Jun 6, 2014

Main sahil pe lakhi hui ibarat nahin jo lehron se mitt jati hai


Main sahil pe lakhi hui ibarat nahin jo lehron se mitt jati hai

Main baarish ki barasti boond nahin jo baras ky tham jatai hai 

Main koi khwaab nahin jisaay dekha uar bhula dia

Main koi shamma nahin Jissy phoonka aur bujha dia

Main hawa ka jhonka nahin jo aya aur guzar gaya

Main chaand bhi nahin jo raat ky baad dhal jaye

Main to woh ehsaas hoon jo tujh main lahoo ban kar gardish karay

MAin to woh rang hoon  Jo teray dil par charhay to kabhi na mittay

main woh jeet hon jo kabhi jo teray labon se juda na ho 

Khwaab , ibarat , shama ki tarah chaand , boond , hawa ki tarah 

Meray mittney ka sawaal hi nahin 

Kyon keh 

Mohabbat ko koi zawaal nahin 

Sab jhagray aur sbhi masail


 Sab jhagray aur sbhi masail 

Kabhi tasleem nahin hain mujh ko

Lakin jana 

Yeh batlao

Kiya koi maan 

Apney bachay ko sardi main 

khuli hui veeran sarak par

raat ki bheegi tanhai main 

San san karti hawa ky khonkon ky maqtal main 

chor ky tanha 

Manazal wali roshan raah pe chal sakti hai

Dil ki batain bata deti hain aankhain


Dil ki batain bata deti hain aankhain

Dharkano ko jaga deti hain aankhain 

Dil pe chalta nahin jadoo chehron ka kabhi

dil ko to dewaan abana deti hain aankhain 

Woh hum se baat nahin kartay  to na karain 

haal saray un ky dil ka suna deti hain aankhain 

gham sada rehta hai aadmi ky sath 

ashk bana kar chalka deti hain aankhain 

ata hai jab dour-e-jawani to ae dosto

Sundar sapney zehan main basa deti hain aankhain 

mana keh neend ati hai aankhon hi ky rastay

Magar kabhi kabhaar neend ura deti hain aankhain 

eesha shukar hai khuda ne ata ki aankhon ki naimat hamain 

Dard--e-gum saray dil ky chupa dati hain aankhain

Chupana raaz is dil ky


Chupana raaz is dil ky

agar tum chor do jan a

Mujhay tum se mohabbat hai

agar tum bol do jana 

to jeevan ky safar main raasta asaan ho jaye

Hamaray paas jeenay ka kuch samaan ho jaye

wagarn ahum tumharay dil ky darwazy ky bahir

aas main baithay rahein gy

KEh kabhi to tum band darwazay ko kholo gi 

meray shanay par sar rakh kar

kabhi dheeray se bolo gi

Mujhay tum se mohabbat hai

Us ky bina ab chup chaap rehna acha lagta hai


Us ky bina ab chup chaap rehna acha lagta hai 

Khamoshi se dard ko sehna acha lagta hai

Jis hasti ki yaad main aansoo barastay hain 

Samney us ky kuch na kehna acha lagta hai 

Mil kar us se bichar na jaon darta rehta hoon

Is liye bas door hi rehna acha lagta hai 

Janta hoon keh chahat main bas ansoo miltay hain 

Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai

Jee chaye sab kushiyaan laa kar us ko de doon

Us ky piyaar main sab kuch khon aacha lagta hai 

Us  ka milna na milna qismat ki baat hai

PAl pal us ki yaad main rona acha lagta hai

Us ky bina sab kushiyaan ajeeb si lagti hain 

ro ro kar us ki yaad main sona acha lagta hai

December ham'ein raas ata nahin


December ham'ein raas ata nahin


Kai saal guzray 
Kai saal beetay
Shab-o-roz ki gardashon ka tasal'sul
Dil-o-jaan main sansoon ki partein ulat'ty huye
Zal'zalon ki tarah hampta hai 
Cheekhtay huye khwaab
Aankhon ki nazuk ragein cheeltay hain
Magar main her ik saal ki goad main jagti subha ko
Be'kraan chahtaon se ati zindagi ki dua ly kar
Ab ik wohi justagoo ka safar kar raha hoon
Guzarta hua saal jaisa bhi guzra magar saal ky aakhri din 
Nihayat khatan hain 
Meray milney walo 
Naye saal ki muskurati hui subha  gar hath aye to
To milna
Keh jatay huye saal ki saa'aton main 
Yeh bujhta hua dil
Dhrakta to hai muskurata nahin 
December mujhay raas ata nahin

Wusat-e-chashm-e-tar bhi dekhain gay


Wusat-e-chashm-e-tar bhi dekhain gay
Hum tujhay bhool kar bhi dekhain gay

Zakham pe sibat kar na lab apney
Zakham ko chara' gar bhi dekhain gay

Hijar ki shab se hoslay apney
Bach gaye to sehar bhi dekhain gay

Ik dua dil se chup kar mangi thi
Us dua ka asar bhi dekhain gay

Ik purana safar to khatam to hua
Ik nayi raah guzar bhi dekhain gay

Gin to lenay do be'kafan lashain 
Be'sada baam-o-dar bhi dekhain gay

Raat honey do log soney do 
Chaand ko dar badar bhi dekhain gay

Chair ky dil ki raakh ko mohsin 
Ab keh raqas-e-shrar bhi dekhain gay

Teri yadon ki rawani aur yeh january


Aur yeh january

Teri yadon ki rawani
aur yeh january
Meri batain , teri kahani 
aur yeh january
Mera hath , tera sath , lambi sarak
aur yeh january
Gum sum shamein , sunehri ratein
aur yeh january
Behti nadi gatay panchi , urti dhund
aur yeh january
Coffe ' bistar , teri mohabbat
aur yeh january
Tanha mann , tanha chaand , mera kamra
aur yeh january
Meri aankhain , meri neend , meray khwaab 
aur yeh january

Zamana aaj bhi is tarah mujh ko takta hai


Zamana aaj bhi is tarah mujh ko takta hai 

Keh jaisay khaar kisi aankh main khat'takta hai

Teray firaaq main phir bhi sukoon milta tha

Teray hazoor to dil aur bhi dhar'rakta hai

KAhin woh dard naseebon ka asara to nahin

Ufaq ky paar sitara sa ik cham'makta hai

Mita chuki hain jissay gardishein sitaron ki

Woh naqsh ab bhi zamana ubhaar sakta hai

Falak pe chaand kay halay bhi sog kartay hain


Falak pe chaand kay halay bhi sog kartay hain

Jo tu nahin to ujalay bhi sog kartay hain

Nagar nagar main woh bikhray hain zulam kay manzar

Hamari rroh ky chalay bhi sog kartay hain

Ussay kahaon keh sitam main woh kuch kami kar day

Keh zulam torney wale bhi sog kartay hain

Tum apney dukh pe akelay nain hi afsurda

Tumharay chahaney wale bhi sog kartay hain

Gai ruton ka sog manaya na karo


Gai ruton ka sog manaya na karo
Baat bad'gumani ki dohraya na karo

Jo chor gaya loat ky kab aya hai
Youn sar-e-shaam dia jlaya na karo

Kahan mor aya kyon rastay juda huye
Waja haar ki sab ko bataya na karo

Kis ky joray main sajao gy unhain 
Yeh shabnami gulaab ghar laya na karo 

Suna hai bichar ky woh kush hai bhout
Basit ab gali us ki jaya na karo

Ae mohabbat teray anjaam pe rona aya


Ae mohabbat teray anjaam pe rona aya 
Janey kyon aaj teray naam pe rona aya

Youn to her shaam umeedon main guzar jati thi
Aaj kuch baat hai jo shaam pe rona aya

KAbhi taqdeer ka matam , kabhi duniya ka gila
Manzal-e-ishq pe her gaam pe rona aya 

Jab hua zikar zamaney main mohabbat ka
Mujh ko apney dil-e-be'kaam pe rona aya

Meray rag-o-pay main sama gaya woh shakhs


Meray rag-o-pay main sama gaya woh shakhs
Meri zindagi main chaa gaya woh shakhs

Meray dil se dil mila gaya woh shakhs
mujhay kush'naseeb bana gaya woh shakhs

Mujhay dy gaya apni her kushi
Meri aankhon se neend chura gaya woh shakhs

Janey kiya baat thi us main aisi 
Mujhay mohabbat karna sikha gaya woh shkhs

Us ki judai par hum raat bhar rotay rahay


Us ki judai par hum raat bhar rotay rahay
Us ki yaad ayi to her baat pe rotay rahay

Aik lamhay ko mil kar bichar gaya umar bhar kay liye
Us shakhs ko soch kar janey kab talak rotay rahay

chaand ru'baroo baithay thay hum janey kab se
kabhi sar jhuka kar daaman main munh chupa kar rotay rahay

Atay nahin hain loat kar log janey wale
Yeh baat samjhaty samjhatay dil ko hum rotay rahay

Us shaks ky chalay janey se kitney meray khwaab toot'ty
Us kirchion ko smait'ty rahay aur youn hi rotay rahay

Samjh na saka woh meray khloos ko fiza
hum ik isi baat par umar bhar roty rahay

Yaad ki barish


Yaad ki barish

Is mousam ki barish

Kuch bhi nahin lakin

Teri yaad ki barish her pal

Mujhay bighoti rehti hai

Meri aankhon se

Musalsal barish hoti rehti hai

Teray ishq ki intiha chahta hoon


Teray ishq ki intiha chahta hoon
Meri sadgi dekh kiya chahta hoon

Sitam ho keh wada-e-be'hijabi
Koi baat sabar azma chahta hoon

Yeh jannat mubarak rahay zahidon ko
Keh main aap ka samna chahta hoon

Zara sa to dil hoon magar shokh itna
Wohi lun'turani suna chahta hoon

Koi dam ka mehmaan hoon ae ehl-e-mehfil
Chraagh-e-sehar hoon bujha chahta hoon

Bhari bazam main raaz ki baat keh di
Bara be'adab hoon saza chahta hoon

Main qadrain sab luta deti , woh aitbaar kart to


Woh pyaar karta to

Main qadrain sab luta deti , woh aitbaar kart to

Haan main sab luta deti gar woh pyaar karta to

Udasi mujhay us ki qat'aan gawara na thi

main ho jati ghayal , gar woh waar karta to

MAin chun chun kar phool barsati us par

Par meray naam koi bahaar karta to

Ana pe choat sehna dushwaar to hai

Main haar jati agar woh takraar karta to

To ab hum aisa kartay hain


To ab hum aisa kartay hain
Mohabbat tark kartay hain
Yeh shair-o-shairy ka silsala , yeh pyaar ki batain
Sab hi kuch chor detay hain
Hum apni soch ka . ehsaas ka rukh mor detay hain
Kisi ko be'wafa kehna ,kisi ko kaj-ada likhna
Kabhi apni wafaon ky silay ki arzoo rakhna
Hamesha dil ko chahat kay liye be'abroo rakhna
Kisi aainy , kisi laila , kisi momal ki khatir hum
Kisi sohni , kisi bhi heer ky anchal ki khatir hum
Nahin barbaad hon gy ab
nahin na'shaad hon gy ab
to ab yeh faisala kar lain
Hum apni zeest ki na'kamiyaan tasleem kartay hain
Haqeeqt maan letay hain
Lap'katay , dortay barhtay hamaray paon rapta hai
Idher wicketon ky peechay se koi ungli bhi uthi hai
Hamari umar ki lambi innings ab khatam hoti hai
Sitaray bujh gaye hain ab
Shraray bujh gaye hain ab
Akelay pan ki ab joi nai tadbeer kiya ho gi
Kisi bhi ishq ki paon main zangeer kiya ho gi
sitam parwar bhala
ab aur bhi taqdeer kiya ho gi
to ab hum aisa kartay hain
Hum apni khud kushi ka aap jhud ailaan kartay hain 
qalam kaghaz ko dhartay hain
bhout kuch likh liya hum ne 
bhout din jee liya hum ne
yeh rishta tor detay hain
sab hi kuch chor detay hain

Yaad ata hai roz-o-shab koi


Yaad ata hai roz-o-shab koi

Hum se rootha hai be'sabab koi

Woh shakhs meri bigri hui aadat ki tarah hai


Main ussay chor to sakta hoon , chor nahin pata

Woh shakhs meri bigri hui aadat ki tarah hai

Khaak urti hai dar-e-dil pe biya'baan ki tarah


Koi dastak , koi aahat , na shan'nasa awaaz

Khaak urti hai dar-e-dil pe biya'baan ki tarah

Kis saleeqay se yaad atay ho


Kis saleeqay se yaad atay ho 

Jaisay barish ho waqfay waqfay se

Zindagi thak ky girti hai to khyal ata hai


Zindagi thak ky girti hai to khyal ata hai

Jaan leva hai la'hasil tamana'on ki koshish

Nishani'an apney ghar ki kiya bataon tujhay


Nishani'an apney ghar ki  kiya bataon tujhay

Jahan   veerani'an  dekho  chalay  ana

Mumkin nahin hai mujh se yeh tarz-e-munafqat


Mumkin nahin hai mujh se yeh tarz-e-munafqat 

Duniya teray mizaaj ka banda nahin hoon main

Mareez-e-ishq hai to dwa dil samjh dilbar ko


Mareez-e-ishq hai to dwa dil samjh dilbar ko

Phir marz janey , dwa janey , shifa janey , khuda janey

Is tarah dil ky zard aangan main


Is tarah dil ky zard aangan main 

Teri yadon ky chraagh jaltay hain

Jaisay aandhi main tooti qabron par

Sehmey sehmey chraagh jaltay hain

Chandani raat ky hathon par sawaar utri hai


Chandani raat ky hathon par sawaar utri hai
Koi kushboo meri dehleez ky paar utri hai

Is main kuch rang bhi hain khwaab bhi ai mehkaar bhi
Jhil'kilati hui khwaish bhi hai , inkaar bhi hai

IS kushboo main kai dard bhi , afsaney bhi
IS kushboo ne banaye kai dewaane bhi

Meray anchal pe umeedon ki qataar utri hai
Koi kushboo meri dehleez ky paar utri hai

Is kushboo se kisi  yaad ky dar khulay hain
Meray pairon se jo liptay to safar ghultay hain

Yahi kushboo jo mujhay ghar se utha layi hai
Ab kis tor par palat kar janey nahin deti

Meri dehleez bulati hai mujhay , loat ayo
Yahi kushboo mujhay wapis nahin anay deti

Ranj aur dard main doobi yeh bahaar utri hai
Koi kushboo meri dehleez kay paar utri hai

Suno tum loat ayo na


Suno ! tum loat ayo na
Jahan tum ho woh duniya kab tumhari hai
Keh suraj dhal gaya hai
aur haseen shaam utri hai
woh dekho chaand nikla hai , sitaray jagmagaye hai
hamari muntazir aankhain , dua'ein mangti aankhain
Tumhain hi sochti aankhain
tumhain hi dhoondti aankahain 
Tumhain wapis bulati ahin
Tumhara aks phir shayed
Meri palkon pe utra hai
Koi ansoo agar aya
Baha kar ab na ly jaye
Yeh dil jab bhi dhar'rakta hai
Tumhara naam leta hai
Yeh ansoo jab bhi behtay hain
Tumharay dukh main behtay hain
Keh barish jab bhi hoti hai
Tumhain hi yaad karti hai
Kushi koi jo aye to 
Tumharay bin adhoori hai
Suno tum loat ayo na
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...