Jul 31, 2015

Tumhari aankhon main laal dhaagay



Tumhari aankhon main laal dhaagay 

Raat kis kay naseeb jagay

Chahat itni muktasir jana


Chahat itni mukhtasir jana 

To phir yaadein be'shumaar kiyon

Suno tanhaiyan rooh ko badan se noch leti hain


Suno tanhaiyan rooh ko badan se noch leti hain 

Kisi ki be'wafai ki saza khud ko nahin detay

Is qadar thi musal'sal shiddatein judai ki


Is qadar thi musal'sal shiddatein judai ki 
Aaj pehli baar us se main ne be'wafai ki 

Phir qafs main shor utha qadiyon ka aur siyaad 
Dekhna urra de ga phir khabar rihaai ki 

Taras jaao gay hamaray labon se sunna'nay ko aik aik lafz


Taras jaao gay hamaray labon se sunna'nay ko aik aik lafz

Pyar ki baat to kya hum shikayat bhi na karein gay

Kaaf, seen , meem kha kar kehta hoon


Kaaf, seen , meem kha kar kehta hoon 

Ain , sheen , kaaf, main ruswai hai

Woh khawaab dekhye to dekhye meray hawalay se


Woh khawaab dekhye to dekhye meray hawalay se

Meray khayal kay sab manzaron ka saathi ho

Dil diyan galan kar di si


Dil diyan galan kar di si 
Hasdi si kadi rondi si 
Bhooriyan akhan , lamiyan zulfan 
Chan ton wi sharmandi si 
O wangan bhar bhar pandi si 
Chhan chhan jhanjar chankandi si 
Sara din rahwan takda san 
Milan o shami aandi si 
Sahwan thandian Ondian si
Seenay jad lag jaandi si 
Ik din meray ton rus gayi
Jaan jay menu bulaandi si

Aik se musafir hain


Chand 

Aik se musafir hain 
Aik sa muqaddar hai 
Main zameen par tanha 
Aur woh Aasmano main

Qadar-e-johar hai jo pindaar samait


Qadar-e-johar hai jo pindaar samait 
Mujh ko parkho meray miyaar samait

Roz mangein yeh dua khana badosh 
Ghar na ujrein dar-o-dewaar samait 

Kitni banjar hui fasal-e-awaz
Shaher chup chaap hai bazaar samait 

Kaash logon ki tarah soo-e-chaman 
Hum bhi kabhi jayein dildaar samait 

Kon karta qad-o-qamat ka hisaab 
Ik qayamat tha woh raftaar samait 

Jin ki haibat se harasan lashkar 
Be'nishan ab hain woh talwaar samait 

Bujh jayein kahin aankhein meri 
Yaad aa , mishal-e-rukhsaar samait 

Khaak urti hui sadiyon se idher
Qaaflay gum huye salaar samait 

HAwas-e-dirham-o-dinaar ki khair
Log biknay lagay kirdaar samait 

Main keh mohsin hoon shaheed-e-na'moos
Dafan karna mujhay dastaar samait 
 

Mujh se mat pooch meray mehboob ki sadagi ka andaz


Mujh se mat pooch meray mehboob ki sadagi ka andaz

Nazrain bhi mujh pe thein aur parda bhi mujh se tha

Main jab bhi toot'ti hoon tujhay dhoondti hoon


Main jab bhi toot'ti hoon tujhay dhoondti hoon 

Tu ne ik baar kaha tha na hum aik hain

Kis tarah khatam kar saktay hain tum ko yaad karna


Kis tarah khatam kar saktay hain tum ko yaad karna 

Keh tum ko sirf mehsoos karnay se hum duniya bhool jaatay hain

Kathan safar hai mohabbaton ka


Kathan safar hai mohabbaton ka 
Sairaab rastay hain soch lena 
Woh chor jatay hain ik qadam par 
Jo saath chaltay hain soch lena 
Yeh reet tum na nibha sako gay 
Na sang rehnay ki baat karna 
Keh ishq walon ki raah guzar main 
Chinaab aatya hain soch lena 
Tumhein kaha tha keh ban kay apna 
Faraib deta hai yeh zamana 
Tumhein kaha tha keh aasteeno main 
Saamp paltay hain soch lena 
Woh basti jahan pe hum tum milay thay 
Mil kay bichar gaye thay 
Wahan par ab bhi meri wafa kay 
Chragh jaltay hain soch lena

Koi ilzaam koi tanz na koi ruswai Faiz


Koi ilzaam koi tanz na koi ruswai Faiz

Bhout dair huye yaaron ne koi inayat nahin ki

Dil garifta hi sahi bazam saja li jaye


Dil garifta hi sahi bazam saja li jaye 
Yaad-e-jana se koi shaam na khaali jaye 

Rafta rafta yehi zindaan main badal jatay hain 
Ab kisi shaher ki buniyaad na daali jaye 

Muzhat-e-rukh hai kisi ka keh biyaz-e-hafiz
Aisi chehray se kabhi faal nikaali jaye

Woh murawat se mila hai to jhuka doon gardan 
Meray dushman ka koi waar na khaali jaye 

Be'nawa shaher ka saya hai meray dil pe Faraz
Kis tarah se meri ashafta khayali jaye

Mohabbat rog hai jana


Mohabbat rog hai jana 

Ajab sanjok hai jana 
Yeh kaisa rog hai jana 
Baray boorhay bata/tay thay 
Kai qissay sunatay thay 
Magar hum maantay kab thay 
Yeh sab jantay kab thay 
Keh 
Hamaray saath kisi surat 
Bhi aisa ho nahin sakta 
Dil qabu se be'qabu 
Kabhi ho nahin sakt a
Magar phir youn hua jana 
Chehra-e-masoomana par 
Nigah-e-qaatlana par 
Jafa-e-meharmaana par 
Ada-e-kafarana par 
Qayel ho gaye hum bhi 
Baray be'baak phirtay thay 
Mayel ho gaye hum bhi 
Sakhawat karnay aaye thay 
Aur sayel ho gaye hum bhi 
Baray baron ki in baaton kay 
Qayel ho gaye hum bhi 
Keh
Mohabbat rog hai jana 
Ajab sanjok hai jana 

Zakham jo aap ki inayat hain is nishani ko naam kya dain hum


Zakham jo aap ki inayat hain is nishani ko naam kya dain hum 
Pyaar dewaar ban kay reh gaya hai is kahani ko naam kya dain hum 

Aap ilzaam dhar gaye hum par , aik ehsaan kar gaye hum par
Aap ki yeh bhi meharbani hai , meharbani ko naam kya dain hum 

Aap ko youn hi zindagi samjha , dhoop ko hum ne chandani samjha 
Bhool hi bhool jis ki aadat hai , is jawani ko naam kya dain hum 

Raat sapna bahaar ka dekha , din hua to ghubaar sa dekha 
Be'wafa waqat be'zubaan nikla, be'zabani ko naam kya dain hum

Tujhay eid pe kon sa tohfa bhaigon


Meray saathi ! tujhay eid par kon sa tohfa bhegon 
Dua bhaigon ya mohabbat ka khazana bhaigon 
Ya apni na'kaam khwaishaat ka rona bhegon 
Ya teri deed ki hasrat bharri tamana bhaigin 
YA umar daraazi ki dua bhaigon 
YA shadmaani-e-zindagi ka sandesa bhaigon 
YA apni be'mol chahat ka tihfa bhaigon 
Ya beetay lamhon ki sada bhaigon 
Ya tumhari na'risaiyon ka shikwa bhaigon

bhly dino ki baat hai , bhli si aik shakal thi


bhly dino ki baat hai , bhli si aik shakal thi
 na yeh ke hussan taam ho , na dekhny main aam thi

na yeh keh woh chaly to  keh'kashaan si raah'guzar lagay
magar woh sath ho to phir , bhla bhla safar lagay

koi rut bhi ho us ki chub fiza ka raang-o-roop thi
woh garmi'on ki cha'on thi , woh sardi'on ki dhoop thi

na mud'daton juda rahay na sath subh-o-shaam ho
na rishta wafa pe zid na yeh keh azn-e-aam ho

na aisi kush libasiyan keh sadgi gila karay
na aisi be-takal'lafi keh aaina haya karay 

na ehtalaat  main woh rum keh bad'maza ho khwaish'ein
na is qadar supurdagi keh zich kar'ein nawazishein 

na aashqi junoon ki ' keh zindagi azaab ho
na is qadar khathor pan , keh dosti khraab ho

kabhi to baat bhi khafi kabhi sakoot bhi sakhan
kabhi to kasht zafaraan  , kabhi udasiyon ka ban

suna hai ik umar hai mamalaat-e-dil ki bhi
wasal-e-jaan fiza to kiya , firaaq-e-jaan gasal ki bhi

so ik roz kiya hua , wafa ki behas chir gayi
main ishq ko amar kahon  woh meri zid se chir gaye

main ishq ka aseer tha , woh ishq ko qafas kahay
keh umar bhar ke sath ko bad'tras hawas kahay

shajar hijar nahin keh hum hamesha paba gul rah'ein
na dhor hain keh rasiaan , galay main mustaqil rah'ein

mohabbaton ki wusat'ein hamaray dast-o-paa main hain
keh aik dar se nisba'tein , sagaan-e-ba'wafa main hain

main koi painting nahin keh aik frame main rahoon
wohi jo mann ka meet ho , usi ke prem main rahoon

tumhari jo bhi soch ho , main us mizaaj ka nahin 
mujhay wafa se bair hai , yeh baat aj ki nahin 

na mujh ko us pe maan tha , na us ko mujh pe zaham hi
jan ehad bhi koi na ho to kiya gham-e-shakistagi 

so apna apna rasta hansi kushi badal liya
woh apni raah pe chal pari , main apni raah pe chal diya

Wohi shaam, kohar si shaam phir



Wohi shaam , kohar si shaam phir 
Teray naam ho to ghazal kahain
Wohi shaam jis ki ragon main thay
Teri khwaab aankhon kay rat'jagay 
Wohi subh-e-dhoop ki laali 
Teray aarzon pe khilay to phir 
Rag-e-jaan se nazam kasheed ho 
Wohi rang ho wohi roshni 
Wohi khushbo'on ka hajoom ho 
Wohi ik pal teri deed ka 
Jo milay to dard ki Oat main 
Sabhi qeh'qahay se chalak uthein 
Sar-e-loh-e-shaam-e-firaaq phir 
Gham-e-ishq mouj-e-naveed ho 
Ae sitaara shab-e-zindagi 
Idher aa keh jasahn ho mohtabar 
Nazar aa keh 
Dhang se eid ho

Ae dil-e-be'taab tehar


Tairagi hai keh um'madti hi chali aati hai 
Shab ki rag rag main lahu phat raha ho jaisay 
Chal rahi hai kuch is andaaz se nabz-e-hasti 
Dono aalam ka nasha toot raha ho jaisay 
Raat ka garam lahoo aur bhi beh jaanay do 
Yeh hi tareeki to hai ghaaz-e-rukhsaar-e-sehar 
Subha honay ko hai Ae dil-e-be'taab tehar 

Yeh hi wada liya tha na ?


Yeh hi wada liya tha na ?
Hamesha khush hi rehna hai 
To dekho 
Dekh lo aa kar 
Meri aankhon ko dekho tum 
YEh kitni shokh lagti hain 
Meray honton ko dekho tum 
Hamesha muskuraatay hain 
Koi bhi gham agar aaya 
Ussay hans kar saha main ne 
Meray chehray ko dekho tum
Hamesha pur'sakoon ho ga 
To socho gay yeh jaana 
Kiya tha main ne jo tum se 
Woh wada kar diya poora 
Magar aik baat hai pyaaray 
Kabhi jo waqat mil jaye    
To meri shairy parhna 
Tumhain mehsoos to ho ga 
KAhin talkhi bhara lehja 
KAhin pe sard sa lehja 
KAhin pe dard ki jheelain 
Kahin lehjay ki karwahat 
Suno 
Ghour se sun lo 
Main khush to hoon lakin 
LAhu her lafz rota hai 
Lahu her lafz rota hai

Siyaah raat main jaltay hain Jugno'on ki tarah


Siyaah raat main jaltay hain 

Jugno'on ki tarah

Dilon kay zakham bhi 

Mohsin kamaal kartay hain

Kuch raat ki aankhain bheegi thein


Kuch raat ki aankhein bheegi thein 
Aur chaand bhi rooth rooth tha 
Aur dil bhi toota toota tha 
Kis mor pe bichray yaad nahin 
Honton pe koi fariyaad nahin 
Is waday ki bhi khabar nahin 
Woh sacha tha ya jhoota tha 
Her lamha aahein bhartay hain 
Na jeetay hain na martay hain 
BAs ik dua yeh kartay hain 
Woh loat kar wapis aa jaye 
Woh loat kar wapis aa jaye 

Aankhon ky sitaray to kai shaam se utray


Aankhon kay sitaaray to kai shaam se utray 
Par dil ki udaasi na dar-o-baam se utray 

Kuch rang to ubhray teri gul pehr'ani ka 
Kuch rang to Aaina-e-ayaam se utray 

Hotay rahay dil lamha-ba-lamha teh baala 
Woh zeena-ba-zenna baray araam se utray 

JAb tak teray qadmon main farookash hain sabu'kash 
Saaqi khat baada na lab-e-jaam se utray 

Be'tamaah nawazish bhi nahin sang'dilon ki 
Shayed woh meray ghar bhi kisi kaam se utray 

Auron kay qaseeday faqat ad'rad thay jaana 
Jo tujh pe kahay shair woh ilhaam se utray 

Ae jaan-e-faraz Ae meray her dukh kay maseeha 
Her zehar zamanay ka teray naam se utray

Aakhri Khwaish


Aakhri khwaish

Meray sathi
Meri yeh rooh meray jism se parwaz kar jaye
To loat aana
Meri be'khwaab raaton kay azaabon par
Siskatay shaher main tum bhi
Zara si dair ko rukna
Meray be,noor honton ki duaon par
Tum apni sard paishaani ka pathar rakh kay ro dena
Bas itni baat keh dena

Mujhay tum se mohabbat hai

Faraz karo hum taray hotay


Farz karo hum taaray hotay 
Ik doojay ko 
Door door se dekh dekh kar jaltay bujhtay 
Aur phir ik din 
Shaakh-e-falak se girtay 
Aur tareek khalaon main kho jaatay 
Dariya kay do dhaaray hotay 
Apni apni moj main behtay 
Aur samandar tak is andheri 
Wehshi aur munh zor musaafat 
KEh jaadu main tanha rehtay 
Faraz karo hum bhoor samay kay panchi hotay 
Urtay urtay ik doojay ko chootay 
Aur phir khulay gagan ki gehri 
Aur be'sarfa aankhon main kho jaatay 
Abar-e-bahaar kay jhonkay hotay 
Mousam kay ik be'naqshay se 
Khwaab main miltay 
Miltay aur juda ho jaatay 
Khushk zameeno kay haathon par 
Sabaz lakeerain kunda kartay 
Aur un'dekhye sapnay botay 
Apnay apnay aansoo ro kar chain se sotay 
Farz karo hum jo kuch hain woh na hotay ?

Bhaagi aankhon wali larki (Wasi shah)


Bhaagi aankhon wali larki

Meri taraf jab dekhti hai to

Mann main jal thal kar jaati hai

Mujh ko pagal kar jati hai

Wasi shah

Jab hum ne khuda ka naam liya


Jab hum ne khuda ka naam liya
Us ne hamain inaam diya

Mera inaam pakistan 
Mera paighaam pakistan
Mohabbat Aman hai 
Aur is ka hai paighaam pakistan
Khuda ki khaas rehmat hai 
Bazurgon ki bishaarat hain 
Kai naslon ki qurbani
Kai naslon ki mehnat hai
Asaas hai dalairon ka
Shahidon ki amanat hai
Ta'awn hi ta'awn hai
Mohabbat hi mohabbat hai
Jabhi tareekh ne 
rakha hai hai is ka naam Pakistan
Andhron ko mitaye ga 
Ujaala ban kay chaye ga
Yeh khitta inqalaabi hai 
Nayi duniya banaye ga
Agar Allah ne chaha 
Zamana woh bhi Aaye ga
Jahan tak waqat jaye ga
Issay aagay hi paaye ga
Nida qaid ki hai
Iqbal ka ilhamm Pakistan
Mohabbat aman hai 
Aur is ka paighaam Pakistan

Ao kuch dair mohabbat ko libada kar lain


Aao kuch dair mohabbat ko libaada kar lain 

Aao kuch door to khushboo ka safar saath karain

Hui jo baat to phir chup bikhar jaye gi


Hui jo baat to phir chup bikhar jaye gi
Bheegi shabnam main raat nikhar jaye gi

Sar'goshiyon kay andaazmain mehki hawa
Naam tera lay kay hans kay guzar jaye gi

Meray dil kay aangan ko ab kay hijar ki shaam
Yaadon kay zard paton se bhar jaye gi

Chand lamhon ki rafaqat ko ta'umarkay liye
Dewaar-e-dil par mohabbat naqsh kar jaye gi

Ae zabt-e-dil-e-nadaan teri khair ho keh ab to
Hayat-e-shaaz us ki yaad main hi guzar jaye gi

Dard hi meri raahat-e-jaan hai


Dard 

Dard hi meri 
Raahat-e-jaan hai 
Dard se mujh ko 
unseeat hai bhout 
Dard se mera 
Ik rishta hai 
Main bhi us ka hoon 
Dard jis ka hai 

Ghalat Fehmi ka khamiyaza bughtana par gaya to phir


Ghalat fehmi ka khamiyaza bughtana 
Par gaya to phir
Woh apni baat manwanay ki khaatar 
Arr gaya to phir
Woh ik lamha jissay tum Ehmiyat ik pal na dy paye
Woh lamha hum ko na'dim kar kay
aagay barh gaya to phir
Woh ik patta keh
Jis pe takiya hai 
Is zeest ka
Ae Dost
Wohi patta shajar se 
Rotay rotay 
Jharr gaya to phir ????

Mohabbaton main wafaon main qaid rakhon ga


Mohabbaton main wafaon main qaid rakhon ga
Tamaam umar duaon main qaid rakhon ga

Bacha kay rakhon ga nafrat ki dhoop se her pal
Prem pairr ki chaaon main qaid rakhon ga

Meray labon kay jo darwazay wa na kar payein
Hamesha aisi sadaon main qaid rakhon ga

Hawas ne ghair liya shaher ko her ik soo se
Suno khaloos kay gaaon main qaid rakhon ga

Tu ik qadam bhi akelay na ja sakay ga kahin
Main apna dil teray paaon main qaid rakhon ga

Tamaam umar na kuch aur dekhna chahye
Yeh aankh teri adaaon main qaid rakhon ga

Bikhar kay dard ki khushboo kahan pe jaye gi
Main khushbo'on ko hawaon main qaid rakhon ga


Ab jo rishton main bandha hoon to khula hai mujh par


Ab jo rishton main bandha hoon to khula hai mujh par 

Kab prind urr nahin paatay hain paron kay hotay

Chahaton main gilay nahin hotay


Chahaton main gilay nahin hotay 
Ishq main zaabtay nahin hotay 
Yaad kartay hain dil hi dil main tujhay 
Ab teray tazkaray nahin hotay 

Kho kay sab kuch khayal aata hai 
Kaash hum tum milay nahin hotay 
Meri qismat woh ban to jaye magar
Aaj kal mojzay nahin hotay

Tum ho cukay kisi ky ya phir sataa rahay ho


Tum ho chukay kisi kay ya phir sataa rahay ho 
Munh mor kar jo mujh se ab aisay jaa rahay ho 

Tujh pe tha maan mujh ko tora hai is tarah se 
Kar kay youn be'rukhi tum dil ko jala rahay ho 

Meray liye wohi ab tariyaaq ban gaya hai 
Jo zehar apnay haathon mujh ko pila rahay ho 

Raahain badalnay walay yeh bhi to yaad rakhna 
Dhoondo gay khud ussay tum jis ko ganwaa rahay ho 

Aine ussay kaho keh jis dil main tum rahay thay 
Ghairon kay saath mil kay wohi dil dukha rahay ho

Yeh maana husan ki fitrat bhout nazuk hai Ae Wamiq


Yeh maana husan ki fitrat bhout nazuk hai Ae Wamiq

Mizaaj-e-ishq ki lakin nazakat aur hoti hai

JAb dehar kay gham se na amaan mili , hum logon ne ishq ijaad kiya


JAb dehar kay gham se na amaan mili , hum logon ne ishq ijaad kiya 

Kabhi shaher-e-butaan main khraan phiray, kabhi dasht-e-junoon abaad kiya 

Kabhi bastiyaan ban , kabho koh-o-daman ,raha kitnay dino yeh hi jee ka chalan 

Jahan husam mila wahin baith rahay , jahan pyaar mila wahan saad kiya 

Shab-e-maah main jahan bhi yeh dard utha kabhi baith kay (likhi chand nagar)

Kabhi koh se ja sar phoor maray , kabhi qais ko ja ustaad kiya 

Yahi ishq bila aakhir rog bana , keh hai chah kay sath ba'jog bana 

Jissay banana tha Aaish woh sog bana , bara mann kay nagar main fasaad kiya 

Ab qurbat-o-sohbat-e-yaar kahan , lab-o-aarz-o-zulf-o-kinaar kahan 

Ab apna bhi Mir sa aalam hai , tuk dekh liya jee shaad kiya 

Ibn-e-Insha

Ujaar lamhon ki daastanain agar kaho to sunain tum ko


Ujaar lamhon  ki daastanain agar kaho to sunain tum ko
Bhout sa hum jaagtay rahay hain chalo zara jagaein tum ko 

Tum hi jo roshni si ban kar hamari aankhon main aa basay ho 
JAb apni aankahin hi keh diya hai to phir bhala kiyon rulaein tum ko 

Tum aaj kiyon muztarib ho jaana , tumharay lehjay main toot kaisi 
Kaha na tha keh waqat dy ga kadooraton ki sazaein tum ko 

Tum aisa karna keh aik lamhay ko apni dharkan pe haath rakhna 
Meri wafaein , meray yeh jazbay agar kabhi yaad aayein tum ko 

Ghubaar alood raaston main talaash kar kar kay thak gaye hain 
Kahan pe jaa kay basay huye ho kahan se dhoond layein tum ko 

Tumhain to sukh aa gaye myussar , tumhain to hum yaad bhi nain hain 
Magar batao keh hum jo chahein ti kis tarah se bhulaein tum ko 

Tum apni baaton pe mutmaein ho , hamain bhi sharmindagi nahin hai 
Ana ki dewaar ko gira kar nahi yeh mumkin manaein tum ko 

Tum apnay sard haath meri tur'bat pe rakho gay


Khwaish 

Tum apnay sard haath 
meri tur'bat pe rakho gay 
Meray kutbay pe apna zard maatha tikaao gay 
Meri qabar ki geeli matti ko uthaao gay 
Inhain dono muthiyon main bhar lo gay 
Aur ro do gay 
Meray liye yeh bhout ho ga 
Sach poocho
To tumhara yeh aik roop dekhnay kay liye 
Ab mar jaanay ko jee chahta hai

Dard-e-dil ki ab mujhay dawa chahiye


Dard-e-dil ki ab mujhay dawa chahiye
Be'wafon se thori wafa chahiye

Mera maskan banay teray qalb-o-nazar 
Naam honton pe teray saja chahiye

Jab talak dam main dam hai rahain saath hum 
Aaj hum'dam kuch aisi dua chahiye

Meri baanhon main ik din sama jayein woh
Kiya mujhay aur is kay siwa chahiye

Apni jaan tak teray naam kar di sanam 
Aur kiya tujh ko Ae be'wafa chahiye

Paas se jo guzar kar nazar phair lay 
Phir na deni ussay kuch sadaa chahiye

Tu ne sajdon main maanga hai jis ko Muaan
Saath us ko kisi aur ka chahiye

Kitna sehal jaana tha (Noshi Gilani)


Kitna sehal jaana tha 

Ae nazar ki khush fehmi 
Is tarah nahin hota 
Titliyaan pakarnay ko door jaana parta hai 

Noshi Gilani

Duniya ki mefalon se ukta gaya hoon ya'rab

Duniya ki mehfalon se uktaa gaya hoon Ya'Rab

Kiya lutf anjuman ka jab dil hi bujh gaya ho

Yeh jo aksar rulatay ho , mohabbat youn nahin hoti


Yeh jo aksar rulaatay ho , mohabbat youn nahin hoti 
Mujhay her pal sta'tay ho , mohabbat youn nahin hoti 

MAin jab thak haar kay ma'yoos ho jaaon to phir khud hi 
Mujhay aa kar manaatay ho , mohabbat youn nahin hoti 

Nazar andaaz kartay ho tum ashkon ki rawaani ko
Khud hi mujh ko manaatay ho , mohabbat youn nahin hoti 

KAbhi mujh pe mohabbat se dil-o-jaan waar detay ho 
Magar ehsaan jat'tay ho , mohabbat youn nahin hoti 

Yeh tum umeed rakhtay ho , ayaan kar doon main sab jazbay 
Magar tum khud chupaatay ho , mohabbat youn nahin hoti 

Meri jaanib jo aata hai , woh rasta bhool jaatay ho 
Hamesha azmaatay ho , mohabbat youn nahin hoti 

Kabhi to meray ghar kay sab ujaalon ko bujhaatay ho 
Kabhi jugnoo lay aatay ho , mohabbat youn nahin hoti 

Teri "Kinza" to rasmon aur riwaajon se ulajhti hai 
Tumhi daman bachaatay ho , mohabbat youn nahin hoti

Jaa rahay ho to saath lay jaao


Jaa rahay ho to saath lay jaao

Apnay samaan main , meri aankhein

Yeh keh kar meray dushman mujhay hanta chor gaye faraz


Yeh keh kar meray dushman mujhay hanta chor gaye faraz 

Teray dost hi kaafi hain tujhay rulaanay kay liye

Aao barish se yeh poochein


Aao baarish se yeh poochain 

Kiya is se bhi wada kar kay chor gaya hai koi is  ko 
Kiya is ko bhi neend nahin aati barson se
Kiya is ko bhi phoolon se shikwa hai koi 
Is kay saath bhi khail hawaon ne khaila hai 
Dhuwan dhuwan sa is ka chehra kiyon hai aakhir ?
Bheegi bheegi is ki palkain kis ne kar dein ?

Aao baarish se yeh poochain 

Kaash kabhi woh waqat bhi aye


Kaash kabhi woh waqat bhi aaye 

Keh main aankhain band kar kay 

Karon tera tasawur 

Aur jab main aankhain kholon 

To samnay tu ho
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...