to rota hai

Udaasi barhnay lagti hai

Udaasi barhnay lagti hai

Kisi yaad main gum sum  , thaki haari

Sitaaron kay nagar se shaam jab bhi loat aati hai

Meri aankhon kay veeraan sehan main

Sar ko jhukaye chalnay lagti hai

Udaasi barhnay lagti hai

Meray kaano main jab bhi wasal kay lamhon ki

Ik aahat si aati hai

To meri , Hijar alooda si palkon par sitaaray jaag uth'tay hain

Kisi ki shakal banti aur bikharti hai

Udaasi barhnay lagti hai

Kabhi jab un'ginat sadiyon se chaltay qaaflon ka silsala

Mujh tak ponchta hai

To hijrat paaon se sar'goshiyan si karnay lagti hain

Udaasi barhnay lagti hai

Main jab bhi raah'guzaaron ki kahaani parhnay lagti hoon

Kisi ki yaad meray ghar ki dewaaron pe

Nangay paaon aksar chalnay lagti hai

Udaasi barhnay lagti hai

To mujh ko dil kay be'maqsad dareechon

Taaqchon se jhaankti hai

Aur meray honton ki khamoshi se mujh ko maangti hai

Meray seenay pe phir yeh weshiyaana raqs karti hai

Yeh meray jisam kay kutbay pe koi lafz likhti hai

Udaasi roz barhti hai

Zard patton kay dhair ki teh main

Zard patton kay dhair ki teh main

Mailay kaaghaz chuppa gaya koi

Jin pe taza lahoo se likha hai

Rooth kar is tarah na karna tha

Hum ne aik saath jeena marna tha

Jaan-e-mann

Tum ne be'wafai ki

Kiya kahain had-e- sabar kis ki hai

Kis se poochain yeh qabar kis ki hai ?

Shaairo dard likhtay raho

 Shaairo dard likhtay raho

Rooh ko sard likhtay raho........Shaairo dard likhtay raho

Aansoo'on ko sitaara likho.......Khwaab ko ik ishaara likho

Ishq main sab gawaara likho....Dil ki qismat khasaara likho

Rat'jagay ista'aara likho.....Waqat kaisay guzaara likho

Raat ko be;sahaara likho ... kis ne kis ko pukaara likho

Chaand hai zard likhtay raho....Shaairo dard likhtay raho

Soch ko shabnami likh diya...dhoop chaandani likh diya

Aah ko shairy likh diya ..... Saans ko zindagi likh diya

Zabt ko be'basi likh diya ...Rabt ko ajnabi likh diya

Dil pe hai gard likhtay raho...Shaairo dard likhtay raho

Tum likho jeenay ka gham ... zakham-e-dil sehnay walon ka gham

YE keh gham peenay walon ka gham ... Ya likho jalnay walon ka gham

Aag pe chalnay walon ka gham ... shaam ko dhalnay walon ka gham

Be'wajah ronay walon ka gham ... Khwaish honay walon ka gham

Haath hain sard likhtay raho ... Rang hain be'zard likhtay raho

Baal hain gard likhtay raho...Shaairo dard likhtay raho

Dil dard ka tukra hai

Dil dard ka tukra hai

Pathar ki dl'li si hai

Ik andha kunwaan hai ya

Ik band gali si hai

Ik choota sa lamha hai

Jo khatam nahin hota

Main laakh jalaata hoon

Yeh bhassam nahin hota

Asaasa

Asaasa

Dard

Judai

Tanhai

Tareeki

Khouf

Khafa neendain

Ab yeh mera sarmaya hain

Tum khud socho

Yeh kam hai kiya ?

Ik poori umar bitaanay ko

YA jeetay jee mar jaanay ko

Aaj sun kar tumharay lehjay ko

Aaj sun kar tumharay lehjay ko

Youn hi aankhon main bhar liye aansoo

Apnay takiyea ko orh kar khud par

Youn hi dil ro diya hai chupkay se

Aaina samnay bhi aye to

Youn hi khud se nazar nahin milti

Khud ko samjhaa raha hoon pehron se

Is main dukh ki to koi baat nahin

Thora duniya main rehna seekho ab

Log chehra badal'tay  rehtay hain

Yaqeen ki aakhri had tak

Yaqeen ki aakhri had tak

Yaqeen hai aur dawa bhi

Keh rukhsat kar kay bhi aksar

Nazar ki aakhri had tak

Mujhay woh dekhta ho ga

Magar itnay yaqeen kay baad bhi main ne

KAbhi mar kar nahin dekha

Bas aik mab'ham sa dar sa hai

Kahin aisa na ho jaye

Palat kar main ussay dekhon

To wapis jaa chuka ho woh

Main ne chaha ussay bhool jaaon

Main ne chaha ussay bhool jaaon

Faramosh kar doon woh sab .. roz-o-shab

Ussay dekhon to hoon jaisay waqif nahin

MAin bhi us ki tarah

Ab kisi aur ko saath lay kar chalon

Her gharri khush rahoon , muskuraati phiron

Be'wajha , be'sabab

JAb hawa kay qadam misl-e-maynosh bay'dhab se parnay lagain

Chaandani khirkiyon se pukaaray , Nigahain chamaknay lagain

Aahatain kaan main sabz sargosiyaan kar kay dhalnay lahain

Dast-e-mousam kay aajaz se pera'han.. zard pattay badalnay lagain

Bhout khwaab'beeda gul aankh milnay lagain

Kaash uoon ho keh tab .. us ko dikhayon to woh ajnabi se lagain

US ki aahat pe khwaish kay gul na khilain

Woh pukaaray agar us ki awaaz par kaan tak na dharoon

Ehad-e-rafta ki her yaad ko bhool kar

Anay wali rutton ka sawagat karoon

Us kay chehray ko chehron ki anmbooh   main is tarah gum karoon

Phir woh aankhain rahain , na woh gaysu , na lab

MAin ne chah ussay bhool jaaon

Framosh kar doon woh sab

Roz-o-shab

Aaj ka din bhi pheeka pheeka

Aaj ka din bhi pheeka pheeka

Khirki se chup kar tak'ta hai

MAin haari , ya woh hai jeeta

Roz ka hi mamool hai yeh to

Kal bhi beeta aaj bhi beeta

Dard bhi waisa hi bil'kul hai

Thora thora , meetha meetha

Chulha , choka , jhaaru , ponjha

Sab kuch kar baithi tab socha

Her shay poonjh kay , jhaar kay dekha

Janay kahan yeh dil hai rakha

Ik hijar se kiya azaad huye ,so hijar naye ijaad huye

Ik hijar se kiya azaad huye ,so hijar naye ijaad huye
Phir ik nazar siyaad bani
Aik nazar ka taahir said hua phir
Ashk ka dariya qaid hua

Phir dharkan main bhoonchaal paray
Phir ishq ka jogi galiyon main
Taqdeer ka saamp ....utha laya
Phir hosh ka jungle sabz hua , phir shouq-e-darinda jaag utha
Phir zulam kay taiwar shaam banay , Us shaam main phir mehtaab charha
Phir hont ki larzish geet bani , Phir saans ka naam saba tehra
Phir, Shair shaoor ka wird hua , phir zanjeerain zaiwar tehrein
Phir taqdeerain in'aam huyein

Phir khoon se likhay jazbon ki kuch tehreerain , neelaam huyein
Phir dard "Zulaikha" ban baitha , Phir Qurb ka karb jawaan hua

Tab mujh pe khula main zinda hoon , phir dil ko dharakna yaad aya
Kuch wisaal subhain shab khaiz huyein , kuch hijar ki nabzain tez huyein

JAb qaid ko taza umar mili Us qaid-e-umar kay bakhton ne
Aik shaam sehar se pooch liya

Majboor hi rehna tha to hamain woh , pichla hijar hi kaafi tha
Gar qaid-e-jahan hi apnaani thi
Kiyon pichlay jaal ko chora tha
Kis ehad pe pinjra... tora tha

JAb jaal teri kamzori thi , siyaad ko kiyon bad'naam kiya
Ab soch raha hoon muddat se

Kiyon mujh pe khula main zinda hoon .....
Dil ko dharakna yaad aya 

Dil ek khwaab nagar hai jis main lamha lamha

Dil ek khwaab nagar hai jis main lamha lamha

Us kay sapnay band aankhon main naye dareechay waa kartay hain

Her chehray main us ka chehra rakh detay hain

Meray us kay beech hazaron dewaarain hain

Rasmon aur rawaajon ki

Be'gaano ki qaatil nazron aur apno ki baaton ki

Us ki be'parwahi ki aur apni pagal sochon ki

Kaali dushman raahon ki

Main is zaalam aandhi aur munh zor fiza main ik be'maya zarha tha

Jo apnay se laakhon main gum tha

Us kay khwaab ne meri aankhain roshan ki hain

Khamoshi main jaado hai to phir woh jado gar hai

Us ki chup ne meray dil ko natq diya hai

MAin qatra tha us ki zaat samandar hai

Us ki mohabbat ne mujh ko takhleeq kiya hai

Armaano ki banjh hawaein

Aankhon kay gum'naam jazeeron main jaati hain

Aur khwaish kay khushk darakhton ki shaakhon main

Saein saein karti hain

Mousam aankhain phair kay dil kay dard nagar se chal detay hain

Baadal veeranay pe ghir kar bin barsay chal detay hain

Us ky bina awaaz ki kirnain , aankahin , phool , sitaray , pathar

Khwaish jaado ki basti hai , murr kay dekho saray pathar

Dariyaaon kay dhaaray pathar

Woh aye to pathar ko awaaz milay

Shaher-e-sang kay darwazon ko waa karnay ka raaz milay

Dil ik khwaab nagar hai , is kay khwabon ko aaghaaz  mile

Rooh ko sard likhtay raho

Kiyon mujh pe khula main zinda hoon

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...