May 14, 2014

Zidon samait kabhi dil ko chorna ho ga


Zidon samait kabhi dil ko chorna ho ga 
Yeh Aaina kisi pathar pe torna ho ga 

YAhi nahin keh hamein tor kar gaya hai koi 
Ussay bhi khud ko bhout dair jorna ho ga 

Tulli hui hai bhout sar'kashi pe hijar ki rutt
Yeh rutt rahi to kahin sar hi phorna ho ga 

Qareeb saahil dariya bichhi hai pyaas meri 
Hawas ko daman-e-dariya nichorna ho ga 

Talab ko tu na milay ga aur log bhout 
Kisi taraf to yeh toofan bhi morna ho ga 

KAbhi matta-e-safar tha jo dil ruba Mohsin 
Khabar na thi ussay rastay main chorna ho ga

Safha-e-waqat pe tehreer badal jaati hai


Safha-e-waqat pe tehreer badal jaati hai 
Ayat-e-hijar ki tafseer badal jaati hai 

Aisa ik waqat bhi aata hai meri neend pe jab 
Khawab se pehlay hi tabeer badal jaati hai 

Ab to her lamha mera qaid main kat jaata hai 
Farq sirf itna hai zanjeer badal jaati hai 

Waqat her baat ko mehfooz to kar leta hai 
Haan ! magar baat ki taseer badal jaati hai 

Parhta rehta hoon main haathon ki lakeerain youn bhi 
MAin yeh sunta tha keh taqdeer badal jaati hai 

Aik muddat se ussay dekh raha hoon "Mohsin"
Choona chahon to woh tasveer badal jaati hai

Khabar na thi ussay rastay main chorna ho ga


Zidon samait kabhi dil ko chorna ho ga
Yeh aina kisi pathar pe torna ho ga

Yahi nahin keh hamain toor kar gaya hai koi
Ussay bhi khud ko bhout der jorna ho ga

Tuli hui hai bhout sar'kashi pe hijar ki rut
Yeh rut rahi to kahin sar hi phorna ho ga

Qareeb sahil-e-dariya bichi hai piyaas meri
Hawas ko daman-e-dariya nichorna ho ga

Talab ko tu na mailay ga aur log bhout
Kisi taraf to yeh toofan bhi morna ho ga

Kabhi mata-e-safar tha jo dil raha mohsin
Khabar na thi ussay rastay main chorna ho ga

Poet : Mohsin Naqvi

Aik mudat se ussay dekh raha hoon mohsin



Safha-e-waqat pe tehreer badal jati hai
Ayet-e-hijar ki tafseer badal jati hai

Aisa ik waqat bhi ata hai meri neend pe jab
Khawab se pehlay hi tabeer badal jati hai

Ab to her lamha mera qaid main kat jata hai
Faraq sirf itna hai zanjeer badal jati hai

Waqat her baat ko mehfooz to kar leta hai
Haan magar baat ki taseer badal jati hai

Parhta rehta hoon main haton ki lakeerain youn bhi
Main yeh sunta tha keh taqdeer badal jati hai

Aik mudat se ussay dekh raha hoon mohsin
Choona chayon to woh tasveer badal jati hai

Poet : Mohsin Naqvi

Talab ko ajar na doon , fikar-e-raah'guzar na karon


Talab ko ajar na doon , fikar-e-raah'guzar na karon 
Safar main ab kay hawa ko bhi hamsafar na karon

Ubhartay doobtay suraj se tor loon rishta 
Main shaam orh kay so jaaon aur sehar na karon 

Ab is se barh kay bhala kiya ho ehtiyaat-e-wafa 
MAin teray shaher se guzron , tujhay khabar na karon 

Yeh meray dard ki doulat , meri mata-e-firaaq
in Aanso'on ki wazahat main umar bhar na kron 

Ujaar shab ki khalish kay ban main kho jaaon 
Main chandani ki tarah khud ko dar ba'dar na karon

Woh aik pal ko dikhai to dy kahin Mohsin 
Main jaan ganwa kay bhi us pal ko muktasar na karon 

Junoon main shouq ki gehraiyon se darta raha


Junoon main shouq ki gehraiyon se darta raha
MAin apni zaat ki sachaiyon se darta raha 

Mohabbaton se shanasa hua main jis din se 
Phir us kay baad shanasaiyon se darta raha 

Woh chahta tha keh tanha milon to baat karay 
MAin kya karon keh main tanhaiyon se darta raha 

Main raah'guzar tha mujh main basay thay sanatay 
Isi liye to main shehnaiyon se darta raha 

MAin apnay baap ka yousaf tha is liye Mohsin 
Sakoon se so na saka bhaiyon se darta raha

Main apnay baap ka yousaf tha is liye Mohsin



Junoon main shauq ki gehrayon se darta raha
Main apni zaat ki sacha'yon se darta raha

Mohabbton se shanasa hua main jis din
Phir us ke baad shanasayon se dartaraha

Woh chahta tha keh tanha milon to baat karay
Main kiya karon main tanhaayon se dartaraha

MAin raah'guzar tha mujh main basat thay snatay
Is liye to main shah'nayon se darta raha

Main apnay baap ka yousaf tha is liye Mohsin
Sukoon se so na saka bha'yon se datra raha

Poet : Mohsin Naqvi

Woh bhi kya din thay keh pal main kar diya kartay thay hum



Woh bhi kya din thay keh pal main kar diya kartay thay hum
Umar bhar ki chahatein her aik har'jaai kay naam

Woh bhi kya mousam thay jin ki nikhaton kay zaiqay 
Likh diya kartay thay khaal-o-khad ki rah'naai kay naam 

Woh bhi sohbatein thein jin ki muskurahat kay fasoon 
Waqf thay ehal-e-wafa ki bazam araai kay naam 

Woh bhi kya shamein thein jin ki shohratein mansoob thein 
Be'sabab khulay huye baalon ki ruswai kay naam 

Ab kay woh rutt hai keh her taza qayamat ka azaab 
Apnay jaagtay zakhmon ki gehraai kay naam 

Ab kay apnay Aanso'on kay sabab shakista aainay 
Kuch zamanay kay liye , kuch tanhai kay naam

Hum jo ponchay sar-e-maqtal to yeh manzir dekha


Hum jo ponchay sar-e-maqtal to yeh manzir dekha 
Sab se ooncha tha jo sar , nok-e-sina par dekha 

Hum se mat poocho keh kab chand ubharta hai yahan ?
Hum ne suraj bhi teray shaher main aa kar dekha 

Pyaas yaaron ko ab us mor pe le aayi hai 
Rait chamki to yeh samjhay keh samandar dekha 

Aisay liptay hain dar-o-baam se ab kay jaisay 
Haadson ne bari muddat main mera ghar dekha 

Zindagi bhar na hua khatam qayamat ka azaab 
Hum ne her saans main bar'pa naya mehshar dekha 

Itna be'hiss keh pighalta hi na tha baaton se 
Aadmi tha keh tarasha hua pathar dekha 

Dukh hi aisa tha keh roya tera "Mohsin" warna 
Gham chupa kar ussay hanstay huye aksar dekha

Tumhain kis ne kaha tha ?


Tumhain kis ne kaha tha  ?
Dopehar kat garm suraj ki taraf dekho 
Aur itni dair tak dekho 
KEh bee'naei pighal jaye !!

Tumhain kis ne kaha tha ?
Aasman se toot'ti andhi uljhalti bijliyon se 
Dosti kar lo 
Aur itni dosti kar lo 
KEh ghar ka ghar hi jal jaye !! 

Tumhain kis ne kaha tha ?
Aik anjanay safar main 
Ajnabi raah'ru kay hum'raah door tak jaao 
Aur itni door tak jaao 
Keh woh rasta badal jaye !!

Main ne dekha tha un dino main ussay jab woh khiltay gulaab jaisa tha


Main ne dekha tha un dino main ussay 
Jab woh khiltay gulaab jaisa tha
Us ki palkon se neend chinti thi 
Us ka lehja sharab jaisa tha 
Us ki zulfon se bheegti thi ghatta 
US ka rukh meh'taab jaisa tha 
Log parhtay thay khaal-o-khad us kay 
Woh adab ki kitaab jaisa tha 
Bolta tha zuban khushbu ki 
Log suntay thay dharkano main ussay 
Main ne dekha tha un dino main ussay 
Jab woh khiltay gulaab jaisa tha

Bharka'ein meri piyaas ko aksar teri aankhein



Bharka'ein meri piyaas ko aksar teri aankhein 
Sehra mera chehra hai samandar teri aankhein 

Phir kon bhala daad-e-tabasum unhein de ga 
Ro'ein gi bhout mujh se bichar kar teri aankhein 

Bojhal nazar aati hai ba'zahir mujhay lakin 
Khilti hain bhout dil main utar kar teri aankhein 

Ab tak meri yaadon se mita'ey nahin mitt'ta 
Bheegi hui sjhaam ka manzir , teri aankhein 

Mumkin ho to ik taza ghazal aur bhi keh loon 
Phir orh na lain khawab ki chadar , teri aankhein 

Youn dekhtay rehna ussay acha nahin "Mohsin"
Woh kaanch ka pai'kar hai to pathar teri aankhein

Main ne dekha tha un dino main ussay jab woh hans hans kay baat karta tha


Main ne dekha tha un dino main ussay 
JAb woh hans hans kay baat karta tha 
Dil kay khaimay main raat karta tha 
Rang parhtay thay Aanchalon main ussay 
MAin ne dekha tha un dino main ussay 
Yeh magar dair ki kahani hai 
Yeh magar door ka fasana hai 
US kay meray milaap main hayel 
Ab to sadiyon bhara zamana hai 
Ab to youn hai haal apna bhi 
Dasht-e-hijran ki shaam jaisa hai 
Kya khabar in dino woh kaisa hai 
MAin ne dekha tha un dino main ussay 
Jab woh khiltay gulaab jaisa tha

Ab kay us ki aankhon main be'sabab udaasi thi


Meray naam se pehlay 

Ab kay us ki aankhon main 
Be'sabab udaasi thi 
Ab kay us kay chehray par 
Dukh tha be'hawasi thi 
Ab kay youn mila mujh se 
Youn ghazal suni jaisay 
MAin bhi na'shnasa hoon 
Woh bhi ajnabi jaisay 
Zard khaal-o-khad us kay 
Sogawaar daman tha 
Ab kay us kay lehjay main 
Kitna khurdara pan tha 
Woh keh umar bhar jis ne 
Shaher bhar kay logon main 
Mujh ko hum'sukhan jana 
Dil se aasha likha 
Khud se meharbaan samjha
Mujh ko dil'ruba likha
Ab kay sada kaaghaz par
Surkh rosh'nai se
Us ne talkh lehjay main 
Meray naam se pehlay 
Sirf be'wafa likha 


Bhanwar ne kaat diye silsalay kinaaron kay


Qehat

Bhanwar ne kaat diye silsalay kinaaron kay 

Khizaan ne rang chura hi liye bahaaron kay 

Ajeeb qehat para hai keh pait bharnay ko 

Main raaz baichta phirta hoon apnay yaaron kay

Woh hamsafar tha magar us se hum'nawai na thi


Woh hamsafar tha magar us se hum'nawai na thi 
Keh dhoop chaaon ka aalam raha judai na thi 

Adawatein thein , taghafal tha , ranjishein thein magar 
Bicharnay walay main sab kuch tha magar be'wafai na thi 

Bichartay waqat usn aankhon main thi hamari ghazal 
Ghazal bhi woh jo kabhi kisi ko sunai na thi 

Kissay pukaar raha tha woh doobtay huye din 
Sadaa to aayi thi lakin koi dohaai na thi 

Kabhi yeh haal keh dono main yak'dili thi Mohsin
Kabhi yeh marhala kah jaisay Aasnaai na thi

Yeh fasana-e-mohabbat , yeh kahaniyan wafa ki


Yeh fasana-e-mohabbat , yeh kahaniyan wafa ki 

Koi aur zikar chairo , mera dil lahu lahu hai

Sakoot-e-shab hai tanhai hai


Sakoot-e-shab hai 
Tanhai hai 
LAkin aisi tanhai 
Keh jis main goonjti rehti hain sari un'kahi baatein 
Jo dil main shor to karti hain 
Lakin keh nahin paatay 
Kisi kay door jatay paaon ki halki si woh aahat 
KAbhi paton ki khar'khar main 
Kisi kay loatnay ka shaq 
Kabhi beetay palon ki goonj 
Kabhi madham si sargoshi 
KAbhi apnay hi andar chal rahi aandhi ki awazein 
Sakoot-e-shab hai tanhai hai 
Lakin aisi tanhai 
Keh jaisay door tak phaila hua awazon ka jungle

Kabhi kabhi main sochta hoon keh mohabbat cheez hai kya


Mohabbat 

Kabhi kabhi main sochta hoon 
Keh mohabbat cheez hai kiya 
Kabhi yeh jeet banti hai 
Kabhi yeh haar jaisi hai 
Kabhi yeh raaz hai pinhaan 
Kabhi izhaar jaisi hai 
Kabhi yeh pool hai komal 
Kabhi talwaar jaisi hai 
Kabhi yeh ujri hui basti 
KAbhi singhaar jaisi hai 
YEh aakhir chor hi jaati hai 
Yeh meray yaar jaisi hai

Dil-e-muztar ko samjhaya bhout hai


Dil-e-Muztar

Dil-e-muztar ko samjhaya bhout hai 
Magar i sdil ne tarpaya bhout hai 

Qayamat hai yeh tarq-e-aarzoo bhi 
Mujhay aksar woh yaad aaya bhout hai 

Tabasum bhi , haya bhi , be'rukhi bhi
Andaaz-e-sitam bhaya bhout hai 

Raah-e-hasti kay is jaltay safar main 
Tumhari yaad ka saya bhout hai 

Dil-e-muztar ko samjahya bhout hai 
Magar is dil ne tarpaya bhout hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...