Feb 15, 2016

Hawa thami thi zaroor lakin



Hawa thami thi zaroor lakin

Woh shaam jaisay sisak rahi thi

Keh zard paton ko andhiyon ne ajab qissa suna diya tha

Keh jis ko sun ke tamam patay sisak rahay thay

Bilak rahay thay

Janay kis sanhay ke gham main

Shajar jaraon se ukhar rahay thay

Bhout talasha tha hum ne tum ko

Her aik rasta her aik wadi

Her aik parbat her aik ghati

Kahin se teri khabar na aye

To yeh keh kar hum ne dil ko tala

Hawa thamay ge to dekh lain ge

Hum us ke raston ko dhoond lain ge

Magar hamarai yeh kush khyali

Jo hum ko barbaad kar gaye

Hawa thami thi zaroor lakin

Bari hi mudat guzar chuki thi

Hamaray balon ke junglon main safaid chandi utar chuki thi

Aisay bhi mohabbat ki saza dati hai duniya



Aisay bhi mohabbat ki saza dati hai duniya
Mar jayien to jeenay ki dua dati hai duniya

Hum kon se Moman thay jo ilzam na sehtay
Pather ko bhagwaan bana dati hai duniya

Yeh zakham mohabbat ka hai dekhana na kisi ko
La kar sar-bazar saja dati hai duniya

Qismat pe karo naaz na itna bhe faqeero
Hathon ki lakeeron ko mita dati hai duniya

Marney kay liye karti to hai yeh majboor lakin
Jeenay kay tareeqay bhe sikha dati hai duniya


Khud ko chuntay huay sara din guzar jata hai faraz

Khud ko chuntay huay sara din guzar jata hai faraz

Phir hawa shaam ki chalti hai to bikhar jata hoon main

Dil ke lut jaaney ka izhaar zaroori to nahin

Dil ke lut jaaney ka izhaar zaroori to nahin
Yeh tamasha sar-e-ebazar zaroori to nahin

Mujhay tha ishq teri rooh se aur ab bhe hai
Jisam se ho koi saro kaar zaroori to nahin

MAin tumhain toot ke chahun to meri fitrat hai
Tu bhe ho mera talabgaar zaroori to nahin

Ae sitam gar zara jhank meri Aankhon main
Zubaan se piyaar ka izhaar zaroori to nahin

Kaha tha na Keh youn sotay huaye chor ke mat jana

Kaha tha na Keh youn sotay huaye chor ke mat jana
Mujhay be-shak jaga dena bata dena
Tumhain rasta badalna hai
Meri had se nikalna hai
Tumhain kis baat ka dar tha
Keh main janey nahin doon ga
Kahin pe qaid kar loon ga
Aray pagli ! mohabbat ki tabiyat main 
Zabardasti nahin hoti
Jissay rasta badalna ho
Ussay rasta badalney se
Jissay had se nikalna ho
Ussay had se nikalney se
na koi roak paya hai
Na koi roak paye ga
Magar aik baat keh doon
Tumhain khoney de darta hoon
Main ab soney se darta hoon

Ik shaks mujhay youn chahaney laga

Ik shaks mujhay youn chahaney laga
Apni zaat ko bhe woh bhulaney laga
Na janey kiya hai mujh main jo bha gaya ussay
Apni rooh main mujhay woh basaney laga
Meri doori ko seh na pata tha woh
Raat to raat the
din bhe ussay sataney laga
Kahin Bichar na jayon
Main us se akbhi
Bas yahi dar ussay rulaney laga
Tumhain pata hai
Tum he mera sab kuch ho
Ro Ro ke yeh baat mujhay bataney laga
Main us ki chahat ko bhala kiya naam doon
Jo Apni jaan bhe mujh pe lutaney laga

Barishon main bheeg kar woh aksar kaha karte the



Barishon main bheeg kar 
Woh aksar kaha karte the
Mujhay 2 cheezain bhout piyari lagti hain
Ik barish aur ik tum
Barish mujhay is liye piyari lagi hai
Kyn keh barish tumhare yaad le kar ati hai
Tum mujhay is liye piyare lagtay ho
Kyn keh tumhare yadain
Barish ko aur bhe piyara bana dati hain
Aaj barish main akelay bheeg kar
Janey kyn mera dil
Mujh se keh raha tha
Keh main barish ki her aik boond se poochon
Kiya usaay barishain aj bhe piyare lagti hain

Mohabbat karney walay aj

Dilon ki qaid se Azaad Mohabbat

Mohabbat karney walay aj

Izhar-e-mohabbat kar rahay hain par

Tumharay hath main jo phool hain

Is ko mohabbat kay saheefay main kahin rakh do

Keh Izhaar-e-mohabbat kay liye lamhay muqarar to nahin hotay

Moahabbat to dilon ki qaid se azaad hoti hai

Mohabbat main riwaiyat phool daney ki

Bhout he khoobsurat hai

Magar tum Aaj mujh ko phool mat dena

Taqazay meri chahat ke siwa hain kuch

Keh meray piyaar ki rasmain zamaney se juda hain kuch

Zara sa maan rakh lena Meri pehli mohabbat hai


Zara sa maan rakh lena Meri pehli mohabbat hai
Sitam tum soch ke karna meri pehli Mohabbat hai
Agar janey ki zid hai to chalay jayo Magar sun lo
Keh jaldi loat ke ana meri pehli mohabbat hai
Jiger ke khoon se likh kar tujhay paigham bheja hai
Tum aik aik lafz ko parhna, meri pehli mohabbat hai
Main mit jayon ga duniya se Mujhay dil se mat mitana
sada dil main mujhay rakhna meri pehli mohabbat hai

Baat the mohabbat ki , umar bhar ki chaht ki

Baat the mohabbat ki 
Umar bhar ki chahat ki 
Bheer main zamaney ke sath sath bhe chalna tha
Imtihaan bhe aney thay
Zindage ke sabhi pal sath he bitaney thay
Janey tum ne kiya socha
Bas aik pal main baat khatam kar dali
Jo poori the Adhoori kar dali
Kon tum ko samjhay
Mohabbat ke mousam bh eto roz nahin atay
Zindage main apno ko youn chor to nahin jatay
tum ko kiya khabar janaa
Khwaab ki haqeeqat ki baat the
Mohabbat ki umar bhar ki chahat ki

Aisa nahin keh hum ko mohabbat nahin mili


Aisa nahin keh hum ko mohabbat nahin mili
Haan jisay chahatay thay woh qurbat nahin mili

Chaheron ke hajoom main dhoondtay rahay 
Surat nahin mili kahin seerat nahin mili

Milney ko zindage main kae hamsafar milay
Lakin tabiyaton se tabiyat nahin mili

Woh yak ba yak mila to der tak hamain
Alfaaz dhoondney ki bhe mohlat nahin mili

Usko gila raha keh tawajo na de ussay
Lakin humain khud apni rafaqat nahin mili

Her shakas zindage main der se mila
Koi bhe cheez hasb-e-zaroorat nahin mili

Bol Keh Lab Azaad Hain Teray


  • Mohabbat na milay to insaan jee leta hai , lakin jissay woh mohabbat
          samjhta hai agar wohi shaks aap ka maan na rakhy to insaan aisay
          toot'ta hai keh phir  raizay nahin miltay

  • Mohabbat aisa jazba hai jo insaan ko be-bas kar deta hai .mohabbat insaan 
           ko jakar'ti hai keh woh jitna hath paon marta hai , mohabbat ki daldal main
           dhans'ta chala jata hai

  • Kuch ta'luq ana se toot jatay hain lakin kuch rishton ko qayam rakhney kay liye 
          ana ki zaroorat hoti hai

  • Umeed aik aisi chayon hai jo apney daman main insaan ko panah de kar mayoosi
           ke atha samandar main doobney se bacha'ti hai

  • Takleef'ain insaan ko sochney par majboor karti hain , sochney se admi dana
           banta hai aur da'nayi admi ko jeenay ke qabil banati hai

  • Mohabbat pana her kisi kay liye mumkin nahin........la-hasil mohabbat aur
          dewangee main kuch khaas farq nahin hota 2no hi junoon ki had'on tak
          le jati hain

  • 3 cheezain aik jaga parwarish pati hain ,phool ,kanta, kushboo

  • Jo insaan bhout hasaas hotay hain zindagi ki basaat par woh qadam 
          qadam par toot jatey hain

  • Jo insaan jukta nahin woh toot jata hai

  • Kitni ajeeb se baat hai keh jo kushiyaan hum sirf apney liya hasil kartay
          hain un se bila-akhir ukta jatay hain

  • Ansoo qarb ka saboot hain jab rooh ka rooh se wasaal hota hai to aankhon main 
          ansoo a jatay hain 

  • apney andar rog mat pali'ye , is duniya main aap aik hi to hain

  • Khwaab zindagi ki daleel hain , inhain kabhi harney mat dain

  • Haar jana azeat'naak sahi magar is se ziada azeat'naak khud ko her waqat
          haar ki yaad dilana hai


Khoobsurat Bataien


  • Mayoosi aik dal dal hai aap is main pehla qadam rakhtay hain ,doosra qadam
          aap ko nahin rakhna parta, kyn keh dal dal ko hamesha pehlay qadam
          ka intizaar hota hai

  • Agar zindagi main sakoon chah'ty ho to kabhi kisi se tawaqo mat rakho
          kyn keh tawaqo ka piyala hamesha thokron ki zad main rehta hai

  • Hamain bhool janay ka ehsaas is waqat hota hai jab hamain koi bhool
           jata hai

  • Bah'az rishtay aisay hotay hain jinhain dekh kar 'dhoop barsati chy'on'
          ka gumaan hota hai

  • Ahmi'yat dukh ki nahin dukh daney wali ki hoti hai

  • Mohabbat aur nafrat agar had se barh jayein to junoon ki had main
          dakhil ho jatay hain aur junoon kisi bhi cheez ka acha nahin hota

  • Samjh ka ta'aluq umar se nahin , ehsaas se hai

  • Bahaduri ka pata din ki roshni se ziada raat ki tareeki main chalta hai

  • Jab ap aney walay ki awaz nahin suntay ya na sun'na'na  cha'yen tab yeh
          umeed bekaar hai keh janey wala ap ki awaz sun kar paltay ga

  • Yeh ajeeb baat hai keh woh log jo hamaray bhout qareeb hotay hain
           wohi log dar'asal hamari zindg'yon  ko uljha denay aur muntashir
           kar denay ka sabab bantay hain

  • Dil'chaspi ko talab mat ban'na'ny do kyn keh talab barh kar
          zaroorat aur zaroorat barh kar kamzori ban jati hai

  • Jitna kisi ka sath purana ho utna hi us ki be-wafai kay liye tayaar 
          rehna chah'ey

  • Jo ungliyaan kanton ki nook se darti hain . woh phoolon ki 
          narmi se kabhi lutaf-andoz nahin ho sakt'en

  

Kushboo bhari Bataien



  • Waqat se pehlay apney iraday ka zikar na karo

  • ziada kushali aur ziada bad-hali buraie ki taraf le jatay hain

  • Dil ki achaei ya bura'ei ka tab hi pata chalta hai jab is tak rasa'ei ho
          warna samandar ki gehra'ei ka andaza sahil par kharay ho kar nahin
          lagaya ja sakta

          Muskurahat
  • Woh muskurahat bari muqadas hoti hai jab kisi ki yaad dil mai aye
          aur dil ro'ay lakin honth muskura daien 'kaash koi dekh sakay keh
          itni se muskurahat kay liye insaan kitni martaba andar se toot kar
          bikhar jata hai

          Dukh Sukh
  • Sukh ka aik darwaza band hota hai to doosra khul jata hai lakin aksar
          hum band darwazay ki taraf itni der tak tak'tay rehtay hain keh hamaray
          liye jo darwaza khula hai ussay hum dekh hi nahin patay 

       Mohabbat
  • Mohabbat be-sabab nahin hoti , kabhi is ka sabab insaan ki koi
          khwaish hoti hai , kabhi kisi par taras kha kar mohabbat ki jati
          hai aur kabhi insaan  mohabbat ki talab main mohabat karta hai

Achi batain


  • Jo lehrain samandar main gum ho jati hain woh apni shanakhat 
          kho dati hain

  • Yeh zaroori nahin keh insaan kisi bari thokar lagney ki waja 
           se tootay kabhi kabhi choto choti batain bhi insaan ko torney
           aur bakhair'ny lagti hain

  • Jab sochain aur khyalat gehray honey lagtay hain  to insaan
          main sadgi aney lagti hai aur insaan ainay ki tarah shafaaf
          honey lagta hai

  • Is duniya main 2 log hi ap ko achi tarah jantay hain aik 
          woh jo aap se ziada mohabbat kartay hain aur aik woh jo
          aap se sab se ziada nafrat kartay hain

Umar-e-rawan phir kabi nahin muskurai bachpn ki tarah

Umar-e-rawan phir kabi nahin muskurai bachpn ki tarah

Main ne ptangen bhi khareedi, khilonay bhi lay kar dekhy

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...