Kabhi rang gul se juda hua, kabhi khushboo is ki bikhar gayi
Isi intishaar-e-hawaas main , meri zindagi bhi sanwar gayi
Main udaas hoon yeh kissay khabar , main nihaa hoon yeh kissay pata
Jo meri mata-e-hayaat thi woh safar main saari bikhar gayi
Main shajar bana , main hi shaakh bhi , jo samar lagay to sab aa gaye
Kabhi pathron se nahin kaha , meray dil pe jo bhi guzar gayi
Kabhi raat apni pannah main meray zakham chair kay so gayi
Kabhi dil kay tukray smait'tay , meri shab gazeeda sehar gayi
Woh mila to rasm-e-hayaat bhi rahi us kay gird hi ghoomti
Woh gaya to meri her ik rawish , thi jahaan wahin pe tehar gayi
Tujhay be'khabar yeh khabar nahin , keh teri khabar main meri nazar
Kabhi raah guzar pe tehar gayi , kabhi aainay main tehar gayi
Yeh teri nigaah ka faiz hai , yeh teray shabaab ka rang hai
Mujhay kaar-e-giriya shab mila , teri aafiyat main guzar gayi
HAin sabhi Zia se yeh poochtay , kabhi hum main tum main jo chah thi
Ussay kis ne tor kay rakh diya , ussay lag yeh kis ki nazar gayi